Asalam o alekum : Dosto kia haal hai,jaisa ke ye kaha ja raha tha ke jab bhi Bitcoin 42k se ooper stable ho jaye ga,to Altcoin main sarmaya muntaqil hony ka zyada imkaan ho ga,aur pir aap ne daikha ke jaisy hi Bitcoin 43k se ooper stable howa to aksar Altcoins main aik zabardast pump daikny ko mily.Lekin Polka Dot main abhi tak wo pump daikny ko nahin mila jo hum tawaqu kar rahy hain.price to waisy sub coins ki barhi hai,magar is main wo hype abhi daikny ko nahin mili jis tarah ,solana,avax,link,wagaira main daiki gai hai.
to yahan jahan tak mujhy lag raha hai ke ab shahid polka Dot ki baari hai,aur ho sakta hai ke agly kuch dino main is ke andar hamain aik achi hype daikny ko mily.aur abhi bhi aik achi buying position per maujood hai. project bhi bara solid hai,iski salahiyat se bhi inkaar nahin kiya ja sakta.aap logon ko kia lagta hai ke qeemat 20 dollar ko jald cross kar sakta hai.