Pages:
Author

Topic: Pakistan - page 5. (Read 6488716 times)

sr. member
Activity: 462
Merit: 328
December 17, 2024, 11:38:00 AM
Shbi kese hain,  aj 16 Dec tha  jis ham  black day kahty   hain  2014 mein Peshawar ke Army Public School par hamla huwa jis waja sy bachon ko School sy chotti b Di jati hai pr is bar asa nhi huwa school band nhi howay ye  dardnaak waqiya tha jis ne har dil ko ghamzada kar diya aur puri qaum ko yakja kiya.  

Ye din humein yaad dilata hai ke hum apni ghaltiyon se sabaq seekhein qaumi ittehad ko farogh dein  apne bachon ko mehfooz mustaqbil dene ke liye kaam karein. In qurbanion ko khiraje tehseen pesh karne ka behtareen tareeqa ye hai ke hum ilm aman aur taraqqi ke raste par chalein.
bhai chhutti kya karni thi aapko ek baat batata chalun sani d chauk Karne wale aur aur 16 December ko hamare bacchon ko katla karne wale ek hi log the yah vahi log the jinhen hamen yazkeen ke liye Ham per goli Nahin Chala sakte aur unhone dchock mein goli chalai aur masoom logon ko qateel Kiya hamen afsos hota hai bachpan mein Ham Jin logon per apni jaan manne ko taiyar the vahi hamare upar Gori yaar goli chalayenge ab samajh Gaye honge main Jin logon ki baat kar raha hun
Ap ny is waqie ko yaad rakha par ham ye bolgien hain k 16 December me 2 tarikh waqie hain.
Agar ap  history read karo Ye  din humein 1971 ke us sanihay ki yaad dilata hai jab Mashriqi Pakistan alag ho kar Bangladesh bana. Ye waqiya sirf aik tabdeeli nahi thi balki qaumi wahdat siyasi qiyadat aur ham ahangi ki kami ka nateeja tha ye b  wo  din tha jab  poori qaum ko gehray sadme aur soch mein mubtala kar diya. Har saal 16 December me ham peshawar wala waqie ko yaad karty hain par is ko nhi  humein ye sabaq deta hai ke hum apni taqat ko tafreeq ke bajaye wahdat mein talash Karen jis ka qum ko koi Bala b ho . Ye din  hum ye nasihat karta hai k  apni ghaltiyon se seekhein aur apne mulk ko mazeed muttahid aur mazboot banayen. Wo sanihah aj bhi humare liye aik paigham aur peshawar me howa waqeya hamray leye gamgien hai jis din ko yaad kar k ham apnie bachon ka hun sala barhaien.
sr. member
Activity: 560
Merit: 365
Pakistan Local Board Request
December 17, 2024, 11:37:35 AM
Assalamu alaikum mere Tamam bhaio umeed karta ho sab khariyat sy ho gay!

Jessa ky hum sab KO pata h KY November month end ho chuka h or December almost half guzar chuka h to Kuch din bad new year 2025 start ho jay GA or month KY agaaz my he meme post summary November month ki community my share kar di Thi or ABI merit ki full detail summary rehti h wo B insha'Allah Kuch din tak ap sab ky sath zaror share Kar do GA ab hum dekh letay h Rikafiq sir ki full detail summary Jo sab local board ki activity shamil h jismy hamara Pakistan B shamil h inho NY Kuch din pehly he forum my summary share ki thi meme socha chalo iska B review Kar laitay h or comparison Kar lety previous month ky sath ismy hum Post, Active users or merit Share KO compare karty h.

Let's start party:

Posts: increase 282 to 415
Merit Share: decrease 204 to 176
Active Users: increase 27 to 36

You can view full details of summary from this link

Thanks to @DdmrDdmr Merit Dashboard and @TryNinja Ninjastic.space for creating useful tools.

Post activity per local board during November 2024

Active members per local board during November 2024

Local board members per amount of posts during November 2024

Merit shared per local board during November 2024

Merit/Post ratio per local board during November 2024

Merit senders and receivers per local board during November 2024

Percentage of merited posts across local boards during November 2024

Merit per transaction across local boards during November 2024

List of 10 Top active members:

1. Sayeds56 [35]
2. JunaidAzizi [33]
3. ZAINmalik75 [33]
4. qurbanshah02 [31]
5. GbitG [26]
6. Cheema02 [25]
7. Farhan99 [24]
8. Compromise me [16]
9. Hamza2424 [16]
10. poswallhamza [16]
member
Activity: 30
Merit: 0
December 17, 2024, 08:41:03 AM
Trump 2025 Economic Policies Will Drive Bitcoin To $800,000

اسلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
Kesy hain AP sab umeed krta hu sab thk hon gye or achy hon gye!
Mery tamam piyary Bhaio 1 repor KY mutabik pta chala ha KY Bitcoin 2025 mun trump NY news me bataya ha KY Bitcoin ko 800k$ per lye jaya jaye ga. Is me kitni sachai ha Kuch hi month me pta chal jaye gi. Or is KY elawa isko mana bi ja Sakta ha kuin KY BTC NY 1 month bohat acha pump kia ha Jo KY kab e tareef ha is Liye is lihaz SE is predict ko accept kr sakty hain. Usky elawa 1 or bat bi batai jati ha jiss me trump NY kaha ha
Max keiser NY kaha ha KY KY vo Bitcoin ko raises kren gye KY is ki price 2.2 Million dollar ho jaye. Kal rat Bitcoin NY achi price nikali yhi Jo KY 106k$ thi or ab 107k$ KY round chal Rahi ha Bitcoin NY apni journey me sabi crypto coins ko is kabil kr dia ha KY har 1 me future trading kr sakty ha. Magar us me BTC jitni price or speed koi pakry ga ye un per hi ha KY vo isko Kitna uper lye ja sakty ha.

https://www.deezer.com/en/episode/699043331?deferredFl=1
sr. member
Activity: 854
Merit: 364
Enjoy 500% bonus + 70 FS
December 17, 2024, 07:13:22 AM
Bitcoin BTC Technical Analysis Today:

Image

As Salam alaikum
Guys kasaa haa app sabb log umeed karta hoo khairyat sa hongaa.

To Guys jasa kaa app sab ligo na dakhaa ka Bitcoin naa apni new All time high record kar deyaa. Abb Fundamentally iss ka behind Kahi reason agyaa taa like Microstrategy kaa CEO naa 9 saa 15 December kaa between mazeed Bitcoin buy kar dee jo approximately 15,360 Bitcoin banta haa. Yani current market value $100,386 par hee USS na mazeed buying kar dee. Orr Microstrategy kaa pass abb 439,000 Bitcoin ban gyaa. So huge buying naa Market ko mazeed surge kar kaa new ATH bana dalaa.

Bqi Kuch important FA Events b honaa walaa haa jiss aa market mazeed Apni rally continue kar saktaa haa $11,3000 tak or mazeed $125,000 b.

Iska ilawa agar ham Technically perspective saa deep dig karaa to hama ab Bitcoin AK strong Up Trend maa Nazar arahaa haa. Yani Kal hee Bitcoin naa Up Trend channel ko break kar kaa apni new All time high ($107,793) bana deyaa. Abb iss zone bar Buying order high haa to maybe hamaa price kee few day kaa andar phalaa 113,331 ko touch kartaa Howa Nazar a saktaa haa or oska bad $125,000 tab b. Iskaa ilawaa agar price reject hotaa haa to price movement 20-Day Exponential moving average (EMA) tak decline kar saktaa haa $98,920 tak.

DYOR !
jr. member
Activity: 37
Merit: 17
December 17, 2024, 07:10:08 AM
Shbi kese hain,  aj 16 Dec tha  jis ham  black day kahty   hain  2014 mein Peshawar ke Army Public School par hamla huwa jis waja sy bachon ko School sy chotti b Di jati hai pr is bar asa nhi huwa school band nhi howay ye  dardnaak waqiya tha jis ne har dil ko ghamzada kar diya aur puri qaum ko yakja kiya. 

Ye din humein yaad dilata hai ke hum apni ghaltiyon se sabaq seekhein qaumi ittehad ko farogh dein  apne bachon ko mehfooz mustaqbil dene ke liye kaam karein. In qurbanion ko khiraje tehseen pesh karne ka behtareen tareeqa ye hai ke hum ilm aman aur taraqqi ke raste par chalein.
bhai chhutti kya karni thi aapko ek baat batata chalun sani d chauk Karne wale aur aur 16 December ko hamare bacchon ko katla karne wale ek hi log the yah vahi log the jinhen hamen yazkeen ke liye Ham per goli Nahin Chala sakte aur unhone dchock mein goli chalai aur masoom logon ko qateel Kiya hamen afsos hota hai bachpan mein Ham Jin logon per apni jaan manne ko taiyar the vahi hamare upar Gori yaar goli chalayenge ab samajh Gaye honge main Jin logon ki baat kar raha hun
full member
Activity: 434
Merit: 215
Addicted to HoDLing!
December 17, 2024, 05:29:15 AM
Alert ⚠️ Hackers Steal $1.48 Billion in 2024 – DeFi Under Attack!

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kea haal ha mry pyary dosto

Is saal mein hackers ne cryptocurrency industry se total $1.48 billion chura liye, aur is mein zyada tar nuksan Decentralized Finance defi projects ko hua. Immunefi ke report ke mutabiq, November 2024 mein $71 million ka nuksan hua jo ke November 2023 ke muqablay mein 79% kam hai. Centralized Finance platforms par koi bara attack report nahi hua jo dikhata hai ke hackers ka focus ab bhi DeFi ke issues par ha. Ab 2 Labs ka $25.5 million ka nuksan aur DEXX trading platform ka $21 million ka loss the. Report ke mutabiq, 99.96% stolen fundsndirect hacking ki wajah se hue jab ke rug pull scams ka sirf chota hissa tha jo yeh batata hai ke advanced cyber attacks sab se bara khatra hn

Report mein yeh bhi samne aaya ke hackers ke targets mein shift hua ha jahan BNB Chain sab se zyada target hui aur 46% attacks ka shikar bani jab ke Ethereum ke attacks ka ratio 30% tha. Halankeh 2023 ke muqablay mein losses mein 15% kami aayi hn lekin total amount ab bhi kaafi bara ha jo dikhata hai ke blockchain security abhi bhi challenge ka samna kar rahi hai.

DeFi exploits ka barhna aur naye networks ka target hona, jaise ke BNB Chain yeh batata hai ke crypto industry ko apne security measures ko aur behtar karna hoga. info

member
Activity: 30
Merit: 0
December 17, 2024, 04:06:47 AM
Shbi kese hain,  aj 16 Dec tha  jis ham  black day kahty   hain  2014 mein Peshawar ke Army Public School par hamla huwa jis waja sy bachon ko School sy chotti b Di jati hai pr is bar asa nhi huwa school band nhi howay ye  dardnaak waqiya tha jis ne har dil ko ghamzada kar diya aur puri qaum ko yakja kiya. 

Ye din humein yaad dilata hai ke hum apni ghaltiyon se sabaq seekhein qaumi ittehad ko farogh dein  apne bachon ko mehfooz mustaqbil dene ke liye kaam karein. In qurbanion ko khiraje tehseen pesh karne ka behtareen tareeqa ye hai ke hum ilm aman aur taraqqi ke raste par chalein.
Thk hain Bhai AP sunao thk ho. Bhai rao AP bohat kam active hoty ha. G hain Bhai mije Kal yad aya tha is KY bary me post krna per Meri tabiyat nai thi thk jiss ki waja SE me kr nai Saka wesy Bhai ye Eno ny Galat kia ha KY chutti banti thi kuin KY jab itny salo SE ye chutti Hoti a Rahi ha tu is sal hi kuin nai hui or ye hamary dilo SE nai nikaly gi kuin KY us din bohat hi Galat hoa tha hamry bacho KY Sath. Magar hum is KY bary me bulaen gye nai kuin KY ye din or is jesy or bi din hain Jo hamy yad aty rahin gye jis ko dek dek kr hamary bachy inspired hon gye or achy banen gye or apny mukalif SE badla len gye. Afsos us din bachy shaheed na hoty.
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
December 17, 2024, 04:03:34 AM
WalaikumSalam yeh ik acha qadam ha hukoomat Punjab ki Janib Sy but Mai samajta hu Issy lagaty lagaty bohout dair hogai kitny maheeno Sy yeh fog wali news chal Rahe ha aur muhtarma CM Nawaz ko apny sair sapato dy Fursat mily tab jaaky woh iss par dihan dy ge aur finally kardiya but inky announcement aur Amal daramad Mai bhi maheeno ka waqt darkaar hota ha agr announcement ha toh samjo phir yeh sardio ki end Mai install Hoge us Sy pahly chances nahi

Aur waisy bhi yeh Europe thoore ha jo waqt ki qadar ki jai ge aur awam ka khayal rakha aur rights diya jai ge yeh toh Pakistan ha yaha pahly yeh politician is Mai paisa ly ga phir beuracrates phir taikadaar aur phir Baki bohout tab jaaky 100 Mai 5 rupy ki cheez awam ko muyasar hojai ge

Aur Mera yaqeen karo yeh itne choore ki wardaty Jo ho Rahe ha aur loot maar ha toh mujy pora yaqeen ha iss instrument ko Kuch maheeno Mai yeh ura ky ly jyngy😄
Ab esy to naa karen. Hmari PM itni khubsurat hai. Ab nazakat to banti hai naa. Ab sair spaty kary yaa kuch bhi kary. Ab hmari khubsurat PM hai. Hahaha

Bhai ye jo tower install hony hen in lar bohat tezi sy kam ho raha hai. Or ye almost 1 week my install kar ky in fa'al bnana hai. Han yee naa ho jaye ky barish ho jaye. Behar haal Allah ki rehmat hai. Barish ho gai to smog ki chutti ho jaye gi. Bss abhi barishon ki waja sy bandish hai jo sirf hmari kartuton ki waja sy hai. Baqi agar late bhi hota hai to koi nai next year kaam ajaen gy. Ye kon saa smog ko jarr sy ukhaar phenkny waaly hen.

Or ek bhai I think Cheem02 bhai ny smog ka zarya faslon ko jlany kaa kaha. To bhai esa nai hai. Agar esa hota to ye smog sab sy zyada gaon my honi chahye thi. But esa nai hai. Ye asal my well polluted cities my hoti hai. Jiss kaa sab sy barra zarya garyon sy niklny wala dhuwan hota hai. Like Lahore world my No.2 par rank karta hai. So ye sirf pollution ki waja sy hoti h... Han barishen hoti rahen to ye nai hoti. Ab barish to lahore my bohat der sy nai hui. Iss waja sy iss ki ratio barhti chali jaa rahi hai. Or issi liye seed clouding karny kaa fesla bhi kiya gaya.
sr. member
Activity: 448
Merit: 354
December 16, 2024, 09:44:52 PM
WalaikumSalam yeh ik acha qadam ha hukoomat Punjab ki Janib Sy but Mai samajta hu Issy lagaty lagaty bohout dair hogai kitny maheeno Sy yeh fog wali news chal Rahe ha aur muhtarma CM Nawaz ko apny sair sapato dy Fursat mily tab jaaky woh iss par dihan dy ge aur finally kardiya but inky announcement aur Amal daramad Mai bhi maheeno ka waqt darkaar hota ha agr announcement ha toh samjo phir yeh sardio ki end Mai install Hoge us Sy pahly chances nahi

Aur waisy bhi yeh Europe thoore ha jo waqt ki qadar ki jai ge aur awam ka khayal rakha aur rights diya jai ge yeh toh Pakistan ha yaha pahly yeh politician is Mai paisa ly ga phir beuracrates phir taikadaar aur phir Baki bohout tab jaaky 100 Mai 5 rupy ki cheez awam ko muyasar hojai ge

Aur Mera yaqeen karo yeh itne choore ki wardaty Jo ho Rahe ha aur loot maar ha toh mujy pora yaqeen ha iss instrument ko Kuch maheeno Mai yeh ura ky ly jyngy😄
Nai nai Bhai my ny BHI iss ki news dekhi Thi yani headlines Suni Thi to USS my btaya Tha KY 21 December tak in ko install kar KY use BHI Kiya Jaye Ga. Yani ye Kam bohat fast hoga. Q KY Abhi iss Ki zrurat bohat zyada hy. Or rahi bat waqt hi qadar Ki to wo to hy dekh Len itni jaldi install BHI ho raha hy. Hahaha.
Bhai Jo BHI kar Len. In par Jo EK dafa daagh lag Gaya Hy wo Kabhi nai utry Ga. Yani ye begairat hen to hen. Bss bat Khatam. Kher choren ab subh subh in par Kaya tabsra Karen. Market Ki taraf aaty hen.

To market Ki situation is waqt kafi achi hy. Bitcoin day ny day APNA ATH khud hi break kiye jaa raha hy. ETH BHI ny BHI 4000 cross kar liya Hy. Jo KY EK acha or positive move hy. Fill haal Bitcoin 106000 KY qareeb trade ho raha hy. Or iss my mazeed behtri aany KY chances hen. Winter Holidays BHI qareeb hen to in Dino my pesa out hota Hy to may market par EK chotta saa effect parry par wo itna khaas nai hoga. Overall Market fillhaal positive hi Hy.

Bitcoin Current Price

sr. member
Activity: 854
Merit: 364
Enjoy 500% bonus + 70 FS
December 16, 2024, 04:22:23 PM
Smog Clean Tower Installed in Lahore to Combat Pollution

Asslamualaikum...!
Kaya haal hen. Pakistan ky shehar lahore my rehny waly members janty hon gy ky smog ki waja sy lahor ka climate bohat kharab hai. Khushak sardi parr rahi hai. Barish bhi nai ho rahi hai.

Behar haal Lahore my ye Smog Clean Tower lgany kaa fesla kiya jaa raha hai ye mery khayal sy bohat acha fesla hai. Thora pollution kam hota jaye ga iss sy. Ye tower esy camical chory ga jo mahol ko khush gwar karen gy. In ko sab sy pehly Lahore ky ilaaqy Mahmood Booti my lgaya jaa raha hai. Asal my wahan lgany ki sab sy barri waja ye hai ky wo factory area hai. Or wahan sy bohat saa ganda dhuwan niklta hai jiss ka asar kam karny ky liye ye Tower faide mand sabit hongy. Or dusri barri waja ye hai ky uss ilaaqy my lahore kaa sara waste wahan jata hai yani sara koora karkat wahin jata hai. Or wahan to oonchy oonchy pahar bany huwe hen koory ky.
Mery khayal sy to bohat acha fesla hai ye. Ap log kesy dekhty hen issy.? Kaya esa hona chahye?
Source
WalaikumSalam yeh ik acha qadam ha hukoomat Punjab ki Janib Sy but Mai samajta hu Issy lagaty lagaty bohout dair hogai kitny maheeno Sy yeh fog wali news chal Rahe ha aur muhtarma CM Nawaz ko apny sair sapato dy Fursat mily tab jaaky woh iss par dihan dy ge aur finally kardiya but inky announcement aur Amal daramad Mai bhi maheeno ka waqt darkaar hota ha agr announcement ha toh samjo phir yeh sardio ki end Mai install Hoge us Sy pahly chances nahi

Aur waisy bhi yeh Europe thoore ha jo waqt ki qadar ki jai ge aur awam ka khayal rakha aur rights diya jai ge yeh toh Pakistan ha yaha pahly yeh politician is Mai paisa ly ga phir beuracrates phir taikadaar aur phir Baki bohout tab jaaky 100 Mai 5 rupy ki cheez awam ko muyasar hojai ge

Aur Mera yaqeen karo yeh itne choore ki wardaty Jo ho Rahe ha aur loot maar ha toh mujy pora yaqeen ha iss instrument ko Kuch maheeno Mai yeh ura ky ly jyngy😄
?
Activity: -
Merit: -
December 16, 2024, 03:37:43 PM
Sab sy phly tmam bhaiyon ko Assalamualaikum
Mera khyal hai ab sab life ko achy ey enjoy kr rhy ho Gy

Jesa k BTC ki price ki bat hi rhi hai  ,main jab suba utha to main ny BTC ki price ko dekha to main ny socha k post bna di jy lakin Kuch masrofiat ki wja sy na kr paya lakin qurbanshah02 bhai ny boht acha explain kia

BTC ny all time high touch kia Jo k 107k$ hai, ye price ik record hai ku k aj sy phly hum ny BTC ki price main itna huge pump ni dekha tha lakin ab hmain itny  pump ki adat hony chahiye haha. Umeed hai k BTC jldi 120k$ ko touch kry ga or hum BTC talk ki community main b kafi growth dekhy Gy kyu k new generation ko cryptocurrency ka boht Shok hai . Cryptocurrency main sab sy acha project BTC ka hai or is sy acha project market main kabi b ni aa Sakta kyu k ye unique project tha .
Thanks to Satoshi Nakamoto who gave platform for the future success in life.

free direct file hosting
member
Activity: 111
Merit: 19
December 16, 2024, 03:19:58 PM
Shbi kese hain,  aj 16 Dec tha  jis ham  black day kahty   hain  2014 mein Peshawar ke Army Public School par hamla huwa jis waja sy bachon ko School sy chotti b Di jati hai pr is bar asa nhi huwa school band nhi howay ye  dardnaak waqiya tha jis ne har dil ko ghamzada kar diya aur puri qaum ko yakja kiya. 

Ye din humein yaad dilata hai ke hum apni ghaltiyon se sabaq seekhein qaumi ittehad ko farogh dein  apne bachon ko mehfooz mustaqbil dene ke liye kaam karein. In qurbanion ko khiraje tehseen pesh karne ka behtareen tareeqa ye hai ke hum ilm aman aur taraqqi ke raste par chalein.
member
Activity: 30
Merit: 0
December 16, 2024, 02:54:32 PM
Good News

Bitcoin Hit A New All Time High
السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
Kesy hain AP sab umeed krta hu thk hon gye!
Bhai bohat hi good news ha Bitcoin NY apna all high time cover kr Lia ha hum NY deka tha Bitcoin pichly di o me up down ho rhaa tha jis me vo 2 bar 100k$cross kiye thy. Magar is bar bi Kamal hi kr gia ha. Or ab ye kabi down nai ho ga. Or agy bi umeed ha KY jaldi hi ye 150k$ cross kry ga pir usky bary mw news age gi. Me abhi abhi dek hi raa tha tu me dek kr hiran reh gia Bitcoin bohat hi speed SE ja Raha ha or jis Tarah ja Raha ha ye apni pichli kasar Nikal Raha ha. Bitcoin NY bohat hi achi news SE nawaza ha Mera mtlb hum kab SE dek rahy ty KY ye kab up ho ga or AJ KY din ho gi gia.
Bitcoin agy bi bohat acha run kry ga or hum dekty rahin gye. Me Bitcoin ko 67k$ SE dekta a rha hu or is me Sirf 1 month hi Chala ha or Bitcoin 39k$ vo bi Sirf 1 month me hoa ha Bitcoin ki speed bohat hi achi Gai ha or is SE market me bohat faida ho ga investors ko Bitcoin NY AJ kama ho kr dia ha.

copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
December 16, 2024, 02:35:59 PM
Is MicroStrategy's Latest Bitcoin Purchase Impacting the Crypto Market?

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
MicroStrategy ne ek aur bara Bitcoin khareeda ha jisme 15,350 BTC $1.5 billion ke liye liya gaya ha. Yeh BTC average price $100,386 per coin ke hisaab se khareeda gaya. Iss ke baad company ke total Bitcoin holdings 439,000 BTC tak pohanch gaye ha jo lagbhag $45.6 billion ke barabar ha. MicroStrategy ke founder Michael Saylor ne kaha ke woh Bitcoin khareedte rahenge, chahe uska price record level par bhi kyun na ho. Yeh sab us waqt ho raha hai jab speculation chal rahi hai ke U.S. President-elect Donald Trump apne pehle din par Bitcoin ko reserve asset declare kar sakte ha. Is speculation ke wajah se Bitcoin ka price nayi all-time high $106,554 tak chala gaya ha

Our stablecoin RLUSD ke zariye XRP ki demand bhi barhne ki umeed hai. Axelar ke co-founder ka kehna hai ke RLUSD ka zyada use XRP Ledger aur XRP ke compatible sidechain par hoga jahan gas fees ke liye XRP ki zarurat hoti ha. Yeh trend dekh kar lagta hai ke stablecoins ab emerging markets mein zyada popular ho rahe ha, jhan log apni local currencies ke depreciation ke khilaf inko safe store of value ke tor par istemal karte ha. Blockchain aur crypto market mein investments aur nayi use cases ki wajah se momentum barhta ja raha Link DYOR

Walaikum salam brother, MicroStrategy ne sirf es bull run mein nhi blky 2021 ki bullish market mein bht important role play kia tha jub Michael Saylor ne bht struggle ker k Bitcoin ka future ETF approval obtain kia tha jis ki waja se market mein bht demand create hoi thi or 2021 mein Bitcoin ne $69,000 ka high bnaya tha.

Year-2024 mein bi MicroStrategy ne her dip pe Bitcoin accumulate ker k market ko support kia ha or eska credit BlackRock or Microstretgy ko jata k Bitcoin ne aaj $106,000 ka new all time high achieve kia ha or es uptrend ko dekhty hoi umeed ha k aany waly dino mein Bitcoin ka $110,000 tak reach kerny ka bht strong imkan ha. DYOR
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
December 16, 2024, 12:59:11 PM
Dogecoin Price Struggle Between Marco Golden Pocket And Macro 0.5Fib, Why Bitcoin Holds The Answered Documents

السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
Wa alaikum Salam, brother first of all apko congratulations jo itna fast grow Kiya aur mujy Laga apko posting bhi nahi aate Hoge but ap toh chupy Rustom nikly na sirf merit daina jaan Gai balky community Mai Baki bandy ko merit ky Liya jis Taraz ky post ka intikhab karty ap woh bhi Jan Gai, Kamal hogaya. Baki ap choonky new ha janty nahi ky community ky posting ky decline ky wajohaat nahi janty inn Mai ik ta ky ap ny especific Kisi alt coin pa post nahi Karne otherwise moderator ussy delete kar skata ha jo hota gaya previous dino Mai jis par community ny istarh post karna choor diya

But choonky ap ny abhi Kiya toh Mai NY soocha apko batat chalu ky aisa especific Kisi altcoin par post na kary individually balky combine phir Baat kary aur khoshih kary Bitcoin related la zyada focus kary takay moderator apky post delete na kardy jaisy pahly kardiya ty. Baki ap bhi aur Baki new user bhi Thora image size adjust ka khyal raky aur bohout awful hight ya width ky images na daaly
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
December 16, 2024, 11:37:08 AM
Smog Clean Tower Installed in Lahore to Combat Pollution

Theme pen bhai fasila to acha he hai ya smog control tower laga diya gya hai or hukmoot ki kah rahi kah 21 December tak ta tower apna kam sharu kar day gay but bat jja ya kah sarf smog tower lagny sy smog kam ni hu ge sab say phly to fasal katney kay bad jo aag lagaty hai zameeno ma aag lagany ko wo katam kr day mary khayal say smoke khud he katam ho jai gi. Qkah asy kanry say ham Allah pak ki taraf bi gunagar hoty hai os dosra next bi achy fasilay liay jaye jas sy smog ka khatam krny ma madad mily dosrs patho oar jo koly ki madaed say aintey banai jatai hai inhay bi gas par shift kar dy jas sy pollution or smog sy control mily ga baqu Europe or china say jasy bra bra countries nay smog ko kam kaney ka lay decision lay or pants ko frog diya asy achay decisions agr humari government lay to phr he faida hu ga.
Ap sahi kah rahien hai cheema sab Smog ke aik  barti waja ye b hai faslon me aag lagana , par agar dekh jaye to sheron me smog zayad hai as compare dyhat, Ab puray Pakistan me sab sy zayad smog lahore me hai aur ye tab tak khatam nhi hoi gi jab tak hum is ke bunyadi asbab par kaam nahi karte.

Smog ki buniyad industrial emissions vehicle pollution aur agriculture mein parali jalane ke amal par control na keya jaya tower lagany sy ham sorthal ko control me to la sakty hai par jar sy khatam nhi kar sakty, tower lag gy Jo wo camical chory gy us sy smog to control ho gi par wo kush na kush rection to zaror kary gy jis sy logon ko koi aur bamari ka sha kar huna party ga kuin k Jo be chemical hota hai aur k affect k sath sath side effect me zaror hota hai to mery khayal sy hakoomat ko smog ko control karny k leye Industry se nikalne wale dhoein aur chemicals ko control karne ke liye filtration systems scrubbers aur emission control technologies lagai jati chahiye aur Saath hi environmental regulations aur sustainable practices ka implementation zaroori hai ye he sab sy best way hai.
sr. member
Activity: 728
Merit: 300
Love Bitcoin🖤
December 16, 2024, 11:36:19 AM
اسلام علیکم

Muje lag raha hia mera aik small get togather wala idea execute ho sakata.

Please jo jo dost aana chahta hai wo muje confirm karin phir main Islamabad main appropriate location waghiara confirm karon ga..

Agar attendance k hisab se decide karon ga it's High-Tea or Dinner ya phir sirf Chae-Samosay.

Don't worry attendance free ho gi but only for the members In Sha Allah ... han agar koi contribute krna chahay ga tu most welcome Smiley

Agar aap apne kisi dost ko sath lana chah rahay hian tu wo free nahi hoga Smiley

Likan please pehle pata tu chalay kon kon aaey ga....

Proposal for Bitcointalk Members Gathering

Date: 1st Jan 2025 or 31st Dec 2024

Theme: Bitcointalk Pak Community - Bitcoin $100k Gathering - (Dinner or Tea Party TBD)
Location: Islamabad (Exact location will be choosen by me)
Timing: If Dinner 8pm or If Chae Pani Gupshup 5pm  (TBC)
RSVP: Invitation required (only via bitcointalk DM)  Member + 1

Abhi tak muje in members ka reply positive lag raha but still please confirm your attendance

_______________________________________________________________
.......Member.......................... Attending............. With Friend or No?
_______________________________________________________________
1......JunaidAzizi .................... Yes ................ I think No

Walaiqumassalm warahmatullahe wabarakatuho sir kaise hain ap omeed ha ke khairyat se honge aur achi khushyon wali zindagi guzar rahe honge.

Je je sur apka plan execute ho raha ha hhaha aur ek plus point muje be melna chahye ke es plan ko ma ne our se zinda kar deia q ke kafi time se ye plan inactive ta ma ne correct time per sub ki tawaja es taraf karwaye.

Sir mera response to yes ha ma In Dha Allah zaroor aunga sub se melne per issues ye ha ke bando ne abi tak koi response show nahe keia ha ke wo arahe hain ya nahe q ke 2 4 bando ke leye tu ao arrangements nahe kar sakte aur os ma wo maza be nahe ayega agr 10 tak be bande huwe tab be maxa ayega. Ab baqi bando se guzarish ke plz apna concern show kare yes ya No ma take hame pata chale. Shukarya

Sorry for the late reply.
sr. member
Activity: 462
Merit: 354
Trade Big, Win Bigger!
December 16, 2024, 10:07:04 AM
Is MicroStrategy's Latest Bitcoin Purchase Impacting the Crypto Market?

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
MicroStrategy ne ek aur bara Bitcoin khareeda ha jisme 15,350 BTC $1.5 billion ke liye liya gaya ha. Yeh BTC average price $100,386 per coin ke hisaab se khareeda gaya. Iss ke baad company ke total Bitcoin holdings 439,000 BTC tak pohanch gaye ha jo lagbhag $45.6 billion ke barabar ha. MicroStrategy ke founder Michael Saylor ne kaha ke woh Bitcoin khareedte rahenge, chahe uska price record level par bhi kyun na ho. Yeh sab us waqt ho raha hai jab speculation chal rahi hai ke U.S. President-elect Donald Trump apne pehle din par Bitcoin ko reserve asset declare kar sakte ha. Is speculation ke wajah se Bitcoin ka price nayi all-time high $106,554 tak chala gaya ha

Our stablecoin RLUSD ke zariye XRP ki demand bhi barhne ki umeed hai. Axelar ke co-founder ka kehna hai ke RLUSD ka zyada use XRP Ledger aur XRP ke compatible sidechain par hoga jahan gas fees ke liye XRP ki zarurat hoti ha. Yeh trend dekh kar lagta hai ke stablecoins ab emerging markets mein zyada popular ho rahe ha, jhan log apni local currencies ke depreciation ke khilaf inko safe store of value ke tor par istemal karte ha. Blockchain aur crypto market mein investments aur nayi use cases ki wajah se momentum barhta ja raha Link DYOR
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
December 16, 2024, 01:22:51 AM
Smog Clean Tower Installed in Lahore to Combat Pollution

Asslamualaikum...!
Kaya haal hen. Pakistan ky shehar lahore my rehny waly members janty hon gy ky smog ki waja sy lahor ka climate bohat kharab hai. Khushak sardi parr rahi hai. Barish bhi nai ho rahi hai.

Behar haal Lahore my ye Smog Clean Tower lgany kaa fesla kiya jaa raha hai ye mery khayal sy bohat acha fesla hai. Thora pollution kam hota jaye ga iss sy. Ye tower esy camical chory ga jo mahol ko khush gwar karen gy. In ko sab sy pehly Lahore ky ilaaqy Mahmood Booti my lgaya jaa raha hai. Asal my wahan lgany ki sab sy barri waja ye hai ky wo factory area hai. Or wahan sy bohat saa ganda dhuwan niklta hai jiss ka asar kam karny ky liye ye Tower faide mand sabit hongy. Or dusri barri waja ye hai ky uss ilaaqy my lahore kaa sara waste wahan jata hai yani sara koora karkat wahin jata hai. Or wahan to oonchy oonchy pahar bany huwe hen koory ky.
Mery khayal sy to bohat acha fesla hai ye. Ap log kesy dekhty hen issy.? Kaya esa hona chahye?
Source
Theme pen bhai fasila to acha he hai ya smog control tower laga diya gya hai or hukmoot ki kah rahi kah 21 December tak ta tower apna kam sharu kar day gay but bat jja ya kah sarf smog tower lagny sy smog kam ni hu ge sab say phly to fasal katney kay bad jo aag lagaty hai zameeno ma aag lagany ko wo katam kr day mary khayal say smoke khud he katam ho jai gi. Qkah asy kanry say ham Allah pak ki taraf bi gunagar hoty hai os dosra next bi achy fasilay liay jaye jas sy smog ka khatam krny ma madad mily dosrs patho oar jo koly ki madaed say aintey banai jatai hai inhay bi gas par shift kar dy jas sy pollution or smog sy control mily ga baqu Europe or china say jasy bra bra countries nay smog ko kam kaney ka lay decision lay or pants ko frog diya asy achay decisions agr humari government lay to phr he faida hu ga.
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
December 16, 2024, 12:29:35 AM

Jump to: