Garmi Mein Janwaron Aur Parindon Ki madad karien Jo ham Insaniyat Ka Farz HaiAssalamualaikum sabi bahi kese hai umeed hai theek Hun gy .
Garmi apne urooj par hai aur darja hararat din ke waqt 46 se 47 centigrade Temperature tak pohanch jata hai. Is qadar shiddat ki garmi sirf insani sehat ke liye nuqsan deh nahi balkay
masoom janwar aur parinday bhi is se musalsal tarap rahe hain. Hamara insani aur insaniyat ka farz hai ke hum apne ird gird in jaanwar aur parindon ka khayal rakhein.
Aksar ye pyas se behaal aur madad ki talash mein hamare aas paas bhatak rahe hote hain. Is liye zaroori hai ke hum apne gharo ke bahar ,chaton par aur dukanon ke agay paani ka bandobast karein. Barf aur thanda paani bartanon mein rakh kar in bebaas janwaron ke liye sahulat faraham karein. Paani zindagi hai aur yeh masoom makhlooqat apni jaan bachane ke liye pani ki talash mein niklte hain. Agar hum unhein paani faraham karein to yeh ek badi insaniyat wali baat hogi. Paani rakhne se na sirf yeh janwar apni pyas bujha saken ge balkay yeh hamari taraf se ek qeemati madad bhi hogi. Jab garmi apne urooj par hoti hai to yeh janwar aksar chhaton par ya sookhi jagahoon par aake baith jaate hain paani ki talaash mein inhe kahin door tak bhatakna parta hai.
Aaye hum sab mil kar in masoom janwaron aur parindon ke liye kuch paani rakh kar unki zindagiyan bachane mein madad karain .
Waalaikum assalam
Omeed hai ke aap bei khairiyat se houn gei
Appka bouht shukrea hum Seib Kei tawajjah es tareif lanei Mei aur Aapne bouhyt aham aur insaniyat bahrii baat kei tareif tawajju delaii hai. Garmi ka jo season chl rha hai us mei na seirf insaan balkei animal aur birda bei sakht pareshani aur garmei ka shikaar hain. Humara farz hai ke hum en masoom aur bei zubaan makhlooqat ka bei khayal rakhein.
Aaj kal garmi apne urooj par hai aur 46 se 47 centigrade tak pohanch rhi hai. Is garmi se sirf insani sehat hei nahi balki jaanwar aur parinday bei garmei mutasir huu rhei hai. Hamain chahiye ke hum apne gharo ke bhar chaton par aur dukanon ke agy paani ka intizam karein. Barf aur thanda paani bartanon mein rakh kar in bechaari makhlooqat ke liye sahulat faraham karein. Yeh ek choti si koshish bohot badi insaniyat hai.
Jis tarah paani insaan kei leiye zaruori hai waisei he yh janwaroo aur parindoo Kei leiye bei paani ke baghair nahi reh sktei. Inke leiye paani rkhna eak insani aur insaniyat ka farz hai. Yeh bebaas makhlooqat jab apni pyas bujhaengi tu yei hamari treif seu unkei leiye aek qeemati madd hougi. Garmi kei deino mei yh aksaar chhaton ya sookhi jagahoun pr paani ki talaash mei bhatk rahei hote hain.
hum sab mil kar in masoom janwaron aur parindon ke leiye paani rakh kar inki zindagiyan bachane mein madad karein. Yeh ek choti si koshish hamari taraf se bouht bara step hoga humanity ki taraf.
Mei nei aapkei abei post kou read kea Tou forun chaht peir gea Check Karnei Kei leiye Paani Ka matka bahara AJ bahrta tha ya ni aur abei Raat Ka time hai