Author

Topic: Pakistan - page 512. (Read 6042472 times)

sr. member
Activity: 462
Merit: 328
March 21, 2023, 01:27:50 PM
6.8 magnitude earthquake rattles many cities of Pakistan
Assalamualaikum bahiyon mulk k halt dekh kar dill dala deya hai Pakistan ke kuch hisson mein 6.8 magnitude ka bhukamp mausam-e-bahar ke dinon mein tez raftar se doosre din hua, lekin abhi tasveer nahi thi ke kya yeh zakhmi ya halakat ka sabab ban gaya tha.
Lahore, Islamabad, Rawalpindi, Quetta, Peshawar, Kohat, Lakki Marwat aur mulk ke doosre ilaqon mein zameen ka hilna mehsoos hua.
Bhukamp ka epicentre Afghanistan ke Hindu Kush ilaqe mein tha, jab ke iski gehrai 180 kilometer thi, Pakistan Meteorological Department (PMD) ke mutabiq.
Bhukamp ke asraat Peshawar, Swabi, Lodhran, DG Khan, Bahawalpur, Skardu, Kohat, Toba Tek Singh, Parachinar, Nowshera aur Khanewal mein bhi mehsoos hue.
Reuters ke mutabiq, dhoomil Indian shehri New Delhi tak bhi jhatke mehsoos hue.
"Log apne gharo se bahar nikal gaye aur Quran pak ki tilawat kar rahe thay," AFP ke Rawalpindi ke muharrir ne kaha
source
jr. member
Activity: 37
Merit: 7
March 21, 2023, 01:09:04 PM
Assalamu Alekum.
Pakistan or Mukhtalif Countries mn Zalzaley k jhatky mehsoos kiye gaye.
Earthquake ki shiddat 7.7 record ki gai.
Allah pak karam wala mamla farmaye.
Allah tala hmari tawajju apni tarf krwana chah rahy hen k Ramazan Ka Maheena qareeb ha uski tarf laot ao meri rahmat ko pukaro na k mery ghazab ko.
Zalzaley q aaty hen :-
Jab be hayai aam ho jaye
Jab Allah ko chor k dosron ko pooja jaye
Jab Ghareeb awaam par zulam kiya jaye
Jab Aoraten be pardagi par utar ayen to Allah tala ka ghazab nazal hota ha.
Jesy Aamal is waqat hmary hen Agar Allah k Nabi ﷺ Ny Dua na mangi hoti to kab ka Allah ny gharak kar dena tha is qaom ko jesa k pehli qoomon ko kia ha...

Bus Allah ki tarf laot ao or uski Rehmat ko pukaro or Ramazan ki Ehmiyat or Qadar pehchano.
Allah pak sabka Haami o Nasir ho
member
Activity: 83
Merit: 11
March 21, 2023, 12:55:02 PM
Wah mere Mola... Teri shaan...
Ek second na laga duniya ko neend se ghaafil karne mein...
Sab ki zabaan par apna zikr lanay mein...
Woh Rab chahe to tumharay munh se tumharay na chahtay hue bhi apna zikr karwa sakta hai...
Lekin woh dekhta hai... Aur aazmaata hai...
Mere Mola humaray gunahon ko maaf farma dejiye ga aur aisi afaaton se hamein mehfooz farmaiyega... Ameen.
sr. member
Activity: 560
Merit: 365
Pakistan Local Board Request
March 21, 2023, 12:38:53 PM
Earthquakes Today: latest quakes worldwide in the past 24 hours on Tuesday, March 21, 2023

AJ Kuch country m booht he shadeed kisam KY earthquakes ay h jis my Pakistan,India or Afghanistan shamil h or overall Jo Earthquake ki Magnitude thi wo 5.5 h lekin baaz area par to 6 or 6.5 above h sab sy shadeed kisam Ka earthquake Afghanistan my Aya h jiski Magnitude 6.5 h or Kuch log keh rahay h 6.8 h

  • 1 quake above magnitude 6
  • 3 quakes between magnitude 5 and 6
  • 27 quakes between magnitude 4 and 5
  • 130 quakes between magnitude 3 and 4
  • 335 quakes between magnitude 2 and 3
  • 778 quakes below magnitude 2 that people normally don't feel

