Author

Topic: Pakistan - page 285. (Read 5985833 times)

hero member
Activity: 2422
Merit: 875
November 27, 2023, 07:09:02 AM
Palestine Ki to halat bohat buri Ki hui hy waqy hi. Allah Pak unki mdad farmaye. Palestine Ki sari awam Ki nazren tmam Islamic mumalik par hen lekn in Ki taraf sy koi BHI in KY liye awaz nai utha raha ma siwaye Yaman KY. Kher Allah un sab ko gherat ata farmaye.

Ham be bass hen ham khud to jihad nai kar sakty lekn in Ki products kaa boycott kar KY ham APNA farz Ada kar sakty hen.
Ye kuch or details hen in ko products Ki to ham sab ko chahye khud or apny relatives or dosto ko BHI bchaen.

Hum na ghr ma Dalda ke jagha ya local cooking oil 'Kausar' try kea hy. Iski price bhe Dalda sa kam hy aur zaiqa ma bhe koe khas difference nhi mehssos hua. Protest sirf short term nhi hona chahya balka ya long term hona chahya. Local brands ka item try krn is sa hmari local industry bhe grow kra gi. Baqi Patti ma bhe is bar Tapal lya hn jo eik local brand hn.
Is poqa ka local brands ko bhe fayda uthana chahya aur apna mayar oper lyn taka log inki products zayda sa zayda lyn. Ap jb bhe soda lena jyn to koshish krn ka local products he lyn.
Abhi crypto ma to koe local brand available nhi so hman bitcoin aur degar alts ma invest krna ho ga.


Ap sab ko pata hoga k National T20 cup ho raha hai jis mai Pakistan ke players khel rahain hain.
 
Asal baat ye ni hai asal baat darsal kuch yoh hai ke ap sab ko Azam Khan ka toh pata hi hoga, toh Azam Khan ne apna bat mai Palestine ka flag lgaya hua hai aur usi bat se woh match mai batting kr tein.

Aur ye aik achi baat bhi hai because wo Palestine ke haq k liye awaz utha rahein hain pr afsoos iss baat ka hai k PCB ne Azam Khan 50% fine liya hai issflag ko laga k khelna ka.
sr. member
Activity: 448
Merit: 354
November 27, 2023, 07:01:45 AM

Hum na ghr ma Dalda ke jagha ya local cooking oil 'Kausar' try kea hy. Iski price bhe Dalda sa kam hy aur zaiqa ma bhe koe khas difference nhi mehssos hua. Protest sirf short term nhi hona chahya balka ya long term hona chahya. Local brands ka item try krn is sa hmari local industry bhe grow kra gi. Baqi Patti ma bhe is bar Tapal lya hn jo eik local brand hn.
Is poqa ka local brands ko bhe fayda uthana chahya aur apna mayar oper lyn taka log inki products zayda sa zayda lyn. Ap jb bhe soda lena jyn to koshish krn ka local products he lyn.
Abhi crypto ma to koe local brand available nhi so hman bitcoin aur degar alts ma invest krna ho ga.
Ye to bohat achi bat hy.
Asal my Bhai hamen un KY brands Ki adat ho chuki Hy jiss ko khatam Karna hi chahye. Jab apny local brands ham use Karna Shuru kar den gy to yaqeeni bat hy ham us KY BHI Aadi ho Jaen gy. M
Hmary Haan to Shuru sy hi Sufi ka istemal hota Hy Jo KY bohat acha hy or hy BHI local brand hi.
My khud cold drinks kaa bohat Aadi Tha in KY brands ka par Kaya hy KY ab bilkul chor hi di hy. Or Agar pini BHI to Gourmet Ki pi lety hen.
Or الحمدللہ mery Ghar my in KY Kissi BHI brand kaa use nai hota. Or naa hi kabhi hoga. انشاء اللہ.

Baqi bohat Khushi hui. Sab ko hi Karna chahye or log kar BHI rahy hen in KY shares Ki Matt wajj Gai hy. Or ab offers par offers dy rahy hen. Jesy ye EK chotti C example hi LY Len. KY kesy khud ko Saad Karny Ki Koshish kar rahy hen ye. Par in Ki in chalon my nai ana انشاء اللہ.

full member
Activity: 742
Merit: 201
November 27, 2023, 06:44:26 AM
Palestine Ki to halat bohat buri Ki hui hy waqy hi. Allah Pak unki mdad farmaye. Palestine Ki sari awam Ki nazren tmam Islamic mumalik par hen lekn in Ki taraf sy koi BHI in KY liye awaz nai utha raha ma siwaye Yaman KY. Kher Allah un sab ko gherat ata farmaye.

Ham be bass hen ham khud to jihad nai kar sakty lekn in Ki products kaa boycott kar KY ham APNA farz Ada kar sakty hen.
Ye kuch or details hen in ko products Ki to ham sab ko chahye khud or apny relatives or dosto ko BHI bchaen.

Hum na ghr ma Dalda ke jagha ya local cooking oil 'Kausar' try kea hy. Iski price bhe Dalda sa kam hy aur zaiqa ma bhe koe khas difference nhi mehssos hua. Protest sirf short term nhi hona chahya balka ya long term hona chahya. Local brands ka item try krn is sa hmari local industry bhe grow kra gi. Baqi Patti ma bhe is bar Tapal lya hn jo eik local brand hn.
Is poqa ka local brands ko bhe fayda uthana chahya aur apna mayar oper lyn taka log inki products zayda sa zayda lyn. Ap jb bhe soda lena jyn to koshish krn ka local products he lyn.
Abhi crypto ma to koe local brand available nhi so hman bitcoin aur degar alts ma invest krna ho ga.

hero member
Activity: 812
Merit: 619
November 27, 2023, 06:28:01 AM

Brother, In fact koi bi crypto exchange 100% safe nhi ha mgr https://www.coinbase.com/exchange k bary mein mein yeh bat keh sakta houn k yehan pe funds bht hud tak safe han eski ek waja toh yeh ha k yeh funds ko cold wallets mein rekhty han jahan se hacking mumkin nhi hoti, or coinbase Newyork ki stock exchange mein  https://www.nasdaq.com/ listed ha, or listed companies bht zimmadari ka muzaha kerti han ku k woh SEC k samny jawabdah hoti han or vehan pe es k shares ki bi buying/selling hoti ha. Essliye yehan pe koi regulatory issue bi nhi ha.

Exactly mere b yahi soch hai. Coinbase k elawa aisa koi exchange nahe ha mere khial ma jaha Coinbase ki tarah security system ho aur jaisa k ap ne mentioned kia k nasdaq jaise bare exchange ma es k shares available ha , Mukammal regulated hai tho users ka fund kaafi had thak safe hai agar wo khud kuch 2 numberi na kare.


Coinbase ki downside yeh ha k yehan pe transaction fees bht zayadeh hoti han dosry Pakistani nationals k account yehan pe allow nhi han.

Kisi ne sahee kaha k "" Meri Kashti waha doobi jaha Pani bahot kam tha "" (phrase) bhai yahi tho issue ha k ye Pakistan ma available nahe hai warna sab se pehle crypto ma jo multi wallet bnaya tha wo yahi Coinbase wallet tha aur us waqt muje CEX exchange ka idea nahe tha magar jab ma trade par click karta tho kehte k ye ap k country ma available nahe hai. US exchanges aksar safe hothe ha k agar fund gia b tho ye wapas karathe hai.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
November 27, 2023, 05:50:23 AM
Are all exchanges safe except Binance?

Brother, In fact koi bi crypto exchange 100% safe nhi ha mgr https://www.coinbase.com/exchange k bary mein mein yeh bat keh sakta houn k yehan pe funds bht hud tak safe han eski ek waja toh yeh ha k yeh funds ko cold wallets mein rekhty han jahan se hacking mumkin nhi hoti, or coinbase Newyork ki stock exchange mein  https://www.nasdaq.com/ listed ha, or listed companies bht zimmadari ka muzaha kerti han ku k woh SEC k samny jawabdah hoti han or vehan pe es k shares ki bi buying/selling hoti ha. Essliye yehan pe koi regulatory issue bi nhi ha.

Coinbase ki downside yeh ha k yehan pe transaction fees bht zayadeh hoti han dosry Pakistani nationals k account yehan pe allow nhi han.

Binance ko bi mein safe exchange samjhta houn jahan tak apky funds ki security ka taaluk ha mgr binance pe ek black spot lug gya ha or vehan pe regulatory issues ki waja se risky ho gai ha.

Soft wallets bi safe nhi hoty or vehan pe toh exchanges se bi zayadeh hacking hoti ha. Best option hard wallets hee han.
full member
Activity: 280
Merit: 110
Eloncoin.org - Mars, here we come!
November 27, 2023, 04:37:01 AM
GSMA Report 4.3 Billion Smartphone Owners

link
Assalam o alikum bhio GSM Association ki riport ke mutabiq duniya bhar mein 4.3 arab log smartphone istemal kar rahe ha jo dunia ki abadi ka 55% ha jin mein se 4 arab internet apne smartphones ke zariye istemal kar rahe hain. Farq mazahir ha North America aur East Asia mein zyada 4G istemal hota ha jab ke Sub-Saharan Africa aur Middle East mein bari tadad mein log 3G par bhi aitmaad kar rahe ha. Mobile internet mein izafa hone ke bawajood 3.4 arab log ab bhi internet ke muqami faide se mehroom ha khaas tor par Sub-Saharan Africa aur South Asia mein. Our 600 million log internet feature phones se istemal karte hain aur mukhtalif rukawatein smartphones ke sahi istemal mein aarahe ha jo mali nuqsaan aur dehati abadi ko mutasir kar rahi ha jis par fori digital shamil karne ki zaroorat hai.

ab tho online do ho chuka ha..  waqt k sath sath badalna parta ha. agar ham online earning se door ho tho matlab hame hardworking ziada karna hoga aur paisa kam melega.. Online earning ma skill ka hona zarore ha... Hamare log airdrop aur ponzi scheme karte ha jis se profit hotha ha leken ye long term nahe ha aur bath ye ha k agar skill seekha jae tho online earning ma aasani huge ziada. d

Dehatho ma es kee taraf tawaja kam ha jes ke waja se smart phone kee kame ha aur kai elaqo ma tho internet available nahe ha air online earning ka tho wo smjthe nahe ha.
sr. member
Activity: 420
Merit: 325
Trade Big, Win Bigger!
November 27, 2023, 02:55:29 AM
GSMA Report 4.3 Billion Smartphone Owners

link
Assalam o alikum bhio GSM Association ki riport ke mutabiq duniya bhar mein 4.3 arab log smartphone istemal kar rahe ha jo dunia ki abadi ka 55% ha jin mein se 4 arab internet apne smartphones ke zariye istemal kar rahe hain. Farq mazahir ha North America aur East Asia mein zyada 4G istemal hota ha jab ke Sub-Saharan Africa aur Middle East mein bari tadad mein log 3G par bhi aitmaad kar rahe ha. Mobile internet mein izafa hone ke bawajood 3.4 arab log ab bhi internet ke muqami faide se mehroom ha khaas tor par Sub-Saharan Africa aur South Asia mein. Our 600 million log internet feature phones se istemal karte hain aur mukhtalif rukawatein smartphones ke sahi istemal mein aarahe ha jo mali nuqsaan aur dehati abadi ko mutasir kar rahi ha jis par fori digital shamil karne ki zaroorat hai.
sr. member
Activity: 448
Merit: 354
November 27, 2023, 02:53:11 AM
Thanks, late too respond kar raha but main nee soocha is month kafi busy raha sabko reply kardon most of koo first maa kia that apka doubt that.. bosssai ja rehe hoo abi take 11th number paa ho kuch mazeed active ho jao top 10 ma a jaogee apko merit traf see 20 trx gift agar app top 8 maa atee hoo.

Best of Luck.. Keep putting efforts.
Hamza sir ye offer hmary liye valid nai hy Kaya? Koi hmari taraf BHI dhyan Karen. Hahaha.
Chalen iss Bhai ko apny top 8 my aany par reward Dena hy chalen hmaen to 5 my aany par hi dy di jiye Ga.  Grin
Kher @Fighter hero Bhai mehnat Karen ye koi mushkil Kam nai hy Agar ap dill sy Karen gy to. Yani I mostly enjoy this forum discussion karna dekhna yani like a family saa lagta hy. Smjny waly smjany waly sab log Yahan mojud hen to mujy to discussion kar KY bohat acha lagta hy or pata BHI nai lagta KY top 10 my BHI name ajata hy.



Are all exchanges safe except Binance?
Funds save Karny KY etbar sy to exchanges bilkul BHI durust jaga nai hy. We have many examples like ham ny Dekha KY Mtgox exchange ny Kaya Kiya or Abhi tak funds wapis nai Kiya us ny. Is KY bad Jo sab sy Barra collapse huwa wo FTX exchange Tha. Or ab Binance ko kafi troll Kiya jaa raha hy.

My Yahan Agar EK bat Karun to munasib hoga KY exchanges my Binance ko hi q target Kiya jaa raha hy iss Ki sab sy barri waja ye ho Sakti hy KY Agar ETF KY muqably yani jitna ETF sy pumping Hogi us par Zara pressure bnany KY liye Binance hi sab sy best place hy Agar us ko collapse Kiya Jata Hy to.

Kher koi nai jaanta KY Kaya hoga. Kuch BHI ho sakta hy.
Or rahi bat ap KY swal KY regarding KY Kon sa exchange acha hy?
To in my point of view funds KY etbar sy koi BHI acha nai hy. Han Agar wesy trading wagera karni hy to I think Okex EK acha exchange hy. DYOR.
sr. member
Activity: 336
Merit: 292
Vave.com - Crypto Casino
November 26, 2023, 11:52:11 PM
Are all exchanges safe except Binance?




Asalam o Alekum :Dosto pechly kaafi arsy se Binance ke muthaliq khabren shoroo ho chuki thi,aur ab to os ka result bhi aachuka hai.jab bhi daikha log yahi kehty the aur kehty hain ke Binance se apny fund nekalo,kiyonky Binance kisi bhi waqat khatam ho sakta hai,halanky Binance dunya ka top exchange hai,magar ab bahot saary log muj samait apny fund binance se nikal kar dosry exchanges main transfer kar rahy hain.

To ab sawal ye hai ke kia dosry exchanges Binance se zyada mehfooz hain ? kia wahan hamara fund safe ho ga? Binance to pir bhi itna arsa muqabla karta raha ,agar ye muhamla kisi dosri exchange ke saath howa to itni bardasht kisi dosri exchange main mujy nazar nai aati.is leye mery khayal main Exchange koi bhi mehfooz nahin hai,apny asasy apny pass hi mehfooz hain,hamen kisi bhi exchange ke bharosy nahin rehna chahyee.Aap logon ka kia khayal hai,konsi exchange Achi hai?
member
Activity: 71
Merit: 32
November 26, 2023, 11:46:21 PM
Thanks, late too respond kar raha but main nee soocha is month kafi busy raha sabko reply kardon most of koo first maa kia that apka doubt that.. bosssai ja rehe hoo abi take 11th number paa ho kuch mazeed active ho jao top 10 ma a jaogee apko merit traf see 20 trx gift agar app top 8 maa atee hoo.
Best of Luck.. Keep putting efforts.

Shukriya bhai apka INSHA ALLAH may kushish karonga ky may top may ajao ha bhai ye bat hai insan ki masrofiyat hoti hai zindagi may tab insan ek cheez ko pura waqt dena mushkil ho jata hai ha abi. Meri puri kushish hai ky November ky month may may be top par ajao mehnat karne may ek alag maza hai jo insan mehnat karta hai ALLAH PAK unko zarore kamyabi deta hai. meri kushish hoti hai may zeyada tar active raho abi apne jo muje gift ka kaha abi to may bar poor kushish karonga ky har time active raho ab to may aur kushish karonga q ky abi bat top 8 pe agai hai apka shukriya mere bhai. abi 11 num pe ho matlab itna door nahi ho abi be mere pas 3 din hai.


sr. member
Activity: 448
Merit: 354
November 26, 2023, 10:07:24 PM

Brother apko zyada shock hoony Ki zaroorat Nahi aisa chalta rehta ha, Kabhi Kabhi delay ho Jata haa but agr yeh campaign band hogaya toh participant ko ik rupya bhi Nahi mily ga q ky past Mai ik campaign ta betterhaul ky name sy jisy CIA ny seized kardiya aur uski 1.5 week payment pending te so royse nu apni taraf sy woh saary paisy Diya aur usky baad uss ny rule banwa Diya ky Mai Kisi ko uski pending payment daany ka zimidaar Nahi hu ap escrow address check Karky participate kary warna na kary q ky apni participation apki risk par Hoge. So bs Abhi yeh scene bad haa but mujy laghta ha Sinbad acha project haa jald Ki escrow Mai fund daal Karly sabko 3 week Ki ik sath bare payment dy kar mojy Karwa dy ga. So umeed haa apka concern clear hogaya hoga
Wesy ye to bohat achi bat hy KY manager ny apni jaib sy pesy diye thy. Or rule to pehly BHI bnana chahye Tha kher us ny iss seekh LY Li or ab kafi maqbool manager Hy or kafi campaigns handle BHI kar raha hy. Or bat BHI sahi hy KY rule bnana chahye Tha. KY Agar campaign waly yani company hi escrow nai Karti wallet to is my manager Ki Kaya galti jab KY address manager ny Diya huwa hy.



Baki apki neechy wali image thoore oversized haa Mai NY isko thoora choota kardiya haa so ap iss link ko apny image ky link Sy exchange kardy toh yeh behtr ho
Code:
[img width=500 height=500]https://i.ibb.co/2KDDTsF/img-2023-11-25-09-09-28.jpg[/img]
Bhai thanks for sharing. Baqi ap Meri pichli sari posts dekh sakty hen my ny sab my hi width or height ko adjust Kiya hy. Par is my Chun KY andar Likha mwad parhwana zruri Tha. To my ny adjustment nai Ki esy hi post kar di ta KY resolution Ki waja sy kahin pic share Karny ka asal maqsad naa pichy reh Jaye..



Snip
Chalen g koi bat nai bss Yun ho naa Jo payment pending hy wo mil Jani chahye. Taa KY kis hui mehnat kaa phal to mil Jaye. Baqi Agar campaign continue nai karni wo mixer walon Ki marzi par pending payment dy Deni chahye.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
November 26, 2023, 09:36:55 PM

Assalamulaikum kaise hu frinds ap sub log umeed  hai  ka ap sub log khariyat se hunge  agr  hum  coinmarketcap me Ethereum ETH  ko dek len tho  7 DIN ME 5.83% tak  uper gaya hai aur 24 hour me 0.15% neeche aya  hai matlb thorah sa  kam huwa hai  leken . Es se andazza hotha ha k market ma opar jaane ki umeed ha. Aaj ek coin k analysis karte ha jis ka name  ha steller XLM .Es waqt ap steller chart  coin ko dek sakte hu ka es ka abhi current price ye  hai 0.1225 hai or mere khayal me jo es ka trading plan hai wo ye hai K agar es ma hum es price par entry le tho omeed ha k ye opar ja sakta ha. hum es ko 0.1225 me buy kar sakte hai or eska target jo mere khial mai 0.14 hoga jaha per hum ye coin  ham sell karege tho hame profit hoga.  Matlab  0.1409 tak uper ja sakta hai or sloploss jo hai es ka wo ye hai  0.1449 karna ha or ap logo ka pass agr extra usdt ha tho meri rae ha k aap log es me invest kar sakte ha. agar kisi ko kuch poochna ha tho pooch le. Mai khud student ho aur seekh raha hoo.
Details


Walaikum Brother, Steller (XLM) or Ripple (XRP) dono coins ka use case aik jasa hee, dono hee zayadeh ter cross border transaction k liye use hoty han or en k clients bi banks hoty han, Or akser dono ek sath brty han or ek sath hee girty han. Agr XRP k casi ki Security and Exchange Commission (SEC) k sath koi settlement hoti ha toh eska impact Steller pe bi ho ga. Steller ka ATH $0.94 ha or market ka sentiment positive hony ki soorat mein esko break ker sakta ha. DYOR
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
November 26, 2023, 09:27:37 PM
Walikumsalam Belkul Internet jo hai wo aj ky dor ma har jaga zarort hai aur jo be kam ho chahe wo website ho Bank ho jo cheez chalti hai wo sara kam internet pe chalta hai aur dosri bat hamare chahne se kuch be nahi hota agar hum chahe ky hum ye kary to wo nahi kar sakte hai aur rahi hamare country may to hamara country har cheez se peeche hai jaha par internet 4G hai waha pe 3G ajata hai aur jaha 4G ata be ho to waha kam 3G ka karta hai to jab hamare country may internet system sahi nahi hai baqi kiya taraki karega aur mazy ki bat ye hai ky yaha ek kamry ma zong ky signal chalenge aur dosre may telenor ka internet chalega to ab banda konsa internet use kary.
Asal my na bhai yahan awamky liye sochta koi nai hai jo bhi ata hai apni jaib bharta hai. Not even our hukmran ap kissi government idary my chaly jaen nichy sy kar upar tak ap ko har banda rishwat leta nazar aye ga. To iss surat my ap ki network wali companies kesy sahi chalen gi. Shehar my to kuch behtar service mil jati hai gaon my to phr bhi koi chakkar nai hai. Bhai ham abhi bhi samaj len jam az kam 15 sy 20 saal pichy hen baqi dunya sy.

Hamare country ky elewa jo be country hai wo bs aisy may lagy hai ky hum dosre country se agy nekal jaye tabhi tajraby karte hai aur kamyab ho jate hai ab insan souch ly jaha internet ka itna tez chalna ho waha har kam second ma hoga waha ky logo ko har kam may asani ho ab yaha pe to deka jaye hamare bank ky system sahi nahi waha pe be keh dete hai ky internet kam nahi karta hai awam ko to choro pehle ye Bank waghera ka system sahi kary ye behter hai ham ye taraki nhi kar sakte hai hamara pehle bijli ka system sahi nahi hai aisa kuch hai nahi jo hamare country us me agy ho ya sahi chalta ho. Bs dua kar sakte hai ky ALLAH PAK hamare mulk pe reham kary Ameen.
Bhai ap zyada door kiu jaty hen India hmary sath hi azaad huwa tha naa. Ap dekhen zara wo Technology my kahan sy kahan pohnch gaye hen. Barr barri companies my ap ko India ky hi CEO nazar ayen gy.
Or hmary han Technology kaa to bohat bura haal hy filhaal. Halan ky Bitcoin ek bohat mqbool currency hai. Par hmari taqreeban 80% awam ko issi kaa hi nai pata hai.
Han ye fiber kaa net kuch behtar hai ye cable net sy. Jo gharon my provide kiya jaa raha hai or ye bhi sirf or sirf Shehron my hi mojud hai gaon tak to bilkul b rsai nai hai.



Jaise k Themepen ko mai ne btahya tha k Royse sir ka new signature compaign aane wala ha aur wo b mixer ka aur Themepen sir ne kaha k apka koi direct lain den ha kia tho wo signature bil aakhir taweel muddat k intezar k bad aa hee gia. Meri request ha Umeridrees bhai se k ap es ma apply kare. Minimum start Senior se ha so es se kam wale  k leye sorry w k wo ap k leye nahe hai. Payrate bahot acha hai agar koi accept huwa tho maze kare. Allah Pak sab k leye aasani farmae
Snip
Bohat bohat shukriya bhai my ny bhi apply kar diya hai baqi selection hona ye ab naseeb ki bat hai.
Baqi waqy hi my is ky pay rates to bohat hi achy hen I think ky ye sab sy zyada pay karny wali campaign hy ab tak ki yani $7 per post. Yani baqi koi campaign $7 per post nai dy rahi. Han Sindbad ka reward zyada hai par us my 40 posts per week hen or yahan 25 posts hen.
Kher dekhty hen kaya banta hai.?
hero member
Activity: 812
Merit: 619
November 26, 2023, 09:03:08 PM
Henn!
3 weeks sy payment nai Mili. MATLAB ESA BHI hota hy. I don't have much experience. Yani ap posting kar rahy hen or payment nai Mili. MATLAB milty gi BHI KY nai. KY ap Ki mehnat zaya to nai Hogi?
Yaa Shayad ESA ho KY campaign band Karny waly hon ye iss liye delay kar rahy hen yani pehly wali payment clear kar KY to campaign band kar den.
Wesy ye herangi hui KY payment tuk BHI jati hy Yahan.
Brother apko zyada shock hoony Ki zaroorat Nahi aisa chalta rehta ha, Kabhi Kabhi delay ho Jata haa but agr yeh campaign band hogaya toh participant ko ik rupya bhi Nahi mily ga q ky past Mai ik campaign ta betterhaul ky name sy jisy CIA ny seized kardiya aur uski 1.5 week payment pending te so royse nu apni taraf sy woh saary paisy Diya aur usky baad uss ny rule banwa Diya ky Mai Kisi ko uski pending payment daany ka zimidaar Nahi hu ap escrow address check Karky participate kary warna na kary q ky apni participation apki risk par Hoge. So bs Abhi yeh scene bad haa but mujy laghta ha Sinbad acha project haa jald Ki escrow Mai fund daal Karly sabko 3 week Ki ik sath bare payment dy kar mojy Karwa dy ga. So umeed haa apka concern clear hogaya hoga

Sinad bahut acha Mixer project chala ha ab thak k leye. unho ne ek poora saal yaha par positive role ada kia. 52 week payment wo b bahut ache payment k sath. Pehle jo ek mixer tha 300 week wala us k bad ye mere khial ma dosre number par mixer ha longevity ma magar ab jo halat ha wo satisfied nahe hai. Ek k telegram group ma mai ne message kia magar koi reply nahe hoo raha. Support unka kaam nahe kar raha aur ANN ma b Sinbad ki team ka response nahe hai jis se nateeja nekalta ha k mamla Ghambeer hai. Chalo umeed par dunya qaim ha aur umeed ha k sab kuch teek hojaega.

G bhai aur wo jo betterhault wala signature to ha us ma mai b tha ghaliban aur per bad ma Royse ne apne jaib se paise adaa kiye. Bahot acha manager ha magat kuch DT ne usko negative deya aur remove ka name ne nahe ke rahd.


Baki apki neechy wali image thoore oversized haa Mai NY isko thoora choota kardiya haa so ap iss link ko apny image ky link Sy exchange kardy toh yeh behtr hojai ga
Code:
[img width=500 height=500]https://i.ibb.co/2KDDTsF/img-2023-11-25-09-09-28.jpg[/img]

Lagta ha ap kisi ka peecha nahe chorege jab thak k wo apne image ki width ko teek na kar de.  Smiley Ap se bahot kuch seekha ha start na aur ab b.
sr. member
Activity: 854
Merit: 364
I ❤️Bitcoin
November 26, 2023, 04:57:12 PM
Bagi bohat saray pakistan bhai Sinbad mein hien, but aun ko last 3 weeks c payment ni mili. But achi baat yeh lagi k kisi bhi sinbad member nay, rollbit mein apply ni kia aur ais ki wajah tu sab ko pata hi hogi.
Ji ye to hai kafi log hen Sindbad my kuch Mixero my hen or kuch ny Gambling signature wear kiya huwa hai. Or rahi bat payment ki to wo to mil hi jaani hai or next ye campaign umeed hy jari bhi rahy gi. Last time bhi late kiya gaya tha shayad phr bad my kar di gai thi payment. Or ab bhi shayad esa hi karen or campaign phr continue kar di jaye.
Or jis ny join nai kiya apna apna decision hai. Or rahi waja to wo sab hi janty hen ky kaya waja hai.
Haa na sir g hamra bohat Sara Pakistani members naa Sinbad join kee haa or members baqi signature sa b munsikaq haa. Lakin yaa payment late Karna sa tore parashane haa ka kye asa na ho kaa wo APNA campaign ko stop Karna ja rahaa haa. Q k yar bohat Sara Pakistani bhi ba rozgar hojyga or app ko pata be haa😁 ka halat bohat na saz gawar haa or ham be bara parashan haa.

Bs Dua haa kaa ya hamari campaign continue he raha. Baqi umeed ha ka payment 3 week par received ho gya gaa. Or bar Maza be Hoga os payment kaa q ka 3 week lamp sum hee mil jyga approximately 180 dollar sub ko mil jygaa.

Baqi haa har Kisi ke Apne Apne raya haa koi kis project ko join karta to or koi dosra koo. Ham to bhi APNA ustad (Gladiatorcomeback) kaa kahna par join nahe karta bs us na kaha haa ka ya ghalat haa ham b join nahe karta q k wo Alim haa Janta Hoga hum to NAHI Janta yar saf bat hAa.


~snip~
Henn!
3 weeks sy payment nai Mili. MATLAB ESA BHI hota hy. I don't have much experience. Yani ap posting kar rahy hen or payment nai Mili. MATLAB milty gi BHI KY nai. KY ap Ki mehnat zaya to nai Hogi?
Yaa Shayad ESA ho KY campaign band Karny waly hon ye iss liye delay kar rahy hen yani pehly wali payment clear kar KY to campaign band kar den.
Wesy ye herangi hui KY payment tuk BHI jati hy Yahan.
Ha naa dude ise Tara hee hota rahta haa, is maa tension Lena ka nahi Dana kaa haa 😁.
Payment zaroor dan gaa ya itne bari issue NAHI haa kabi kabar a jate haa. Abi Mera khyal sa wo pre-Crismistmas ha chotyoo par haa 😁. Jab online hojya gaa to ecrow refill kar kaa hama APNA payment baj da gaa.



Ooh yar very sad ke es ma full members ke Leye slots nahe ha ma ne abi check ekia read keia sub Kuch pata Chala ke ye tu waqi ma kamal ka project lag raha ha ma Kuch be huwa aur sad be , Khush UN logo ke Leye Howa Jo es ma select huwe aur sad apne Leye huwa q ke es ma koi slots nahe ha mere Leye abi lagta ha apna rank uper lay Jana phare ga q ke ma abi Royse777 ke sath emotionally attached huwa hun os ke baghir koi aur manager ke sath Dil nahe lagta. bs Duwa ha ke jaldi Sinbad management wale Contact me ajye take compaign per se start ho jaye.
Haa bilkul yaa commitment hee manager Pasand karta haa q jab app AK campaign maa apply karta haa to terms and rules par karta haa or oss maa commitment zaroore haa, Aksar manager us banda ko basand NAHI karta Jo $ ka leya campings badolat rahta haa. Haa esi Tara emotionally attached hee raha Kara.
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
November 26, 2023, 04:09:19 PM
Henn!
3 weeks sy payment nai Mili. MATLAB ESA BHI hota hy. I don't have much experience. Yani ap posting kar rahy hen or payment nai Mili. MATLAB milty gi BHI KY nai. KY ap Ki mehnat zaya to nai Hogi?
Yaa Shayad ESA ho KY campaign band Karny waly hon ye iss liye delay kar rahy hen yani pehly wali payment clear kar KY to campaign band kar den.
Wesy ye herangi hui KY payment tuk BHI jati hy Yahan.
Brother apko zyada shock hoony Ki zaroorat Nahi aisa chalta rehta ha, Kabhi Kabhi delay ho Jata haa but agr yeh campaign band hogaya toh participant ko ik rupya bhi Nahi mily ga q ky past Mai ik campaign ta betterhaul ky name sy jisy CIA ny seized kardiya aur uski 1.5 week payment pending te so royse nu apni taraf sy woh saary paisy Diya aur usky baad uss ny rule banwa Diya ky Mai Kisi ko uski pending payment daany ka zimidaar Nahi hu ap escrow address check Karky participate kary warna na kary q ky apni participation apki risk par Hoge. So bs Abhi yeh scene bad haa but mujy laghta ha Sinbad acha project haa jald Ki escrow Mai fund daal Karly sabko 3 week Ki ik sath bare payment dy kar mojy Karwa dy ga. So umeed haa apka concern clear hogaya hoga

Baki apki neechy wali image thoore oversized haa Mai NY isko thoora choota kardiya haa so ap iss link ko apny image ky link Sy exchange kardy toh yeh behtr hojai ga
Code:
[img width=500 height=500]https://i.ibb.co/2KDDTsF/img-2023-11-25-09-09-28.jpg[/img]
member
Activity: 71
Merit: 32
November 26, 2023, 01:23:45 PM
World's fastest internet service and our internet

Asalam o alekum dosto : INTERNET hamari zindagi ki aham zarorat ban chuki hai,aur ham sub ki yahi kwahish hai ke hamara net behter se behter ho,kiyonky hamari bahot saary kamon ka daromadar INTERNET ke saat jura hai.magar badkismati se yahan hamary mulk main INTERNET ki haalat bahot kamzor hai. waisy to taraqi ki daur main dunya hum se bahot aagy hai,magar khabi khabi main sochta hon ke pakistan main zindagi ki aham kamon aur rozmara ki zaroraton main jis per bahot saary logon ka daromadaar aur rozgaar hai.os main bhi bahot peechy hai,is ko aap hukumrano ki inteha darjy ki nalaiqi aur behisi keh sakty hain,zaroorat ke waqat apka page nahin khulta,kaam karna to door ki baat hai,adhy ganty ka kaam aapko 5 ganton main karna parta hai,her aik network ki SIM apny pas rakhni ho gi,pata nahin chalta kis ki net kab kaam chor dy.

Walikumsalam Belkul Internet jo hai wo aj ky dor ma har jaga zarort hai aur jo be kam ho chahe wo website ho Bank ho jo cheez chalti hai wo sara kam internet pe chalta hai aur dosri bat hamare chahne se kuch be nahi hota agar hum chahe ky hum ye kary to wo nahi kar sakte hai aur rahi hamare country may to hamara country har cheez se peeche hai jaha par internet 4G hai waha pe 3G ajata hai aur jaha 4G ata be ho to waha kam 3G ka karta hai to jab hamare country may internet system sahi nahi hai baqi kiya taraki karega aur mazy ki bat ye hai ky yaha ek kamry ma zong ky signal chalenge aur dosre may telenor ka internet chalega to ab banda konsa internet use kary.

Ab dunya ki baat karty hain,aik khabar hai ke dunya ki tez tareen INTERNET service aagai hai.jahan aik second main 150 filmen download ki ja sakti hain,hamara aik page nahi kulta.ye amrica ya koi aur mulk nahin balky hamara parosi china hai.jo dunya ke doosry mumalik se 10 guna zyada tez ho ga.aur itni tez raftaar net speed dunya ke kisi aur mulk main maujood nahin hai.ab aap kud sochen ke china apny mulk aur awaam ke leye kitna mukhlis hai,isleye to wo taraqi kar rahy hain.

source

Hamare country ky elewa jo be country hai wo bs aisy may lagy hai ky hum dosre country se agy nekal jaye tabhi tajraby karte hai aur kamyab ho jate hai ab insan souch ly jaha internet ka itna tez chalna ho waha har kam second ma hoga waha ky logo ko har kam may asani ho ab yaha pe to deka jaye hamare bank ky system sahi nahi waha pe be keh dete hai ky internet kam nahi karta hai awam ko to choro pehle ye Bank waghera ka system sahi kary ye behter hai ham ye taraki nhi kar sakte hai hamara pehle bijli ka system sahi nahi hai aisa kuch hai nahi jo hamare country us me agy ho ya sahi chalta ho. Bs dua kar sakte hai ky ALLAH PAK hamare mulk pe reham kary Ameen.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
November 26, 2023, 01:09:05 PM
Pakistan ka global carbon foot print almost negligible hy phr bhe hum sub sa zayda global warming sa affected hn. Global warming sirf eik country tk mehdood nhi balka ya pora eik area ko apna nishana bnati hy.

Brother, Apki yeh bat durust ha k Pakistan ka carbon foot print kum ha mgr hamary neighbors China or India bht bry Industrial giants han or en k energy mix mein coal, furnace oil or gas ki percentage high ha, jis ki wqaja se carbon emission bht zayadeh hota ha or yeh carbon emission Pakistan k environment ko bi influence kerta ha.

Global warning pori duniya k liye ek bht bra masla ha or zaruri ha k Factories ko es bat ka pabad kia jai k woh ISO-14000 certification hasil keren taky woh apny industrial waste or carbon emission ko properly manage kereny k liye appropriate measures lein taaky pollution kum ho saky.
sr. member
Activity: 658
Merit: 283
Hire Bitcointalk Camp. Manager @ r7promotions.com
November 26, 2023, 12:58:28 PM
Lagta ha Junaidazizi sahib abe kunware ha es leye aise bathe karte ha. Chalo time aa jaega per kaho ge Babar ko 4 shadia karne chaiye. Muje be kuch log ye kaha karte the even k hamare ek ustaade muhtaram be k Ilm se pehle Shadi na kare es leye k parai ma per susti aa jaegee magar Shadi se Allah Pak eeman ko jitna thaqwiat detha ha wo hazar sajdo se nahe.
Hahhhaha shadeed kunware Hain jnaab aur apko to pata ha pattan log jaldi shadi na karte tu bs apna tu time fix ha agr zinda rHe tu pir ossi time he hog aur kia pata osse se pehle Allah apna fazal kare aur ho jaye. Bahi Islam ma 4 ki ejazat ha tu jab ejazat ha tu Bande ko kar a chahye na ek tu hukme khudawandi Pura hoga dusra ye ke ummati zyada honge aur jetne zyada Bache honge utne zyada drajat melenge. Baqi Allah malik ha Jo os ko manzur hoga wahe hoga last ma.

Quote
Dekho ek tho Nazro ki hifazat ho jathe ha aur ajkal tho Allah maf kare Internet ka dor ha aur hamare jawan ka es na ghalt usecase ziada ha. Dosra ajkal Zana asan aur Shadi mushkil ha tho nafs ki hefazat ho jathe hai. Dosra aadmi zemdar ban jaatha ha aur banda amateur ban jaatha ha, har taraf uski soch rehte ha. teesra ye k ek best friend mel jatha hai usko jo ghami khushi ma us k shareek hotha ha
Bahi Kafi sare faide apne btaye Hain aur muje lagta ha es se be zyada honge per etne zyada faide hone ke bawajud log q dar Rahe Hain shadi Karne se ab tu molvi hazart be maydan me agaye Hain wo be kehte hain ke shadiyan karo like Tariq Masud shaib aur ma os ko Kafi follow karta hun Grin Grin es waja se nahe balke wo have masla byan karta ha ache treeqe se.
Hamre logo ne shadi ko mushkil en reemo rewaj ki waja se mushkil keia ha.
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
November 26, 2023, 12:38:17 PM
Apecoin (APE) Price Surges Amidst Market Volatility

Assalamalikum to all my community, Apecoin APE haal he me khaas aziyat ka shikaar hua ha jo $1 ke ahem resistance ke opar rehne ki koshish kar raha ha. bullish resistance aur potential downward pressure ke darmiyan. Apecoin ke aas paas ke market dynamics ne November ke tez maahaul mein investors ko hoshiyaar rakha hai. Bullish sentiment ka izhaar 11 million APE tokens se zyada strategic khareedari orders ke zariye bullish traders ki mazboot rai hai.


Bqqii 21 November ko $1.30 tak girne ke baad APE ne 30% izafa kar ke $1.70 ko par kiya hai jisse lambe arsay ke Apecoin investors ke izhaar ki alamat hain. But on-chain indicators ne haal ki keemat ke izafa mein bearish factors ki khatraat ki isharaat di hain. Khaas tor par jabke active addresses ghatein exchange par supply taqreeban dugna ho gaya hai, jo kharidar demand mein izafa ki alamat ho sakta hai.


Source: IntoTheBlock
Cryptocurrency ne Fibonacci retracement levels par do sahe correction ka samna kiya hai jo potential bullish momentum ko darust karta hai. Is doraan khaas Fibonacci levels ko stop-loss markers ke tor par istemaal kar ke market ke fluctuations mein khatraat ko kam kiya ja sakta hai. Apecoin ke keemat ke fluctuation jo $1.063 aur $1.506 ke darmiyan hai yeh is ki aziyat ko bayan karte hain, jahan ahmiyat ke support aur resistance levels short-term ke keemat mein asar andaaz hote hain. for more details
Jump to: