Very scandalous behavior with former foreign minister
Bahi Pakistan ma ek politician bnaa ab ek buhat bara threat apne saar per layna ha kabi be ap ke uper mout ki talwaar latak sakti ha. Jab se Pakistan bna ha tab se lay ke ab tak serf Pakistan ma ek edare ki hukumat Rahe ha aur wo politicians ko ek kaat putli ke tur per estemal kar Rahe Hain Jo in ke mayar per Tek utra os wo gunahi se pak aur Jes ne thori se ankhe dekhiye ys ke Khair nahe .
Ye log es trah ke kamo ma etne gir chuke ha ke en ma mortality naam ki cheez nahe abi jes bande ko he's trah geraftar kar chuke Hain tu ye Sara sar na insafi ha. Geraftar Karne ka be ek treeqa hota ha per en logo ko constitution ki koi parwa nahe ha. Ye Banda 2.marta serf forigen menister reh Chuka ha 2 dafa national assembly ka rukan reh Chuka ha es ke sath aysa salooq karna bilkul he ghalat ha .
Yaqeenan ab sayasat karna bahot mushkil kar diya hai pakistani awaam ke leye.Balky ab sayasat main bhi in ke retired rank waly umeedwaar hon gy.kuch pehly se in ke saath hai,jo her hakoomat ko banany aur girany ke leye istemal hoty hain.ab ye sayast ke maidan main bhi apny jandy gharny ki koshish karen gy.
agar pakistan main jamhoriyat hoti to aaj pakistan dunya se itna peechy na hota,magar yahan boot ki hakumat hai,nawaz shareef theek tha ,os ko bhi sirf is waja se farig kiya ke wo inki baat nahin maan raha tha,in ke najahiz mutalebaat nahin maan raha tha,her kaam main inki mudakelat nahin maan raha tha,inko apny kaam se kaam rakhny ki baat kar raha tha.os ko bhi kitna ghaseeta adalton ke chaker diye,jhooty case banwaye.
magar ye shukar hai ke ab qaum jaan chuki hai.hum waisy hi sayasat dano ke peechy baten karty hain,tamam edharon ki tabahi ke zamadar ye hain.ab sirf pakistani awaam ke jaagny ka intezar hai,pata nahin kab jaagy gi.