Author

Topic: Pakistan - page 483. (Read 6032791 times)

hero member
Activity: 2422
Merit: 875
May 01, 2023, 06:24:32 AM
Agr koi bhai TUSD ya BNB stake ker k free SUI tokens reward mein receive kerny mein interested ha toh Binance k pool mein participate ker sakta ha. Mazeed information k liye neechy diye hoi link ko open ker lein.


https://www.binance.com/en/support/announcement/f76980d5d5e54d80b1348fd446e8f5d3

Syed bhai, ais air drop ka koi faida ni hay kion k app ko bohat kam allocation mil rahi hay.

Agar app 15 BNB stake kertay hein tu app ko aik hour ka 1.17 Sui token mil raha hy mutlab k aik din mein 25 tokens milay gay aur 2 days mein app ko 50 sui tokens milen gay. Yeh staking sirf 2 days kr saktein hein.

Ab agar price Suitoken ki 5$ hoi tu app ko around 250$ ka faida hoga magar since k bitcoin abhi bearish hy aur BNB 230$ ka mil raha hay tu agar bitcoin ko jatka laga tu BNB gir jiey ga aur hum ko ulta nuqsaan ho sakta hy.

Agar koi 1 bnb stake kray ga to tu aus ko 0.07 SUI 1 hour mein mil rahay hein jo k atay mein namak k barbar hein.

Yeh sab live dekhnay k liye click kerian: - 1 BNB Stake Karne mai Kitne Sui Token ll Live Proof
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
May 01, 2023, 05:11:46 AM


ماشاءاللہ Boht acha ja rhya hn ap. انشاءاللہ wo din boht qareeb hy jb ap senior member hn gy.

Ma bhe eik choti se cheez share kr dn. Mari bhe 1000 posts complete ho gai hn is forum py. Waqt guzarta pta bhe nhi chalta


Are biii khali 1000 posts hi kiu biii apny merits bhi to dekhen triple three 333. Thiss is also a good achievement by the way. Keep it up bhai. In sha Allah jald hi Hero member ho jaen gy. Hum dono hi iss safar par chal rahy hen. Bsss aaj kal zara merits ki qillat ho gai hai.  Grin
Yani esy break lagi hui hai merits ki taraf jesy pata nai qhat saali parri hui hai. Kher koi nai in sha Allah safar jaari hai ahista ahista par safar mukamal ho hi jaye ga.
hero member
Activity: 1078
Merit: 566
May 01, 2023, 04:51:29 AM
Wah ji Watche bhai ap ne is Forum m 1000 posts tak pohanch jane par mubarakbaad! Yeh kaafi qabil tareef hai aur ap ki mehnat aur lagan ko dikhaata hai jo aap ne dusro ke saath quality content share karne mein ki hai or value add ki han community m informative post share kr k. Yeh interesting hai ke aap jis cheez ki taraf jazbaat rakhte hain us mein waqt ka pata hi nahi chalta. Aap ki posts mein aap ki qeemti raay ilm aur tajurba hai jo aap ne humary sath share kiya hai aur yeh beshak bohat si logon ke liye madadgaar aur beneficial honge. Aap ka kaam bohat hi behtareen hai aur m ap ki ane waali informative posts ka intezaar karta tkh kuch kuch seekhy ko mily baki Inshallah ap Next level jald he achieved kry gy

Bhai O Bhai. Ap na boht zayda kr dea hy. Ma just eik adna sa member hn is community ka. Yahan ky asal guru to Shahzad Afzal, Umer Idrees, Sayed Bhai, Hamza, Themepen aur deegr senior log hn.

FunCoin Karobar
Hmarya FunCoin Karobar ka main token Polygon aj kal thora down aya hua hy - 0.98$ py hy. Ya price uski 3 month ke lowest price ma sa hy. Bitcoin thora bullish ja rha hy aur jb bitcoin bullish hota hy to sub ALTs bhe bullish hota hn. Polygon ko HODL krna chahya is time py. Is tokens ka fundamentals acha hn aur ya yahan sa achi rally maar saqta hy.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
May 01, 2023, 02:20:40 AM
ZKSYNC ERA MAINNET AIRDROP FOR BRIDGED USERS

Thanks brother for sharing this useful airdrop link. Alhamdulilah, mein ne 2 wallets mein asuccessfully claim ker lia ha or subjh subh $100 dollars k kareeb earning ho gai ha. Transaction fee bi total sub transaction ko mila ker koi 5 dollars k kareeb pay ki. Ap bht acha kaam ker rehe han community k liye achi achi earning opportunities explore ker k. Es achy kaam ko jari rekehin . JAZAK ALLAH.
===============================================================================================

Agr koi bhai TUSD ya BNB stake ker k free SUI tokens reward mein receive kerny mein interested ha toh Binance k pool mein participate ker sakta ha. Mazeed information k liye neechy diye hoi link ko open ker lein.


https://www.binance.com/en/support/announcement/f76980d5d5e54d80b1348fd446e8f5d3
sr. member
Activity: 658
Merit: 283
Hire Bitcointalk Camp. Manager @ r7promotions.com
May 01, 2023, 12:23:55 AM
Brother, yeh bat bilkul sahi ha k Pakistan ki economy ki halatt bht kharab ha or yeh hamary Macro Economic Indicators, such as GDP, inflation or current account deficit se bi confirm hota ha. Mere khayal mein es bori performance ki bri waja Political instability ha or Political instability breeds economic instability. Es liye hamein bht zayadeh mayous nhi hona chaye ku k agr pakistan mein agr Elections ho jatay han or ek mazbout hakumat bun jati ha  toh Pakistan en mushkil halat se nikalna shoro ho jai ga. Insha Allah. Pakistan ki ek bht bri strength takreebun 1 crore  overseas pakistanis han jo Pakistan ko en mushkil halat se nikalny mein bht aham role play ker sakty han mgr woh usi soorat mein ho ga jub political stability restore ho jai gi. Allah se behtri ki umeed rekhein or dua keren k Allah Pak Pakistan ko en mushkil halat se nikaly- Aameen


Ji bilkul, aap ki baat sahi hai keh Pakistan ki economy ki halat buri hai aur iski wajah macroeconomic indicators jaise GDP, inflation aur current account deficit se bhi saaf zahir hoti hai. Political instability ki wajah se economic instability paida hoti hai aur iska asar mulk ki taraqi par parhta hai. Aap ki baat se itefaaq raakta hoon keh agar Pakistan mein elections ho kar mazboot hukumat ban jaye toh mulk ko is mushkil halat se bahar nikalne mein madad milti hai. Overseas Pakistanis bhi Pakistan ki taqat hain aur woh is mushkil halat se bahar nikalne mein ahem kirdar ada kar sakte hain. Lekin aap ki baat bilkul sahi hai keh political stability ke bina ye sab mumkin nahi hai. Humain Allah per bharosa rakhna chahiye aur dua karna chahiye keh Pakistan ko is mushkil halat se nikalne ki taufeeq mil jaye. Aameen.
full member
Activity: 742
Merit: 201
May 01, 2023, 12:06:02 AM
Pakistan’s economic crisis likely turning into catastrophe, says US scholar


Brother, yeh bat bilkul sahi ha k Pakistan ki economy ki halatt bht kharab ha or yeh hamary Macro Economic Indicators, such as GDP, inflation or current account deficit se bi confirm hota ha. Mere khayal mein es bori performance ki bri waja Political instability ha or Political instability breeds economic instability. Es liye hamein bht zayadeh mayous nhi hona chaye ku k agr pakistan mein agr Elections ho jatay han or ek mazbout hakumat bun jati ha  toh Pakistan en mushkil halat se nikalna shoro ho jai ga. Insha Allah. Pakistan ki ek bht bri strength takreebun 1 crore  overseas pakistanis han jo Pakistan ko en mushkil halat se nikalny mein bht aham role play ker sakty han mgr woh usi soorat mein ho ga jub political stability restore ho jai gi. Allah se behtri ki umeed rekhein or dua keren k Allah Pak Pakistan ko en mushkil halat se nikaly- Aameen

----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

https://twitter.com/0xFastLife/status/1652702392381771780?t=zZGr1zasBAi2WkFSOwhNng&s=19

Mint your free domain name .base on BASE testnet.

Seyad bahi Allah ke hakemyat sa to koe inkar nhi kr saqta. Allah Haq hy. Moula Ali ka kehna hy "kufr ke hakomat chal saqti hy, zulm ke nhi". Agr ya choron ke PDM he rhi to Pakistan kya ghanta tarqi kra ga. Overseas Pakistan to waisa he PDM parties ko pori dunya ma sahi nanga kr rhya hn. Stable government zaroor honi chahya pr wo corrupt nhi honi chahya PDM ke tarah. Pakistan ma honest parties ka options boht he kam hn.
hero member
Activity: 812
Merit: 619
April 30, 2023, 08:24:10 PM
ZKSYNC ERA MAINNET AIRDROP FOR BRIDGED USERS

Agar yaha koi aisa khiladi maujood ho jis ne 30 April se pehle Zksync Era mainnet mai bridge kia ho tho us k liye small sa airdrop hai 8$-10$. Pehle 16$ ban rahe the ab thore kam ho kar 8$ huwe hai magar hold is gold . AIdoge ko dikho , jis ne hold kia ab us k 1800$ thak ban rahe hai. 1$ thak fee lag jaegee.

How to Claim:

https://s.id/1HeDn

- Sell On Syncswap
- Worth 8$-$15

Sc : 0xA59af353E423F54D47F2Ce5F85e3e265d95282Cd

Note: Fee apko 34$ show ho jae shahid magar ghabrana nahe aur edit kar k Gwei ko 0.5 kare aur priority wale ko 0 kare tho 1$ fee lag jaega.

Ruko Ruko Jis waqt mai post likh raha tha us se pehle 8$ price the magar ab 50$ Cheers

newbie
Activity: 22
Merit: 1
April 30, 2023, 08:02:03 PM
Quote
Pakistan Ma Patroling Masnoaat Ma Rado Badal Ka Elan 01-05-23 Sa(- ; -)
Rat Wazery Khazana Ny Khod Press conference Ma Ya Elan Kia Hai

High speed diesel __293___288__-5
Patrol__282___No plus -
Light Diesel ___174.68__164.68__-10
Mati Ka Tail __186.7__176.7__-10

Yad Rakhiya Ga Ya Qeemty 01-05-23 Sa Ley Kar 15-05-23 tak Moqarar Ki Gaii Hain Mery Khiyal Sa Gareeb Awam Sa Is Bara Koi Mazak Nai Ho Sakta  Hakomat Har Dafa 5 Ropy Ya 10 Ropy Kam Kar K 30 Ropy Ya 25 Ropy Barha Deti Hai
Abi Tak Wo Bike Sab CD Or 800 Cc Tak Sab CD Wali Bat Par Amal To Howa Nai Hai Or patrol Ki Kimto Ma Rato Rat Radal Badal Ho Jati Hai Afsoos Hai Aun Logo Par Jo Gareeb Awan K Sath Khilwar Karty Hain Marna Bhool Gay Hain
https://youtu.be/Veulx__NFJA
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
April 30, 2023, 07:03:59 PM
Pakistan’s economic crisis likely turning into catastrophe, says US scholar


Brother, yeh bat bilkul sahi ha k Pakistan ki economy ki halatt bht kharab ha or yeh hamary Macro Economic Indicators, such as GDP, inflation or current account deficit se bi confirm hota ha. Mere khayal mein es bori performance ki bri waja Political instability ha or Political instability breeds economic instability. Es liye hamein bht zayadeh mayous nhi hona chaye ku k agr pakistan mein agr Elections ho jatay han or ek mazbout hakumat bun jati ha  toh Pakistan en mushkil halat se nikalna shoro ho jai ga. Insha Allah. Pakistan ki ek bht bri strength takreebun 1 crore  overseas pakistanis han jo Pakistan ko en mushkil halat se nikalny mein bht aham role play ker sakty han mgr woh usi soorat mein ho ga jub political stability restore ho jai gi. Allah se behtri ki umeed rekhein or dua keren k Allah Pak Pakistan ko en mushkil halat se nikaly- Aameen

----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

https://twitter.com/0xFastLife/status/1652702392381771780?t=zZGr1zasBAi2WkFSOwhNng&s=19

Mint your free domain name .base on BASE testnet.
legendary
Activity: 966
Merit: 1042
#SWGT CERTIK Audited
April 30, 2023, 04:53:57 PM

Assalamualaikum hamza bahi kese hain  or sab kharita hai bhot dino bad AP update howien hain  hamza Bhai aj Kal asi waqie bhot horyien hai hamray b ye kush saal phely asa he Howa tha par aj dekha jy to ye mamlat par log bhot yakin karny lag pary hain jise k aj Kal asy b log hain Jo masjidon Sy zayada darbaron par jaty hain apni manaty ly kar Hy afsos k
Jab Allah pak Quran Karim me khud farmarayien hain k har nafay or nuksan ka ikhtiyar mery pass hai agar puri duniya mil kar Tum nafak pohsanna chhy nhi poncha sakti or agar puri duniya mil kar Tum ko nuksan pohshana chhy nhi poncha sakti
Ye is bat ka paka sabot hai k ham Allah pak k he mohtaj hain or her kis Kam k Leye hamhy Allah he ko pokarna chahiye or Allah Sy he har cheeze mangani chahiye or Allah pak khud farmarahien hai k ay bandy me Tum Sy 70 maoo Sy b zayada payar karta hun or me to Teri shrag Sy b zayada garib Hun Jo hamray itna garib hai hamhy kai zarorat hai  os k Ghar ko chorkar kahien or jaga par apni morady ly kar jany ke
Allah pak ham sab ko hadiyat ka rasta  dekhy rakhy aj Kal bhot he jahalat ho Rahi hai

Walikum Salam,
Hmm boss ajkal to busy na ho ka b time hi nai ha haha, kafi booring time ja raha really + time nai milta posting koo. Khair Today is 1st of May and 9th ko mera Birthday bi haa, + Soba tak main reprot bna ka InshAllah post karon gaa. Omeeed karta hon ka iss baar achii activity hoi hogi + Meirts thode bohat kam ho sakte magar phir bi delhte hain kia kia ja sakta ha iss silsle maa.

Rahi baat is waqiye ki to i am still tying to figure out how? chalo dekhte hain kia kia jaa sakta iss male parr bi ku ka ye baat smjh ma ane wali nai ha ka Qlma gooh loog bi esa kar rehe hain..
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
April 30, 2023, 11:18:01 AM
Assalam o alikum Pakistan aur india dono ke durman Economy ke mamle mein bade farkh hain. India duniya ke 6 biggest economies mein se ek hai, jabaki Pakistan 44th no par hai. Iske alava india ke pass $2.6 trillion ki GDP hai, jabki Pakistan ki GDP $305 billion han jo both bra difference han.
Yaha hamary pakistan Mai sabb log ik doosry ko girany pa lagy howy haa, yaha pa Kisi ko koi farq nahi parta ky mulk tabah ho Raha haa awam Marr Rahe haa.
Hamary mulk ko sabb sy zyada nuksaan hamary foji generals ny through martial law pinchaya aur usky Baad Corrupt Politician jabky indian ma 75 yr ma koi martial law nahi ayaa. No doubt waha bhi corruption haa but unho ny country ku har feild ma upgradation kee, unki Sirf IT sy yearly revenue 227$billion haa Jo ky hamary total GDP ky almost baraber haa. Usky ilawa woh technology ko adopt karny wali country haa , hamary mulk ma abhi bhi Bitcoin ka name laina jurm haa jabky waha National Assembly maa crypto regulation ky baary ma baaty hote haa aiyaa Roz.
Hamary inn dy comparison banta nahi , hum sy Baad ma azaad hint Wala country Bangladesh AJ hum sy aagy haa toh India ki toh baat hi na kary.
Kuch had tak hum mulk ky iss halaat ky khud zimidar haa , agr hum Sahi leader ko select karty jaisy Malaysia ny Mahathir Mohamad ko select Kiya for 23yrs aur USS nu Malaysia ki qismat badal dee. Hope agr hum aisa karty toh shayad AJ woh pakistan dobara Bann sakta ha Jo Germany ko loan dy ayaa ta.


Oh muje tho kisi ne Mubarak bad hee nahe dee jab k mere 200 merit hogae hai.
Congratulations brother apko bohout bohout Mubarak Badi ho,
Mary 300 merit complete hony pa AP sy mujy Mubarak Badi nahi dee jabky Mary happy birthday pa bhi AP ny wish nahi kiyaa mujy. But hum pathan bary dilwaly haa unn sabb ko ignore karky apko Mubarak Badi dy rahy hai
full member
Activity: 308
Merit: 109
April 30, 2023, 10:48:16 AM


Oh muje tho kisi ne Mubarak bad hee nahe dee jab k mere 200 merit hogae hai. Kis tarah zero se safar se shoro kia aur sekhte seekhte yaha par pohnch gia aur ab Allah k fazal se 200 se oper gia. full member k bad Allah Pak k fazal se waha nahe rukha aur ab qareeb k apni next manzil ko b pohanchb jao. Ye sab ap logo ki duae hai. Faisal aur Unknown Op b mere peeche peeche aa rahe hai aur unko Manzil b qareeb hai
Bohat bohat Mubarakbad Gladitorcomeback bhai Inshallah ap boht jald Senior Memebr hu gya baki ap ne zero se shuruat ki aur mehnat karte karte yahan tak pohanch gaye 200 merit scormi complete krna boht a significant milestone and or Ya sb apki dedication and hard work han Apki mehnat aur lagan ka inaam hai yeh achievement. Baki ap merits ni to lazmi apki support krty baki Allah apko aur or UnknownOp and Faisal2202 ko b Jald he Next level tk lay jaye humri duyian ap sb k sath han

Whatsapp app ne groups ke liye naya feature laya ab Whatsapp group admin ke liye shandaar feature paish kya hai jis ke tehat ab inhen group mein naye shurka ko shaamil honay par manzoori dainay ki ijazat di gayi hai yani ab group mein kisi bhi mumbar ko shaamil honay se qabal group admin ki razamandi darkaar hogi .

group admin ko watsapp ki janib se ikhtiyar diya gaya hai ke woh chahay to naye members kii darkhwast Manzoor ya mustard kar saktha hai, is se qabal aisa nahi hota tha, group ka koi bhi rukan kisi ko request bhejta tha aur woh usay Manzoor karliya karta tha aur aisay group mein shaamil hojata tha, lekin ab aisa nahi hoga .
ItsCrafty bhai kafi interesting news han Whatsapp ne apne groups ke liye aik naya aur behtaren feature introduce kiya hai. Is feature ke zariye group admin ko ab group mein shaamil hone waale naye members ki manzoori dena hoga, jis se ke group mein koi bhi be-aabru nahi shaamil ho sakega. Yeh aik bohat hi aala feature hai jis se groups ki safety aur privacy ko barqarar rakha jaa sakta hai. Baki Android aur aayi phone ke users is feature ko apni Whatsapp app mein update karke hasil kar sakte hain. Yeh news bohat hi zabrdast hai aur hum ummeed karte hu kh Whatsapp is tarah ke aur behtareen features ke saath hamen mazeed faida dy ga or local payment option b in future add kry ga.

Ma bhe eik choti se cheez share kr dn. Mari bhe 1000 posts complete ho gai hn is forum py. Waqt guzarta pta bhe nhi chalta

Wah ji Watche bhai ap ne is Forum m 1000 posts tak pohanch jane par mubarakbaad! Yeh kaafi qabil tareef hai aur ap ki mehnat aur lagan ko dikhaata hai jo aap ne dusro ke saath quality content share karne mein ki hai or value add ki han community m informative post share kr k. Yeh interesting hai ke aap jis cheez ki taraf jazbaat rakhte hain us mein waqt ka pata hi nahi chalta. Aap ki posts mein aap ki qeemti raay ilm aur tajurba hai jo aap ne humary sath share kiya hai aur yeh beshak bohat si logon ke liye madadgaar aur beneficial honge. Aap ka kaam bohat hi behtareen hai aur m ap ki ane waali informative posts ka intezaar karta tkh kuch kuch seekhy ko mily baki Inshallah ap Next level jald he achieved kry gy
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
April 30, 2023, 06:47:21 AM
This Really needs Attention!

[/quote]
Assalamualaikum hamza bahi kese hain  or sab kharita hai bhot dino bad AP update howien hain  hamza Bhai aj Kal asi waqie bhot horyien hai hamray b ye kush saal phely asa he Howa tha par aj dekha jy to ye mamlat par log bhot yakin karny lag pary hain jise k aj Kal asy b log hain Jo masjidon Sy zayada darbaron par jaty hain apni manaty ly kar Hy afsos k
Jab Allah pak Quran Karim me khud farmarayien hain k har nafay or nuksan ka ikhtiyar mery pass hai agar puri duniya mil kar Tum nafak pohsanna chhy nhi poncha sakti or agar puri duniya mil kar Tum ko nuksan pohshana chhy nhi poncha sakti
Ye is bat ka paka sabot hai k ham Allah pak k he mohtaj hain or her kis Kam k Leye hamhy Allah he ko pokarna chahiye or Allah Sy he har cheeze mangani chahiye or Allah pak khud farmarahien hai k ay bandy me Tum Sy 70 maoo Sy b zayada payar karta hun or me to Teri shrag Sy b zayada garib Hun Jo hamray itna garib hai hamhy kai zarorat hai  os k Ghar ko chorkar kahien or jaga par apni morady ly kar jany ke
Allah pak ham sab ko hadiyat ka rasta  dekhy rakhy aj Kal bhot he jahalat ho Rahi hai

Assalamualaikum bahi bhot bhot Mubarak ho wo time ab dor nhi k AP apny agly rank ko achieve kar jien gy ye cheezen ham newbies ko bhot motasari Karti hain ap sab ke mehnat or barta knowledge dekh hamra confidence level bhot barta hai or Dil Sy duwaien nikalti hain Allah pak AP ko or taraqi dy or hamien b


Assalamualaikum bahiyon ko Pakistan ke FBR relax foreign exchange
Sy   Pakistan maamlaat mein bahaam raqm ke zariye tax qanoonon mein hasil ki jane wali foreign exchange ki mansubaat ki had mein narmi ka muzakra kar raha hai. 2019 mein exchange rate 1$=158 rupees the jab Rs5 million ki had tay ki gayi thi. Pakistani rupay ki wusat tareen qeemat mein izafay ke baad had $17,668 tak shrink ho gayi hai. Foreign remittances ka income tax se ijazat hai lekin bhaari raqm ke aane se rokane ke liye paisa bhejne wale ke baren mein maloomat ki shart lagayi gayi thi. Tasalsul se overseas Pakistani apne ghar walon ko bina zaroorat ke mushkilat ke samne nahi rakhte jab ke haqeeqati foreign remittances ko facilitate karne ki tawaqo ki jati hai sath hi sarkari iqdamat ke zariye illegal activities ko rokna bhi zaruri hai.
sr. member
Activity: 658
Merit: 283
Hire Bitcointalk Camp. Manager @ r7promotions.com
April 30, 2023, 04:37:05 AM
Is Israel a democracy? Here’s what Americans think

Is article mein University of Maryland Critical Issues Poll with Ipsos ki mukhtalif natijay pehsh kye gye hain, jis mein logon se Israel ki democracy ke bare mein pucha gya tha. Poll March 27-April 5, 2023 tak chla tha aur iss mein 1,203 respondents shamil hue. Natijay ke mutabiq, bohot se respondents ko yeh sawal ka jawab dena mushkil tha, jo ke America ki politics mein Israel ka bohot ahem maqam rakhta hai. Jin logon ne apni rae di, un mein farq siyasat ke mutabiq tha. Republicans Israel ko "vibrant democracy" ke tor par tasawwur karte the, jabke Democrats ke nazdeek yeh "state with segregation similar to apartheid" tha. Is article mein zikr kiya gya hai ke taaza waqeaton ya Israel mein tanzeemi hakoomat ki wajah se yeh mumkin hai ke natijay par asar para ho.

Article link
https://opiniontoday.com/2023/04/25/is-israel-a-democracy-heres-what-americans-think/
hero member
Activity: 1078
Merit: 566
April 30, 2023, 02:43:03 AM


ماشاءاللہ Boht acha ja rhya hn ap. انشاءاللہ wo din boht qareeb hy jb ap senior member hn gy.

Ma bhe eik choti se cheez share kr dn. Mari bhe 1000 posts complete ho gai hn is forum py. Waqt guzarta pta bhe nhi chalta


Chutian finally khatm hona ko hn. Kal 1st May ka last chuti hy. Us ka baad phr normal routine work start ho jya ga. Ya Eid kuch different the kyunka is bar New Currency notes available nhi thy Eidi ka lea. Phr bhe sub ise baat py kush thy ky chalo kam az kam purana he sahi Note to mil rhya hn.
full member
Activity: 308
Merit: 109
April 30, 2023, 01:04:09 AM
Top 10 Companions Pakistan vs India market cap Comparison
Assalam o alikum Pakistan aur india dono ke durman Economy ke mamle mein bade farkh hain. India duniya ke 6 biggest economies mein se ek hai, jabaki Pakistan 44th no par hai. Iske alava india ke pass $2.6 trillion ki GDP hai, jabki Pakistan ki GDP $305 billion han jo both bra difference han.
India ke kai top companies hain jinmein se kuchh hain Reliance Industries, Tata Consultancy Services, HDFC Bank, Infosys, ICICI Bank, State Bank of India HCL Technologies, Larsen & Toubro, india Airtel, aur Wipro. Jabkh Pakistan mein Oil and Gas Development Company Limited (OGDCL) aur Habib Bank Limited jaise kuch top companies hain jo Na Tax pay kr rahi Na he koi benefits dy rahi awam ko.

Market cap ki value mein bhi india aage hai. India ke market cap kaafi adhik hai - $911 billion jabki Pakistan ke market cap sirf $6.8 million hai.I know india ki population zyada hy. India ki population 6x zyada hy, is ratio ke hisaab se bhe Pakistan ki market minimum $150 billion honi chahye. It just takes basic maths to calculate ratios.


Lekin Wahga Border pe taang ooper hamari hai or ham sirf issi baat pe khush hein
Baki Pakistan ki tangen officially uth chuki hen Cheesy Now im looking for all those elders who kept saying k mulk k lea qurbania di hen! Future generation hi qurban kri ha shayed.
hero member
Activity: 2422
Merit: 875
April 30, 2023, 12:31:18 AM
Pagal tu ni hay yeh sab log including Shahbaz sharif. Apni marzi ki parliment bunyee hoi hy aur aun c vote lay k yeh insaan sumjthaa hy k ais ko 21 crore awam ka vote of confidence mil giya. Itni hi himat hay tu election kerwayee aur dekay k loog ais ko vote detay hein ya gandaay annday martay hein.  Bohat ghusa hay mujheee   Angry

Lagta hai apko pagal kahi raste mai mila hai jis ne apko gaali wagira dee hai. Etne votes parliament mai lena yahi saabit karta hai k yahi hamara leader hai aur rahega. hame Niazi ki tarah failed aur corrupted leader ki koi need nahe balke phansi oe charana chaiye tha k poori qom ebrat hasil kare k kis tarah ye Pakistan k sath khel raha tha.

Mujee ni paata tha k Shabaz Sharif aur PDM kay die hard fans abhi bhi majood hien . Mutlab k Patwari, Patwari hi rahay ga  Cheesy

Khair Mubarak ho apko Shahbaz shairf ny vote of confidence lay lia.

Mubarak ho apko k Petrol 280+ hy, Mubarak ho apko k app kay pasisoo c PDM nay bahir properties buna li aur app ko ais mulk mein galnay sarnnay k lie choor dia. Mubarak ho apko k atta 15 KG 2550 rs ka hogia,  Mubarak ho apko k 5 KG oil 3500 rs ka hogia. Mubarak ho apko k electricity apnay All time high rates p hy ajj kaal. I hope app bohat khush hon gay.

I am waiting k jab dollar 500+ ka ho jiey aur pertrol bhi 600+ ka ho jiey by the legend Shahbaz Sharif, takay app jaisay log aur bhi khush hon  Smiley

Ye tho shukar hai k PDM ne barwaqt qaboo kr k bahir penk dia nahe tho es ne aur bei bahot kuch karna tha.

Ji sahi kaha app nay, PDM nay bar waqat aa k aik Gharii Chor ko qabooo ker lie kion k aik watch choori kerna bohat bara zulm hy lkein wahein c cars churi kerna, Pura mulk ka paisa chori kr k bahir london mein propert bunana tu Sawab ka kaam hy na. App tax doo aur PDM walay aus tax k paisay c Election na kerwien bilkuy apni mooj masti kerien tu ais c acha tu koi baat hi ni hy.
sr. member
Activity: 658
Merit: 283
Hire Bitcointalk Camp. Manager @ r7promotions.com
April 30, 2023, 12:22:47 AM


Oh muje tho kisi ne Mubarak bad hee nahe dee jab k mere 200 merit hogae hai. Kis tarah zero se safar se shoro kia aur sekhte seekhte yaha par pohnch gia aur ab Allah k fazal se 200 se oper gia. full member k bad Allah Pak k fazal se waha nahe rukha aur ab qareeb k apni next manzil ko b pohanchb jao. Ye sab ap logo ki duae hai. Faisal aur Unknown Op b mere peeche peeche aa rahe hai aur unko Manzil b qareeb hai.
 

Mashallah, bohot bohot Mubarak ho! Aap ki mehnat aur lagan ka natija hai ke aap ne apni manzil tak pohanchne mein kamyabiyon ka silsila jari rakha hai. Aap ki kamyabi mein humari duaein hamesha hain aur hum umeed karte hain ke aap aage bhi iss tarah tarakki karte rahenge.

Zero se safar shuru karna aur phir mehnat aur istaqamat se apni manzil tak pohanch jana bohot hi azeem baat hai. Aap ki himmat aur jazbaat dusron ke liye bhi misaal hain aur humein umeed hai ke aap apni kamyabi se dusron ko bhi inspire karte rahenge.

Allah aap ko aage bhi kamyabiyan ata farmaye aur aap ko apni next manzil tak pohanchne mein madad kare. Aap ki mehnat aur duaoon se aap aur aap ke qareebi logon ke liye behtar mustaqbil ki dua karta hun.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
April 30, 2023, 12:07:33 AM

Pagal tu ni hay yeh sab log including Shahbaz sharif. Apni marzi ki parliment bunyee hoi hy aur aun c vote lay k yeh insaan sumjthaa hy k ais ko 21 crore awam ka vote of confidence mil giya. Itni hi himat hay tu election kerwayee aur dekay k loog ais ko vote detay hein ya gandaay annday martay hein.  Bohat ghusa hay mujheee   Angry

G umer bhai, aajkal bht zayadeh BTC ko lay ker price predictions ki ja rehi han jis k peechy koi khas analysis ya thought process nhi hota ha jis se community mislead hoti ha. Lakin globally kuch bht bry events ho rehe han jasa k BRICS summit mein bht sary arab countries or China or India ka shamil hona or mutual trading k liye dollar ki bjai apni native currencies mein lain den kerna es se dollar ki globally jo dominance ha us pe negative impact ho ga or ap Bitcoin or dollar k index ko dekhein toh dono mein ek inverse relationship ha. Es k ilawa USA mein consequtively Bank collapse ho rehe han jis se Fiar currencies pe confidence weak ho raha ha.

Bottom line yeh ha k en sub developments ka Bitcoin pe positive impact ho raha ha or ho sakta ha k hum 2023 mein Bitcoin ko 50K tak jata hoa dekhein. INSHA ALLAH.

hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
April 29, 2023, 11:46:51 PM

Wah g wah. Kamal ho gai ji.
Ek or Senior Member is on the way. Bohat bohat bohat Khushi hui bhai. Allah ap ko or zyada traqyan dy. In sha Allah ji bohat jald ap Senior Member ho jaen gy.

Or sab sy pehly meri taraf sy Mubarak ho bhai. Or Unknown Op bhai bhi pichy hi hen. Wo bhi Senior Member ki taraf apna safar ko mukamal karny ki koshish my hen. Or jald hi apna safar mukamal karen gy. In sha Allah.
Jump to: