Tmam Pakistani bhaio Ko Mubarak Zil Hajj Ka Chand Nazar a gia
Assalamu alaikum tmam bhaio KO umeed karta ho sab Khariyat Sei Hou gay!
Mashallah sy AJ Zil Hajj Ka Chand nazar a chuka h or news Kei mutabiq Saudia arabia my 16 June Ko Eid manai jay ge or Pakistan my 17 June Ko Eid manai jay ge mtlb AJ sy theek 10 din bad Bakra eid ki amad shoro ho jay ge
Umeed Karta ho sab bhaio ny Bakra Eid ke leye qurbani khareed li ho ge mujy exact to ni pata kitny din pehly lekin ye zaroor pata h qurbaniky janwar Ko eid sy Kuch din pehly he ghar my ly ay aur uski khoob khidmat karay eid sy pehly Issy apko booht agr o swab milay GA
Waalikun assalam bahi ap ko b zul hijjah ka Chand Mubarak.
Ab in 10 din ke Fazilat ke taraf chalty hain :
Hamray payaray
Rasulullah (SAW) farmaty hain ke in 10 dino mein Allah ko neik amal buhat zyada mehboob hain. Ye jo pehli tareekh se le ke 10 tareekh tak din hain in mein koi bhi neiki ki jaye jaise roza rakha jaye tahajjud padhi jaye sadqaat o khairaat kiye jayein ya koi bhi neiki ka bhalaayi ka kaam kiya jaye to iska sawab aam dino se zyada milta hai.
Doosri baat yeh ke yeh jo ayaam hain inki
Quran Majeed mein qasam bhi uthai gayi hai: Qasam hai fajr ki aur 10 raaton in 10 raaton se muraad Zul-Hijjah ki raatain hain. To inke din ki bhi fazilat hai aur raat ki bhi fazilat hai.
Aur
Rasulullah (SAW) ne in ayaam ke baare mein farmaya ke jis shakhs ka irada ho qurbani karne ka to usko chahiye ke in dino mein apne naakhun aur baal na kaate. Ye farz waajib nahi hai lekin afzal ye hai ke jisne qurbani karni ho wo pehli tareekh se le kar jab tak qurbani na kar le apne baal aur naakhun na kaate.