Source

Please recite this & pray 🙏 for everyone's safety earthquake in different cities of Pakistan, India and Afghanistan

full member
Activity: 308
Merit: 109
March 21, 2023, 12:08:37 PM
Assalam o alikum, Islamabad mein 7.7 ritcher scale ki shiddat se bara zillzala ka waqia paish aya hai. Is se Islamabad ke mukhtalif ilaqon mein hungama paida hua. Zillzala ki shadeediat ki wajah se logon ko ghar se bahar nikalne ki zaroorat pari aur bohat se logon ke ghar bhi tabah ho gaye. Is waqt tak muqami hakim aur rescue teamen waqia ki wajah se mutasirah ilaqon mein madad ke liye mustaid hain.
Hope sb khairat sy hon gay … Allah Sbko Apny Hifzo aman ma rakhy Ameen , SumaAmeen,

Source Image
member
Activity: 112
Merit: 18
March 21, 2023, 12:06:39 PM
20 kill and 300 injured in Earthquake Balochistan province 5.9 powerful magnitude earthquake
member
Activity: 112
Merit: 18
March 21, 2023, 11:31:07 AM
Bank to close for 4 days
Banks in Pakistan will be closed on Friday, March 24, 2023 for Zakat deduction. This is in addition to the public holiday on March 23 for Pakistan Day and the weekend. All employees will still attend work, except for public dealing. Some commercial bank branches will remain open on Saturday


State Bank of Pakistan(SBP) ne mangal ko ilan kiya ke mulk bhar ke banks Zakat katwane ke bais bank band rahenge. 'Pakistan ke state bank public dealing ke liye Jumma (24 March, 2023) ko band rahega, jo Zakat kaatne ke liye 'Bank Holiday' ke tor par manaya jayega," central bank ne ek notification jari ki.
Issi tarah 23 March (jumeraat) Pakistan Day ke silsile main public holiday ke tor par mana jata hai aur SBP saturday aur sunday ko band rehta hai, isliye central bank chaar din tak band rahegi.
Mamool ke mutabiq bank holiday Ramadan ke pehle din ko mana jata hai, lekin central bank ne zikr kiya ke 'Ramadan-ul-Mubarak ka pehla din 1444 AH jumeraat, 23 March ko hone ke imkan hai, jo pehle se hi public holiday hai'.
Isliye sab banks, development finance institutions (DFIs), aur microfinance banks (MFBs) iss tarikhe ko public dealing ke liye band rahenge.
Lekin, banks ke tamam employees, DFIs aur MFBs bank holidays par office main haazir honge aur ise normal working day ke tor par count kiya jayega (public dealing ke ilawa).

Iske ilawa, commercial banks ke woh branches jo saturday ko khule rehte hain, woh aise hi khule rahenge
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
March 21, 2023, 10:01:49 AM
Y kuch proof h jinky wallet hack howay h or AJ kal fake token b booht send ho rahay h Jo wallet ARB Airdrop ke leye eligible h 2 3 din tak ap sab apny wallet ho Kisi b site sy connect na karay jab tak ap token claim NI Kar Len
Ye ap ny bilkul theak kaha hai. Ham sab janty hen ky scammers har jagaa hen or wo har mumkin koshish karty hen. Ap ko kiss bhi tariqy sy phasa len. Or jab bhi new token ata hai ye bhi hoshyar ho jaty hen. Or buss in kaa dill hota hai kissi naa kissi tariqy sy kuch naa kuch nikaal len. Issi tarah wo fake tokens bnaty hen. BSC chain par. Phr pancake swap par wo token list bhi hota hai. Or price bhi high hoti hai. Or koi new person deposit kar bethta hai. Or phr phass jata hai.

Busss ji Allah hi mehfuz rakhy. In kamino sy. Aammeennn.
sr. member
Activity: 560
Merit: 365
Pakistan Local Board Request
March 21, 2023, 07:39:54 AM
To bhaio ab ap kaya aspect karty hen Arbitrum ki price ky bary my. Ek dafa to shoot out ho gi price phr panic selling hogi or dump bhi aye ga. Or phr pump bhi aye ga. Han I will suggest to hold for a while. Phr acha profit mil jaye ga. I am still bullish on ARB token. But koi kuch keh nai sakta may be I can be wrong. Kher ab pehly Rozy ko hi dekhty hen ky kaya price aati hai.?

Mere kheyal sy to iski price 1 dollar sy below he ho ge jab 23 march ko y list ho ga lekin Kuch keh NI sakhty lekin ARB token 23 date ko 12 Exchanges par list ho Raha h un my sy Kuch top exchanges b h. ThemePen bhai Mera b yahi suggest h KY token claim Karny KY bad Kuch din hold rakhay or quu KY jab sab aik he dafa sale Karen gay tab iski price par impact ho ga m to personally khud iski listing Ka wait Kar Raha ho  Cheesy

Apko sab ko information deni thi Arbitrum Airdrop KY hawaly sy KY recently 1 2 din pehly booht sy users ky wallet hack ho gay h or booht c fake site launch Hoi h jissy my Airdrop KY token claim Karny Ka option a Raha h or log paglo ki Tarha apna wallet connect Karky token claim Karny ki koshish Kar rahay h or unko pata b Arbitrum walo ny official announcement b ki h ky 23 date ko he ap sab KY token claim ho gay lekin phir b log ko pata ni chal Raha 🤦🏼


Y kuch proof h jinky wallet hack howay h or AJ kal fake token b booht send ho rahay h Jo wallet ARB Airdrop ke leye eligible h 2 3 din tak ap sab apny wallet ho Kisi b site sy connect na karay jab tak ap token claim NI Kar Len
jr. member
Activity: 37
Merit: 7
March 21, 2023, 06:05:40 AM
Assalamu Alekum everyone

"Main afsos ke sath sun raha hun keh Pak Suzuki Motor Company (PSMC) Pakistan mein aik mashhoor automobile manufacturer hai aur unho ne December 31, 2022 tak ke liye shadeed nuqsan riport kiya hai.
Ye bhi note kiya jana chaiye keh $184 million ke jari qarz-e-azim company ke maali haisiyat aur raqam ka dabao barha sakta hai. Yeh isliye keh jari qarz-e-azim aksar foreign currencies mein denominated hote hain, jin par exchange rate fluctuations ka asar hota hai. Agar Pakistani rupee in currencies ke khilaf gir jaye to company ke qarz-e-azim rupee ki shakal mein mazeed mehngay ho jayenge, jo company ki numayafi ko mutasir kar sakta hai.
Situations ko behtar samajhne ke liye riport kiye gaye nuqsan ke peeche ke wajohat ko dekhna zaroori hai. Companies nuqsan ki wajohat alag-alag ho sakti hain, jaise bechne ke kam hona, operation ke izafay, ya overall maeeshat ki arzi burai. Agar nuqsan ke wajohat waqai dar-asal rukawaton ke bajaye temporary hain to company mustaqbil mein kamyab ho sakti hai.
Dekhna ye hoga keh PSMC kaise in challenges ka muqabla karta hai aur future mein apni maali haisiyat ko behtar banane ke liye kin qadamat uthata hai"

https://twitter.com/PakStartup/status/1638118257788944386?t=2XU2_SlwsP_YimHrQe1W-A&s=19
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
March 21, 2023, 06:04:13 AM

Silicon Valley Bank Explain:
Silicon valley bank:
Silicon valley bank 1983 Mai United States of America ky ik State California ma Santa Clara ky makaam pa wajood Mai ayaa, jisy silicon valley bhi kaha jaata hai, jaha ajkal uska main headquarter mojood hai. Iss bank ky total 4 Branches hai different states Mai isky ilawa more than 10 offices hai different states Mai.
SVB bank banaya hi different new emerging startups ko support karny ky liyaa, basically yeh bank investor sy thoory interest rate par paisy deposit karwaty ty aur phir yehi paisa different startup ko high interest pa lend karty ty Jo beech ma Jo margin hota ta woh bank ka profit taa,  2021 ma inho ny claim kiyaa taa ky United States of America ky more than 50% venture-backed startup ko inho ny paisy lend kiyaa.
Agr total assets ky hissab sy daikha Jai toh yeh United States of America ka 18th big bank hai jisky paas total 212$billion assests hai.

