Ye taawun se force karna ap ne kis tafseer se leya ha bhai? Ye tho Quran ki tafseer se taluq rakhta ha. Tafseer k leye ya tho apko khud mufassir hona parega jo k ap nahe ha balke arbi zaban se b nawaqif aur quran ka ilm tho door ke bath. agar ap mufassir nahe tho per kisi mufassir ka tafseer dekha hoga jis ne ye tarjuma kia ho tho kindly uska hawala dejea. tawun se advertising Murad lena har maktaba fikar ne leya ha. ab ap ye na Kaho k mera point of view ha q k Quran ma apne rae se baghair ilm k tafseer karna jurm ha .
Bhai ap Ki to mujy Samaj nai aati ap Ko apny Ilam par itna ghurur Kis Cheez ka Hy or mery Ilam par ap ungli q utha rahy hen kher. Or rahi bat ye maktba fikar Ki to ye sab advertising ko Tawun kesy keh sakty hen? Tawun Bhai ye hy KY ap Kissi ko convince Karen KY Bhai ye signature join kar lo or is par gambling BHI karo. Is ko ap tawun kahen.
Force tho Allah Pak apne qudrat k bawajood nahe kar rahe. Allah pak kisi b naik amal par kisi ko force nahe karte. Bas Quran aur nabi ﷺ k zareye dawat dee. Nabi ne logo ko dawat dee magar kisi ko Force nahe kia. Nabi ka dawat dena sawab ka kam ha. kisi gunah ki dawat dena gunah ka kam ha chahe gambling ho sharab ho.
Bhai EK bat mujy btaen. EK shaks Agar Gunah ka Irada Karta hy to Kaya us ko us gunah par saza Hogi yaa us ka gunah Likha Jaye Ga? Nai bal KY gunah tab Likha Jaye Ga jab wo gunah kary Ga. Abhi Kissi shaks ny Mery link ko open nai Kiya or naa jaa kar gambling Ki. Ab Yahan tak to wo ho Gaya Saaf lekn aagy jab us ny gunah Kiya to gunah us KY apny sar huwa. Ab Mera Irada BHI nai hy. Naa my chahta hun KY ESA ho. To my gunahgar kesy ho Gaya. My to gunah Karun gaa to gunah ho Ga... Ap to pehly marhly par hi fatwa Laga kar out kar rahy hen. Gambling Ki Jaye gi to gunah hoga. Ab Samaj AA jani chahy Shayad. Ab koi dekhy Mera link. Yahan wo gunahgar nai hy. PHR us ny link open Kiya. Wo BHI gunahgar nai hy. Ab wo website par Chala Gaya. PHR b wo gunah gar nai hy. Han jab wo gambling Shuru kar dy gaa tab jaa kar wo gunahgar hoga. Or sirf wo gunah gaar ho Ga. Ap ny to sab ko hi ragra lgaya huwa hy.
let's more close. Nabi ﷺ ka zamana ha. Nabi dawat de rahe k gambling na karo ye Islam ma haram ha, aur sath ma ap b kare ha aur keh rahe k Casino slots ka new website aaya ha , first bet free tho kia kehte k ye Nabi ﷺ se muqabla ha k nahe m wo tho esko rokne ke dawat de raha aur hamara muslaman esko phelane ke dawat de raha.
Ab ap ye na kehna k signature aur dawat ma farq ha , dono advertising he ha bas farq sirf modern technology aur purane technology ka ha.
Are Bhai wohi bat again naa. Yahan Kon kahy Ga KY new casino Aya hy chal a gambling karty hen pehly to ap is ko smjen Bhai. Wo kahy Ga Jo already gambling Karta hy. Or Zara ye BHI samjen KY ap ik shaks KY pas Gaye or ap ny Kaha KY Aja ye dekh nai gambling site AI Hy Aja iss ko khelty hen. Yaa tum Khel lo. Ap ny gambling signature ko ye Samaj Liya KY ap aen or Mera link open Karen. Nai Bhai Kissi ko nai Kaha KY ajao Bhai free bet Hy ajao. Ab Agar ap is ko dawat keh hi rahy hen to sath my Hadees BHI yad Karen Jo ap ny bayan Ki.
Lekn USS sy pehly ye BHI Jaan Len ap ny Jo misal di wo 2 gamblers Ki bat hui jinhon ny apas my bat Ki. Or wo الحمدللہ my nai hun.
Lagtha hy app ky pass meri batoon ka jawab ni, ais liey quit kerna chatay ho. Aur meine phelay bhi kaha tha k hum yeh discussion in general kr rahay hien k kon si campiagn thiek hy aur kon si gult ireespective k kis ka kia signature hy, takay conclusion p ja sakein.
Ap Kissi conclusion par nai pohnch a chahty hen. Ap to wo sadqy wali bat Parr arry huwe hen advertising par arry huwe hen. Q KY ap khud clear nai hen. Behan Hoti hy Haan yaa naa par.
Bagi, app ny kaha k Signature ka maqsad advertsing ni but campaign walay tu khud kah rahay hein k woh advertising kr rahay hein. Ab kia keian hum
Yeh dekhooo, sherbet ki campaign advertisement ky paisay day ri hy.
Yehi to bat hy naa sir. KY ap iss sy aagy nai jaa rahy my ny Kaha my ny Maan Liya advertising hy. To Kaya ap is ko Galat kiss bunyad par keh rahy hen. Aagy barhen ap. Numaya Karna Kaya hota Hy. Advertising Ki hi EK qisam hy. Yehi bat Hy ap ka maqsad sirf behas hy Jo mujy ab tak Nazar araha hy. Kher ap khud ko aagy laen.
Or advertising sy aagy aany sy pehly ap upar gladiator Bhai ko likha huwa jwab BHI dekh Li jiye ga Zara.