السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Industry leaders ke mutabiq Solana ka infrastructure traditional payment systems ke sath asani se integrate ho sakta ha aur confidential transfers jaise features ka izafa institutions ke darmiyan iski adoption ko mazeed barha sakta hai. Fireblocks ke vice president Ran Goldi ne zor diya K Solana ko payment institutions ke liye ek taqatwar tool bana deti hain. $4.7 billion se zyada TVL ke sath Solana mustaqbil mein ziada adoption dekhne ke liye tayar hai jab ke ziada se ziada institutions apne offerings ko future proof karne ke liye iske advanced blockchain technology ka faida uthate hain.
Walaikum salam, brother, Mere khayal mein Solana k network ka infrastructure abi bi itna reliable nhi ha k esko kisi major payment system ko handle ker saky kun k congestion ki soorat mein abi bi network outage ki complaints han. Laikin yeh bat itminan bhakhsh ha k Solana k network mein musalsil technological advancement ho rehi ha jis ki waja umeed ki ja sakti ha k future mein Solana mein massive growth aa sakti ha or yeh bi mumkin ha k eska ETF bi aa sakta ha, agr aisa hoa toh eski price mein significant izafa ho sakta ha. DYOR