Author

Topic: Pakistan - page 485. (Read 6032823 times)

hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
April 28, 2023, 11:49:44 AM
BRICS Currency Will Erode US Dollar's Dominance
Ye idea bilkul hi revolutionary hai aur iske implementation ke liye kayi challenges ko overcome karna hog

Brother, no doubt it is a good development to mitigate dominating role of US dollar in global financial system, but I don't think it is a revolutionary idea. All regional countries of European continent are already using Euro as single currency since more than a decade. Hamein yeh dekna chaye k es development ka Pakistan ko kia fiada ho ga mgr hamari hakumat toh apny internal issues mein itni bori trh uljhi hoi ha k usy foreign affairs ko dekhny ka time hee nhi ha. Yeh bht nalaik hakumat ha. Elections jitni jaldi ho jain utna hee mehter ha.
To iss ky sath hi aik or shandar news mili BRICS ki country Russia ki janib sy. Whatsapp ky aik group my mili hai.

Russia keh raha hai ky wo Europe ko ab kam tel faraham kary ga. Wo jo zyada tel Europe ko deta hai ab wo Asia my diya kary ga.

روس نے ایشیا کو تیل فراہم کرنے کے لیے یورپ کو خام تیل فروخت کرنے میں کمی کرنے کا فیصلہ کیا ہے ۔
روس یورپ کو 100 ملین ٹن خام تیل کی فراہمی بند کر کے یہ تیل ایشیا کو فراہم کرے گا ۔ روسی نائب وزیر اعظم کا بیان
Source: Whatsapp.
hero member
Activity: 2422
Merit: 875
April 28, 2023, 11:49:29 AM
Market $30,000 par BTC par short ho raha hai, aur takreeban $1 billion ki Open Interest ye batati hai ke bohat se log $30k resistance par short kar rahe hain. Lekin ye article koi investment advice ya recommendation nahi hai. Readers apni research khud karen kyon ke har investment aur trading move risk ke saath juda hota hai.


Agar on chain data yeh show kr raha hy k 30,000$ p bitcoin p bohat zada shorts open hein, tu ais ka mutlab hay k market pump keray gi for the time being aur ain saray shorters ko liquidaite kera gi. Hokasatka hay yeh pump 35-37$ tak jiey aur market mein bull market ka fomo aur hype aa jeiy...Asay mein saray log long opne kerian gay aur wahan c exchnages walay aur whales bitcoin ko dump kr dein gay takay long wala bhi liquidate hoon.

Becharay traders, long kerian tun b liquidat aur short kerian tab liquidate, ab yeh traders jein tu jaien kahan  Cheesy



cake Token price is continuously falling,If you look recently on the 16th, it was around $3.7.The latter is now trading at $2.7 after falling to $2.5.Almost twenty five percent has fallen in a month.They are also burning their coins and have burned about 23 million coins.If the price of a coin is falling even after burning the coin, what could be the reason for it.

My questions
1...What are the reasons for this token's price to drop so much
2...Will it bounce back from here or can it go further down from here?
3...What is the best dip buy level?
4...Can it be a good long term investment?
5...Should buy with stop loss here?

Cake coin is not a good investment. Yeh log scam kr rahien hien. Staking rewards bhi kam ker diay from 200% to 46%.
Ab coins unlock Huey hein and people sell kr rahay hein.

More information ky liey:-
https://twitter.com/Mohsin_71/status/1650825756929585152?t=zcJL1biLRUzNw2Uv6TQTPw&s=19


sr. member
Activity: 336
Merit: 292
Vave.com - Crypto Casino
April 28, 2023, 11:46:40 AM






cake Token price is continuously falling,If you look recently on the 16th, it was around $3.7.The latter is now trading at $2.7 after falling to $2.5.Almost twenty five percent has fallen in a month.They are also burning their coins and have burned about 23 million coins.If the price of a coin is falling even after burning the coin, what could be the reason for it.

My questions
1...What are the reasons for this token's price to drop so much
2...Will it bounce back from here or can it go further down from here?
3...What is the best dip buy level?
4...Can it be a good long term investment?
5...Should buy with stop loss here?











sr. member
Activity: 658
Merit: 283
Hire Bitcointalk Camp. Manager @ r7promotions.com
April 28, 2023, 08:53:09 AM
Teaching License in Europe
Europe ke aksar countries mein pistol ka license lena aasan hai lekin teaching ka license lena intehai mushkil kaam hai. Unka kehna hai ke is silah se koi aadmi sirf utne log maar sakta hai jitni goliyan uski pistol mein hain lekin ek na-ahil teacher utne log maar sakta hai jinki ginti karna bhi mumkin nahin. Hamare haan jis ko kehne job nahin milti woh teacher ban jata hai. Yaad rakhein ek na-ahil teacher bandook se zyada khatarnak hota ha


Ap ki bat tek ha ke yahn pe system tek nahe ha , Yahn per har koye teacher ban sakta hai aur har koi Pistol ka License be bna sakta ha per agr ma ap ki bat ko kat du aur ap ke knowledge mai ezafa kardun tu yaqeenn ap ko bura nahe lage ga .
Europe ma weapon ka aur teacher ka license  take karna assan nahe ha .ma ap ko Europe ma linces layne ka requirements btata hun jo muje lagta ha kafi hadtak tek hoga

Weapon License:

>Hifazati weapons rakhnay ki munasib waja (jaisay shikar, khail shart, waghera) dikhanay ki zaroorat.
>Pichlay record ki tehkiq, jis mein criminal record aur zehni sehat ka tajziya shaamil ha.
>Hifazati weapons istemaal kiarne ki training seekhna.
>Country ke eligibility criteria ka mutabiq pura karna

Teaching License:

>Taleem ya wo subject jis mein parhai di jae us mein university degree haasil karna
>Teacher education program ya teaching certification program pura karna
>Certification exams pass karna
>Parhaane ka tajurba hona (kuchh countries mein zaroori hai)
>language bolne ma expert hona (kuchh countries mein zaroori hai)

NOTE: Europe ke har country may license layne ka requirements mukhtalif hay ye upar ma ne jo requirements btaye hai ye rough estimate hai.
full member
Activity: 742
Merit: 201
April 28, 2023, 08:48:54 AM

Mashallah. Allah Pak apko aise mazeed kea birthdays sehat ky saath atta krya.
Ameen summa Ammen bohout bohout shukriya brother. Baki MashALLAH AP ik long duration signature campaign ma select hogai haa apko bohout bohout Mubarak Badi, isee Tarah mehnat karty rahy aur Apna aur apny country ka me name roshn kary.😍

Boht shukria ap ka Zain bhai. Pakistan ka naam next level py ly kr jyn gy bitcointalk.org py hum sub mil kr Inshallah. Bitcointalk.org ka baad crypto ka world ma bhe tahlka machna hy.


India reveals its first AI news anchor.

India would be doing research in every field and we'll do our medical Moajzas by "shovvveeee" "shovvveeee"...

Kaka brother mera khayal ma ab hmara India sa comparison bnta nhi. Theak hy 90s tk hum kuch na kuch India ka moqabla ma thy. Pr 21st century ma India na boht tazi sa tarai ke hy aur ab wo eik boht bre taqat bun chuka hy. Ya mulk to na jana kis simat ja rha hy. 4 sa 5 bllion $ ka foreign currency resrves rah gya hn.
member
Activity: 277
Merit: 21
April 28, 2023, 07:06:18 AM
India reveals its first AI news anchor.
Source: https://www.samaaenglish.tv/news/40031212

And here our DONs don't even understand social media. Kia banay ga hum logon ka. aaj sai around 10 years baad, India is going to become a monster in IT industry and Artificial intelligence, we on the other hand will be banning Twittier, fb, youtube and our Mullahs will be charging the people by touching hands..
India would be doing research in every field and we'll do our medical Moajzas by "shovvveeee" "shovvveeee"...

The one who cares are not in power and the ones in power don't see anything other then buying plots and islands
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
April 28, 2023, 06:55:27 AM
Kya agle dino me Bitcoin sell-off hoga? Binance ke BTC balance mein ek mahine mein $1.5 billion ka izafa hua hai.
DecenTrader ki data batati hai ke $35,000 BTC ke leveraged short positions ko liquidate karne ke liye ek ahem zone hai jabke long/short ratio mein shorts longs se zyada hain. Binance ke BTC balance mein ek mahine mein 50,000 BTC se zyada izafa hua hai jis se dusre bade exchanges se mukhaalifat hai. BTC/USD local lows se recover kar ke $29,500 ke qareeb trade kar raha hai lekin $30,000 par bets lagana mushkil hai kyon ke support jamaa hota ja raha hai. Market $30,000 par BTC par short ho raha hai, aur takreeban $1 billion ki Open Interest ye batati hai ke bohat se log $30k resistance par short kar rahe hain. Lekin ye article koi investment advice ya recommendation nahi hai. Readers apni research khud karen kyon ke har investment aur trading move risk ke saath juda hota hai.

https://cointelegraph.com/news/bitcoin-sell-off-next-binance-btc-balance-shoots-up-1-5b-in-1-month



member
Activity: 83
Merit: 11
April 28, 2023, 04:54:36 AM
Teaching License in Europe
Europe ke aksar countries mein pistol ka license lena aasan hai lekin teaching ka license lena intehai mushkil kaam hai. Unka kehna hai ke is silah se koi aadmi sirf utne log maar sakta hai jitni goliyan uski pistol mein hain lekin ek na-ahil teacher utne log maar sakta hai jinki ginti karna bhi mumkin nahin. Hamare haan jis ko kehne job nahin milti woh teacher ban jata hai. Yaad rakhein ek na-ahil teacher bandook se zyada khatarnak hota ha
hero member
Activity: 2422
Merit: 875
April 28, 2023, 04:49:39 AM
Ye aj ek dost ne share kia tha hamare Whatsapp group mai. agar koi china trip ka khwahish mand hai tho wo ab Pakistan se china ja sakta hai. ek tataf ticket 25k jab k return ticket 50k hai. mai ne dost se poocha k kitne din teher sakta hai tho us ne kaha k return mai maximum 30 din jab k dosre mai koi limit nahe hai. baqi maloomat tho yaha maujud hai magar kisi ko es se ziada maloomat ho tho share kare tha k aur dosto ko faida ho.

Chalein phir hum sab china chaltay hein aur wahan p party kertay hien  Smiley
By the way, Yeh tu train ka saffar hay from Paksitan to China yeh kitnay din ka y ? I mean k kitnay din mein hum Pakistan c China pooch jien gay ?


Passport bnana tho zarori hoga i think?

Han g, Passport ky begair app International travel ni ker saktay, jo agar app ny Passpost ni bunya tu ajj hi Passport buna lein.

es k elawa ek aur big news dikhne ko milli k China ne 58 billion kharch kiye Railway lines par tha k Pakistan aur china apas ma connect ho aur es se Europi tejrath ka jo booj ha wo kam par jae.

Hum c zada tu China ko humari fikar hy. Chinese ko chayee k yeh sara roject apnay hath mein rakhien werna pata ni PDM ais project c kitnay paisay khayee gi aur apna dollat mein izfa keray gi  Huh
sr. member
Activity: 658
Merit: 283
Hire Bitcointalk Camp. Manager @ r7promotions.com
April 28, 2023, 03:57:48 AM
From Political Instability to Stability: Building a Better Future for Our Nation

PART 2ND
Political instability kisi bhi mulk ke liye boht bura hai aur iski wajah se mulk ke andar economic, social aur political system par boht bura asar hota hai (jaise ke mai ne pehle post ma ap ko bataya hain). Isliye, zaruri hai ke hum political instability ko avoid karne ke liye mukhtalif qadam uthayen. Yahan kuch tareeqe bataye hain may ne jin se hum political instability ko rok ya khatam kar sakte hain.

>Strong Democratic System: Ek mulk ke liye strong democratic system ki zarurat hoti hai. Jab democratic system majood hota hai to isse logon ke rights ko protect kiya ja sakta hai aur mulk ke andar stability bhi aati hai.

>Fair Elections: Ek mulk ke liye fair aur transparent elections boht zaruri hote hain. Isse mulk ke andar political instability kam ho sakta hai aur logon ko political system par trust ho sakta hai.

>Strong Judicial System: Ek mulk ke liye strong judicial system ki zarurat hoti hai. Isse corruption aur nepotism ko khatam kiya ja sakta hai aur mulk ke andar stability bhi aati hai.

>Education: Education boht zaruri hai ek mulk ke liye. Isse mulk ke andar awareness aur informed citizens ban sakte hain jo mulk ke andar stability ke liye zaruri hote hain.

>Economic Stability: Economic stability bhi ek mulk ke andar political stability ke liye boht zaruri hai. Isse mulk ke andar job opportunities barhte hain aur investors aur foreign companies ko mulk ke andar confidence milta hai.

>Media Freedom: Media freedom boht zaruri hai ek mulk ke andar. Isse logon ko informed rakhne ke sath sath corruption aur nepotism ko expose bhi kia ja sakta hai aur mulk ke andar transparency aur stability bhi aati hai.

>Political Dialogue: Political dialogue mulk ke andar stability ke liye zaruri hai. Isse political parties ke darmiyan understanding aur mutual respect ban sakte hain aur mulk ke andar stability bhi aati hai.

In sab qadam ke elawa, mulk ke andar stability ke liye boht zaruri hai ke hum apne political leaders ko accountable rakhen aur apni rights ko protect karen. Agar hum chahte hain ke mulk ke andar democracy, human rights aur economic growth barhne ke sath sath investors aur companies ko country pr trust ho to isliye zaruri hai ke hum mulk ke andar political stability ko maintain karen.




full member
Activity: 308
Merit: 109
April 28, 2023, 03:22:12 AM

Ma latest news parh rha tha wo ya ky Argentina ab China sa import ke gye items ke payment ab US dollar ky bajya Chinese Yuan ma kra ga. Argentina na ya move is lea ke hy takya uska US dollars ka reserves ma kami na aya. China ko ya fayda ho ga ky uski Currency ab globally chal rhe hy.
Thori Market ke update ly leta hn. Bitcoin is week 30k sa 27k py gya hy aur ab phr sa 30k ke taraf ravan davan hy. Latest dip acha chance tha buy krna ka lea. The first Republic bank ka share jis Tarah gira hy us sa bhe bitcoin ko thora sa boost mila hy. Dekhna ya hy ky bitcoin 30k ke resistance ko break kr pata hy ya nhi.


Image source: coinmarketcap.com

Bilkul Right WatChe bro Argentina ka ye faisla China ke Yuan mein payment karne ka, dono mulkon ke liye faida-mand hai. Argentina ko US dollar ke reserve mein kami nahi hogi aur China ke liye bhi unki currency ke globally use honay ka benfits hoga. Bitcoin ke recent dip mein buy karna acha decision tha aur dekhna ye hai ke 30k ka resistance level break hotay hue hum bitcoin ko aur higher levels tak jaanay mein dekh sakty hain after first republic Bank k shares ghirny k bad bitcoin ki up hvi han Baki Umeed ki ja rhai han ya 40k tk jaye ge or Year k end tk 100k b ja sakti han.


Political Instability: A Threat to Democracy, Human Rights, and Economic Growth
Assalam-o-Alaikum,
PART 1ST
Aaj kal duniya ke boht se mulkon mai especiallly Pakistan ma political instability ki waja se boht se masayl samne arahe hain. Isi tarah, agar kisi mulk mai political instability hoti hai to iska asar us mulk ke economic, social aur political system par boht gehra asar hota hai. Is post mai hum baat karenge ke agar kisi mulk mai political instability hoti hai to iske nuksanat kya ho sakte hain.
Wa alaikum assalam, Bikul Right Political instability ke asar pakistan ki progress aur taraki par boht bura asar dal rhan ha. Abi Pakistan m political  instability sy mulk ki economy law and order, aur governance system par gehray asar daly han Jasy 1 saal m he hr cheez ki qameet double hu ge dollat ko price 290 tk pounch ge haan. Baki is sy Investors aur companies ko mulk par trust na hona ye problems barhate hain aur corruption aur financial crisis ki wajah ban sakte hain. Isliye hum sab ko institutions ko mulk ke stability ko maintain karna zaruri hai taake democracy human rights aur economic growth ko bahtreey ay sake. baki Allah pak he hummy mulak hillat pr Rahem kry
sr. member
Activity: 658
Merit: 283
Hire Bitcointalk Camp. Manager @ r7promotions.com
April 28, 2023, 01:02:50 AM
Political Instability: A Threat to Democracy, Human Rights, and Economic Growth



Assalam-o-Alaikum,

PART 1ST
Aaj kal duniya ke boht se mulkon mai especiallly Pakistan ma political instability ki waja se boht se masayl samne arahe hain. Isi tarah, agar kisi mulk mai political instability hoti hai to iska asar us mulk ke economic, social aur political system par boht gehra asar hota hai. Is post mai hum baat karenge ke agar kisi mulk mai political instability hoti hai to iske nuksanat kya ho sakte hain.

>Sabse pehle, political instability ke wajah se kisi mulk ke andar investors aur foreign companies ko confidence loss ho sakta hai. Jab investors aur companies ko mulk par trust na ho to wo investment karna ya business shuru karne se inkaar kar sakte hain. Isse mulk ki economy par boht bura asar par sakta hai aur jobs aur economic growth par bhi asar hota hai.

>Political instability ke sath sath law and order mai bhi masail ho sakte hain. Jab law and order mai masail hote hain to ye mulk ke citizens ke liye boht bura hota hai. Unki security par asar andaz hota hai aur wo apne daily routine ke sath sath business aur education par bhi asar hota hai.

>Political instability ke wajah se kisi mulk ke andar corruption aur nepotism ki aamad o raft ka dar bhi hota hai. Jab kisi mulk ke political system mai instability hoti hai to ye aisi problems ko barhawa dene ke liye mukhtalif moqe paida kar deti hai. Ye masail phir se investors aur foreign companies ko discourage kar sakte hain aur unki trust ko nazar andaz karne ke wajah ban sakte hain.

>Political instability ke wajah se mulk ke andar financial crisis bhi ho sakte hain. Jab kisi mulk ke andar political instability hoti hai to iska asar mulk ki economy par bhi hota hai. Isse mulk ke andar inflation ki waja se bhi masail ho sakte hain aur agar ye inflation zyada barh jaye to ye boht bura asar mulk ki economy par par sakta hai.

>In sab masail ke elawa political instability ke wajah se mulk ke andar democracy aur human rights ki aamad o raft par bhi asar hota hai. Isliye, political instability ko avoid karna boht zaruri hai.

>Is post mai humne dekha ke political instability ke wajah se kisi mulk ke andar boht se masail samne arahe hain. Agar hum chahte hain ke mulk mai democracy, human rights aur economic growth barhne ke sath sath investors aur companies ko mulk ke pr trust ho to isliye zaruri hai ke hum mulk ke andar political stability ko maintain karen.
To be continued..............
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
April 28, 2023, 12:50:42 AM
BRICS Currency Will Erode US Dollar's Dominance
Ye idea bilkul hi revolutionary hai aur iske implementation ke liye kayi challenges ko overcome karna hog

Brother, no doubt it is a good development to mitigate dominating role of US dollar in global financial system, but I don't think it is a revolutionary idea. All regional countries of European continent are already using Euro as single currency since more than a decade. Hamein yeh dekna chaye k es development ka Pakistan ko kia fiada ho ga mgr hamari hakumat toh apny internal issues mein itni bori trh uljhi hoi ha k usy foreign affairs ko dekhny ka time hee nhi ha. Yeh bht nalaik hakumat ha. Elections jitni jaldi ho jain utna hee mehter ha.
hero member
Activity: 1078
Merit: 566
April 28, 2023, 12:48:48 AM

BRICS Currency Will Erode US Dollar's Dominance

Ma latest news parh rha tha wo ya ky Argentina ab China sa import ke gye items ke payment ab US dollar ky bajya Chinese Yuan ma kra ga. Argentina na ya move is lea ke hy takya uska US dollars ka reserves ma kami na aya. China ko ya fayda ho ga ky uski Currency ab globally chal rhe hy.

Thori Market ke update ly leta hn. Bitcoin is week 30k sa 27k py gya hy aur ab phr sa 30k ke taraf ravan davan hy. Latest dip acha chance tha buy krna ka lea. The first Republic bank ka share jis Tarah gira hy us sa bhe bitcoin ko thora sa boost mila hy. Dekhna ya hy ky bitcoin 30k ke resistance ko break kr pata hy ya nhi.


Image source: coinmarketcap.com
hero member
Activity: 2506
Merit: 645
Eloncoin.org - Mars, here we come!
April 28, 2023, 12:01:21 AM


Ye aj ek dost ne share kia tha hamare Whatsapp group mai. agar koi china trip ka khwahish mand hai tho wo ab Pakistan se china ja sakta hai. ek tataf ticket 25k jab k return ticket 50k hai. mai ne dost se poocha k kitne din teher sakta hai tho us ne kaha k return mai maximum 30 din jab k dosre mai koi limit nahe hai. baqi maloomat tho yaha maujud hai magar kisi ko es se ziada maloomat ho tho share kare tha k aur dosto ko faida ho. Passport bnana tho zarori hoga i think?

es k elawa ek aur big news dikhne ko milli k China ne 58 billion kharch kiye Railway lines par tha k Pakistan aur china apas ma connect ho aur es se Europi tejrath ka jo booj ha wo kam par jae.
hero member
Activity: 812
Merit: 619
April 27, 2023, 11:35:11 PM
Afghanistan par aalmi bank ki taaza tareen report - 25 April 2023

Afghani currency ki qader mein baqi krnsyon ke muqablay mein izafah sun-hwa hai :

Us dollar ke muqablay mein 5.4 feesad izafah huwa hai jabke hindustani rupay ke muqablay mein 0. 7 feesad izafah aur euro ke muqablay mein 4.3 feesad izafah aur hamare mulke Azeez world top class Currency Pakistani rupay ke muqablay mein 10.7 feesad izafah .

Bhai Pakistani paisa chand big haatho mai phansa huwa hai jin k khazane roz ba roz bsr rahe hai jab k ghareeb bechare ki maashi zindagi tang ho rahe hai. En mai Hamare Fauji high rank level, Banks owners Siasat dan aur kuch dosre hai. Unko koi farq nahe parta k Hamari currency kitne he devalue ho jae q k unko sab kuch free milta hai.

Afghanistan jis k pas na apna atom bomb hai aur na aise bare bandar gah hai k bahir mulk wale un se tijarat asani se kar sake aur oper se kai saal se musalsal jango mai zindagi guzari jis se maashi taur par barbad hona lazmi amal hai. hamari jadeed taleem jo k taleem se ziada angrez culture ko follow karna hai wo b waha nahe hai nagar per b un ki currency oper ja rahe hai aur awam ko saholiat de ja rahe hai.
full member
Activity: 826
Merit: 135
Tontogether | Save Smart & Win Big
April 27, 2023, 10:42:57 PM
Afghanistan par aalmi bank ki taaza tareen report - 25 April 2023

Afghani currency ki qader mein baqi krnsyon ke muqablay mein izafah sun-hwa hai :

Us dollar ke muqablay mein 5.4 feesad izafah huwa hai jabke hindustani rupay ke muqablay mein 0. 7 feesad izafah aur euro ke muqablay mein 4.3 feesad izafah aur hamare mulke Azeez world top class Currency Pakistani rupay ke muqablay mein 10.7 feesad izafah .

is ka matlab yeh hai ke Pakistan mein yeh afwahen jhooti hain ke afghani currency is liye Pakistani currency se qader mein oopar hai kyunkay Pakistan se dollar black mein Afghanistan ja raha hai kyunkay agar aisa hota to deegar currencies ke muqablay mein afghani ki karkardagi behtar nah hoti .

copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
April 27, 2023, 07:37:10 PM
Btc price kaafi acha pump kar gia es news k bad aur 29k ko easily cross kia magar per thori se correction aa gai jis se 28k dobara aya. Muslasl ye 3sra bank hai ghaliban jo k fail ho raha hai. Es se logo kola bharosa bank se ot raha hai aur log crypto ki taraf aa rahe hai. As a asset tho Crypto se bar kar koi b acha aur profitable nahe lagta magar dimagh ka hona zarori hai.

G brother, Bitcoin ab $29K se oper consolidate ho raha ha or next major Resistance $31,500 pe ha jis ko break kerna zaruri ha 33K tak ponchnay k liye. Abi market ka outlook kafi volatile lugta ha ku k Mt.Gox k 1 lakh Bitcoin market mein aana shoro ho gai han jis se price aany waly dino mein kafi fluctuate ho sakta ha mgr market sentimnet positive ha or lugta k market es selling pressure ko abosrb ker lay gi or Bitcoin apna upwards journey continue kere ga. Insha Allah.

https://cointelegraph.com/news/us-gdp-misses-goal-as-bitcoin-price-seeks-to-erase-ultra-nasty-7-dip
member
Activity: 277
Merit: 21
April 27, 2023, 02:02:26 PM
Just got to this new blockchain venom.network
It is having its own wallet, extension and is a complete blockchain but in a very early stage. So testing it might give good rewards in the future so please try it out. And also DYOR. Thanks.
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
April 27, 2023, 01:50:37 PM
Quote
ZAINmalik75
AP yaha mehnat kary yaha regular posting kary aur account grow kary aur Sath ma knowledge bhi gain kary Jo apky liyaa aany Waly waqt Mai faida mand hoga. Shan ko AP example ky toor par ly sakty haa.
Inshallah zain bahi Meri puri koshish Hoti hai me zayada Sy zayada Yahan update rahon or knowledge gain karon or AP sab bahi mery Leye example ho AP Sabi ke dowain or Sath chahiye inshallah


Crypto analyst Jason Pizzino Bitcoin ke maalikana crypto asset ke qeemat mein hone wali izafa par investors ko ahtiyaat se kaam lenay ki salahiyat ada kar rahe hain. Pizzino ke khayal mein Bitcoin naye urooj tak nahi pohanch sakta is kay bawajood ke iski qeemat April ki nisf mein 5% izafa kar chuki hai. Unki raay mein Bitcoin ko majbooti haasil karne ke liye $28,500 aur $29,337 ke darjat paar karna zaroori hai, taaki wo $30,000 aur $31,000 ko dobara todnay ki koshish kar sakti hai. Pizzino ko lagta hai ke is waqt ki tarz-e-waapsi sirf ek waqai tarz-e-bulandi hai jo ke ek aur neechay ki taraf le jane wali tarz-e-zawal se pehlay aati hai. Unka mashwara hai ke Bitcoin ki qeemat neechay jatay waqt $26,500, $25,300 aur $23,900 ke darjat bohot ahem hotay hain, jo ke kareeb $24,000 ke hain. Bitcoin hal hi mein $27,250 ke kareebi ek mah ke kamzori ke baad 5.7% izafa karke $28,804 par chal raha hai. Pizzino ke pass ek YouTube channel hai, jis mein unhon ne cryptocurrency trading ki tajziyati taqatwariyon ke baray mein apni raay aur idaray share kiye hain jis par 284,000 se ziyada subscribers hain.
https://crypto-economy.com/bitcoin-btc-reclaims-22k-as-crypto-market-cap-breaches-1t/




Jump to: