Author

Topic: Pakistan - page 516. (Read 6572046 times)

copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
April 26, 2023, 09:28:27 PM
Bitcoin price can ‘easily’ hit $20K in next 4 months — Philip Swift


G brother, Kal bi Bitcoin mein bht achi move aai or Bitcoin ne 30K ka high banaya tha or es waqt bi 29K k pass trade ho raha ha. uski waja USA mein ek or Bank ka collapse hona tha jis se public ka fiat currencies pe bherosa weak hota ha or bry bry investors Bitcoin mein investment kerty han. Mujhy toh Bitcoin fundamentally or technically bht strong lug reha ha or ho sakta ha hum next month ( May-23) Bitcoin 40K ko surpass ker jai. INSHA ALLAH



https://www.investopedia.com/first-republic-teeters-7485632
hero member
Activity: 1428
Merit: 513
Payment Gateway Allows Recurring Payments
April 26, 2023, 01:59:43 PM
                                                                                  RISK WARNING
First of all check your balance in trust wallet.And also check the activities in it.
Bro, AFAIK, yeh address poisoing attacks hain jiska matlb hai ky attacker same letters waly address sy apko kuch useless tokens send krain gy and then 1 out of 10 kya krty hain ky apny wallet address transaction detail sy uthaty hain like from explorers, or waha y wo sirf start and end letter dekhty hain jis sy kya hota hai ky, apko lgy ga ky yeh wallet to mera hi hai. or ap paisy end ya deposit kr wa lety ho,

I hope this thread will help you out--> What are Address Poisoning Scams?

Ap is thread ko read out krain or agr meri koi ghlti ho to please mujhy guide kriya ga ho skta hai mujhy smjny my ghlti lgi ho, As, ap kh rhy hain ky apny wallets trustwallet sy nikal lo or kafi dair sy mai yeh scen dekh rha hoon yeh like december sy kaam start hai. us ky baat icopress ki compaign my yeh discussion ho rhi thi trustwallet ko ly kr phr at the end mujhy yeh aforementioned thread sy pta chla ky address poisiong kya hoti hai.

So, i don't think ky apny trust wallets ko in hurry khali krna thik rhy ga because in hurry hi log mistakes krty hain or scam ka shikar ho jaty hain. baki maybe i could be wrong, please share you points too.
full member
Activity: 826
Merit: 135
Tontogether | Save Smart & Win Big
April 26, 2023, 01:53:18 PM
Trust Wallet browser extension ke dwara banaye gaye har wallet ke funds bina kisi user interaction ke chori ho sakte hain."


Yahi tho museebat hai en online works mai k security etni mazboot nahe aur chori karna bahot asan hai. Pc par tho ye Belkul bei secure nahe hai aur hackers apka tamam data dikh sakte aur chori kar sakte hai. mai tho Pc mai wallet belkul bei nahe dalta aur Sirf mobile hee use karta ho magar ab pata chala k Trustwallet mai hackers poori koshish kar rahe k kisi tarah malware token k through usko bei apni hacking ka nishana bnaya jae.
sr. member
Activity: 336
Merit: 292
20BET - Premium Casino & Sportsbook
April 26, 2023, 01:47:24 PM

 




                                                                                  RISK WARNING

First of all check your balance in trust wallet.And also check the activities in it.If this attack is happening on your wallet, transfer your funds from there immediately.Transfer to a new wallet or another wallet because if you don't do this, your balance will be zero very soon.Above I have shown you two wallet addresses because you can also be a victim of this.This has only recently started to happen.By the time people find out about it, these scammers will have done their job.The way to check this is by visiting tronscan.io.Here you will enter the address of USDT trc-20 because most of the scammers attack usdt trc-20.Here you will get all the details.The address I circled in red is the scammer's address.And the address in the green circle is the actual wallet address.A similar clone transaction is performed.Just check both of above addresses, we do this often to check the first few letters of the address and the last few letters.And almost all people check these three or four figures at the time of transaction.If you look carefully at the wallet address given above, you will see that the beginning and end figures of the scammer wallet address and the original wallet address are the same, but the middle figures of the scammer's wallet address are different.If this is also the case in your wallet, then understand that your wallet has been attacked.Please check your address again and again before the transaction and then complete the transaction.And check your wallet to make sure you don't have this problem.Please also inform your loved ones and friends about this so that they too do not become victims of scammers.
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
April 26, 2023, 11:33:35 AM
Trust Wallet browser extension ke dwara banaye gaye har wallet ke funds bina kisi user interaction ke chori ho sakte hain."

Trust Wallet ne 14 November 2022 ko apne browser extension ka release kiya tha  jiske zariye kai blockchains par maujood digital assets ko browser se seedhe access kiya ja sakta tha. Lekin Ledger Donjon ne extension me ek bhot bari vulnerability ka pata lagaya jiski wajah se kisi bhi wallet ke saare assets ko bina kisi user interaction ke chura liya ja sakta tha. Iska zimmedar seed generation jo Trust Wallet ki taraf se flawed thi thi. Seed generation me sirf 32 bits ki total entropy thi jo kisi bhi account ke private key ko compute karna aasan bana deti thi aur uske saare funds tak access karne me madad karti thi. Trust Wallet ne vulnerability ko theek karne ke liye kadam uthaye, lekin is vulnerability ke waja sy affect huye assets ki jaankari abhi tak available nahi hai. Aise vulnerabilities se bachne ke liye wallet banate waqt acchi entropy generation hona bahut zaroori hai.

https://blog.ledger.com/Funds-of-every-wallet-created-with-the-Trust-Wallet-browser-extension-could-have-been-stolen/


full member
Activity: 308
Merit: 109
April 26, 2023, 08:19:49 AM
Importance of Search Engines Optimization 8th Class Book topic SEO  
Assalam o alikum Wow 😮 Finally something good in our educational system its Govt 8th Class Book in Chakwal ke small se village ke students ny share ki han jasy ko SEO aur social media websites ke istemal ke bare mein pharya ja rha han. SEO ki ajj ki door ma boht importaance han Social media websites jaise Facebook Instagram, Twitter aur LinkedIn ki kya imp hoti hai SEO mein aur kaise hum in platforms ko istemal kar ke apne online presence ko behtar bana sakte hain.Ya trending skill hr village or he city k college or school m sikhi jani chyee tkh students seekh kr skills ko sale kr k online earning kr skty but ya mahnet sy he possible han or consistency sy baki Sacm app sy bach jaye jasy IDA and JavaEye or boht sari asy Ponzy scheme wli apps ny millions m passa loota loogo ka is lay ya skills seekhi boht zrori han


Social Media Optimizaton
Or Social Media Optimization (SMO) jo social media ke profiles aur content ko search engine mein zyada nazar ane wale banane par tawajjo deta hai. Students ko ya teach jayega ke kis tarah se social media ke profiles mein keywords istemal kar sakte hain, engaging content kaise banaya jaye, aur hashtags ko kis tarah se effectively use kar sakte hain.

Content Creation
Content creation aur sharing ke importance ko bhi highlight kiya jayega. Students ko skhina chyee kh engaging aur shareable content kaise banaya jaye jo unke target audience ko attract kare. Regular content sharing ki bhi zaroorat samjhayi jayegi aur yeh bhi bataya jayega ke kaise content sharing SEO aur online presence ko behtar kar sakte hain.

Social Media Advertising
Social media advertising ke bare mein bhi introduction diya jayega, jaise ke social media platforms par paid promotion. Talibe ilm se sikhaya jayega ke sponsored posts, boosted posts aur paid campaigns jaise alag alag qisam ke social media ads hote hain aur unko SEO efforts ko behtar banane mein kaise istemal kiya ja sakta hai.

