Asalam o Alekum : Dosto jaisy ke aap sub ko pata hai ke is mulk main insaaf naam ki koi cheez nahin hai,aur pir ghareeb awaam ko to koi khatir main bhi nahin lata,sub kuch ashrafiya ke gar ki londi ki tara hai,wo jaisy chahyeen karty hain.ab supreme court jis se pakistani awaam ko bahot tawaqohat hoti hai os ki taraf se aik aisa faisla aaya hai jis ne awaam ke bunyaadi haqooq rond diye hain.6 rukni bench ne aam shahriyon ka militry court main trail legel qarar diya hai,jahan per hamari civil adalaten maujood hain ,magar supreme court ne fauji adalaton main civilion logon ka muqadma fauji adalaton main karny ki ijazat de di hai.
ye aik intehai gair mahmoli muhamla hai.is tara civilion logon ki bunyadi haqooq muhatal ho gay hai,wahan per aam pakistani na wakeel kar sake ga na oski baat suni jay gi.ab fauji adalaten apni marzi ki sazahen den gy aur koi kuch bhi nahin kar sake ga.aur ye hamara supreme court hai,jis ke judge pakistani civilion ke tax se tankhwa,aur saari marahat ,aur ayashiyan apni biwi bachon samait karty hain ,magar pir bhi in awaam per rahim nahin aata.bahar haal is mulk ke awaam ke leye intehai sakat halaat paida kiye ja rahy hain,Allah Pak hum sub per rahim farmaye.Ameen
source
Walikum assalam hamre mulk me insaf ki koi cheez ni he aur na ye insaf jante he insaf hota Kya he agar koi haq ki bat kare ya per sachai ka raata ikhtiyar kare ya to wo Kuch din bad ghyb ho jayga ya pher Keesi juram me saza Mel jayegi ya to qatal kar diya jayga judge ye to serf ghareeb awam ke lie bete he baqi unke pas koi ikhtiar he ni he ye mulk kon Chala raha he sub ko wazia pata he ye awam phle be Kuch ni kar sakegi agye be Kuch ni kar sakti he ye to ek din hona he ta wo hogya hamare mulk me he 2 nizam ban Gye ye to shurwar he aget pata ni Kya Kya krenge ye log.