Umer bhai ismen toh koi shaq nai k ChatGPT aek boht hi useful AI tool hai jisse aap har tarha ka kaam krwa skte hain aur wo aapke har kaam men asani paida krti hai, lekin jab baat image creation pe ati hai toh wahan AI se generate kiye hue images bhale wo thumbnails hon ya kch aur ho un men AI ki khamiyan numaya nazar ati hain.
Aapne jo thumbnail generate kiya hai ChatGPT se wo bilkul boht ache tareeke se bnai hai ChatGPT ne lekin agar hum colors aur dosri cheezon se hat k thumbnail men likhe hue alfaz pe ghor kren toh humen pata chal jata hai k yeh AI se generate kiya gaya hai kyunke AI words ko hamesha perfection k sath nai likh pati, words aksar ghlt ya phr blur nzr ate hain tasveer men... Aapke wale thumbnail men bhi agar ghor kren toh aek jaga "YouTube" k bajaye "YouTibe" likha gya hai... Baqi bhi kahi words ya letters misplaced ya phr blur nazar aa rhe hain.
Point yeh hai k ChatGPT ya koi bhi AI tool abitak us perfection tak pohnche nai hain k unko hum professional tasks k liye use kar saken, aur khaas kr free versions ko.. Kuch aese tools hain jinke agr aap paid version buy krte hain toh aapko ziada ache aur perfect features milte hain, lekin free versions men kafi imperfections hain abitak jahan tak mera zaati experience hai.