World Economics Forum ka 54th conference ye meeting 15 Jan se start hoga aur 5 days tak hoga ..is baar WEF k meeting ka agenda " rebuilding trust " hai ...is agenda ka maqsad jo dunya mai different countries ya organisation ke darmyan jo jeopolitical issues ke waja sa economy kharab hogae ,unko thek karna ,technology advancement aur economy policies ko behtar karna hai ..
WEF ke meeting ka theme 6 point per hoga jisme economics strength,energy transformation, globalisation, women health, productive Artificial Intelligence and aisi institute ka qiyam jo Economics halat ko behtar banaye..
Is saal is meeting mai Artificial Intelligence per bhi focus kiya hai ...anay wale waqt mai hum AI k significance se inkar nahi kar sakte ..AI ko sekhna k sab se bara faida yeh hai k humai is ma degree k zaroorat nahi ..koi bhi proper study aur mehnat k sath AI ko sekh sakta hai ...aur anay wale waqt mai is skill se aik handsome job hasil kar sakta hai ...
Brother, World economic forum conference ka buniyadi maqsad inclusive or collaborative approach k through duniya k jo complex economic masail han un ko discuss kerna koi work-able solution talash kerna ha. Laikin mujhy enki koi khas achievements nazer nhi aati. For example, global warming or developing countries mein brti hoi poverty bry bry masail han, eno discuss toh zarur kerty han mgr enky solution ki trf koi tangible progress nazer nhi aati.