Ancident of SVB Explain:

Agr AP iss graph ko ghoory dy daikhy toh yeh SVB bank ka share price graph haa jis ma share ki price Kafi achi movement karty howy above 700$ per share pooch chuke hai, aur iske ahm wajah yeh tee ky iss bank ny jinn startup ko paisy lend kiyaa ty unn ma tech startups bhi tee Jo Kafi achi perform karr Rahe tee jiska directly faida iss bank ko horaha ta, q ky unky profit ki wajah sy iss bank ko zyada interest milta ta aur doosre woh jitna zyada profit karr rahy ta utna zyada paisa bank ma deposit karr rahy ty. Jis ka bank ko faida yeh howa ky unka capital increase hota gaya jiska positive effect unky share pa parr Raha ta. Lakin mamla yaha kharab howa jab 2019, 2020 ma COVID-19 ki wajah sy saary startup effect howy jis ki wajah sy bank ko Jo zyada interest mil Raha ta woh km howa aur doosra Jo yeh startup daradar paisy deposit karr rahy ta woh km hoy jis sy bank ka capital bhi decrease hota gaya.
Isky ilawa agr daikha Jai toh inn ky paas 2017 ma 44$billion assests ty Joky increase hooty hooty 2021 ma 189$billion dollar hogai, par agr daikha Jai toh inho ny 2017 Mai 23$billion lend kiyaa ta Jo 2021 ma increase hoky just 66$billion hogaya joky itna zyada nahi taa, q ky inky interest return sy bank ka loss recover nahi ho pa Raha ta.
So apni loss recover karny ky liyaa bank ny apny total assets ky (50 to70)% amount ky bond government sy buy karliyaa jis ki worth 128$billion tee, jis par unhy achy Kuch khaas percentage of interest milta taa jis sy bank ka fil-waqt kaam chal gaya aur inn bonds ki maturity 5yr 0r 5yr+ hai .

But doosre problem waha ayaai jab government of America ny due to inflation new bond ky interest percentage increase kardiyaa, jabky bank ky paas old bond ty jiske interest rate km tee so SVB ny (50 to 70)% of total assets ky old bond ko sell kardiyaa (in order to buy new bond for higher interest return)

But Peter Thiel Jo ky ik Entrepreneur hai unho ny different startup ko warn kardiyaa ky SVB ky Sath Kuch teek nahi horaha toh iss news ko sunty hi Kafi aur logo ny bhi warning start kardee aur apny Funds withdraw karna start kardiyaa, jab logo ny yeh daikha toh ik FOMo create ho aur sabb logo ny fund withdraw ki application start karde but bank ky paas itny reserve ty nahi ky woh sabb ko withdraw dy saky.

So unho ny logo ki need ko poora karny ky liyaa apny 21$billion ky share sell kardiyaa aur 2.25$billion ky share aur bhi sell karyngy logo ki need ko poora karny ka liyaa.
So inn share selling ka nuksaan yeh howa ky SVB ka Jo share 700$ ky above to woh decrease hoty hoty ik hi din ma 60% crash hogaya aur u SVB officially closed hogaya.

Relation of USDC with SVB:
Jaisa ky market ma jitny bhi stable coins hai, like USDT, GUSD, BUSD etc unki jitni total supply hote hai utny amount of real dollar USS stable coin ky backing ky liyaa different bank ma rakhy hoty hai.
Toh isse Tarah USDC ky backing ma Jo real dollar rakhy gayai ty unn Mai just 3.3$billion Silicon Valley Bank Mai rakhy. As a backup to maintain the USDC stable. Jabky baki backup dollar aur saary banks ma rakhy howy ha

Reason of USDC Depeg:

Toh USDC ka depeg Kuch istarh sy howa jaisa ma ny opper bataya ky inky backing ky liyaa 3.3$billion SVB ma rakhy haai, toh jaisy hi SVB Mai yeh ancident howa toh logo ma ik FOMo create howa ky USDC jald depeg hojai ga, q ky unky backup dollar SVB Mai hai, toh logo ny daradar apny USDC sell karna start kardiyaa jis sy yeh howa ky USDC depeg howa aur apni 1$ ki value loss karty howy around 0.87$ par agai. Lakin Baad ma usky teams ny tweet karky logo ko batayai ky unky total backup of 40$billion ky just 3.3$billion SVB Mai hai baki safe hai. Toh phir ahista ahista USDC recover hoony Laga.

Conclusion:
Last ma hummy iss sy yeh seekhny ko milta hai ky hum Jin bank par blindly trust karky apny million of dollar Rakh rahy hai woh bilkul safe nahi , q ky kabhi bhi aisy ancident bank ko closed karsakte hai aur results ma just government apky million of dollar ky badly apko few thousands dollar refund kardy ga, jaisa ky SVB crashed ky Baad jisky jitny bhi billions of dollar ty unko just 250,000$ refund kiyaa jaiya ga. Soo iss sy bahtr nahi ky AP apny funds bank ki bajai crypto like Bitcoin ma invest kardy Jo Kuch waqt ky liyaa apko loss ma Rakh sakta hai lakin jald hi apko profit ky Sath return bhi dy daga. So the choice is yours...........
image source
full member
Activity: 742
Merit: 201
March 21, 2023, 04:11:09 AM

Ais ki wajah hy k shaid woh log dekthay ni PSL kion k ais mein koi indian player ni hota aur international players bhi kam hi hotay hein, as compare to IPL. Lekin Indians ki kam post kay bawojod bhi yeh thread bohat zada active raha pura PSL, mujhee seriously intni umeed ni thi. Even k meine khud bhi ais thread p na honay k barabar post ki kion k meri kosish hoti hy k zada posts Paksitani thread p hi keron aur sb ky software update keroon  Cheesy

Mazaq apna jagha pr ya baat sahi hy ka gambling haram hy aur is ko hr haal ma avoid krna chahya. Yahan Bitcoin talk py boht zayda gambling hy. Allah hum sub ko is sa mehfooz rekhya. Ameen
Ma boht active rha throughout PSL us thread ma jo ap na create ke hy. Ap sahi kah rhya hn, India ka pass asal ma ab aur boht kuch hy krna ko. Unka pass IPL hy jis ma pori dunya hoti hy aur boht bra event hy wo. Khair hman to apna PSL he aziz hy.
member
Activity: 112
Merit: 18
March 21, 2023, 03:24:46 AM
Quote
App bilkul sahi kah rahay ho. Hum tu ais bitcoin field c hein jahan p trading aaam hay aur har bunda hi future trading kr raha hy witout knowing k sahi kia hay aur gult kia. Interest tu har jaga hi hay, even k agar app credit card letay hoo tu yeh bhi gult hay as it is also interest base aur Profit&loss bank account bhi interest ka hi kaam hy. Aisi leiy meine credit card bunya hi ni aur bank mein sirf current accoutn open kia ua hy takay sood ka profit na ayee aus mein.
Main samajh sakta hun ke aap apni apni nazariye se financial transactions ko handle karte hain, aur yeh aapki apni marzi hoti hai. Har individual ke paas apni financial situation aur needs hote hain aur unke hisab se woh apne transactions handle karte hain. Agar aapko yeh tariqa apnaana sahi lagta hai toh aapka faisla bilkul theek hai.
Lekin is baat ka bhi yaqeen rakhna zaruri hai keh financial transactions ko handle karte waqt, sahi aur jaaiz tareeqon ko apnana chahiye. Aise tareeqon mein sood ka istemaal karna jaaiz nahi hai aur islam mein bhi yeh mana jata hai. Lekin yeh bhi sach hai keh financial transactions ka maamla bohot complex hota hai aur ismein bohot se factors hote hain, jaise ki investment ke maqsad, risk tolerance, aur financial situation.

Isliye, har individual ko apne financial decisions ko carefully evaluate karna chahiye, aur agar koi shak ho toh expert se salah lena chahiye.
full member
Activity: 308
Merit: 109
March 21, 2023, 03:23:30 AM
Assalam  o  alikum, Pakistan ka andar logo par rockets sa hamla ho raha ha, Pakistan ma qanoon nam ki chiz hi khatam ho gai ha
Pakistan ke qanoon ke mutaliq sawaal ki taraf ata hun toh yeh kehna ke Pakistan mein qanoon ki koi wajood nahi hai, sahi nahi hai. Pakistan mein qanooni nizaam maujood hai jo kay kanoon, riwayaat aur insaaf ke insititutions ko shamil karta hai. Jaise har mulk mein hota hai, kuch waqiyat aisay bhi hote hain jahan qanoon sahi tareeqay se istemal nahi kiya jata, lekin iska matlab yeh nahi keh poray mulk mein qanoon ka wajood khatam ho gaya hai. Smiley

image source
hero member
Activity: 1386
Merit: 513
Payment Gateway Allows Recurring Payments
March 21, 2023, 01:46:04 AM
snip
To be very honest mujhy, bilkul bi idea nhi hai ky coinmixer min cheezo my involve that like totally idea nhi tha, last time when i wrote this post, tb main ny yeh search ---- compaign (did not want to mention name here)  ki waja sy ki thi actually i found an article back then in which, 2022 ky sary hacks and stolen cases likhy howy thy, un my mostly, stolen currency was belonging to North Korean, Unofficially, and they were using some mixer to launder some currency, Well obiusly it was unofficial so thats why that compaign is still chl rhi hai,  so i thought ky is ky bary my thodha bohat search kiya jay,

AS i do not have that much knowledge about mixer back then, well my ny kuch videos dekhi and read some article and wrote this small article of what i learnt, baki us article my main ny coinmixer ky bary y koi baad nhi likhi because mujhy us ky bary my kuch nhi idea tha, post kr deny ky baad mujhy reply my dosry memebers ny btaya ky coinmixer is that lava, hehe, khair phr in example points i added coinmixer too, well i really was unaware maybe apko kuch pta ho before the ban, baki yaar wo to obviously baat hai if a feature of application of blockchain has some bad and good usecase then people of both kind will use both, this is the feature of that platform (maybe jaan booj ky dala gya ho) baki, consequences sbi ko pta hai.

Ab rhi baat gambling sites ki to wo bi money launder krny ky liya istemal hoty rhi hai, maybe kafi abhi bi ho rhy hain. but kuch log waha gamble krty hain kuch gambling sites pr dosri services sale kr rhy hoty hai, no doubt islam my kaha gya hai ky hr burai sy perhaiz kro or yeh bi ftfy diya gy hain ky gambling sites pr koi muslman apna koi hala business bi na kry, baki apki baat apni jagga thik hai mai to bs itna kh rha hoon once i known the fact ky kuch ghlt ho rha hai. (ha confirmed one) hehe.
hero member
Activity: 2422
Merit: 875
March 20, 2023, 11:45:01 PM
kafi logo sy wasty nikl rhy hain in real life who are involved like in interest base things i do not understand why, they have earned that much money ky agr wo beth kr khana bi chahy to kha skty hain but nhi halal rozi ko haram kr rhy hain.

App bilkul sahi kah rahay ho. Hum tu ais bitcoin field c hein jahan p trading aaam hay aur har bunda hi future trading kr raha hy witout knowing k sahi kia hay aur gult kia. Interest tu har jaga hi hay, even k agar app credit card letay hoo tu yeh bhi gult hay as it is also interest base aur Profit&loss bank account bhi interest ka hi kaam hy. Aisi leiy meine credit card bunya hi ni aur bank mein sirf current accoutn open kia ua hy takay sood ka profit na ayee aus mein.


same for mixer. as far as i know nothing bad happening in yomix so, i am in. when i came to know if kuch ho rha hai to Allah sy dua hai ky wo mujhy hidayat ata frmy. ameen.

Mein yeh ni keh raha k yomix mixer gult kamoo mein involve hy k ni, but hume ni pata ais ka. Generally mixers gult use ky liey hi hotay hien. Ab kia app ko pata tha k chipmixer kia ker raha tha in backend ? Agar app chipmixer compaign mein select ho jaty ajj c 1 month phelay tu kia app join na kertay  Huh
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
March 20, 2023, 10:38:46 PM
Aoa all community Ramadan al-Mubarak 2023 ka intizam Jumaraat, 23 March 2023 (Saudia Arab ke mutabiq) se shuru hone ka imkaan hai aur yeh Jumaraat, 20 April 2023 ko khatam hoga. Eid al-Fitr 2023 ka jashn manane ka imkaan hai jo Jumma, 21 April 2023 ko hoga. Yeh mazmoon takhmini tareekh hai kyunki Ramadan al-Mubarak ki waqai aaghaz ki tareekh chaand ke dekhne ke mabeen hoti hai.
member
Activity: 112
Merit: 18
March 20, 2023, 04:22:35 PM
Assalamualaikum "T-coin ke dino mein na ghaani izafay ne Blishterind ki bahali ki nishandahi ki hai, agar bairish pol bayk ke imkan ke bawajood. Ulta coins ka teerha rukh mutasir-kun tor par peechay reh raha hai, lekin mae'ari chemistry par quwwat baqi hai, jis ki nishandahi karta hai ke bari qeemti karwai ke aamad ki kam az kam imkan hai. Jabke marketz sabz rang ke ho chuke hain aur numaya barhtay trend ki pesh goi ki ja rahi hai, lekin bairish pol bayk ke imkan ke sath mumkin hai, jis ke tahat fori tor par himayat ki dobara azmaish ke liye taqreeban 25,000 dollar tak ka nichla samrti haita dobara anay ki imkan hai. Ellah Shahab type kya hai ke bair market ka khatma kar diya gaya hai, lekin bairish pol bayk ki imkan qabil-e-ghaur hai."


Google
hero member
Activity: 2422
Merit: 875
March 20, 2023, 12:47:12 PM
Gambling to waqai boht bre industry hy aur almost hr sports ma jvari satta lagtya hn. Baqi Gambling ka religious aspect ka barya ma zayda detail UmerIdrees aur Gladitorcomeback dy saqta hn. Hahaha mazaq kr rha tha. Umer bhai ab mera software na update kr dena is baat py.

Haha, Dil tu bohat kr raha hy apka software update kerna ka magar app nay muna ker dia tu ni kerta. Smiley
Bagi hum duno aik hi page p hien aur woh yeh k Gambling jitni bhi bari industry ho, hume ais c dur hi rehna chayee.


Yaad aya @umeridrees na jo thread create ke the Gambling discussion ma wo kafi achi chali pora month. Ma na eik baat note ke ky boht sarya Indians jo cricket section ma post krta thy un na pora PSL eik bhe post nhi ke hmarya PSL ke thread py.

Ais ki wajah hy k shaid woh log dekthay ni PSL kion k ais mein koi indian player ni hota aur international players bhi kam hi hotay hein, as compare to IPL. Lekin Indians ki kam post kay bawojod bhi yeh thread bohat zada active raha pura PSL, mujhee seriously intni umeed ni thi. Even k meine khud bhi ais thread p na honay k barabar post ki kion k meri kosish hoti hy k zada posts Paksitani thread p hi keron aur sb ky software update keroon  Cheesy
hero member
Activity: 1078
Merit: 566
March 20, 2023, 12:20:39 PM
Ise mera aik topic started ha jisme ye sare points and Bitcoin ki valuation and possible outcome from future possibilities ko discuss kia ha thread new ha itna purana nai ha so must check. Rahi baat Bitcoin ka concept ki iska primary maqsad sirf or sirf user ko control on money provide karna tha aik esa system jo ka P2P hoo Jo ka decentrali\ed ho jo ka user ki needs ko pooora kare jo ka cross border fess ka concept ko khatam karee. Lekin ajkal iski zarorat as a Universal currency ha due to economic crisis as USD ne pooori ecnmics ki esi ki tesi kardi jiska zimmadaar sirf or sirf US jo ka andha doondh Money print kar raha.

Yahan Hum 1 2 Billion Dollars ko roote ye sirf for avoiding Bankcuppcy $2T print lete jaab dil karta jitna dil karta print kar dete and ku kaa hum jessy mulkon ne USD ko abu ka darja de ka reserve rakha howa check karain zara hamare kaam.

$1M Bitcoin Valuation until the end of this Bull Run

Ma recommend krn ga sub logon ko ky wo Satoshi Nakamoto ka whitepaper zaroor Read krn. Is ma zayda technical baatan nhi han aur ya Bitcoin ke working ko samjhna ma madad deta hy. Ya whitepaper freely internet py available hy. Agr kid ko koe cheez samjh na aya to yahan post kr dy hum apas ma discuss kr lyn ga. Ise tarah knowledge sharing sa knowledge increase hoti hy.
Ma apki post py nikl rha hn yahan sa.

Jump to: