Yar bhai yaha relief kaha ha? Ullama esko haram keh rahe aur ap relief keh rahe. ma jab b ap se koi naqle daleel mangta ho tho ap waha se zero aathe ha aur apne aqal se bathe start karte ha. bhai aqal se bath kare per masle ka hal nahe nekle ga. dalael pehle naqli aur us k bad aqli.
EK minute Mera Bhai ap Zara ye BHI sharab parh Len.
Poora hadees read kare bhai poora. Laat uzza ki qasam tho per us se b aasan hogae k bad kalma par lo aur qissa khatam aur per Laat uzza ki qasam khao aur kalma paro. ye hadees rokne k leye ha en 2 bare gunaho se rokne k leye na k relief k leye. ab ye hadees tho ma ne quran ko ayat ki thaeee ma bayan ke the aur ap ne esi ko apne daleel bna dee aur ghalat tashreeh karne lag gae.
Wait wait Bhai is ka BHI jwab deta hun. Yehi Hadees Sahi Muslim my BHI mojud hy.
Or wahan Likha Gaya hy KY Bukhari my is kaa Bab Galat Bandhan Gaya hy.
ap k sawal ka ma ne sahe sahe jawab de dia. ab kindly mere sawal ka answer de thak k masla clear hojae. advertising haram cheez ki karna eski ullama tawun alal ism kehte ha. ap kehte ha k tawun ye nahe ha balke tawun kisi ko zabardasti kam par lana ha. kindle eske koi naqli daleel de de. Kisi Fiqh, Aalim ne eska ye matlb nekala ho
Is ka jwab my pehly BHI dy Chuka hun. Mery hisab sy ye BHI Tawun hi hy. Advertising karty huwe BHI Tawun tab hoga jab muahida Karun KY my ap Ki liye visitors laun Ga.
Ye Khali signature wear Karna Tawun kesy ho Gaya? Or advertising BHI EK qisam Ki thori Hy jnab. Or Kissi fiqah KY aalim KY pas jaun jis ko ye BHI nai pata KY Bitcoin Kaya hy. Ye kesi signature campaign hy. Or Jesy signature wear Kiya Jata Hy. Or us ko Samaj b nai aye.
Or pesy PHR BHi mujy Meri mehnat KY hi milen gy Khali signature wear Karny KY nai. Mujy sath my posting Karna lazm hy. Or ye Meri mehnat hy.
Or wesy BHI Abhi tak ap ny esi koi Hadees bayan nai Ki jis par ho waziha Jesy Sharab KY mutaliq Hukam Hy wesa hi Juwe KY mutaliq Hukam ho.
Or Jo Hadees ap ny bayan Ki wo un dosto KY liye hy Jo lahaw my Dakhil ho jaty hen. Un Ki apas my dawat par sadqy kaa Hukam Hy. (Par sharab Ki tarah sakht waeed nai hy)