MFahad brother, Apka analysis bilkul durust ha, mein bi Celestia (TIA) k airdrop ka beneficiary tha or mujhy Ethereum or Cosmosis dono networks pe 400 se zayadeh TIA tokens milay thay or mujh se bi yehi ghalti hoi thi, mein ne 20% abi tak hold kiay hoi han or baki 80% $2.5 k kareeb sell ker diay thay or sell krny k baad bht pachtawa hoa. Allah ne jo naseeb mein likha tha wo mil gya. Alhamdulilah.
Ha es par be shukar ha jo mel gia, us se ziada tho le nahe sakta jitna naseeb ma lekha ho. Insan apne maazi se bahut kuch seekhta ha aur crypto tho aisa ha jo apko bar bar opportunity provide karta ha earning k. ham yaha par almost 4 saal se ha aur es dorania ma ham kitne martaba profit le be gae ha aur missed be bahut kia ha. Bas jis time ma jo strategy profitable nazar aae usko karna chahea baqi nateeja Rabbul Izzat par chorna chaee.
Dymension k kum se kum mein 50% hold keroun ga or baki 50% shoro mein sell ker doun ga. Wasy jub mein DYN ko TIA se compare kerta houn toh TIA ek modular chain ha or yeh ek naya concept ha esliye bht zayadeh popular hoa.
Mere khayal mein DYN mein itni zayadeh hype nhi aai gi, lakin 100% accuracy k sath kisi bi coin ki price ko predict kerna bht mushkil hota ha, crypto market mein bht surprises hoty ha. DYOR
Apke bath se ma Iteefaqe rae rakhta hoo. TIA aur DYN ma kaafi farq ha aur jis tareeqe se TIA be hype bnai muje be nahe lagta k DYM aisa hyle bnaega. Ek bath ache ha k mel free ma rahe ha. Agar Allah na kare price more down be ho tho bas etna keh denge k kuch mela nahe, ye nahe kahege k kuch kho dia