Author

Topic: Pakistan - page 490. (Read 6034679 times)

hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
April 22, 2023, 01:07:46 AM
Eid Mubarak!
Eid Mubarak!!!
Eid Mubarak!!!
Eid Mubarak.
Thank you very much for joining us in our Eid celebrations.



O Mubarkan ji Mubarkan sab nu mabarkan Chotti Eid diyan Mbarkan chalo biii sab ky sab Eidi nikalo. I am waiting. Ab mujhy nai pata ap kaya Eidi den gy. But I am waiting.

shahzadafzal
Hamaza2424
ZAINmalik75
Unknown Op
WatChe
AnonBitCoiner
Faisal2202
Sayeds56
Shan85
Gladitorcomeback
ItsCrafty
Compromise me
MusaPk
UmerIdrees

Chalen biiii sab Eidi den ab mujhy. Specially our Legend Shahzadafzal sir and our Hero UmerIdrees sir mujhy Eidi chahye ap sy. Cheesy

Shabashhhh I am waiting.
LDL
hero member
Activity: 742
Merit: 671
April 22, 2023, 12:53:29 AM
Eid Mubarak!
Eid Mubarak!!!
Eid Mubarak!!!



The holy Eid-ul-Fitr is being celebrated today in different countries of the Muslim world. May the life of every Muslim in the world be eternally joyful and blessed. It is hoped that every Muslim community will celebrate this Eid-ul-Fitr with their families in peace and happiness.

I exchanged Eid greetings with every Muslim brother and sister in my neighboring country of Pakistan and hoped that they would overcome their economic downturn and embark on a path of prosperity in the future.

Specially wishes for
@shahzadafzal
@Hamaza2424
@ZAINmalik75
@ThemePen
@Unknown Op
@WatChe
@AnonBitCoiner
@Faisal2202
@Sayeds56
@Shan85
@Gladitorcomeback
@ItsCrafty
@Compromise me
@MusaPk
@UmerIdrees
sr. member
Activity: 560
Merit: 365
Pakistan Local Board Request
April 22, 2023, 12:30:00 AM
Eid Mubarak to All My Pakistani Community

Tamam meray piyare bhaio or apki Family Members ko Eid Mubarak! Umeed h ky is Eid KY moqay par apki Life my Allah Pak khushi, sukoon, taraqi, apni rehmat or apni barkat sy nawazy. Is khushgawar mauqay ko hum bhai chary or dosti ky rishtay ko mazboot karny ky leye istemal Karen gay or jaha bi jay khushia or meharbania philay gay Allah hamary duaon or naik amaal ko qabool karen or is Khushi ky din par hamay maafi aur hidayat ataa karen. Phir sy Eid Mubarak! Allah apko or apky pyaaron ko syhat, khushi aur kaamyabi sy nawazy Ameen 🤲

full member
Activity: 308
Merit: 109
April 21, 2023, 11:53:39 PM
Eid Mubarak to my Dear Community
Meray tamam doston ko Eid Mubarak! Khushiyon bhari pyaari, aur dil se bhari Eid ki mubarakbad. Allah aap sabko khushiyon se bharpoor zindagi aur acchi sehat ata farmaye. Eid ka ye pyaara tyohaar aapke ghar mein pyaar sukoon, aur khushiyon ki bahaar lekar aaye. Aapke sabhi armaan aur khwahishat puri hon aur aap sab khush rahein. Eid Mubarak!❤

hero member
Activity: 812
Merit: 619
April 21, 2023, 11:34:31 PM
Eid Mubarak to all Bitcointalk Muslims Brother!

Hamare yaha Eid ki nemaz 7.15 bje huwe. Ye Allah ka bahot karam aur enayat hai k baghair bemari ya kisi sakht musibat k ye Eid guzar gia. Ap sab ko Ramzan k roze aur jis ne Etekaf kia ho usko Etikaf aur khas taur par Pardes mai rehne walo ko der sari duae. Shahzadafzal sir ap Pakistan ae hai ya Pardes mai hai?



EIDI from Gladitorcomeback
 
Ek small Eidi send ksr raha ho Random ten user esko claim kar sakte hai. Please sirf ek he account se try kare tha k sab ko mil jae just for fun. es k liye ap k pas Easypaisa App hona zarori hai. Claim karne k bad screenshot zaroor Share kare. Be honest Try once.

https://easypaisa.onelink.me/cw4d/crnt5jm7

copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
April 21, 2023, 09:38:36 PM
Eid Mubarak to those who are celebrating Eid Today

Baqi sab ko advance main Eid Ki Khushian Mubarak. Allah sab k rozay qabol farmaey. Aameen



Shahzadafzal bhai, apko or Pakistani community k sub doston ko bht bht Eid mubarak. Allah Pak hum sub ki ramazan k mubaral maheeny ki iibadat or sadakadat ko kabool fermain or yeh Eid hum sub ki families k liye khushhali lai or Pakistan ki awam jin mushkilat se guzer rehi un subki mushkilat mein kami lai or Pakistan k ghambeer masail k hal ka aagaz sabit ho. Aameen suma aameen.

Bitcoin fails to hold $30k
Bitcoin marketcap mein es week k douran 30Billion dollars ki kami ho chuki ha jo bht significant amount ha laikin mein abi bi mayous nhi houn ku k abi bi Bitcoin price 200 DMA se oper trade ho reha ha or currently market ek correction se guzer rehi ha jo k jald hee end ho jai gior abi bi umedd ha k market bounce back kere gi or Insha Allah esi saal k douran Bitcoin 50K tak jai ga. Insha Allah
hero member
Activity: 1386
Merit: 513
Payment Gateway Allows Recurring Payments
April 21, 2023, 03:54:56 PM
Ya kise  فوجی چھاؤنی ke tasveer hy. Rank ka hisab sa sub apni apni gari Park krn.   فوجی چھاؤنی ma hr bar aisa he Eid aur baqi events hota hn. Chota rank ky log jaisa sepoy havaldar ko to boht door rekha jata hy. Pakistan fauj ma bnda officer ho aur General ho to aur zindagi sa kya chahya.
Ary Musa bhai army ky bary my asi batain na krain ky unki izzat afzai na ho, yeh is liya nhi kh rya ky mai unki badhi izzat krta hoon, ha sbhi ki nhi krta lekin pak army zindabad hai lekin ab kuch log jo oper ky drjy ky hain kuch apna chehra dekha rhy hain. khair Allah malik hai in ka, mai kh rha tha in ky bary my baat na krain to acha nhi to VIGO ky jhooly milain gy. haha.

Baki inki no doubt mojain hai jo officer bn gya uski ti badhi izzat hoti hai inky ha yaha classes chlti hai yeh us class ka bnda hai yeh c class ka bnda hai wagera wagera. well may wesy in mamlo my inpadh bnda hoon maybe all over the world army ky standards ky mutabiq asa baid bhao (difference represent kran intentionally) zarori hai in logo ky liya, baki recent 1 story dekhi 1 army officier ny apny bety ka bdla liya usky class fellow sy school ja kr usy mara, idk ky yeh story real hai ya nhi but most of the time jin logo ko izzat ras nhi ati wi asi hrktain krty hain,

State Bank of Pakistan  14 April 2023 tak Pakistan ke foreign exchange reserves $9.965 billion se zyada hogaye hain jismei...
Acha yaar pta nhi yaha phly is mozzo pr baat ho chuki hai ya nhi pr ik bnda tha "Malik Boston" us ny yeh offer rkhi thi ky wo hr mahiny 1 billion dollar dy ga pakistan ko for the next 24 months which means ky 24 billion dollars. idk ky uski demand kya thi. agr kuch ilm ho kisi ko to please share kriya ga.

Eid Mubarak to those who are celebrating Eid Today
Baqi sab ko advance main Eid Ki Khushian Mubarak. Allah sab k rozay qabol farmaey. Aameen
Khair Mubarak Shahzadafzal bhai, apko bi badhi badhi EID mubarak or Allah apky bi rozy qabool farmy ameen. wesy mujhy doubt tha ky khi yeh log roza kha na jain khair 30 rozay pury krwa diya badhi baat hai lekin still aj kai bndo ka gilla tha ky aj roza nhi bnta tha wagera wagera because baki neighbour countries ky bi aj eid thi so baki Allah alam, wohi janta wabool frmany wala bi wohi hai, so FYI hamari eid wesy kl hai hahaha. ap ny aj mnai?

Baki un sbhi logo ko Eid Mubarak and in reply Khair mubarak and CHand mubarak. actually akely akely ko mention krna thodha mushkil ho jata lmai khta whatsapp group bna lain 1 din ky liya or sbhi 1 dosry ko EID mubarak kh lain. hahaha.
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
April 21, 2023, 01:30:41 PM
Assalamualaikum sabhi bahiyon ko kese hai Sabi bahi
Chand raat mubarak ho.
Is dua k sath k
Allah taala

Aapki zindagi ki
Har khuahish
Har tamanna
Har aarzu
Har khushi
Har dua

Puri karay.

Aameen.

Chand Raat Mubarak to Everyone

AP ko b Shan bahi Chand Raat Mubarak 🥰
full member
Activity: 308
Merit: 109
April 21, 2023, 01:10:34 PM
Chand Raat Mubarak to Everyone
Assalam  o alikum kasy han ap sb dosto Chand Raat Mubarak to sab ko meri ki taraf se! Is khubsurat aur barkat wali raat Chand Raat ki khushiyan aur khushalian ap aur apke apnon ko mubarak ho. Umeed hai ke yeh paigham apki zindagi ko khushiyon khair o barkat se bhar de. Ramzan ke pak mahine ko alwida kehte hue, hum apne guzre hue mahine ke yaadon ko yaad karain aur aage badhne ki koshish karte rahein ek acha aur saleh zindagi ki taraf. Hum Allah se maghfirat, reham o karam aur hidayat ki dua karte hain ab hum aage badhte hain.


Chand Raat ki rooh ko khilte dil aur khush dil se apnayen, aur pyar, khushi aur meherbani ko har taraf phailain. Humain bhool jayen jo humain baantti hain, aur ek barre parivar ke roop mein ek sath aayen, Allah ke fazalat ko shukr guzari ke sath manayen. Chand ka nikla hua chand humare zindagi mein nayi ummeeden, nayi mauqe aur nayi shuruaatein le aaye. Allah apko tandrusti, dolat aur khushiyon se nawazain, aur apke tamam khwab aur arzooen puri ho jayen. Is Chand Raat ko apki zindagi mein aman, pyar aur ittefaq le aaye aur Allah ke fazalat hamesha apke sath rahein Ameen
sr. member
Activity: 560
Merit: 365
Pakistan Local Board Request
April 21, 2023, 01:09:54 PM
Chaand Raat to All Pakistani Community

Assalamu alaikum Bhaio! Kia haal chaal h bhaio umeed karta ho sab khariyat sy ho gay

Aaj raat hamary leye booht khaas h quu ky Eid-ul-Fitr ki aamad h or dosri taraf afsoos is BAAT Ka h KY Ramzan Mubarak Ka nykio wala mahina guzar Gia g  Cry Allah Pak hamary Rozay or ebadatein apni bargha my qabool farmay Ameen
To is khubsurat mokay ko khuly dil sy welcome karty h. My ap sab ko booht booht mubarak baad daita ho is Chaand Raat ki khushi my Allah Pak apko aur apki family par apni rehmyten barsay or sehat Ata farmay or hamesha Khush rakhay Ameen

member
Activity: 83
Merit: 11
April 21, 2023, 01:01:45 PM
Lailutul Jaiza ( inaam wali raat )
 Aaj wali raat jisay hum chaand raat kehte hain ki ahadees mubarikah mein bohat barri fazeelat warid hui .
jin ke ro se is raat ki jani wali duayen radd nahi hoten .
jo is raat mein ibadat kere ga uskay liye jannat wajib hojati hai .
jabkay aik hadees farmaya ke jis ne is raat ko zindah kya is tarah k is mein ibadat ki uska dil nahi murda nahi hoga is din jis din saaray dil murda hunge .
lehaza guzarish hik_h is raat ko baazaaron hujron ya doston ki mehafilon mein guzaarne ke bajaye rab ke huzoor srbsjod hokar guzaraian. aur mtzkrh baala fazail ke haqdaar banin .
Note! is raat koi khaas ibadat Shariat mein tay nahi. lehaza tilawat, dua, zikar o azkar ya fair Nafil namaz sab kiye jasaktay hain .
mumkin ho to apne bhai ko apni maqbool duaon mein zaroor yaad karen .
Shab-e-Jazah, yaani Fawaid Ata Karne Ki Raat, jo ke Eid ke do raaton mein hoti hai, usse Chand Raat kehte hain.
Pyare Nabi (S.A.W.W) ne irshaad farmaya: Jo shakhs dono Eidon ke pehle raaton mein ibadat mein khara ho kar apne Rab se umeedwar ho, uske dil ki maut hojayegi jab dusre dilon ki maut hojayegi. (Ibn Majah)
Allah humare ibadat, duaon ko qubool kare aur hum sabko apni hifazat aur hidayat se nawaze hamesha. Chand Raat Mubarak ho
full member
Activity: 462
Merit: 227
April 21, 2023, 01:00:56 PM
hi there,

hope you all doing well. A very very happy chand Mubarak to all of my brothers here and Eid Mubarak in advance as well. May this Eid bring all us  a lot of happiness and pleasure And i wish that Allah Almighty bring the same day in our life again and again Ameen.
hero member
Activity: 1078
Merit: 566
April 21, 2023, 11:23:51 AM
Eid Mubarak to those who are celebrating Eid Today

Baqi sab ko advance main Eid Ki Khushian Mubarak. Allah sab k rozay qabol farmaey. Aameen



Mare taraf sa bhe tmam Pakistani thread members ko Eid ul Fitr ke kushian boht boht mubarak ho.
Hamesha ke tarah is baar bhe Pakistan ma 2 Eids hue hn. Peshawar valon ko as usual eik din pehla chand nazar a gya hy. In do Eids ka bhe apna he maza hy. Ma to bachpan sa he ya dekhta a rha hn.
Ap sub subah apni apni Eid enjoy krn.
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
April 21, 2023, 11:18:45 AM
Eid Mubarak to those who are celebrating Eid Today
Baqi sab ko advance main Eid Ki Khushian Mubarak. Allah sab k rozay qabol farmaey. Aameen
Kahir Mubarak shahzadafzal brother apko bhi EiD Mubarak ho aur poory community ko bhi Mubarak ho. Basically Peshawer ky different ilakoo ma AJ Eid taa , q basically yaha pa log government ki bajai Saudi Arabia ko fokeyat daity hai, Saudi ky announcement sy rooza rakhty haa aur usky announcement sy hi Eid manaty haa aur yaha Afghani bhi kafi haa aur jabky Afghanistan Mai Eid ta toh isliyaa unho ny bhi EiD manaya , but hamary ilaky ma logo ny government ka Sath diyaa but AJ chaand daikh kr maloom ho Raha haa AJ waqi Eid ta.



Ik aur important baat AP logo ky sath share Karne tee, theymos ny ramzaan ma new DT member ki list share ki Jin ma hamary irfan_pak10  bhi shamil kiyaa Gai haa but shock Tabb howa ky list ma name aany ky Baad bhi unhy DT nahi banaya gaya haa, inn list ma Timelord2067 MrCryptHodl aur bohout saary names haa jinko list ma add kiyaa haa but DT nahi banaya. May be yeh theymos sy mistake howa ya Kya masla hai? Koi Bata sakta hai Huh
full member
Activity: 826
Merit: 135
Tontogether | Save Smart & Win Big
April 21, 2023, 11:03:59 AM
Bulk Sender by Mr Irfan (Bounty Portal)

Jo bounty ya airdrop manager reh chuke hai unko pata hai k Bulk Sender tool kitna important hai. Hotha ye hai k jab ap Airdrop manager karte ho ya bounty tho number if participants 500 se ziada hothe hai aur aur kabe kabe tho 1k se bei barh jaate ha tho us waqt agar ap ek ek ko token send karoge tho time waste hoga aur sath sath failed k chances b ho sakte hai tho es ka asan hal hao Bulk sender tool jaha par ap hazari token ek sath send kar sakte ho.

Wese tho market mai saare bulks available hai magar fee ziada hai es liye mai recommend karonga hamare most trusted Pakistan member Irfan k apne bnayr huwe Bulk Sender App ko jaha bahot low fee mai ap ka kaam ho jaega

Bulk sender App: https://bulksender.bountyportals.com/

Announcement and Feedback: https://bitcointalksearch.org/topic/announcing-bountyportals-latest-tool-bulk-sender-for-erc20-bsc-and-matic-5443946

copper member
Activity: 1526
Merit: 2890
April 21, 2023, 07:56:44 AM
Eid Mubarak to those who are celebrating Eid Today

Baqi sab ko advance main Eid Ki Khushian Mubarak. Allah sab k rozay qabol farmaey. Aameen

full member
Activity: 308
Merit: 109
April 21, 2023, 07:43:33 AM
Bitcoin fails to hold $30k
Bitcoin kee qeemat $30K ke qareeb thi, lekin us ne ise barqarar nahi rakh saki, kya yeh ishara hai keh Bitcoin kee bearish market khatam ho gayi hai baki Technical indicators ke mutabiq aisa lag raha hai keh long term mein Bitcoin kee halat behtar ho rahi hai. Experts ne gold aur BTC ke prices ke darmiyan izafa hone ka bhi tawanai se taluq daryaft kiya hai khaas tor par US banking crisis ke baad. Ye ishara karta hai keh Bitcoin lambe arsay mein gold kee jaga ek different option ho sakta hai.
Bitcoin kee lambi aur chhoti terms ke holders kee kardar
Tawanai ke chart mein FTX liquidity crisis ke pehle ek accumulation phase nazar aata hai, jis mein lambe arsay ke holders ne invest kya, jo strong support kee tarah kaam karegi. Lekin liquidity crisis ke baad, chhoti muddat ke holders ne bhi apni investments barha dee hain, ummeed karte hue keh qeemat ooper jaegi aur Ethereum unko munafa dega.
Bitcoin qareebi support level ko chhoone ke baad, lekin yeh zaroori nahi keh dobara bearish phase shuru ho gaya hai kyunki lambe arsay ke holders ne Bitcoin kee qeemat mein behetar hone mein acha kirdar ada kiya hai. Overall performance ne 50% se zyada izafa kar ke surprise kar diya hai. Bitcoin ki Price $29K ke aas paas hai, jis mein short term mein tawanai nazar aarahi hai. $30K ke qareeb resistance tak pohnchne ke baad, Bitcoin kuch dino tak increases hu he gi Umeed han.


Wah wah wah. Shan85 bhai ki century mukamal ho gai or Mash Allah sy Full member rank par pohnch gye hen. Allah pak mazeed traqqyan ata farmaye. Or sath hi bhai ko signature campaign my hissa bhi mil gaya. Bohat bohat mubarak ho bhai.
Keep it up. Mash Allah hmari community kafi grow kar rahi hai. Allah mazeed traqqyan dy. Buss last month ki activity thori kam rahi. In sha Allah wo bhi theak ho jaye gi. I always try ky ek post lazmi karun apny Local thread Pakistan my agar baqi bhi iss ko yaqini bnaen to bohat achi stats aye gi.
Thank You Themepen Sir kahir Mubarak g Bs Allah pak k shukr han han Full member banay k bad ik signature compaign Open the Apply kr diya baki Allah pak sy duya ki the Accept hu gya Baki ap ki maddad sy he yha tak puncha hu A special Thanks To You. Allah pak apko khush rahy or Mri Tarf sy Advance Eid Mubarak baki inshallah community m acho informative post share kro ga.Again Thanks
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
April 21, 2023, 05:40:22 AM
 State Bank of Pakistan  14 April 2023 tak Pakistan ke foreign exchange reserves $9.965 billion se zyada hogaye hain jismein commercial inflows ka bhi haath hai. Haalanki Pakistan ke foreign exchange reserves pehle $27.228 billion tak pahunch chuke the lekin phir $17.263 billion gir gaye jis se April 7, 2023 tak reserves $9.564 billion ho gaye thay. Lekin April 14, tak SBP ki official reserves $395 million se $4.433 billion ho gayi. Sarkar $1.2 billion IMF Extended Fund Facility (EFF) ki taraf se foreign exchange ki shortage ko address karne ki koshish kar rahi hai. Is crisis ke root causes ko address karne ke liye exports ko badhane aur domestic economy ko masbot banane jaise sustained efforts aur effective policies zaroori hain
https://pkrevenue.com/pakistans-forex-reserves-rise-by-over-400-million-on-commercial-inflows/
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
April 21, 2023, 04:38:12 AM
Full Member Mubarakbad


Wah wah wah. Shan85 bhai ki century mukamal ho gai or Mash Allah sy Full member rank par pohnch gye hen. Allah pak mazeed traqqyan ata farmaye. Or sath hi bhai ko signature campaign my hissa bhi mil gaya. Bohat bohat mubarak ho bhai.
Keep it up. Mash Allah hmari community kafi grow kar rahi hai. Allah mazeed traqqyan dy. Buss last month ki activity thori kam rahi. In sha Allah wo bhi theak ho jaye gi. I always try ky ek post lazmi karun apny Local thread Pakistan my agar baqi bhi iss ko yaqini bnaen to bohat achi stats aye gi.
full member
Activity: 742
Merit: 201
April 21, 2023, 03:45:43 AM
Ya kise  فوجی چھاؤنی ke tasveer hy. Rank ka hisab sa sub apni apni gari Park krn.   فوجی چھاؤنی ma hr bar aisa he Eid aur baqi events hota hn. Chota rank ky log jaisa sepoy havaldar ko to boht door rekha jata hy. Pakistan fauj ma bnda officer ho aur General ho to aur zindagi sa kya chahya.

[
Image from WhatsApp
Jump to: