Author

Topic: Pakistan - page 293. (Read 5983395 times)

sr. member
Activity: 602
Merit: 376
November 22, 2023, 07:30:50 AM
New Review Campaign Launch

وعليكم السلام ورحمة الله وبركاته

Keise hai brothers

Aik new review campaign launch hoi hai service section my lekin wo review campaign hai gambling site ki Jessy utopia Ka review nai hai weise he hai same rules hai or joining par apko 10 dollar ky tokens be mealay gay wo testing kei leiye wo aap Koch test kr ke baqe SB ap dollar mei be convert kr sakhtay hai or kooch rules hai wu ap carefully sei read kr Len aur then Esky join Karen

Review Campaign Link: YoCa.sh Multichain Casino | Review Campaign 🔎| Get paid in BTC | Full members+

Manager: joeperry

Reward: $20 dollar worth of Bitcoin and $10 worth of YCH tokens
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
November 22, 2023, 07:20:53 AM

Baqii Bitcoin ki long-term investors ki taraf se Jama ki jane wali raqam ab tak ki hadood ko paar kar gayi hai jahan ab 1 million addresses se zyada Bitcoin rakhte hain fees ke masail ke bawajod bhi rohani interesting ko numayan karti hai. Ordinals ki mojudgi Binance par BRC-20 token ORDI ki list ki wajah se khaas taur par tezi se izafa kar rahi hai jo inki nashr ki harkat mein izafa ko numayan karta ha.

G brother, ap theek kah rehe han Bitcoin network pe bht congestion ha or transaction complete hony mein 24 hrs se bi zayadeh time lug reha ha, Mujhy kal Btc ki payment mili ha jo takreebun 36 hrs pehle bhaji gai thi. Agr Bitcoin ka network esi trh choke hota reha or transaction fee brti rehi toh eskiadoption on global level as payment method bht mushkil ho gi. Esal solution lighting network ha.

Es problem ki wja ORDInal token bi ho sakta ha mein ne bi yeh token BRC-20 k UNISAT wallet k through bht time pehle buy kia tha or jub Binaance pe list hoa toh price kafi br gai thi or acha profit hoa.

https://cointelegraph.com/learn/what-is-the-lightning-network-in-bitcoin-and-how-does-it-work
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
November 22, 2023, 04:00:28 AM
Cryptocurrencies maket is wonderful, it consistently unveils new surprises on a daily basis
Bitcoin Transaction Fees Surge Past Ethereum Amidst Ordinals' Influence

Assalamalikum to dear community, Bitcoin ki transaction fees ka hilalgi mein izafa Ethereum ki rozana fee ausat ko bhi peeche chor gaya hai November 16 ko $18.67 par 1,000% se zyada barh kar. Yeh fees mein izafa taraqqi yafta Ordinals ke asar mein hua hai. Bherahal, barhne wali fees ke darr ke bawajod on-chain data mein aisa kuch nazar nahi aata jo ikhtilaf ki alamat hai.

Jabkeh Bitcoin ki fees ne 6 mahine ke ooper izafi bulandiyan choo li hain wahi Ethereum ke transaction fees is doran kuch kam rahe taqreeban $7.90. Yeh fee mein farq dono blockchain networks ke tabaee asrat ko numayan karta hai. Bitcoin ki qabliyat mein saalana izafa hua jo 67.62% tak pohanch gaya ha jiske sath naye active addresses mein izafa bhi dekha gaya jo naye market participants ki dakhil ho rahi bharpoor tadad ko dikhata hai.

Source: Dune Analytics
Baqii Bitcoin ki long-term investors ki taraf se Jama ki jane wali raqam ab tak ki hadood ko paar kar gayi hai jahan ab 1 million addresses se zyada Bitcoin rakhte hain fees ke masail ke bawajod bhi rohani interesting ko numayan karti hai. Ordinals ki mojudgi Binance par BRC-20 token ORDI ki list ki wajah se khaas taur par tezi se izafa kar rahi hai jo inki nashr ki harkat mein izafa ko numayan karta ha Source
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
November 22, 2023, 02:01:51 AM
Belkul teek kaha Sayed saheb ap ne, Es News ki waja se acha correction aya ha crypto market ma. Mai ne tho market ko dekha tho FTX kuch acha lag raha tha. mere pas fund kam tha magar per b FTX ko us time buy kia aur kuch der bad dekha tho wo pump huwa tha tho mai ne 25$ waha se bna daale. Muje ye news bahot time pe mela tha, agar future earning jaiz hothe tho ma BNB par short karta magar khabees maal kabe faida nahe detha. CZ ne ek qisam ki qurbani kii ha tha k Binance aur whole Binance community safe rahe. Ek aur news b aae k 18 months k leye CZ ko jail huwe ha magar 175 million bond de kar usko custody se reha kia gia. source

Umeed ha halat behter ho jaenge aur ye panic sell bahot jald he anjam ko pohnch jaega aur ek martaba per bull run ma coin apna jalwa dekhaenge. waqti taur par aise news se price ger jaathe ha jo k air routine ha magar bad ma us se double speed se opar jathe ha.

Brother, Binance k bary mein bht sari theories market circulate ho rehi han jis mein ek yeh ha k,  ek bry player BlackRock jo k American ha usko crypto field mein lany k liye dosry bry  player CZ jo k Chinese ha us nikala gya ha. Yeh sub establishment ki game ha or her jaga Establishments aisi hee games kerti han. Ab BlackRock ka ETF lugta ha jaldi hee approve ho jai ga. Let's watch and wait.

Mere khayal mein binance zindah rehe ga lakin CZ ko zarur saza milay gi, wo saza jurmany ki soorat mein hee ho gi usy jai shayed na bhaja jai.

FTX toh merny k baad dobara zindah ho gya ha or mein bi esmein accumulation ker reha houn. FTX ki settlement ho chuki ha or usy new management run kere gi.

Cryptocurrencies maket is wonderful, it consistently unveils new surprises on a daily basis
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
November 22, 2023, 02:00:58 AM

Ye Message moje received huwa ha k Telenor ki sim ki ownership ma khatam karna chahta hoo tho moje 200 rupe pay karne hoge..Moje tho serf Telenor kee taraf se aaya ha , ab pata nahe k aur network ka be same yahe ha ya serf Telenor k sath he aesa huga..Start ma ham sims bahut mehnge purchase karte hai..Muje yad ha k baqi Sims 300 ma melthe the aur Telenor sab se mehnga tha jis ka rate 500 tha..kia dor tha wo jab saada mobile kee mere khwahish hothe k us ma snake game khela karo aur aj aisa dor ha k laptop be ha aur Android be magar game khelne ko del nahii karta.
Bilkul brother mojy bi kal asa message received hva ab apko sim close karny par bi payment krni hu ge company wlao ko shayed jazz nay ya wla method use na kiya hu jabkh telenor nay ya ellan kr diya kh ab apko Muft ma sim band ni karea skty ya achi news bi han qkh loogo free ma sim lay kar free ka services ka mazak urdhty thy to compnay nay ya acha solution nikla hai kh ap koi ger zrori sim band ni karwa skata ha baqii jazz sim waly to free ma offer day rahy ha or koi strict policy ni han unki to khair ab dakhty hai
member
Activity: 71
Merit: 32
November 22, 2023, 01:09:01 AM
Wa alaikum Salam bro. Ya to AK good news balka AK kush khabri haa ka ab phone ko AK bar charge kar daa or pora month ba fiker rahaa. Wasa be hamra Pakistan maa light ke kami haa or bill be bohat expensive ata haa. Kahna ka Matlab ya haa ka ab agar yaa observation success Howa to pir to android phone Wala ka Maza haa AK bar charge karo or whole month ba fiker raha.

Lakin Maira bhai muja ya lagta haa ka ya experiment success NAHI Hoga q k agar ham dakha to AK phone ko off na Karna par or musalsal use Karna saa phone effects ho sakta haa. Or sab sa bari kar waja ya hoskta ka phone ka zyada used Karna sa application wagara ke processing phone maa hota haa or pir later maa space error pash ataa haa jis ka bahis aksar software crash hojata or user ka phone ma tamam ka kamam data delete hojata haa.

Or mazeed ya kaa phone ma jab heat par jate haa to pir oss ma hanging or mukhtalif issues pash ataa ha jasa ka heat haa. Or jab akk chip maa accessories reunite Karta haa to all application kee to usa ma aksar heat observe Karana time ka Sath reduce hoja ta haa Jo ka Chip ka leya AK disadvantage haa. To iss leya Mera khyal sa yaa kamyab NAHI raha gaa. Baqi ab companies walo to monitor Kar ta ha AK waqi asa ho sakta ha ka nahi

Mere sath aisa hoa hai abi mere mobile ma app be bhut zeyada ty aur ider whtspp waghera pe videos pic jama ho rahe ty wo roz roz space atomatic khatam hota ta musalal ye masla kar raha ta aur lagatar use kar raha ta mere bhut sary app ty us may abi 2 week pehle charge khatam hoa jab charge kiya to open nahi ho raha ta uski waja se ye ti ky mobile ma belkul space nahi ta to mera sara mobile kharab hogya abi teek nahi hota hai us me mere gmail aur wallet ty baqi be app ty jo ky abi mere liye tora masla paida hoa hai.

May ek mashwara sub bhaio ko donga ky jo be asal data ya pasward waghera ho gmail ho ya wallet ho wo zarore kesi cheez ma leka kary taky record may rahe q ky achanak mobile kharab hogya ya pher chori hogya to masla paida ho sakta hai jo ky abi muje masla paida hoa hai mobile pe koi bhrosa na kary aur na pc ya laptop pe q ky ye machine ha kesi be time ya achanak kharab ho sakta hai. mera ye mashwara he jo zarori cheezy ho wo apne sath kesi cheez may save kar ly wo behter hai. baqi apne sahi kaha musalal ek cheez ko use karne se aur different app ho to mobile kharab hone ka hadsa zeyada hoga.

sr. member
Activity: 336
Merit: 292
Vave.com - Crypto Casino
November 21, 2023, 11:26:05 PM

Lakin Maira bhai muja ya lagta haa ka ya experiment success NAHI Hoga q k agar ham dakha to AK phone ko off na Karna par or musalsal use Karna saa phone effects ho sakta haa. Or sab sa bari kar waja ya hoskta ka phone ka zyada used Karna sa application wagara ke processing phone maa hota haa or pir later maa space error pash ataa haa jis ka bahis aksar software crash hojata or user ka phone ma tamam ka kamam data delete hojata haa.

Or mazeed ya kaa phone ma jab heat par jate haa to pir oss ma hanging or mukhtalif issues pash ataa ha jasa ka heat haa. Or jab akk chip maa accessories reunite Karta haa to all application kee to usa ma aksar heat observe Karana time ka Sath reduce hoja ta haa Jo ka Chip ka leya AK disadvantage haa. To iss leya Mera khyal sa yaa kamyab NAHI raha gaa. Baqi ab companies walo to monitor Kar ta ha AK waqi asa ho sakta ha ka nahi

Aap ki baat teek hai ke hum pakistanio ko to bijli ke bhi bary masahil hain.aksar logon ko load shading ki waja se mobile battery charging ke masly darpaish hoty hain.aap ne jin masahil ka zikar kiya hai,wo bhi darpesh ho sakty hain,lekin wo taraqi ki lehaaz se hum se bahot aagy hain aur wo jin cheezon ke tajarby kar rahy hain wo hamari pakistani government ya science dano ke soch main bhi nahin hai.

Balky science dano becharon ko kia ilzaam den ,aksar ooper baita howa chairman Genral hi hota hai.lef general,maj General har jaga baita howa hai,science dano ko to ijazat bhi nahin hai ke wo pakistan ki taraqi ki sochy,kiyonky AMERICA naraz hota hai.

Bahar haal unhon ne aap ke bataye howy tamam masahil ko zahin main rakh kar mansooba banaya ho ga,kiyonky wo her lehaaz se cheezon ka jahiza lety hain aur un ki ijaad karda cheezen perfect hoti hain ,yahni ghalti ki gunjahish nahin hoti.isleye to wo aaj itny taraqi kar gay hain. 
full member
Activity: 280
Merit: 110
Eloncoin.org - Mars, here we come!
November 21, 2023, 10:47:51 PM

Ye Message moje received huwa ha k Telenor ki sim ki ownership ma khatam karna chahta hoo tho moje 200 rupe pay karne hoge..Moje tho serf Telenor kee taraf se aaya ha , ab pata nahe k aur network ka be same yahe ha ya serf Telenor k sath he aesa huga..Start ma ham sims bahut mehnge purchase karte hai..Muje yad ha k baqi Sims 300 ma melthe the aur Telenor sab se mehnga tha jis ka rate 500 tha..kia dor tha wo jab saada mobile kee mere khwahish hothe k us ma snake game khela karo aur aj aisa dor ha k laptop be ha aur Android be magar game khelne ko del nahii karta.

Mera ek dost ha wo ye kam karta tha k Ufone sim nekalwat aur one month super card free mel jatha per next month dobara aisa karta.. Third month wo pehle wala sim band karta aur new nekalwa detha aur es tarh feee service jaare the.. mere khial se ab uska free service khatam ho chuka. Jeewe Pakistanio
hero member
Activity: 812
Merit: 619
November 21, 2023, 08:51:13 PM
Binance CEO TATA Bye Bye

Binance k roohe rawan, hamara apka sabka CEO Changpeng Zhao jo k CZ k name se mashahoor ha us ne Binance US se isteefa de dia. aoko shahid pata ho k SEC Binance k peeche para huwa tha aur 4 billion k jurmana k baare ma bath ho rahe the tho CZ be socha hoga k es begherato se jaan chrao aur aakhirkar estefa de he dia. Market ma sudden dump es waha se aya ha jis ko panic sell kehte ha. I hope k 2-3 din ma sab kuch normal ho jaega

Brother, Yeh news aparently toh bht negative lugti ha crypto industry k liye ku k CZ ne crypto industry ko promote kerny or es mein small invetors k liye opportunities create merny mein bht crucial role play kia. yeh waja ha k log crypto se xayadeh Binance ko janty ha. Mere khyal mein es news development ki abi details unfold hona baki ha or mujhy aisa lugta ha k CZ ne as CEO step down kerny ka faisla kia ha mgr as Founder of Binance or majority share holder wo apna role ada kere ga, aham bat yeh ha Binance ko USA mein apna operation continue krny ki ijazat milti ha nhi. Es faislay ka crypto market pe kafi impact ho ga.. Let's watch and wait how the situation unfolds in coming days and weeks.

Belkul teek kaha Sayed saheb ap ne, Es News ki waja se acha correction aya ha crypto market ma. Mai ne tho market ko dekha tho FTX kuch acha lag raha tha. mere pas fund kam tha magar per b FTX ko us time buy kia aur kuch der bad dekha tho wo pump huwa tha tho mai ne 25$ waha se bna daale. Muje ye news bahot time pe mela tha, agar future earning jaiz hothe tho ma BNB par short karta magar khabees maal kabe faida nahe detha. CZ ne ek qisam ki qurbani kii ha tha k Binance aur whole Binance community safe rahe. Ek aur news b aae k 18 months k leye CZ ko jail huwe ha magar 175 million bond de kar usko custody se reha kia gia. source

Umeed ha halat behter ho jaenge aur ye panic sell bahot jald he anjam ko pohnch jaega aur ek martaba per bull run ma coin apna jalwa dekhaenge. waqti taur par aise news se price ger jaathe ha jo k air routine ha magar bad ma us se double speed se opar jathe ha.
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
November 21, 2023, 03:44:57 PM
Magar jab apny mulk ke halaat daikty hain to samaj nahin aati ke dunya kis taraf ja rahi hai aur hum kahan ja rahy hain.un ki apny mulk se muhabat daiko dunya ki jadeed se jadeed technology la rahi hai.itni taraqi ke bawajood bhi mazeed taraqi ki soch rakhty hain.aur hamari halat jaisy dunya se 500 saal peechy hon,aur haqeeqat bhi yahi hai.pata nahin hum kab is ghulami se azaad hon gy ,aur apny mulk main bhi istara ki development daiken gy. 
Hamary log jab Sy azaad aur khudmukhtaar faisly Karna start kardy aur ghulami choor dy aue ik doosry ky pawo maarna choor dy tab hum Duniya ky barabri Ki iss safar Mai shamil hosakty haa, jab hum Mai sy koi acha hota haa toh usko support Karna chahiya aur appreciate Karna chahiya tabhi hum kuch acha karsakyngy warna ik doosry Sy dast-o-graibaan hongy aur kar kuch bhi na karsakyngy. Aur ik aur baat jab country Mia militrisim Ki bajai jamhooryat ko zyada power aur ikhtyaraat dy tab awam ky Haq Mia achy faisaly hongy ko hammy aagy barny Ka hosla dyngy

Waisy brother baber ko top of list na daikh kar yeh team aisy ba-rang dikhai dy rahe haa baber hi paksitan team Ki will aur kubsoorat haa aur sachy Kahy toh Maan aur saara asasa haa, but ab Kya Kahy inn dimagh sy farigh logo ko inko Kya maloom Kisi bhi pal daar poody ko wadt Diya Jata bohout saara meety pal ky liya, ab Baber Ki thoora aur time daity woh zaroor acha deliver Karta. Acha iss Sy aagy Barty haa Shan captain haa aur paksitan Kabhi bhi yah recent time Mai Australia Mai Australian Sy test series Nahi jeete daikhty haa yeh parchi captain kaisy team ko manage Karta haa, Baki new Bando ko laa ky ache baat haa ab Kya kary team ko support kary binah reh Nahi sakty
sr. member
Activity: 854
Merit: 364
I ❤️Bitcoin
November 21, 2023, 03:17:16 PM
Binance in Talks to Pay More Than $4B to End U.S. Criminal Case; CZ Could Still Face Charges: Bloomberg

Brothers, aaj ek good news yeh ha k Binance k USA mein legal issues resolve hony ki umeed piada hoi ha. Yeh settlement k conclude hony ki soorat mein Binance 4 Billion dollar  U.S Justice department ko pay kere ga. Yeh khaber hum sub k liye bi sakoon ka bais ha ku k hamari community ki majority k accounts binance exchange ha. Es news ki waja se Aaj BNB ki price 4.80% br ker $260 ho gai ha wasy agr yeh settlement finalize ho jati ha tohupcoming bull run mein BNB apny previous ATH (around $700) ko break ker sakta ha. DYOR
Brother apki baat teek haa ky kuch logo yani investor KY liya thoore raahat Ki news Hoge but may be kuch logo ky liya kafi unexpected aue shocking news haa q ky may be Binance bhi in penalties Sy irretate hooky poory platform ko shut down kardy q ky aise news kafi waqt sy market Mai goom rahy haa ky Binance shut down ho raha haa , Mai toh Binance ko Salam paish kar raha hu Jo FTX ya kisi aur platform Ki tarah Nahi haa aur fine ko bardaast Karwa ky logo ky withdraw tak stop Nahi Karwa raha haa. But hum SAB jistarah us pa blindly trust Karwa rahy haa yeh Kabhi bhi jaa sakta haa aur agr acha Kahu toh na sirf Mera Balky kafi logo ka Poora ka Poora fund Binance Mai hoga so kehny ka matlab haa hamy just few percent ky down hoony Sy Kush Nahi Hona chahiya Balky apny fund ky liya fikr mand Hona chahiya q ky yeh waqaat Kabhi bhi game badal sakty ha
hero member
Activity: 1386
Merit: 513
Payment Gateway Allows Recurring Payments
November 21, 2023, 03:11:30 PM
England ke scientist ne aik aisy micro chip banany per kaam shuru kia hai jis ko mobile main lagany ke baad aap mobile ko saal main sirf 12 martaba charge karen gy.agar un ka ye tajarba kamyaab hota hai to ye sub mumkin ho sakta hai.jo yaqeenan technology ki dunya main aik dhamaka ho ga.
Is it for real, mujhy to abhi bi yaqeen nhi a rha ky mahiny y sirf 1 baar hi phone ko charge krna padega or meri smj my to yeh nhi aya ky kis trha ik chip batter time ko badha skti hai technically to yeh possible nhi lg rha because chip ka battery pr koi asr nhi hi ga ha agr chip battery efficient bna di jai or is level tk bna di jay ky wo battery km consume kry to shaed hm kh skain ky mobile zayda dair tk tik sky.

lekin pphr bi mobile my konsa ik chip hoti hai, speaker ki chip sy ly ky gpu and cpy, etc etc ki chips lgi hoti hain or mera nhi khiyal ky duniya abhi itni agy gai hai is mamly main lekin agr asa ho jata hai to baad mai yeh log yeh na kh dain ky bhai apky phone my 1,50,000 mah ki battery dali jai gi as per month 30 days and for one day 5,000 Mah battery is neough even we can't use 5k Mah for 24 hours (1 day) but lets say for at least 9 hours a day.

Baki chlain dekhty hain ky kya asa possible ha bi ya nhi.
sr. member
Activity: 420
Merit: 325
Trade Big, Win Bigger!
November 21, 2023, 03:02:03 PM
WhatsApp Beta Introduces AI Chatbot Feature for Authentic Information
السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
WhatsApp jo ke Meta ki malikana company ha ne apni Android beta version mein AI chatbot ka aghaz kia hai. Pehle hi Meta ne bataya tha ke WhatsApp mein AI chatbot ko shaamil karne ka irada hai jiska maqsad users ko mukhtalif topics par durust maloomat faraham karna hai. Yeh naya feature beta users ko AI chatbot se baat karne ke liye ek shortcut deta ha jese ke Chat gpt jisse ke asaan tareeqay se durust maloomat hasil ki ja sakti ha

link
sr. member
Activity: 602
Merit: 376
November 21, 2023, 02:03:48 PM
Free Accelerate Your Pending Bitcoin Transaction you

وعليكم السلام ورحمة الله وبركاته

Kia haal chaal hai brothers SB theek hai

Koch Dino sy hum dekhny rahay hai ky Bitcoin ki price ny kaafi Acha Market my pump liya hai ab is price $36k or $37k ky darmiyan ghuum Rai hai or dosri taraf hameay transaction my kaafi issue mil Raha hai quu ky per transaction minimum 10 sy 15 dollars fees lag rahi hai ab shaed or zeadha ho gai Hu or buuht se transaction pending mei hai kaafe Der se Jessa ke mojay KL weekly payment mele hai aur abe to wu MEI account mei mujy received nai hui or deikha to pending mei ha ye to confirm nai hai ky kaab tk transaction fees normal hote hai

Mei aap SB ke sth aik site share kr RHA Hu usse aapku faedha ye Hu GA ky ap apni transaction Ku free mei accelerate mr sakhtay hai Jessy Aapke transaction confirmed Hu jaeay ge leken es ke b Koch limitations hai bad mei mojay a kr SB poker Len ke aiesa tu Koch be nai huwa  Grin Grin har koe Esky easily use kr sakhta hai or mei b aap SB Ku guide kr deata Hu keise use kartay hai

Website Link: https://www.viabtc.com/tools/txaccelerator/

Steps:

- Sab sy pehly Jo aap ne transaction ke hai Uske ap transaction id KO copy Kar Len wo AP Blockchain ya Blockchain sy le sakhtay hai or nichay empty space my paste kr den or then Free Submission par click ke den or apki transaction accelerate ho jay ge or block my add ho jay ge or Kuch ghantay my he apki transaction confirmed ho jay ge

Note:

- isko use Karny ky Kuch limitations b hai Jessy ky apki transaction ki limit 500 byte or Issy  Kam honi Chahiye

- Minimum apni transaction ke leye 10byte/sat few select Karen or native segwit address ke leye minimum 19vbyte/sat Banti hai

- viaBTC site sirf or sirf 100 free submission KO 1 hour my complete Karti h to gabrana nai h apki transaction next blobl my add ho jay ge or oper ap Dekh sakhtay h kitni transaction pending my h

- ap apni transaction fee or size KO Blockchain explorer my ja Kar apni txn id KO paste Kar ky Dekh sakhtay hai

- Baqi ap unki paid service KO b join kr sakhay hai iski detail apko inki site sy he mil jay ge
sr. member
Activity: 1456
Merit: 326
Eloncoin.org - Mars, here we come!
November 21, 2023, 01:54:38 PM
Aslamoalaiikum dosto, mai ne cricket discussion thread start kia hai. World cup k end k bad cricket k series late ha magar domestics aur league cricket ab bee start hai. ma ne kheal kea k es par ek thread bna loo agar koe international cricket ma discussion karna chahta ha tho yaha parts le le. India k domestic start ha es waqt jaha par Chris gayle jaise players bee maujud hai.

https://bitcointalk.org/index.php?topic=5474882.new#new

Walikum Salam Ye tou bahut achi bat hoi ke apne thread open kya he aur ham kushish zarore karenge ke apke thread mae be kuch post kya kare  agar yaha dehka jaye to cricket matches kesi na kesi jaga zarore shoro hota he mesal lelo ke International matches Leaque matches aur domestics matches ya pher koi series start hota he cricket bhut agy nekal gya he zeyada tar ab log International se retired ho rahe he aur sary leaque khelne lagy he aur hum kushish karenge zarore ke apke thread me hisla ly aur waha cricket ke bary me discusion be kary aur umeed he apka thread kamyab ho aur apne bhut kam time bhut kuch seek liya umeed he agye be ap kamyabi hasil karenge best of luck mere bhai khush rahe.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
November 21, 2023, 01:54:29 PM
Binance CEO TATA Bye Bye

Binance k roohe rawan, hamara apka sabka CEO Changpeng Zhao jo k CZ k name se mashahoor ha us ne Binance US se isteefa de dia. aoko shahid pata ho k SEC Binance k peeche para huwa tha aur 4 billion k jurmana k baare ma bath ho rahe the tho CZ be socha hoga k es begherato se jaan chrao aur aakhirkar estefa de he dia. Market ma sudden dump es waha se aya ha jis ko panic sell kehte ha. I hope k 2-3 din ma sab kuch normal ho jaega

Brother, Yeh news aparently toh bht negative lugti ha crypto industry k liye ku k CZ ne crypto industry ko promote kerny or es mein small invetors k liye opportunities create merny mein bht crucial role play kia. yeh waja ha k log crypto se xayadeh Binance ko janty ha. Mere khyal mein es news development ki abi details unfold hona baki ha or mujhy aisa lugta ha k CZ ne as CEO step down kerny ka faisla kia ha mgr as Founder of Binance or majority share holder wo apna role ada kere ga, aham bat yeh ha Binance ko USA mein apna operation continue krny ki ijazat milti ha nhi. Es faislay ka crypto market pe kafi impact ho ga.. Let's watch and wait how the situation unfolds in coming days and weeks.
legendary
Activity: 966
Merit: 1042
#SWGT CERTIK Audited
November 21, 2023, 01:50:48 PM
Binance CEO Resigns Amid $4.3 Billion DOJ Fine, Crypto Market Reacts

Assalamalikum to all my community, Binance CEO Changpeng Zhao ne achanak se Binance exchange se istefa diya aur US anti-money laundering ke qawaneen ko torne ka qasoor maan liya jis se US Department of Justice ne company par $4.3 billion ka jurmana laga diya.

Walikum Salam, bro achanak too nai, ye saab howa it was expected magar haa isne kafi burriii tarah market ko hit kia haa as Altcoins too too heavy dumping, some of my order got hit, I am waiting for and another such dip in alts, TBH ye jitna capital nikla haa ye kuch surprising haaa, dekhoo 3.4%+ capital wipe out howaa haa.

Ye kuch weird haa s intna capital instant remove honna is not a good sign for short term, sentiments abb market ka greed bii control maa ayee ga orr kuch new opportunities milain gii fillings ka liaa.
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
November 21, 2023, 01:43:10 PM
Binance CEO Resigns Amid $4.3 Billion DOJ Fine, Crypto Market Reacts

Assalamalikum to all my community, Binance CEO Changpeng Zhao ne achanak se Binance exchange se istefa diya aur US anti-money laundering ke qawaneen ko torne ka qasoor maan liya jis se US Department of Justice ne company par $4.3 billion ka jurmana laga diya. Is khabar ka asar market mein bohot zyada raha, jis se Bitcoin aur altcoins mein shadeed fluctuations dekhi gay.

Baqii Bitcoin pehle to thora sa tezi se utha, lekin baad mein zyada hisse ko khatam kiya gaya jo market mein tezi se 4% ke andar tawazun paida kar rahi thi  crypto industry ke afraad mein se kuch jaise ke Crypto CEO Ryan Selkis aur economist Alex Kruger ne is waqiye ko ek ahem daur ki shuruat ke han jise woh pehle se mukhtalif financial compliance itihas ke muqable mein rakkha hai. for more details
hero member
Activity: 812
Merit: 619
November 21, 2023, 01:29:59 PM
Binance CEO TATA Bye Bye

Binance k roohe rawan, hamara apka sabka CEO Changpeng Zhao jo k CZ k name se mashahoor ha us ne Binance US se isteefa de dia. aoko shahid pata ho k SEC Binance k peeche para huwa tha aur 4 billion k jurmana k baare ma bath ho rahe the tho CZ be socha hoga k es begherato se jaan chrao aur aakhirkar estefa de he dia. Market ma sudden dump es waha se aya ha jis ko panic sell kehte ha. I hope k 2-3 din ma sab kuch normal ho jaega

Full news:

Thracian gladiators, Samnite gladiator, Murmillo gladiator , Retarii gladiator ha . En ma sub se zyada powerful Samnite galidator te Jo.ke full weapon se laay hoke goomte tee. Baqi information ke Leye ma link dai raha hun wahm per jaye agr koi aur zyada information chahata ho. Per ap galidator sahb en ma se Kon se type wale hoo Grin Grin
Yar Junaid Bhai ap bhi na Kya Kya soochty hoo, hamay achy baly seedha sadhy Gladitor Bhai ko khoone aur wahsi sifat banwa raha haa, the hoty hongy strong aur Bahadur but Har Kisi Ki apki quality hote haa, ab debate Mai gladiator ko koi hatwa ky dikhai hamary advocate sahib ko bhi pachaar Diya ha😜😎 ab Samaj rahy ho Mai Kis Ki taraf ishara kar raha hu. Baki isky baary Mai kafi movie bhi haa Mai NY daikhe kafi strong bandy ty but Har Cheez ko zawal haa aur AJ unka koi zikr karny wala Nahi aur ik waqt ta ky inky shaan Mai qaseedy sunaya karty ty

G junaidazizi bhai ko etne naamo ma aur etne topics ma se ye wala topic q pasand aaya k sata gladiator hee tha. Ma
 ne esko post ko mukammal read nahe kia k asal ye kis cheez k baare ma hai. Tasveer se rho aisa lag raha tha k jaise koi game ho es leye ma ne etna dhehan nahe dia. Meri khush qismati ye ha k mere name ka spelling gladiator nahe balke gladitor ha tho es hesab se ma en ma se koi b nahe hoo.
sr. member
Activity: 854
Merit: 364
I ❤️Bitcoin
November 21, 2023, 01:09:40 PM
Instead of daily mobile charge, it will be charged once a month, but how?

Jump to: