Canada new immigration policy for 2024-2026
Hello members ...let me share the new policy of canadian govt for 2024 to 2026 about immigration.
IRCC Immigration , refugees and citizenship Canada aik dept hai Canada ka jo k har saal Canada anay wale logo k plans aur policies banaty hai ..Canada aik aisa mulk jis k apni abadi kam hai aur low birth rate hai jis ki waja se har saal unke abadi kam horahii .jis ki waja se unki mulk mai skill labour mai kami horahii hai aur economy gir rahi hai
..jis ki kami ko pora karne kaliye woh is tarah k plans aor policies banaty hai ..
2023 mai Canada ne 465000 logo ko different countries ko welcome kiya aur ab unho ne 2024 k liye 500000 tak kardiya hai ...yeh tadad zyada hone k waja Canada ma skill worker k kami ko pora karna hai ..
Is program ko Canada ne 4 parts mai divide kar diya hai jis mai economics class ,family class ,refugees class and others class hai ..jis mai economics class ko 281000,family class mai 114000 ,refugees class mai
76000 aur baqi logo ko other class mai rakha hai .
Economics ImmigrationIs type k immigration mai kuch program ate hai jaise k federal skilled worker (FSW),federal skill trader class(FSTC), aur canadian experience class(CES) ate hai .
(1) Federal skilled workerIs tarah k immigration mai wo log Canada ja sakte hai jinks education achi ho ,ya kuch khas skill unko ati ho jinko use karke wo Canada k economy ko aur khud ko strong kar sakee aur English ya French unko ati ho .
(2) Federal Skill Trader Class Is immigration woh log Canada ja sakte jo k trading mai
skillfull ho .
(3) Canadian Experience ClassIs program mai woh log asaktee hai jo k Canada institute se fresh graduate ho ya canadian work experience ho unke sath .
Family ClassIs program mai wo lag Canada asakte hai jinks wife ya husband Canada mai ho aur dosra partner kisi aur country nai ho toh wo unko apne pass bula sakte hai ..family class mai parents aur grandparents ko bhi bula sakte hai .
Refugees class Is class mai woh log Canada ja sakte jinko apne mulk mai security issues ho ..like terrorism ya political issues ya
kuch aur qism k issues ho wo Canada mai ja sakte hai
link