Social Media Analytics
Social media analytics ke basic concept ko bhi cover kiya jayega, jaise ke social media campaigns ke performance ko kaise measure aur analyze karte hain. Talibe ilm se sikhaya jayega ke social media metrics ko kaise samjhain aur data-driven decisions ke zariye apne SEO strategies ko optimize kaise karain.

SEO Using Social Media
 Is 8th class ki book m studnets achi trah pharny k bad se social media websites ko SEO ke liye istemal kar ke unki online mojudgi ko behtar banaya ja sakta hai. Real-world case studies ke zariye sikhaya jayega ke kis tarah se social media platforms ko SEO ke liye kamyab tareeqon se istemal kiya ja sakta hai. Is chapter ke concepts aur techniques ko samajh kar, studnets ko aise qeemti skill hasil honge jo unhe aaj kal ke digital duniya mein social media ko SEO ke liye behtreen tareeqon se istemal karne mein madad mily ge khy kasy inko use kr k Online Earning or Freelancing ki jaye ge.

member
Activity: 83
Merit: 11
April 26, 2023, 08:19:23 AM
The Neom kya hai?
Mohammed bin Salman saudi prince ka yeh project jo Neom bhi kehlaya jata hai, dekha hai to insan ki aqal hairan ho jati hai. Yeh woh project hai jis par gore Dubai ko keh rahe hain Saudi Arabia tum logon ki tourism industry ko zinda nigalne ja raha hai. Iska total area 26,500 Km hai aur yeh 170km ek seedhi line mein ek shehr se doosre shehr ke darmiyan ek seedhi line mein banaya jana wala ek pura shehr hoga jo Arab ke sahraon se guzre ga. Is shehr mein koi road koi gaadi nahi hogi, uske andar jadeed tareen train chalayi jayegi jo ek kone se doosre kone tak kuch minute mein pohnchegi. Yeh shehr apni bijli khud paida kare ga aur is shehr mein 9 million logon ko abad kya jayega aur abadi ki barhti hui surat-e-haal mein ek line mein 170 km par ek pura androon shehr abad karna technology ki duniya mein wasail ke behtareen istemaal ka ek kamal shahkar hoga
hero member
Activity: 1120
Merit: 571
20BET - Premium Casino & Sportsbook
April 26, 2023, 07:55:34 AM
Pakistan ke history ma pahli bar aisa hua ky Hajj ka lea seats available rah gai hn aur log kaam hn. Ya Pakistan ke history ma pahli bar hua hy. Is ke sub sa bri wajha Hajj ka ikhrajat ma boht zayda izafa hy. Hajj ke price jo mera zehan ma a rhi hy wo Galiban 10 sa 13 lac ma hy (correct me if I am wrong). Dollar boht oper hy so obvious se baat hy ky Hajj ka rate to oper jya ga hy jya ga. Allah kra Dollar necha aya takya zayda sa zayda log Haj ke sadat hasil kr saqyn.


Image source. HUM NEWS Facebook page
full member
Activity: 280
Merit: 114
👉bit.ly/3QXp3oh | 🔥 Ultimate Launc
April 26, 2023, 06:42:12 AM
Surrogate Advertisement in Pakistan Super League (PSL)

Apki ek post ye wali mere zehen mai the. mai online kuch masail talash kar raha tha tho ittefaq se muje es masle par nazar paree tho socha yaha kisi ka faida ho jae .

Sawal:
Pakistan mein 1977 gambling act ke qanoon ke tehat sports betting mamnoo hai aur Allah pak aur is ke neechay rasool  ka farmaan bhi is hawalay se bohat wazeh hai, is ke bawajod Pakistan mein sport betting aur surrogate advertising ke zariye bohat ziyada farogh diya ja raha hai, aur is ke liye khaas tor par cricket ke khail ko Pakistan mein target kya ja raha hai, kyunkay yeh khail awam mein be had maqbool hai, aur is ke chand matches ko billion log tak dekhte rehtay hain. surrogate advertising se morad is qisam ki advertising hai jahan asal cheez ki tashheer ke bajae ( jo ke aam tor par mamnoo hoti hai kisi doosri cheez ki aarr le kar mashoori ki jae, khail ke shobay mein yeh companies aam tor par news, sports blog honay ka daawa karti hain. jab ke haqeeqat mein woh betting promote kar rahi hoti hain, kuch companies –apne naam mein mamooli si tabdeeli kar ke bhi promotion karti hain, jaisay ke bet ke bajae bat likh kar ya makahffaf likh kar  tareeqa naam ko tabdeel karne ka woh jo chahay ikhtiyar kar mein. yeh companies google mein apni betting ki site ko is tarteeb se rank ( rank ) karti hain, ke jaisay hi koi aam aadmi surrogate betting name online talaash kere woh usay asal betting websites hi pehlay dukhati hai. is se nah sirf hamari deeni masharti aur muashi qader mein zawaal Pazeer horahee hain, balkay nai nasal bhi taizi se gumraah horahee hai. Pakistan mein un companies ne pehlay kuch naamwar khiladion ko infiradi tor par apna brand ambassador bananay ki ko shash ki aur nakaam honay ke baad Pakistan ki qaumi aur sobai aur psl ki teamon ki janib mutwajjah hue, un mein se kuch companies ka un Pakistan ki cricket teamon ke sath moahida hai, jis ki aik shaqq yeh hai ke khilari khail ke douran apni shirt par un surrogate betting companies kalo go laganay ka paband hai, yahan yeh baat wazahat ke qabil hai ke is team sponsor ko chunte waqt khiladion se raye nahi li jati balkay team owners aur authorities khud faisla karti hain, yahan is baat par bhi zor dena zaroori hai, ke cricket football aur deegar khelon se wabasta bohat se khilari infiradi tor par apni teamon ke samnay aisay logo ( logo ) laganay se inkaar karte ae hain, jo un ki eqdaar se mil nahi khatay, bahar haal ab Pakistan mein maamla yeh hai ke un surrogate betting companies ka taqreeban chaar se paanch teamon se moahida ho chuka hai. aur woh chahtay hain, ke un ke liye khailnay walay khilari un surrogate betting companies ke logos ko apni tea shirt par lagayen.
aap se sawal yeh hai ke quran o hadees ki roshni mein : a. un teamon ka aisi surrogate betting companies ke sath moahida karna kaisa hai?  

jo teams aisay croro rupay ke muahiday kar chuki hon, to inhen ab kya karna chaiye? agar teams kisi bhi wajah se un muahidon se bahar nahi askati, to un ka –apne khiladion ko aisay companies ka logo ( logo laganay par majboor karna kaosa hai ?

 infiradi tor par khiladion ko is soorat e haal mein kya kar na chahiye? khaas tor par is waqt jab ke un ki teams mein chahti hon ke woh logo laga kar khelain ?

agar koi khilari hazraat nah jantay huwe is surrogate betting companies kalo go pehantay rahay, to un ke liye kya hukum hai?

neez yeh ke kya is baar bhi inhen logo laga lena chahiye? kyunkay moahida un ki teams
 kar chuki hain aur khiladion ke logo nah laganay ki soorat mein teamon aur malkaan ko karorron rupay ke nuqsaan ka andesha hai. quran vasant ki roshni mein rahnumai kare

Al-jawab:


wazeh ho ke jo aavr qimaar Shariat ki ro se najaaiz aur haraam hai, quran o hadees mein is ke mutaliq sakht qisam ki o eid mein warid hui hain, chunancha quran Majeed mein Allah Tabarak o taala ne is amal ko shaytani amal qarar diya hai, aur nabi kareem sale Allah alaihi wasallam se aik riwayat mubarikah manqool hai ke do jis shakhs ne juaa khela, goya ke is ne khanzeer ka gosht khalya' ' neez jis terhan juaa khelna najaaiz o haraam hai, isi terhan جوۓ “ ki tashheer o tarweej mein sarahta ya bil qasd وارادہ ضمنا hissa lena bhi gunaaho ke kaam mein muawnat ki wajah se quran Majeed ki Sarih نصوص ki ro se najaaiz aur mamnoo amal hai, is mukhtasir tamheed ke baad tamam sawalaat ke tarteeb waar jawabaat likhay jatay hain :

( 1, 2, 3 ) qaumi aur sobai teamon ke malkaan ( team owner ) aur authorities ke liye betting ki companiyon  ke sath aisa moahida kar na jis se logon mein un companiyon ki tashheer o tarweej maqsood ho, is mein agar chay qanooni girift se bachney ke liye un companiyon ke naamon mein kuch mamooli rdobdl ke zareya tabdeeli ki jaye aur un companiyon ki  advertising ke bajae is ke liye zimni tashheer ( surrogate betting ) ka rasta ikhtiyar kya jae, tab bhi chunkay bunyadi maqsad un companiyon ki tashheer o tarweej hoti hai, is liye aisa moahida kar na haraam umoor ki tashheer o tarweej mein muawnat ki wajah se sharean jaaiz nahi, aur nah hi haraam umoor ki tashheer o tarweej ke liye team malkaan ka –apne khiladion ko khail ke douran un companiyon betting ) companies kalogo ( logo ) laganay par majboor kar najaaiz hai.

( 4, 5 ) jo khilari la ilmi aur anjanay mein apni wardi par betting ki companiyon ka logo ( logo laga kar ghair danista tor par un companiyon ki tashheer o tarweej ka hissa banay hain, is ki wajah se umeed hai ke woh gunah gaar nah hon, lekin danista tor par, jaan boojh kar haraam umoor ki tashheer o tarweej mein hissa lena chunkay najaaiz amal hai, is liye qaumi aur sobai teamon ke malkaan ne agarchay zaati tor par betting ki companiyon  ke sath moahida kya ho, is mein khiladion ka koi amal dakhal nah ho, aur khiladion ke inkaar ki wajah se team malkaan ko maali tor par nuqsaan pounchanay ka andesha ho, tab bhi khiladion ke liye un companiyon ka logo ( logo istemaal karna aur najaaiz umoor ki tashheer aur tarveej ka hissa ban-na najaaiz aur haraam amal hai, lehaza en teamon ke tehat khailnay walay khiladion ko is amal ka hissa ban'nay se ijtinab ya aisi teamon ke tehat khailnay se moazrat karna kazim aur zaroori hai

Full details taken from Here
hero member
Activity: 1120
Merit: 571
20BET - Premium Casino & Sportsbook
April 26, 2023, 06:28:30 AM
Hmm ajkal trading ka kafi posts share ho rehe hain so i was wondering ka hamari community ma newbies bi trading ma interested I have a suggestion for those who don't een know the basics of the trading I have started some topics help me to keep them active. The series 1 is about to end for the topics now I will try to  start the technical analysis series of topics. Ye jo series ha iske 4 topics covered hain 5th in progress ha and 6th is going to be last oske baad technical analysis and Patterns pa main start karon series ko

Boht acha kaam kr rhya hn ap Hamza brother. Trading eik risky kaam hy aur behtr hy ky ap isko krna sa pehla behtr hy ka hum iske necessary information gather kr lyn.
Eik achi strategy jo ma samjhta hn hr kise ko pta hona chahya wo hy Dollar Cost Averaging (DCA). Is ma hum weekly ya monthly kuch fixed amount bitcoin ma invest krta hn. Agr ap bitcoin ka historical price chart dekhn to DCA eik saal ya do saal ma apko acha return deta hy.

DCA ka barya ma mazeed info ka lea is link ko check krn.  https://dcabtc.com/

DCA ka just eik downside hy aur wo ya ky ya time leta hy. Not instant profit.
legendary
Activity: 966
Merit: 1042
#SWGT CERTIK Audited
April 26, 2023, 05:58:13 AM
Hmm ajkal trading ka kafi posts share ho rehe hain so i was wondering ka hamari community ma newbies bi trading ma interested I have a suggestion for those who don't een know the basics of the trading I have started some topics help me to keep them active. The series 1 is about to end for the topics now I will try to  start the technical analysis series of topics. Ye jo series ha iske 4 topics covered hain 5th in progress ha and 6th is going to be last oske baad technical analysis and Patterns pa main start karon series ko ..

Topics Links and I need community out posters (Other sections Posters) to keep them active.



1. New to Trading - Tips and Suggestions (V1) Getting Started Full Guide
2. CEXs vs DEXs & Spot vs Future - Tips and Suggestions (V2)
3. Analysis & its Types - Importance of Analysis in Trading (V3)
4. Tips for Descriptive and Sentimental Analysis (V4)


hero member
Activity: 1120
Merit: 571
20BET - Premium Casino & Sportsbook
April 26, 2023, 03:20:40 AM
Bhai yehi to baat hai. Ham sab ko hi galat bnaa dety hen.
Or rahi bat honest person ki to jitna nuqsan ab ye honest person ap ky Mulk ko nuqsan pohncha raha hai shayad koi bhi nai pohncha raha. Hen to bass awaam ki ankhen band hen. Baqi ye Noon PPP PTI sab ky sab mily huwe hen. Or ab kaya ho raha hai  Muzakrat ( yani Seat Adjustment.) Par hamen kahan samaj aani hai. Hamen to ek hi honest person mila hai or whi sab sy zyada nuqsan pohncha raha hai.

Baqi wo bachon wala waqia qabil e muzammat hai. To galat unhin ko kahen naa ky sary idary ko.

Agr ap zara ghoor krn to PPP, PMLN, JUIF plus Army ya sub eik han. Agr kise cheez ka difference hy to wo Imran Khan ka hy. Wo kehat hn na ka agr goan ka sub choor eik ho jyn to smjhjyo ku thenadar emandar a gya hy. Baat sirf thora sa ghoor krna ke hy, agr ya Imran khan bhe inhe ke tarah ka hy to bhai itna bra itehad kyun? Asal Masla Army ko Imran khan sahy. One year guzar gya baat 2x Watches sa agya nhi barh pa rhi tmam tr koshish ka bavjood. Army ko corrupt politicans manzoor hn jo unka isharon py nachya. Ab ap ko ya to samjh a gai ho ge na ka Imran khan corrupt nhi?
member
Activity: 83
Merit: 11
April 26, 2023, 02:22:58 AM
Herose hamesha Ali Baloch
Ali Baloch jaisa nishana baaz na pehle koi paida hua na koi aayinda paida ho ga. Faqeer Kala Khan meri Baloch Sufi thay. Angrezon ne 1870 mein jab Balochistan par hamla kya to Faqeer Kala Khan ne tasbeeh chhod kar bandook uthai. Phir muzahimat ki tareekh raqm kar daali. Mojudah Balochistan ke zila Kohlu ki tehsil Kahand ki ek pahadi par Angrez army ko chaar saal rokay rakhha, British army topoon bandookon se musallah ghera tang karti rahi mahinon ke muhasire aur sinchoron foujon ki halakat ke baad jab pahadi par qabza kya gaya to bhook se nadhal Kala Khan meri Baloch apne do saathiyan Jalami Baloch aur Raheem Ali Baloch samait pakra gaya. Muqadma chala phansi ki saza di gayi. Yeh tasveer 1891 mein phansi se pehle li gayi jis mein Kala Khan meri Baloch apne saathiyan samait pakra gaya tha.
Sawal yeh hai, hum apne heroes se la ilm kyun hain, jaan boojh kar unki tareekh qoum se kyun chhupayi gayi? (Shayad Aqa Angrez ko khush karne ke liye!) In par filmain, dramas kyun nahi bane?
Kala Khan Baloch ko phansi ke baad Kolkata jo taar bheja gaya us mein likha tha "Is jaisa nishana baaz na pehle koi paida hua na koi aayinda paida ho ga
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
April 25, 2023, 09:40:22 PM
Bitcoin Price Fluctuations Next Target 30k$

G brother, Kal rat Bitcoin ne bht achi move show ki jis ki waja se Bitcoin ki price dobara se takrrebun $1000 rise hoi or es waqt bi Bitcoin 28,360 pe trade ho reha ha. Mere technical analysis k mutabik jub tak eski price 21 weekly EMA se oper ha toh hamein ghabrany ki koi zarurat nhi ha. kuch correcftion aa sakti ha mgr overall trend positive hee ha or mujhy pori umeed ka 2023 k end tak Bitcoin ki price 50K k aas pass ho gi. INSHA ALLAH.




https://www.binance.com/en/trade/BTC_USDT?theme=dark&type=spot
newbie
Activity: 5
Merit: 0
April 25, 2023, 06:53:10 PM
Is there any news about PIE network ?
hero member
Activity: 1428
Merit: 513
Payment Gateway Allows Recurring Payments
April 25, 2023, 04:13:30 PM
Your Network is your Net worth
well said bro, baat dil ko lgi. it's like affliate, ajkl sari duniya my yehi chl rha hai hr dosra bnda social media pr followers akhty kr ky products and ads ky review dikha kr net worth create kr rha hai, but baat waqai thik hai. Lekin koi iska sai use krta hai or koi ghlt, (not accusing anyone) bs bata rha. baki wo idea flop kr diya meetup ka idk ky dobara inka dil kry, baki wesy to jb galadiator bhai ki shadi thi tb unho ny sbhi ko dawat bi di thi and i doubt ky koi gya ho ga. As my ny to phly kh diya tha i am sorry, baki umeridrees bhai shaed gy hoo as he was excited. Lekin mujhy doubt tha ky pta nhi galdiator bhai enhy enter hony dety hahaha.

... Eid Mubarak wish kia ❤️
Sab sy pehly Faisal Bhai Alhumdulilha m Pakistani ho Bhai Jan...
ary nhi nhi Unkown OP bhai my ap ko nhi LDL sy kh rha tha as apka name mai ny ab dekha ky LDL ky pichy is trha likh ho gya jasy ap sy or LDL dono sy pouch rha hoon, it was my mistake, muhy to idea bi nhi ky ap ny bangli bhaio ko bi wish kiya tha, drasl LDL ki pak community my i think first post thi isliya pouch liya my ny bi.

Acha one more thing, yeh oper apny ny heart ka sticker kasy add kiya AFAIK jo oper list hai message area my un ky ilawa or ho nhi skty, Please thodha guide kriya ga if possible.

First of All Happy birthday day to me🫣😍
Happy Birthday dear Zainmalik bro, May you live long a healthy, wealthy and happy life with your loved ones. Khuda apki sb muradain pori frmy. Masha Allah, badhi kushi howi, ab birthday cake bi khila do bagair cake ky birthday kasy. hahah. ha gift ki baat cake ky baad.

Where are you dainslain bro i am waiting for your post about BTC, kafi constructive post bnaty ap without redundancy.
legendary
Activity: 966
Merit: 1042
#SWGT CERTIK Audited
April 25, 2023, 03:06:04 PM
Bhai, agar aap ki ye baat maan li jaye to phr to is system ko aisay hi chalnay dena chahiye. Matlab phr to hum mei sab mei kami khtahi hai to phr unko kuch nahi keh saktay to phr chalnay do... gilla kaisa.. phr to enjoy kero.

Essi baat nai haa boss, jo galat ha osko galat bolna zarori ha magar khud batao ka ajj war start ho jaye to kia in Genrals ne ja ka humain bachna ha ye wohi Soilders honge jo apke mere bhai honge jo ka hamri hifazat karain ge apni jaan de kar. Baiq kuch Genrals ki gaalt policies ki saza pore institute ko nai sakte apki isi baat pa ikhtlaff haa main ne apki post pa comment kia tha muje laga ksi orr ne respond hi nai kia but Themepen ne kia tha achi bat ha karna bi chaiye tha.

Baqi ye bi sai ha ka galat ko gaalt kaha jaye chahe wo phir Army chief ho ya PM ya phir clerk. Jiska jo kam ha wo osko karna chaiye bass itna hi magar hamre isntitutes khud ko Hukmaran smjhte jubke wo sirf Mulazim hain jo ke onko yaad rakhna chaiye..
member
Activity: 278
Merit: 21
April 25, 2023, 02:52:13 PM
Bitcoin price can ‘easily’ hit $20K in next 4 months — Philip Swift
I am not a pro, but i believe right now Bitcoin price is 27.5K USD so if it is to go to 20k that won't be bull market but a bear market and it won't hit $20k, it'll drop to $20k
As i said earlier, i am not a pro so may be i m missing something here. need some expert advice, if available ?
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
April 25, 2023, 01:54:44 PM
Bitcoin price can ‘easily’ hit $20K in next 4 months — Philip Swift
Assalamualaikum sabhi bahiyon ko Bitcoin market analyst aur DecenTrader aur Look Into Bitcoin ke co-founder ka khayal hai ke Bitcoin ka bear market khatam ho chuka hai aur 2023 ke aakhri hisse mein Bitcoin ko grow karne ka waqt hai. BTC ki 2023 mein keemat ke performance ne Swift ko hairat nahi di hai kyonki Bitcoin ko depression ke lambe dauraan ke baad badi harkatein karne ki history hai. Agley cycle ka blow-off top ke bare mein Swift ummeed karta hai ke long-term holders $80,000 se upar apne Bitcoin bechne lagenge  jisse naye supply market mein aayegi. Woh blow-off top ki haqeeqat mein ek range $120,000-$210,000 ka bata raha hai. Swift abhi bull market comparison aur 1yr HODL Wave par tawajjuh de raha hai jismein long-term holders ne accumulate kiya hai aur jab tak keemat nayi all-time high naa banaye woh nahi bechenge
https://cointelegraph.com/news/bitcoin-price-can-easily-hit-20k-in-next-4-months-philip-swift


Bitcoin 1-year HODL Wave chart. Source: Decentrader

Bitcoin MVRV Z-Score chart. Source: DecenTrader

member
Activity: 278
Merit: 21
April 25, 2023, 01:11:24 PM

Ye sab aik hi thali kai baigun hai. har koi apna apna hissa leta hai. jo chotay level pai hai wo thora hissa leta hai aur jo high ranked hain, wo bara hissa letay hain. waisay aik time tha mei bi aap ki hi tarhan sochta tha, but not any more.. mulk ki ye halat in ki waja sai hai, kuch ki curruption ki waja sai aur bakion ki kamoshi ki waja sai. kyn kai kahin na kahin har koi apna hissa lai raha hai
Wesy herat hoti hai bhai ap ki soch par. Mery pyary bhai pehly ye dekhen ky ap khud kitna saaf hen. Khamoshi ki bat to ap naa hi karen bhaii khamosh wo nai khamosh to hum hen. Petrol 150 tha tab bhi khamosh petrol 250 hai tab bhi khamosh. Bijli Rs.5/ unit thi tab bhi khamosh Rs.13/ unit hai tab bhi khamosh. USD 100 tha tab bhi khamosh or ab 290 par hai tab bhi khamosh. Veer ji un ka koi qasoor nai hai. Ham khud badlen gy to zmana badly ga.

Bhai, agar aap ki ye baat maan li jaye to phr to is system ko aisay hi chalnay dena chahiye. Matlab phr to hum mei sab mei kami khtahi hai to phr unko kuch nahi keh saktay to phr chalnay do... gilla kaisa.. phr to enjoy kero.
Jump to: