Author

Topic: Pakistan - page 486. (Read 6033109 times)

sr. member
Activity: 462
Merit: 328
April 27, 2023, 01:50:37 PM
Quote
ZAINmalik75
AP yaha mehnat kary yaha regular posting kary aur account grow kary aur Sath ma knowledge bhi gain kary Jo apky liyaa aany Waly waqt Mai faida mand hoga. Shan ko AP example ky toor par ly sakty haa.
Inshallah zain bahi Meri puri koshish Hoti hai me zayada Sy zayada Yahan update rahon or knowledge gain karon or AP sab bahi mery Leye example ho AP Sabi ke dowain or Sath chahiye inshallah


Crypto analyst Jason Pizzino Bitcoin ke maalikana crypto asset ke qeemat mein hone wali izafa par investors ko ahtiyaat se kaam lenay ki salahiyat ada kar rahe hain. Pizzino ke khayal mein Bitcoin naye urooj tak nahi pohanch sakta is kay bawajood ke iski qeemat April ki nisf mein 5% izafa kar chuki hai. Unki raay mein Bitcoin ko majbooti haasil karne ke liye $28,500 aur $29,337 ke darjat paar karna zaroori hai, taaki wo $30,000 aur $31,000 ko dobara todnay ki koshish kar sakti hai. Pizzino ko lagta hai ke is waqt ki tarz-e-waapsi sirf ek waqai tarz-e-bulandi hai jo ke ek aur neechay ki taraf le jane wali tarz-e-zawal se pehlay aati hai. Unka mashwara hai ke Bitcoin ki qeemat neechay jatay waqt $26,500, $25,300 aur $23,900 ke darjat bohot ahem hotay hain, jo ke kareeb $24,000 ke hain. Bitcoin hal hi mein $27,250 ke kareebi ek mah ke kamzori ke baad 5.7% izafa karke $28,804 par chal raha hai. Pizzino ke pass ek YouTube channel hai, jis mein unhon ne cryptocurrency trading ki tajziyati taqatwariyon ke baray mein apni raay aur idaray share kiye hain jis par 284,000 se ziyada subscribers hain.
https://crypto-economy.com/bitcoin-btc-reclaims-22k-as-crypto-market-cap-breaches-1t/




hero member
Activity: 812
Merit: 619
April 27, 2023, 01:01:13 PM

BRICS Currency Will Erode US Dollar's Dominance
Chand Saalo mai American doller apna value kho dega q k bahot se top countries jo k kuch wojoohat se USA se kuch dushmani rakhte hai wo dollers k bajae dosre currencies mai apna karobar start kar rahe hai jis se Doller ki demand mai kami aegee. Aaj 2 news samne se guzri ek tho subh ko dikha k Russia aur China apas mai karobar k leye ab doller k baje apni currency use karege aur dono mamalik aise hai k un ka kuch na kuch USA se ikhtilaf hai.

Dosri News jo sunni wo Urgentina ka China k sath tijarah. unho ne b ye tijarat doller k bajae Chinese currency Yuan mai karne ka faisla kia

Bitcoin Price jumps as First Republic Bank Shares Plunge

Btc price kaafi acha pump kar gia es news k bad aur 29k ko easily cross kia magar per thori se correction aa gai jis se 28k dobara aya. Muslasl ye 3sra bank hai ghaliban jo k fail ho raha hai. Es se logo kola bharosa bank se ot raha hai aur log crypto ki taraf aa rahe hai. As a asset tho Crypto se bar kar koi b acha aur profitable nahe lagta magar dimagh ka hona zarori hai.
full member
Activity: 308
Merit: 109
April 27, 2023, 11:09:49 AM
Bitcoin Price jumps as First Republic Bank Shares Plunge
Assalam o alikum kasy han ap sb dosto Bitcoin ki price First Republic Bank ke share girne ke baad increade hu gai jab United States mein naye banking crisis k khadshaat peda huwe han. First Republic Bank k shares April 25 ko 50% gir jane se iss ke baad Bitcoin (BTC) ki keemat 24 ghanton mein 3% barh gai. Australian crypto education platform Collective Shift k research head k mutabiq First Republic Bank k bankers iss qarzay mein government receivership ke andazey se umeed karte hain. Iss haalat mein creditors funds ki recovery k liye receivership ka tareeqa apnate hain.

Crypto analytics firm Santiment k data k mutabiq Bitcoin aur S&P 500 ke darmiyan correlation khatam ho rahi hai jab kh banking crisis mein Bitcoin ko safe haven maana jane ka tasavur phir se ubhar aya hai. March ki start mein First Republic ko problems ho gayi thein, jis se United States ke 11 bara banking institutions mein se J.P. Morgan aur Bank of America Corp. ne $30 billion deposit kare thay. March 26 ko Bloomberg ne riwayat ki k U.S. authorities bank ko emergency lending facility banane ki tafseelat par ghor kar rahay hain



BRICS currency ke baare mein sun ke lagta hai ki yeh ek bahut hi interesting aur innovative idea hai. Agar BRICS countries sirf ek hi currency ko international trade ke liye use karenge to unhe US Dollar ki dominance se nijaat mil sakti hai. Isse unki self exclusive bhi badh sakti hai.Lekin, iske saath hi kayi mushkilein bhi aayengi jaise ki ek supranational central bank ko manage karna aur national central bankers ke liye kaam ko complicated banana. Ye idea bilkul hi revolutionary hai aur iske implementation ke liye kayi challenges ko overcome karna hoga.
JunaidAzizi bhai Ye apki bat sae han BRICS kafi interesting aur innovative idea hai jis se BRICS countries ko US Dollar ki dominance se azaadi mil sakti hai aur unki self exclusive b increase hu sakti hai. Lekin iske saath hi kuch problems bhi hongi jaise ki ek supranational central bank ko manage karna.but agar ye idea successfully implement ho sakta hai to is sy boht sary benefits honge
sr. member
Activity: 658
Merit: 283
Hire Bitcointalk Camp. Manager @ r7promotions.com
April 27, 2023, 10:57:19 AM

BRICS Currency Will Erode US Dollar's Dominance
BRICS currency ke baare mein sun ke lagta hai ki yeh ek bahut hi interesting aur innovative idea hai. Agar BRICS countries sirf ek hi currency ko international trade ke liye use karenge to unhe US Dollar ki dominance se nijaat mil sakti hai. Isse unki self exclusive bhi badh sakti hai.Lekin, iske saath hi kayi mushkilein bhi aayengi jaise ki ek supranational central bank ko manage karna aur national central bankers ke liye kaam ko complicated banana. Ye idea bilkul hi revolutionary hai aur iske implementation ke liye kayi challenges ko overcome karna hoga.
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
April 27, 2023, 09:34:37 AM

BRICS Currency Will Erode US Dollar's Dominance
Asslamualaikum! Dosto kaya haal hen umeed hai ap sab kheryat sy hon gy.
Jesa ky BRICS ky bary my meri kafi posts mojud hen. Iss ky sath ap ko btata chalun USA ki cheekhen nikli hui hen. Or un ko darr bana huwa hai agar ye BRICS ki countries kamyab ho jati hen to in ka dollar bohat nichy ajaye ga. Jesa ky ap article my dekh sakty hen. USA ky White house ky former economist ny kaha hai ky BRICS ki currency USD ki dominance ko kam kar sakti hai. Kher dekhty hen kaya hota hai abhi to. Baqya ap iss article my parh sakty hen.


https://news.bitcoin.com/brics-currency-will-erode-us-dollars-dominance-former-white-house-economist-warns/
sr. member
Activity: 658
Merit: 283
Hire Bitcointalk Camp. Manager @ r7promotions.com
April 27, 2023, 09:04:21 AM
The First Bitcoin Transaction

2010 mein, software developer Laszlo Hanyecz ne BitcoinTalk forum par aik post kiya aur kaha ke agar koi us ko 2 Papa John's pizzacc la kar dy ga to wo 10,000 Bitcoins us bande ko dy ga. Uss waqt 10,000 Bitcoins ki qemaat 40 dollar ke barabar ti. Aik user jis ka naam "Jercos" tha, ne os par jawaab diya ar credit card sey 25 dollar ki qeemat par uss ko 2 Papa John's pizza bhej diya. Yeh pehla try ta jis mein Bitcoin ko asli duniya mein currency ke taur par istemaal kiya geya tha.

Saalon baad, Laszlo Hanyecz ne 2018 mein Anderson Cooper ki CBS ke 60 Minutes programme ke mukhtalif sawalon ka jawaab detay huay tasleem kiya ke wo hi shakhs tha jo Bitcoin pizza ki kharidari ki thi. Jab os se yeh poocha gaya ke kia unhey is baat ka afsos hai to unho ne kaha: "Pizza acha tha, iss liye mujhey is baat ka afsos nahin hai." Yeh kahani Bitcoin ke fann mein mash'hoor ho gayi hai aur har saal 22 May ko cryptocurrency community "Bitcoin Pizza Day" manatay hain.
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
April 27, 2023, 06:00:08 AM
Happy Birthday ZainMalik Bhai 🎂❤️
Thank you so much brother, apky kind words ka bohout bohout shukriya, ALLAH apko kush aur kamyaab rakhy. ALLAH aisy kubsoorat moment har Kisi ki zindagi maa Baar Baar laaya. Baki AP sabb ki duao ki ashad zaroorat hai 😍

Happy Birthday Dear Zainmalik75 Bohat Mubarak ho! 🎉🎂 ALLAH ke fazal aur rehmat aap par hamesha khush rahein. 22 birthday ki Treat kb dy rhay han ap.
Apko bohout bohout shukriya , mujy Mary zindagi ky Haseen moment wish karny par. Baki threat ka koi masla nahi but First apko birthday boy ky liyaa gift laana hota haa phir woh cake piece daitaa haa aur Sath ma party bhi, toh pahly gifts Baad ma party 😜😎

Mashallah. Allah Pak apko aise mazeed kea birthdays sehat ky saath atta krya.
Ameen summa Ammen bohout bohout shukriya brother. Baki MashALLAH AP ik long duration signature campaign ma select hogai haa apko bohout bohout Mubarak Badi, isee Tarah mehnat karty rahy aur Apna aur apny country ka me name roshn kary.😍

Very very very wish u happy birthday zain bahi Meri Duwa hai ye new saal AP ke Leye barpor khushiyan lay or AP khub taraqi karien
Thanks dude 😎 apka bhi bohout bohout shukriya, MashALLAH hamary thread ma new members Kafi agai haa Jin ma AP bhi shamil haa, AP yaha mehnat kary yaha regular posting kary aur account grow kary aur Sath ma knowledge bhi gain kary Jo apky liyaa aany Waly waqt Mai faida mand hoga. Shan ko AP example ky toor par ly sakty haa.

Sorry I am late. Ap ko ap kaa janam din bohat bohat mubarak ho. Allah ap ko khushyon wali nemton wali or dukhon sy Paak zindgi ataa farmaye. Allah ap ko hmesha khush rakhy.
And one merit as you birthday gift. Smiley
No woory brother, baki Janam din🤨 iss maa sy indian wali feeling aarahe haa 😜😂😂
Baki apka shukriya, aur ik merit pa kaam nahi chaly ga, apka ik bara da khubsoorat sa gift daina pary haa Tabb accept hoga gift 😂(kidding)

Happy Birthday dear Zainmalik bro, May you live long a healthy, wealthy and happy life with your loved ones. Khuda apki sb muradain pori frmy. Masha Allah, badhi kushi howi, ab birthday cake bi khila do bagair cake ky birthday kasy. hahah. ha gift ki baat cake ky baad.
Q nahi cake bhi Kila dyngy but jaisy baaz weeding hall Mai entry ky liyaa card dikhana hota haa isee Tarah gift dikhwao ik pyara sa usky Baad yeh sepcial beautiful cake piece apky liyaa 😜😂 baki thank you so much for your lovely kind words..😍
This is for you 😍
source

Is there any news about PIE network ?
Basically brother/Sister pi network scam aur geniuen ky darmyaan chal Raha haa kabhi laghta haa sacm haa toh kabhi laghta haa real ha woh isliyaa k bohout saary logo ki KYC pending Mai haa without any reason aur logo ko lagg Raha haa yeh just waste of time haa, jabky doosre taraf jinke KYC hogaie haa unhoo ny unofficially iss sell karky Kafi dollar earn kardiyaa, around 0.3$ per coin ky hissab sy.
Kuch waqt pahly ik coin ta pi ky name sy Jo exchange pa list bhi howa but woh real pi nahi taa , so be aware.
Baki agr AP mining karr rahy haa toh KYC ky liyaa apply karly , jab KYC approved hojai toh Issy mainnet pa transfer kary aur phir agr sell karna chahy toh kardy warna hold kardy 😎
hero member
Activity: 1078
Merit: 566
April 27, 2023, 02:10:25 AM
Bitcoin price can ‘easily’ hit $20K in next 4 months — Philip Swift


G brother, Kal bi Bitcoin mein bht achi move aai or Bitcoin ne 30K ka high banaya tha or es waqt bi 29K k pass trade ho raha ha. uski waja USA mein ek or Bank ka collapse hona tha jis se public ka fiat currencies pe bherosa weak hota ha or bry bry investors Bitcoin mein investment kerty han. Mujhy toh Bitcoin fundamentally or technically bht strong lug reha ha or ho sakta ha hum next month ( May-23) Bitcoin 40K ko surpass ker jai. INSHA ALLAH



https://www.investopedia.com/first-republic-teeters-7485632

Ap na sahi point out kea hy 2007-08 ka financial crisis ka baad ya sub sa bra crisis hy jo banking sector face kr rha hy. First Republic Bank ma 100 billion USD investors na withdraw kra lea hy. Bank ko 30 billion USD ka eik bail out package mila hy dosra Banks sa. Dekhna ya hy ky kb tk First Republic Bank ya pressure sustain krta hy. Silicon Valley Bank jo ka USA ka 16th bra Bank hy last month collapse kr gya tha. Ya collapse bhe 2007-08 ka baad sub sa bra collapse hy in Banking sector.
2023 ka start ma First Republic Bank ka share 140$ py tha jo ab 6$ py a gya hy


Image Source
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
April 26, 2023, 09:28:27 PM
Bitcoin price can ‘easily’ hit $20K in next 4 months — Philip Swift


G brother, Kal bi Bitcoin mein bht achi move aai or Bitcoin ne 30K ka high banaya tha or es waqt bi 29K k pass trade ho raha ha. uski waja USA mein ek or Bank ka collapse hona tha jis se public ka fiat currencies pe bherosa weak hota ha or bry bry investors Bitcoin mein investment kerty han. Mujhy toh Bitcoin fundamentally or technically bht strong lug reha ha or ho sakta ha hum next month ( May-23) Bitcoin 40K ko surpass ker jai. INSHA ALLAH



https://www.investopedia.com/first-republic-teeters-7485632
hero member
Activity: 1386
Merit: 513
Payment Gateway Allows Recurring Payments
April 26, 2023, 01:59:43 PM
                                                                                  RISK WARNING
First of all check your balance in trust wallet.And also check the activities in it.
Bro, AFAIK, yeh address poisoing attacks hain jiska matlb hai ky attacker same letters waly address sy apko kuch useless tokens send krain gy and then 1 out of 10 kya krty hain ky apny wallet address transaction detail sy uthaty hain like from explorers, or waha y wo sirf start and end letter dekhty hain jis sy kya hota hai ky, apko lgy ga ky yeh wallet to mera hi hai. or ap paisy end ya deposit kr wa lety ho,

I hope this thread will help you out--> What are Address Poisoning Scams?

Ap is thread ko read out krain or agr meri koi ghlti ho to please mujhy guide kriya ga ho skta hai mujhy smjny my ghlti lgi ho, As, ap kh rhy hain ky apny wallets trustwallet sy nikal lo or kafi dair sy mai yeh scen dekh rha hoon yeh like december sy kaam start hai. us ky baat icopress ki compaign my yeh discussion ho rhi thi trustwallet ko ly kr phr at the end mujhy yeh aforementioned thread sy pta chla ky address poisiong kya hoti hai.

So, i don't think ky apny trust wallets ko in hurry khali krna thik rhy ga because in hurry hi log mistakes krty hain or scam ka shikar ho jaty hain. baki maybe i could be wrong, please share you points too.
full member
Activity: 826
Merit: 135
Tontogether | Save Smart & Win Big
April 26, 2023, 01:53:18 PM
Trust Wallet browser extension ke dwara banaye gaye har wallet ke funds bina kisi user interaction ke chori ho sakte hain."


Yahi tho museebat hai en online works mai k security etni mazboot nahe aur chori karna bahot asan hai. Pc par tho ye Belkul bei secure nahe hai aur hackers apka tamam data dikh sakte aur chori kar sakte hai. mai tho Pc mai wallet belkul bei nahe dalta aur Sirf mobile hee use karta ho magar ab pata chala k Trustwallet mai hackers poori koshish kar rahe k kisi tarah malware token k through usko bei apni hacking ka nishana bnaya jae.
sr. member
Activity: 336
Merit: 292
Vave.com - Crypto Casino
April 26, 2023, 01:47:24 PM

 




                                                                                  RISK WARNING

First of all check your balance in trust wallet.And also check the activities in it.If this attack is happening on your wallet, transfer your funds from there immediately.Transfer to a new wallet or another wallet because if you don't do this, your balance will be zero very soon.Above I have shown you two wallet addresses because you can also be a victim of this.This has only recently started to happen.By the time people find out about it, these scammers will have done their job.The way to check this is by visiting tronscan.io.Here you will enter the address of USDT trc-20 because most of the scammers attack usdt trc-20.Here you will get all the details.The address I circled in red is the scammer's address.And the address in the green circle is the actual wallet address.A similar clone transaction is performed.Just check both of above addresses, we do this often to check the first few letters of the address and the last few letters.And almost all people check these three or four figures at the time of transaction.If you look carefully at the wallet address given above, you will see that the beginning and end figures of the scammer wallet address and the original wallet address are the same, but the middle figures of the scammer's wallet address are different.If this is also the case in your wallet, then understand that your wallet has been attacked.Please check your address again and again before the transaction and then complete the transaction.And check your wallet to make sure you don't have this problem.Please also inform your loved ones and friends about this so that they too do not become victims of scammers.
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
April 26, 2023, 11:33:35 AM
Trust Wallet browser extension ke dwara banaye gaye har wallet ke funds bina kisi user interaction ke chori ho sakte hain."

Trust Wallet ne 14 November 2022 ko apne browser extension ka release kiya tha  jiske zariye kai blockchains par maujood digital assets ko browser se seedhe access kiya ja sakta tha. Lekin Ledger Donjon ne extension me ek bhot bari vulnerability ka pata lagaya jiski wajah se kisi bhi wallet ke saare assets ko bina kisi user interaction ke chura liya ja sakta tha. Iska zimmedar seed generation jo Trust Wallet ki taraf se flawed thi thi. Seed generation me sirf 32 bits ki total entropy thi jo kisi bhi account ke private key ko compute karna aasan bana deti thi aur uske saare funds tak access karne me madad karti thi. Trust Wallet ne vulnerability ko theek karne ke liye kadam uthaye, lekin is vulnerability ke waja sy affect huye assets ki jaankari abhi tak available nahi hai. Aise vulnerabilities se bachne ke liye wallet banate waqt acchi entropy generation hona bahut zaroori hai.

https://blog.ledger.com/Funds-of-every-wallet-created-with-the-Trust-Wallet-browser-extension-could-have-been-stolen/


full member
Activity: 308
Merit: 109
April 26, 2023, 08:19:49 AM
Importance of Search Engines Optimization 8th Class Book topic SEO  
Assalam o alikum Wow 😮 Finally something good in our educational system its Govt 8th Class Book in Chakwal ke small se village ke students ny share ki han jasy ko SEO aur social media websites ke istemal ke bare mein pharya ja rha han. SEO ki ajj ki door ma boht importaance han Social media websites jaise Facebook Instagram, Twitter aur LinkedIn ki kya imp hoti hai SEO mein aur kaise hum in platforms ko istemal kar ke apne online presence ko behtar bana sakte hain.Ya trending skill hr village or he city k college or school m sikhi jani chyee tkh students seekh kr skills ko sale kr k online earning kr skty but ya mahnet sy he possible han or consistency sy baki Sacm app sy bach jaye jasy IDA and JavaEye or boht sari asy Ponzy scheme wli apps ny millions m passa loota loogo ka is lay ya skills seekhi boht zrori han


Social Media Optimizaton
Or Social Media Optimization (SMO) jo social media ke profiles aur content ko search engine mein zyada nazar ane wale banane par tawajjo deta hai. Students ko ya teach jayega ke kis tarah se social media ke profiles mein keywords istemal kar sakte hain, engaging content kaise banaya jaye, aur hashtags ko kis tarah se effectively use kar sakte hain.

Content Creation
Content creation aur sharing ke importance ko bhi highlight kiya jayega. Students ko skhina chyee kh engaging aur shareable content kaise banaya jaye jo unke target audience ko attract kare. Regular content sharing ki bhi zaroorat samjhayi jayegi aur yeh bhi bataya jayega ke kaise content sharing SEO aur online presence ko behtar kar sakte hain.

Social Media Advertising
Social media advertising ke bare mein bhi introduction diya jayega, jaise ke social media platforms par paid promotion. Talibe ilm se sikhaya jayega ke sponsored posts, boosted posts aur paid campaigns jaise alag alag qisam ke social media ads hote hain aur unko SEO efforts ko behtar banane mein kaise istemal kiya ja sakta hai.

Social Media Analytics
Social media analytics ke basic concept ko bhi cover kiya jayega, jaise ke social media campaigns ke performance ko kaise measure aur analyze karte hain. Talibe ilm se sikhaya jayega ke social media metrics ko kaise samjhain aur data-driven decisions ke zariye apne SEO strategies ko optimize kaise karain.

SEO Using Social Media
 Is 8th class ki book m studnets achi trah pharny k bad se social media websites ko SEO ke liye istemal kar ke unki online mojudgi ko behtar banaya ja sakta hai. Real-world case studies ke zariye sikhaya jayega ke kis tarah se social media platforms ko SEO ke liye kamyab tareeqon se istemal kiya ja sakta hai. Is chapter ke concepts aur techniques ko samajh kar, studnets ko aise qeemti skill hasil honge jo unhe aaj kal ke digital duniya mein social media ko SEO ke liye behtreen tareeqon se istemal karne mein madad mily ge khy kasy inko use kr k Online Earning or Freelancing ki jaye ge.

member
Activity: 83
Merit: 11
April 26, 2023, 08:19:23 AM
The Neom kya hai?
Mohammed bin Salman saudi prince ka yeh project jo Neom bhi kehlaya jata hai, dekha hai to insan ki aqal hairan ho jati hai. Yeh woh project hai jis par gore Dubai ko keh rahe hain Saudi Arabia tum logon ki tourism industry ko zinda nigalne ja raha hai. Iska total area 26,500 Km hai aur yeh 170km ek seedhi line mein ek shehr se doosre shehr ke darmiyan ek seedhi line mein banaya jana wala ek pura shehr hoga jo Arab ke sahraon se guzre ga. Is shehr mein koi road koi gaadi nahi hogi, uske andar jadeed tareen train chalayi jayegi jo ek kone se doosre kone tak kuch minute mein pohnchegi. Yeh shehr apni bijli khud paida kare ga aur is shehr mein 9 million logon ko abad kya jayega aur abadi ki barhti hui surat-e-haal mein ek line mein 170 km par ek pura androon shehr abad karna technology ki duniya mein wasail ke behtareen istemaal ka ek kamal shahkar hoga
hero member
Activity: 1078
Merit: 566
April 26, 2023, 07:55:34 AM
Pakistan ke history ma pahli bar aisa hua ky Hajj ka lea seats available rah gai hn aur log kaam hn. Ya Pakistan ke history ma pahli bar hua hy. Is ke sub sa bri wajha Hajj ka ikhrajat ma boht zayda izafa hy. Hajj ke price jo mera zehan ma a rhi hy wo Galiban 10 sa 13 lac ma hy (correct me if I am wrong). Dollar boht oper hy so obvious se baat hy ky Hajj ka rate to oper jya ga hy jya ga. Allah kra Dollar necha aya takya zayda sa zayda log Haj ke sadat hasil kr saqyn.


Image source. HUM NEWS Facebook page
full member
Activity: 280
Merit: 114
👉bit.ly/3QXp3oh | 🔥 Ultimate Launc
April 26, 2023, 06:42:12 AM
Surrogate Advertisement in Pakistan Super League (PSL)

Apki ek post ye wali mere zehen mai the. mai online kuch masail talash kar raha tha tho ittefaq se muje es masle par nazar paree tho socha yaha kisi ka faida ho jae .

Sawal:
Pakistan mein 1977 gambling act ke qanoon ke tehat sports betting mamnoo hai aur Allah pak aur is ke neechay rasool  ka farmaan bhi is hawalay se bohat wazeh hai, is ke bawajod Pakistan mein sport betting aur surrogate advertising ke zariye bohat ziyada farogh diya ja raha hai, aur is ke liye khaas tor par cricket ke khail ko Pakistan mein target kya ja raha hai, kyunkay yeh khail awam mein be had maqbool hai, aur is ke chand matches ko billion log tak dekhte rehtay hain. surrogate advertising se morad is qisam ki advertising hai jahan asal cheez ki tashheer ke bajae ( jo ke aam tor par mamnoo hoti hai kisi doosri cheez ki aarr le kar mashoori ki jae, khail ke shobay mein yeh companies aam tor par news, sports blog honay ka daawa karti hain. jab ke haqeeqat mein woh betting promote kar rahi hoti hain, kuch companies –apne naam mein mamooli si tabdeeli kar ke bhi promotion karti hain, jaisay ke bet ke bajae bat likh kar ya makahffaf likh kar  tareeqa naam ko tabdeel karne ka woh jo chahay ikhtiyar kar mein. yeh companies google mein apni betting ki site ko is tarteeb se rank ( rank ) karti hain, ke jaisay hi koi aam aadmi surrogate betting name online talaash kere woh usay asal betting websites hi pehlay dukhati hai. is se nah sirf hamari deeni masharti aur muashi qader mein zawaal Pazeer horahee hain, balkay nai nasal bhi taizi se gumraah horahee hai. Pakistan mein un companies ne pehlay kuch naamwar khiladion ko infiradi tor par apna brand ambassador bananay ki ko shash ki aur nakaam honay ke baad Pakistan ki qaumi aur sobai aur psl ki teamon ki janib mutwajjah hue, un mein se kuch companies ka un Pakistan ki cricket teamon ke sath moahida hai, jis ki aik shaqq yeh hai ke khilari khail ke douran apni shirt par un surrogate betting companies kalo go laganay ka paband hai, yahan yeh baat wazahat ke qabil hai ke is team sponsor ko chunte waqt khiladion se raye nahi li jati balkay team owners aur authorities khud faisla karti hain, yahan is baat par bhi zor dena zaroori hai, ke cricket football aur deegar khelon se wabasta bohat se khilari infiradi tor par apni teamon ke samnay aisay logo ( logo ) laganay se inkaar karte ae hain, jo un ki eqdaar se mil nahi khatay, bahar haal ab Pakistan mein maamla yeh hai ke un surrogate betting companies ka taqreeban chaar se paanch teamon se moahida ho chuka hai. aur woh chahtay hain, ke un ke liye khailnay walay khilari un surrogate betting companies ke logos ko apni tea shirt par lagayen.
aap se sawal yeh hai ke quran o hadees ki roshni mein : a. un teamon ka aisi surrogate betting companies ke sath moahida karna kaisa hai?  

jo teams aisay croro rupay ke muahiday kar chuki hon, to inhen ab kya karna chaiye? agar teams kisi bhi wajah se un muahidon se bahar nahi askati, to un ka –apne khiladion ko aisay companies ka logo ( logo laganay par majboor karna kaosa hai ?

 infiradi tor par khiladion ko is soorat e haal mein kya kar na chahiye? khaas tor par is waqt jab ke un ki teams mein chahti hon ke woh logo laga kar khelain ?

agar koi khilari hazraat nah jantay huwe is surrogate betting companies kalo go pehantay rahay, to un ke liye kya hukum hai?

neez yeh ke kya is baar bhi inhen logo laga lena chahiye? kyunkay moahida un ki teams
 kar chuki hain aur khiladion ke logo nah laganay ki soorat mein teamon aur malkaan ko karorron rupay ke nuqsaan ka andesha hai. quran vasant ki roshni mein rahnumai kare

Al-jawab:


wazeh ho ke jo aavr qimaar Shariat ki ro se najaaiz aur haraam hai, quran o hadees mein is ke mutaliq sakht qisam ki o eid mein warid hui hain, chunancha quran Majeed mein Allah Tabarak o taala ne is amal ko shaytani amal qarar diya hai, aur nabi kareem sale Allah alaihi wasallam se aik riwayat mubarikah manqool hai ke do jis shakhs ne juaa khela, goya ke is ne khanzeer ka gosht khalya' ' neez jis terhan juaa khelna najaaiz o haraam hai, isi terhan جوۓ “ ki tashheer o tarweej mein sarahta ya bil qasd وارادہ ضمنا hissa lena bhi gunaaho ke kaam mein muawnat ki wajah se quran Majeed ki Sarih نصوص ki ro se najaaiz aur mamnoo amal hai, is mukhtasir tamheed ke baad tamam sawalaat ke tarteeb waar jawabaat likhay jatay hain :

( 1, 2, 3 ) qaumi aur sobai teamon ke malkaan ( team owner ) aur authorities ke liye betting ki companiyon  ke sath aisa moahida kar na jis se logon mein un companiyon ki tashheer o tarweej maqsood ho, is mein agar chay qanooni girift se bachney ke liye un companiyon ke naamon mein kuch mamooli rdobdl ke zareya tabdeeli ki jaye aur un companiyon ki  advertising ke bajae is ke liye zimni tashheer ( surrogate betting ) ka rasta ikhtiyar kya jae, tab bhi chunkay bunyadi maqsad un companiyon ki tashheer o tarweej hoti hai, is liye aisa moahida kar na haraam umoor ki tashheer o tarweej mein muawnat ki wajah se sharean jaaiz nahi, aur nah hi haraam umoor ki tashheer o tarweej ke liye team malkaan ka –apne khiladion ko khail ke douran un companiyon betting ) companies kalogo ( logo ) laganay par majboor kar najaaiz hai.

( 4, 5 ) jo khilari la ilmi aur anjanay mein apni wardi par betting ki companiyon ka logo ( logo laga kar ghair danista tor par un companiyon ki tashheer o tarweej ka hissa banay hain, is ki wajah se umeed hai ke woh gunah gaar nah hon, lekin danista tor par, jaan boojh kar haraam umoor ki tashheer o tarweej mein hissa lena chunkay najaaiz amal hai, is liye qaumi aur sobai teamon ke malkaan ne agarchay zaati tor par betting ki companiyon  ke sath moahida kya ho, is mein khiladion ka koi amal dakhal nah ho, aur khiladion ke inkaar ki wajah se team malkaan ko maali tor par nuqsaan pounchanay ka andesha ho, tab bhi khiladion ke liye un companiyon ka logo ( logo istemaal karna aur najaaiz umoor ki tashheer aur tarveej ka hissa ban-na najaaiz aur haraam amal hai, lehaza en teamon ke tehat khailnay walay khiladion ko is amal ka hissa ban'nay se ijtinab ya aisi teamon ke tehat khailnay se moazrat karna kazim aur zaroori hai

Full details taken from Here
hero member
Activity: 1078
Merit: 566
April 26, 2023, 06:28:30 AM
Hmm ajkal trading ka kafi posts share ho rehe hain so i was wondering ka hamari community ma newbies bi trading ma interested I have a suggestion for those who don't een know the basics of the trading I have started some topics help me to keep them active. The series 1 is about to end for the topics now I will try to  start the technical analysis series of topics. Ye jo series ha iske 4 topics covered hain 5th in progress ha and 6th is going to be last oske baad technical analysis and Patterns pa main start karon series ko

Boht acha kaam kr rhya hn ap Hamza brother. Trading eik risky kaam hy aur behtr hy ky ap isko krna sa pehla behtr hy ka hum iske necessary information gather kr lyn.
Eik achi strategy jo ma samjhta hn hr kise ko pta hona chahya wo hy Dollar Cost Averaging (DCA). Is ma hum weekly ya monthly kuch fixed amount bitcoin ma invest krta hn. Agr ap bitcoin ka historical price chart dekhn to DCA eik saal ya do saal ma apko acha return deta hy.

DCA ka barya ma mazeed info ka lea is link ko check krn.  https://dcabtc.com/

DCA ka just eik downside hy aur wo ya ky ya time leta hy. Not instant profit.
legendary
Activity: 966
Merit: 1042
#SWGT CERTIK Audited
April 26, 2023, 05:58:13 AM
Hmm ajkal trading ka kafi posts share ho rehe hain so i was wondering ka hamari community ma newbies bi trading ma interested I have a suggestion for those who don't een know the basics of the trading I have started some topics help me to keep them active. The series 1 is about to end for the topics now I will try to  start the technical analysis series of topics. Ye jo series ha iske 4 topics covered hain 5th in progress ha and 6th is going to be last oske baad technical analysis and Patterns pa main start karon series ko ..

Topics Links and I need community out posters (Other sections Posters) to keep them active.



1. New to Trading - Tips and Suggestions (V1) Getting Started Full Guide
2. CEXs vs DEXs & Spot vs Future - Tips and Suggestions (V2)
3. Analysis & its Types - Importance of Analysis in Trading (V3)
4. Tips for Descriptive and Sentimental Analysis (V4)


hero member
Activity: 1078
Merit: 566
April 26, 2023, 03:20:40 AM
Bhai yehi to baat hai. Ham sab ko hi galat bnaa dety hen.
Or rahi bat honest person ki to jitna nuqsan ab ye honest person ap ky Mulk ko nuqsan pohncha raha hai shayad koi bhi nai pohncha raha. Hen to bass awaam ki ankhen band hen. Baqi ye Noon PPP PTI sab ky sab mily huwe hen. Or ab kaya ho raha hai  Muzakrat ( yani Seat Adjustment.) Par hamen kahan samaj aani hai. Hamen to ek hi honest person mila hai or whi sab sy zyada nuqsan pohncha raha hai.

Baqi wo bachon wala waqia qabil e muzammat hai. To galat unhin ko kahen naa ky sary idary ko.

Agr ap zara ghoor krn to PPP, PMLN, JUIF plus Army ya sub eik han. Agr kise cheez ka difference hy to wo Imran Khan ka hy. Wo kehat hn na ka agr goan ka sub choor eik ho jyn to smjhjyo ku thenadar emandar a gya hy. Baat sirf thora sa ghoor krna ke hy, agr ya Imran khan bhe inhe ke tarah ka hy to bhai itna bra itehad kyun? Asal Masla Army ko Imran khan sahy. One year guzar gya baat 2x Watches sa agya nhi barh pa rhi tmam tr koshish ka bavjood. Army ko corrupt politicans manzoor hn jo unka isharon py nachya. Ab ap ko ya to samjh a gai ho ge na ka Imran khan corrupt nhi?
Jump to: