Author

Topic: Pakistan - page 480. (Read 6708872 times)

full member
Activity: 784
Merit: 204
July 10, 2023, 06:37:21 AM
Most Welcome Janab Zror Germany Boht pyara mulak han Or baqqi Shukria wali bat he Nahe Musa bhai koshish hoti han community ma information wali post kary baki scholarship wla in Germany bilul Free han or apko IElets ka test pass karny ka ki Zrort ni han ya sb sy bari he Good news han qkh aksar students sy IElets ka Test he Clear ni hota han lakin is scholarship ma ya condition Nahe han or Musa bhai ap kia karty Study kar rahy ya Job brother?

Mashallah boht achi aur Naik soch hy. Bhak ma to abhi student hn.
Eik baat pochni the ky kise ko PM Laptop Scheme vala Laptop mila hy. Social media py kuch pictures ayn hn pr lagta nhi wo F.Sc ya Graduation level ka students hn. Kafi age ky log hn jinko Laptop mila hn. Ma na bhe apply kea hy aur mera Status sirf Verified show ho rha hy. Agr yahn kise ko mila hy to share krn ka kya merit bna hy is Laptop ka lea.
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
July 10, 2023, 02:18:26 AM
SBP Ready to launch First Pakistani digital currency

Assalamalikum to my community members Pakistan ke State Bank (SBP) digital currency ko pilot program mein 2 month ke andar launch karne ke liye tayar han. Ya imp step mary khyal sy SBP ke "SBP Vision 2028" ke hisse hain.



SBP apni digital currency ko taqatwar banay ka tareeqe se digital transactions ya step ma imp role play kry ga jiski wajah se ye Bitcoin aur Litecoin jaise cryptocurrencies se different hu ge. Qkh Central Bank digital currencies (CBDCs) jaise Pakistan ka project blockchain technology par depend hota hain aur maqsad rakhti hain mukamal karne ka traditional electronic money ke saath. Or bi boht sary countries jasy Nigeria, Jamaica aur Bahamas ne pehle hi apni CBDCs launch kar di hain jabke kuch aur countries ma bi is tarah ke projects ki pilot run kar rahe hain.Umeed han ya ik acha project hu ga Pakistan ma digital currency ko prmote karny ka lay.
Source



Boht shukria Cheema sb for sharing this scholarship. Germany ke education kafi achi hy (waisa to pora Europe ke eduction achi hy) aur agr saath ma Scholarship ka tarka lug jya to kya he baat hy. Yani aam ka aam aur guthleyon ka daam. Normally scholarships MS ya PHD level pr offer hota hy. Ya achi baat hy ka bachelors ky lea bhe y scholarships valid hn. To phr kya khahal hy dosto, chalan Germany?
Most Welcome Janab Zror Germany Boht pyara mulak han Or baqqi Shukria wali bat he Nahe Musa bhai koshish hoti han community ma information wali post kary baki scholarship wla in Germany bilul Free han or apko IElets ka test pass karny ka ki Zrort ni han ya sb sy bari he Good news han qkh aksar students sy IElets ka Test he Clear ni hota han lakin is scholarship ma ya condition Nahe han or Musa bhai ap kia karty Study kar rahy ya Job brother?
full member
Activity: 784
Merit: 204
July 09, 2023, 02:22:58 PM
Germany mein DAAD Fully Funded Scholarship 2023
Assalamalikum to my community Members Good News Scholarship aii han full funded Germany ki.is ma apply karny ka lay apko Block account ki zaroorat nahi hai.
DAAD scholarship ma air safar tickets, sehat visa fees, books family allowance aur study materials ki Expanse cover karta hai.is lay abi apply kary apko IELTS bi required ni han or masters and bachelor degree holders 2no apply kar skty han



For Apply and More information: https://opportunitiescorners.com/daad-epos-scholarship/

Boht shukria Cheema sb for sharing this scholarship. Germany ke education kafi achi hy (waisa to pora Europe ke eduction achi hy) aur agr saath ma Scholarship ka tarka lug jya to kya he baat hy. Yani aam ka aam aur guthleyon ka daam. Normally scholarships MS ya PHD level pr offer hota hy. Ya achi baat hy ka bachelors ky lea bhe y scholarships valid hn. To phr kya khahal hy dosto, chalan Germany?
sr. member
Activity: 560
Merit: 365
Pakistan Local Board Request
July 09, 2023, 12:52:17 PM
Aoa Ma new hion Mujhe rules ka nhi pta or ma yahian earning krna chahta hion anyone guide me which type of post I do here
Waalaikumaslam Bhai Jan umeed karta ho ap khariyat Sy ho gay
First of welcome to forum and also Pakistani community Bhai Jan apka Naam dekh kar he der lag Raha h Hpscamer  Cheesy Bhai Jan Kia soch kar ge Naam rakha h full dangerous Naam h Khair Bhai Jan waisy to yaha sab earning karny he atay h is forum my or yaha different tareeqo Sy earning Hoti h or apny waisy mention b ni Kiya ap Kesy earn Karna Chahty h bounties ke zareay ya Signature Compaign ke zareay Sy or ap faucet Sy b earning kar saktay h jissy micro earnings b kehty h and games and rounds walay section me b ja kar ap prediction waigera ya games m participate kar KY b earning kar sakhtay h so ap please mention kar den or hum poori Koshish Karen gay apko guide karny ki KY ap yaha or kis section my Kesy earning kar sakhtay h or dosri baat ap yaha information, knowledge Bitcoin ki or ther cryptocurrency ki waigera ki post kar sakhtay h or discussion b kar sakhtay h hamary Sath h or tesri baat ye KY ap kaafi rules ka kheyal rakhna paray ga or unko achay sy follow b Karna ho ga ni to apky account my issue a sakhta h or rules ka link m nichay dy do ga ap Waha ja kar carefully Sy rules ko read kar Len





Asslamualaikum! Dosto kaya hal hai. Umeed hai kheryat sy hon gy.
This is amazing. Yani ap ko agar apni nazar ko ghumaty rahen gy to ap ko lagy ga ky har circle my black dot mojud hai. Or agar stable karen gy to lagy ga tmam circle khali hen. Ab black Dot har jaga hi hai agar ap nazar ko hilaty rahen gy. Jesy hi roken gy phr wahin ky wahin.
https://www.jagranjosh.com/general-knowledge/optical-illusion-find-black-dot-1688732283-1

Waalaikumaslam ThemePen Bhai Allah ka shukar my theek ho or umeed karta ho ap b khariyat Sy ho gay
Bhai Jan ye Kia cheez share kar di saar he chakrany lag GIA Bhai jab achanak sy daikha to koi dot Nazar he ni a Raha tha phir jab Thori c Nazar ghoomai to kaafi dots show hona start ho gay or phir black dot har circle my Nazar ana start ho gay or wo sab aik jagha par still tehar he ni rahay thy bhai booht mushkil h black dot ki find Karna or great Bhai Jan kaafi interesting illusion share ki h  Cheesy or Kuch mAh pehly mene b 1 aisi he illusion share ki thi lekin wo Issy kaafi different thi.

legendary
Activity: 966
Merit: 1042
#SWGT CERTIK Audited
July 09, 2023, 12:13:31 PM
Asslamualaikum! Dosto kaya hal hai. Umeed hai kheryat sy hon gy.
This is amazing. Yani ap ko agar apni nazar ko ghumaty rahen gy to ap ko lagy ga ky har circle my black dot mojud hai. Or agar stable karen gy to lagy ga tmam circle khali hen. Ab black Dot har jaga hi hai agar ap nazar ko hilaty rahen gy. Jesy hi roken gy phr wahin ky wahin.
https://www.jagranjosh.com/general-knowledge/optical-illusion-find-black-dot-1688732283-1

Walikum Salam,
haha quite interesting such type of patterns are optical illusion and i know that you all know. Ye quite interesting ha maximum of times ye lines pa based hota ha jisme different patterns hote ye wala kuch alag ha as where you focus wo jagha white and rest is dark so apko lagta ha ka wohi black dot haa. Mera too sarr dard karne lag gya ha iski waja see.

Aik do mere pass bi the showoff ka lia but i lost them howe bii to kon 7k+ images ma ose dhondhe.
sr. member
Activity: 336
Merit: 292
20BET - Premium Casino & Sportsbook
July 09, 2023, 10:22:58 AM
Find The Black Dot


G Bhai kya ajeeb cheez le k aai ho. kuch samaj nahe aa raha k ye kis andaz se banaya gya ha. har tarf dot hii dot nazar aathe hai magr jab nazar ek taraf kare tho pata nahe koi bee dot nazr nahii aathaa. koi btha sakta hai es mai konsi technology use huwe hai?



Wallet phrase k liye sab se best option konsa hai jis se safety bee ho aur anytime usko access karna easy hoo. aksar log paper hand use karte magar wo easily accessible nahe aur kuch cloud use karte jo k secure nahe.
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
July 09, 2023, 05:36:52 AM
Germany mein DAAD Fully Funded Scholarship 2023
Assalamalikum to my community Members Good News Scholarship aii han full funded Germany ki.is ma apply karny ka lay apko Block account ki zaroorat nahi hai.
DAAD scholarship ma air safar tickets, sehat visa fees, books family allowance aur study materials ki Expanse cover karta hai.is lay abi apply kary apko IELTS bi required ni han or masters and bachelor degree holders 2no apply kar skty han



For Apply and More information: https://opportunitiescorners.com/daad-epos-scholarship/
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
July 09, 2023, 05:28:16 AM
Find The Black Dot


Asslamualaikum! Dosto kaya hal hai. Umeed hai kheryat sy hon gy.
This is amazing. Yani ap ko agar apni nazar ko ghumaty rahen gy to ap ko lagy ga ky har circle my black dot mojud hai. Or agar stable karen gy to lagy ga tmam circle khali hen. Ab black Dot har jaga hi hai agar ap nazar ko hilaty rahen gy. Jesy hi roken gy phr wahin ky wahin.
https://www.jagranjosh.com/general-knowledge/optical-illusion-find-black-dot-1688732283-1
hero member
Activity: 812
Merit: 619
July 09, 2023, 04:34:12 AM

Bhai Jan, tu Rupee mein kon si stability hy ?  Rupee kon ssa save hy ? Humaray sammay Rupee ki value din ba din girtii ja rhi hy ? Yerh tu app ki crypto ni hy, mufi sab ki pasand ki currency hy , Kia yeh barbad ni ho rai ?  Haqeethat mein Paper currency gult hy but molvi sb ko bus crypto buri laghti hy (kion k aun ko sumjhee ni ati)

O PA G stability aur instability k darmayan kindly farq maloom kare. hamara pkr hamare mulk k hisab se hai aur jo instability hai wo crypto k lehaz se na hone k barabar hai. us ka jawab ho chuka hai magr ap apne pasand ki ek jaga post se ota lethe ho,
uski misal Karachi k baherea town mai property k price mai high volatility hai jis ki waja se instability issue nahe hai. rupe ka girna us speed se nahe hai k ek din mai 10x jae ya 2x neeche ae.  har mulk ki currency government ki taraf se backed hotha hai. aur apko ye b pata hoga k ye rupe asla mai ek cheque hai aur es k qeemat k baqadar hamara sona mahfooz ha aur hm kisi b waqt mutalba kar sakte hai. Ftx logo k paise barbad kia aur shahid ap b un khush qismati mai se ho. Europe ne apna paisa recover kia, apka paisa kaha gia? doob gia? mutalba kar lo na. Luna barbad huwa aur sath mai stable coin b gia. kisi ko kuch waps mila? ap ka paisa yaha par save hai agr cha economics k lehaz se price up ya down jae. wese pehle pkr ki price doller k muqable mai 2-7 rs up down huwa karte magar PTI ki barkat se 20 Rs thak ham ne dekha. aur sara credit hamare piare PTI ko jaatha hai ko mulk ko teek kar raha tha.  Cheesy

Quote

Haha, yehi newbie wali sooch k crypto  c earning only from trading. Bhai jan trading mein jitana loss hota hy, jinta humri youth ny loss kia hy aus ka app ko andaza hi ni. Pura Paksitan pata ni kitnay dollar gaawa chuakein hein trading mein.
Hamre Pakistani 70% se ziada future mai hai aur mai Facebook k groups mai sabko rota huwa dikhta ho. earning wali bath mai kar hee nahe raha yaha par. mai investing wali bath kar raha ho. kindly ek martaba pher read kare. Crypto k faido se tho koi inkar nahe kar raha magar dekha jae tho Europe crypto par qabiz hai especially USA. jab chahe jaise chahe security case bna le. BNB par latest jo case bnaya hai aur abe thak bnb bechara down he hotha ja raha. Muslim agar saara tojarti maal yaha lagae aur udher se closed ho jae just like abe fantom k usdt peg ko multichain wallet se steal jia gae kuch wallet ko he freeze kia gia tho uski recovery ki koi sorat nahe.
full member
Activity: 784
Merit: 204
July 09, 2023, 12:25:29 AM
Musa bhai ap jis cheez ki baat kr rhy hain wo yaha pr fixed apy ki hai. Jis my ap bakhoobi janty ho ky kya hota hai. Jo meri mazar my haram hai chahy wo ap crypto my kr rhy ho ya phr fiat my dono surto my haram hai. Baki mai bi koi bohat knowledge wala bnda nhi hoon but ilm hasil krny ky liya dil my jo hai wo to btana hi padht ahai.

faisal bhai eik aur cheez jo mera zehan ma ayi wo the stock trading ka barya. Pehla ya kaha jata tha ky stock ke trading haram hy kyunka ya physically exists nhi krta. Kuch arsa pehla Dr Zakir Naik ka eik lecture dekhna hua us ma wo keh rhya thy ky stock ke trading halal hy kyunka stocks ka pecha eik physical company hy jo exists krti hy.
Isee tarah Mufti Tariq Masood sb farma rhya thy ky Installment py cheez lena jaiz hy. Iske daleel bhe wo dy rhya tha.
Ma kise ko criticize nhi kr rha bus ya kehna chah rha hn ky ya cheezan pehla haram thee pr waqt ky saath saath Halal ho gai. Crypto ka bhe yahi haal ho ga. Bus thora wait krn.
hero member
Activity: 2464
Merit: 877
July 08, 2023, 11:35:01 PM
Snip
aur us ne kaafi had thak gunjaish rakh dee hai stability etc k mutaliq. ye tho apko b manna parega k crypto as a payment kitna khatarnak hai. ap k mutabiq interest free ham ye start kar le tho aj koi exchange bhag gai, Ethereum doob gia like luna, usdt barbad huwa like Ust, btc ka kaam tamam huwa, kon zimidar hoge etne bare loss ka?

Bhai Jan, tu Rupee mein kon si stability hy ?  Rupee kon ssa save hy ? Humaray sammay Rupee ki value din ba din girtii ja rhi hy ? Yerh tu app ki crypto ni hy, mufi sab ki pasand ki currency hy , Kia yeh barbad ni ho rai ?  Haqeethat mein Paper currency gult hy but molvi sb ko bus crypto buri laghti hy (kion k aun ko sumjhee ni ati)


matlab k 10 million doller mere pas ha aur mai sirf trading karo. faida tho ho skata hai magr muje individually hoga, agr yahi paisa mai koi shop, factory mai lagao ya real business mai tho es se faida ziada hoga banisbat pehle sorat k.

Haha, yehi newbie wali sooch k crypto  c earning only from trading. Bhai jan trading mein jitana loss hota hy, jinta humri youth ny loss kia hy aus ka app ko andaza hi ni. Pura Paksitan pata ni kitnay dollar gaawa chuakein hein trading mein.

Crypto k bohat c faida aur bhi hay, like app kisi bhi country mei nonline job / remote work ya busiess kerain tu app ko payment lenay denay mein koi issue ni hoga aur transcation fee bi kaam lagay gi... Humaray molvi hazrat puri dunyia mein Quran pertha saktay hein online aur payment easily through crypto.
App AI based business model tiar kr saktay ho aur crypto and blockcain ais ki backbone hogi... Governemment level p app bitcoin minning start kr saktein hein jaisay k Iran ny kia aur UAE tu minning Hub bunay wala hy.
full member
Activity: 476
Merit: 227
July 08, 2023, 03:33:22 PM
Assalam o alaikum Everyone in the community

Hope y'all doing well. Mai ny ak artical parha jis mai ya mention tha k Pakistan 2035 tak 1$ trillion predict ki ja ruhi hai us mai ya b mention hai k poverty rate b decrease ho jayee ga jo sirf 15% reh jayee ga. This prediction was adopted by (NEC) national economic council. Meray Khayal sy ya sab tabhee mumkin hai jab har government ko uska poora time diya jayee or usko usky waqat sy pehly utara na jayee. It's been 70 years.... Pakistan ko banay howay. Or aj tak ak dafa b asa nai howa k keai b government ko uska pora time mila ho. Har government apny toor tareeko sy mulak chalati hai or polices b change kr dati hai jis ki waja sy mulak k halat abi kafi unstable hain. Agar har government apny tareeko sy or emaan darii sy kam kry to Pakistan bohat jald tarakii kr skta hai. Or es ki waja inflation rate b kafi kam ho jayee ga or mulak mai logo ko education dy kr modern era k motabik kafi rooz gar paida kiya ja skta hai like digital marketing or IT ki field ko promot kr k. Esay mulak k halat kafi haad tak stable ho skty hain. Or ak cheez agar government stable rhy gi to Pakistan mai kafi investor ayee ga or uski investment sy or kaafi logo ko rooz ga milay ga. Ya post conclusion ya meri khud thi thoughts ka or mai ny jo artical parha tha uksa. Ap logo ka esky baray mai kiya khayal hai zaroor share ki jeeya ga Many Thanks

Source:: https://minutemirror.com.pk/pakistan-eyes-1-trillion-economy-in-2035/
hero member
Activity: 812
Merit: 619
July 08, 2023, 01:16:42 PM
Snip
bhai jab saare ullama crypto ko haram keh rahe tho matlab hai k crypto mai kuch kami hai aise cheezo ki jis ki bunyad par ye kaha ja raha hai. baqi crypro ko 100% haram nahe keh rahe Ullama dosre sood walo cheezo ki tarah. waqar zaka k sath Jis maulana ki ap bath kar rahe Mufti Fazal Subhan, Allah k fazal o karam se kaafi ache point se us ne smjaya hai aur us ne kaafi had thak gunjaish rakh dee hai stability etc k mutaliq. ye tho apko b manna parega k crypto as a payment kitna khatarnak hai. ap k mutabiq interest free ham ye start kar le tho aj koi exchange bhag gai, Ethereum doob gia like luna, usdt barbad huwa like Ust, btc ka kaam tamam huwa, kon zimidar hoge etne bare loss ka? Interest se bachna hai tho samply bank mai paise mat rakho, koi karobar karo. wese crypto ka mai aik dosra nuqsan btha ditha ho k koi physical growths nahe ho rahe. matlab k 10 million doller mere pas ha aur mai sirf trading karo. faida tho ho skata hai magr muje individually hoga, agr yahi paisa mai koi shop, factory mai lagao ya real business mai tho es se faida ziada hoga banisbat pehle sorat k.

Quote

+ Ye Qyas kia hota haa??
bhai knowledge tho internet mai available hai, waha se le lejeaga. etna btahtha chalo k Deen k masla k dalail arba mai se hai.

Quote

apke full post read karke still mera question haa ap kisko defend karr rehe... BCZ I had already said a general statement. phir bi agar apki mere alfaz se Ullma akram ka lia dilazaari hoi main maffi ka talab gaar hoon.
kuch baathe ap tamheer k tor par the jo ap se related nahe the magar us ko buan karna es maqsad se tha k saare pehloo clear ho jae. asal mai ap ne oper aksar ka lafz use kia jis se almost all ullama becharo ko ata pata nahe finance ka. mai sirf etna bthane ki koshish kar raha tha k Muftiane karam k pas osool maujid hai yani calculator maujud hai. jitne b masail aa jae tho calculator k through asani se hal ho sakte. baqi kuch jaga aise aa jaathe hai k direct halal ka fatwa nahe dia ja sakta(Islami osoolo ko made nazar rakhte huwe). Muftiane karam k liey tho asan hai bas keh de k sab kuch halal hai . ap b khush aur koi mukhtalifat b nahe. magar etni sakht Mukhtalifat k bawajood jab wo apne bath pe date hai tho koi majboori hai,. koi aisi rukawat hai jo enhe aisa fatwa dine se rok rahee.
legendary
Activity: 966
Merit: 1042
#SWGT CERTIK Audited
July 08, 2023, 12:58:09 PM
ab aathe hai mozoo ki taraf. finance se agr sirf finance murad ho tho wo 1400 saal se muslman bechare baghair knowledge k waqt guzar rahe the aur agr online finance murad hai tho ye tho ho nahe sakta k baghair tehqeeq k Mufti apko keh de k ye haram hai. agr kisi ko pata nahe hotha tho wo bare idaaro se rabte mai rehte hai. aisa koi bara masla aatha hai tho un par arab aur ajam k Ullam meeting karte hai, thab koi Hal nekaate hai aur ijmaae umaat kabe ghalt kaam par nahe hothe.

So apka kehne ka matlab ha ka gaalt fatwa nai de sakte? to main apko bata doon ka mere aik teacher hain ranking onki jese apne oper explain ki i dont know but i know atleast woo MA IST hain + Madrase se bi unhon ne study kii haa onhoon ne humain just for the sake of information Ye crypto wala topic smjhya and he clearly said its Haram. Onhon Basic crypto term se humain Haram keh ka rokk dia ka Crypto is Haram base kia haa onki research ki i don't know...

Hum Ismlmic finance ki baat karte hain transprency ki baat akrte hain mere khyal ma crypto is the solution for interest free and proper Islam based finance system jisko maximum Ullma still Haram kehete hain.. Ma siwae kuch zimadaar logon ka and in kuch ma sirf kuch hi atee hain. Even i saw an interview of Bol TV i think jisme kuch ullma the and waqar zaka was case presenter wahan bi kuch ullma ne isko Haram hi kaha. Even osme unhoon ne kuch gunjaish choodi haa baad ma accpetance kii.

ye jo kaha jaatha hai k kuch masail pehle hukam aur tha per ab badal gia tho uski ghalti b ullama ki nahe balke ghalt tehqeeq ki hai. misal k taur par loud speaker par nemaz k mutaliq scientist ka ye khial tha k ye dosri awaz hai tho nemaz k najaez k masla tha magar jab mukamal tehqeeq se sabit huwe k voice real hai bas ye eko tez karta hi tho hukam jaiz ka huwa. perfume ka masla b alcohol k % ka tha. jab mukamal tehqeeq se pata chala k es mai % km hai tho jaiz ha magar per b aala darja ye hai k alcohol pak ho. aur ye b yad rakhe k jab thak masla ibtedai stage pe ho tho aur kisi cheez ka faida km ho aur na karne ma faida ho tho hm na karne ka hee fatwa dethe hai magar jab logo mai aam ho jae tho un k liye kuch heele nekale jathe hai tha k poori umaat gunah mai mubtila na ho aur ye un ahkam ma hotha hai jaha kuch na kuch gunjaish ho. aur b kai masle hai magar sirf smjana maqsood hai jo ek se b smj ma aa jaega.

Ye jo kaha jata haa omeed ha ap smjhain ge ka ye main ne nahi kaha but ye reality haa ka due to lack of reaserch Ullma Haram ka fatwee dete hain and wo baad ma gaalt sabit hote even ka woo hamre faide ka hottee haain. Apka point smjhe magar phir bii ye badi reason haa ka ye Gap ata ha iski waja se kafi nuqsaan hotaa.

online ki bath kare tho tho ap ki research km hai es baare mai. ap ache madrase mai ja k Mufti se ja k pooch le , umeed hai answer mil jaega. aur mai 70% yaqeen se kehta ho k apko ab thak haram ki definition thak nahe aathe hoge aur agar ap internet as dekh b le thab b ab kaafi waqt lagae usko smjne mai per us k bad riba ki definition aur aqsam wagira. ap ne jo liquidity ko land farming se tashbeehh de hai totally wrong aur qiyas ka zero % knowledge ki waja se dee. tashbeeh dithe waqt 4 cheezo ko dikha jatha hai wo shahid apko pata nahe aur ye b btha do k land farming k b 4 qisme hai aur un mai se baaz jaiz aur baz najaiz hai aur land forming ko jaiz smjna b fiqh ki madad se hai aur Muftiane karam k fatwe ki waja se pata chala hai. umeed hai apko kuch na kuch smj aa gae hoge k finance ka ilm hai k nahe. agar zrorat pare tho mai apko apni kitabo k masael kuch share jar donga jis se apko andaza hojaega k finance par hamara kitna oboor hasil hai

Humm quite interesting khair ye to mudaa hi nai haa ka apko kitna pata ya muje kitna pata as for finance (meri domain nai ha ye except for a basic jo ka meri need ha). I didn't say liquidity is like land farming mera mtlab ye ha ka process is quite same.

+ Ye Qyas kia hota haa??

apke full post read karke still mera question haa ap kisko defend karr rehe... BCZ I had already said a general statement. phir bi agar apki mere alfaz se Ullma akram ka lia dilazaari hoi main maffi ka talab gaar hoon.
member
Activity: 1106
Merit: 54
July 08, 2023, 10:16:04 AM
Aoa Ma new hion Mujhe rules ka nhi pta or ma yahian earning krna chahta hion anyone guide me which type of post I do here


میرے بھائی کا اس فورم پر اور اس تھریڈ میں خیرمقدم ہے اب ہمارے پاس نئے ممبرز کی اچھی تعداد ہے لیکن براہ کرم اپنی سوچ کو تبدیل کریں اور پہلے سیکھنے کی کوشش کریں کہ کوئی کمائی کرنے سے پہلے یہ آپ کے اور آپ جیسے تمام نئے آنے والوں کے لیے زیادہ مددگار ثابت ہو۔
دوسری بات یہ کہ اگر آپ انگریزی سمجھ سکتے ہیں تو براہ کرم اسے پڑھیں اور اس فورم کے تمام اصولوں پر عمل کریں امید ہے کہ یہ آپ کو یہاں بہتر اور محفوظ رہنے میں مدد فراہم کریں گے۔

https://bitcointalksearch.org/topic/faq-everything-you-need-to-know-about-forum-activity-account-ranks-and-merit-2766177




sr. member
Activity: 336
Merit: 292
20BET - Premium Casino & Sportsbook
July 08, 2023, 09:09:49 AM
GET TRANSACTION FEE FOR EVERY NETWORK

Baaz martaba hame bnb, matic, eth ya kisi aur network ki fees kee zarurat huthe hai. ab agar ham exchange se withdraw karege tho us se fee ziada lagtee hai aur dosra time  bee zyada lagta hai. tho eska aik aasan tareeqaa be ha go ma yaha friends ke sath share karna chahthaa hou. mujee hope ha k sab ko pasand aega.

First of all apko Safepal wallet need hoga. ap Playstore se usko download kar le https://play.google.com/store/apps/details?id=io.safepal.wallet

os k baad phrase daal de apna aur wallet open kare. next screenshot ko follow kare tho apko smaj aa jaega. ap k pas busd, usdt etc kisi b network ka hona need hai. Us k liye ap k pas SFP ho tho per asani hoga only 0.17$ fee lagiga. per ap aasani se usko kisi b network k fees le sakte hai with very low fees.








newbie
Activity: 65
Merit: 0
July 08, 2023, 08:26:13 AM
Aoa Ma new hion Mujhe rules ka nhi pta or ma yahian earning krna chahta hion anyone guide me which type of post I do here
legendary
Activity: 966
Merit: 1042
#SWGT CERTIK Audited
July 08, 2023, 07:13:18 AM
Well Hamza bhai apki ye post dekh kar muje kaafi dukh aur afsos huwa k apki soch hamare ullama karam aur Muftiane karam k baare mai kia hai. Apko jawab dena farz ban gia hai kere oper . ek tho es waja se k apko es soch ki islaah ho jae aur dosra ye k dosre user apki baath ko haqeeqat na jaane. Merit k lehaz ap senior hai aur omer k lehaz se ap chote hai tho umeed hai ap mere post as a shafqate bare bhai k tanasub se dikhe ge.

G zaror apki post ko islah ka toor pe dkehain ge magar mujhe nai lagta ka koi esi Talkh baat main ki ha jispe itna bada islahi leacture banta ha apke mahale ka molvi ko Finance ka nai pata and he cant give you proper answer on your qurrey. Senior wali rehnde dain app sab mujh se badee hain and i am student main ne jo meri info thi waziah toor pa btata dii. Khair dekhte hain apne kia kaha lekin..

Oho oho mujhe bi kafi afsoos howa ka apne meri baat ka kia matlab nikala and ap apna farz kafi achee se poora kar rehe khair abi full post main ne read nai ki just to calrify main ye post kar raha baqi full post read karke bi apko jawab da dain ge.. Khair main ne aik ground reality batai main ne agar gaalt ho too app mujhe batiye gaa. Har banda bura nai hota meri Statement genral thii Jisse fit ose gift baqi ye apne ne aik naya rkh dia ha meri post ko haha and afssos mujhe bi ha ka meri baat ka interpitation apne ye kia haa. As i said Jise fit ose gift "Ullmah Karam" ko isme na dalain as its a genral statement. Also khair mujhe nai pata main ye reply ku de raha to calrify i think zarorat nai iski bii.


Fisal2202 apki 4 points ma flaws hain apko bi qoute krain ge next post maa, + MsuaPK apki post main read ki ha ospe bi baat kar lain ge ka time ku matter karta haa and iski waja kia haa, Gladiator bhai apne Baat ko 180 moddd dia haa, Themepen apki baat qabilae behas haa and ye waqia apne qoute kia ha ye aik routine ki baat ha main bohat waqaita sunne ese but main tasdeqq nai kar satka.
hero member
Activity: 812
Merit: 619
July 08, 2023, 07:00:43 AM

Han hn bhai agreed hum mufttii nai hain but firr bii as we have some Islamic knowledge as well domain hamare maximum jo molvi hazraat ha onko Islamic finance ka kuch ata pata hi nai ha onke pass jawo ge to kuch nai mille ga. Siwaee apko Haram ka fatwee ka haha. Like really apko kisi ese badne se baat karni chaiye jo apki field + Islamic view dono ko behtar janta hoo and ye combo boat mushkil se milta haa. Khair stable coins pa mera koi view nai ha haan fix APY halal bi ho sakta ha Haram bi depends on the working as i did explain in my Last post.
Well Hamza bhai apki ye post dekh kar muje kaafi dukh aur afsos huwa k apki soch hamare ullama karam aur Muftiane karam k baare mai kia hai. Apko jawab dena farz ban gia hai kere oper . ek tho es waja se k apko es soch ki islaah ho jae aur dosra ye k dosre user apki baath ko haqeeqat na jaane. Merit k lehaz ap senior hai aur omer k lehaz se ap chote hai tho umeed hai ap mere post as a shafqate bare bhai k tanasub se dikhe ge.

Mera field chunke Talib ilm ka hai aur muje pata hai k finance ka Muftiane Karam ko pata hotha hai k nahe aur hamara jo knowledge hai us se hm masail hal kar sakte k nahe.

Sab se pehle kuch thamheedi bath arz karna chahta ho then asal topic ki taraf aonga.

Hamara deene islam alamgeer deen hai aur apko har qaum k kiye har zamane k liye aur har qism k masail maujod ha. jab ham deen se masla nekalte tho pehle Quran ko dekhte hai k us mai masla maujud hai k nahe agr waha na ho tho per ahadees aur waha b na mile tho per Ijmae ummat aur last mai qiyase hujjat... ab en sab ko deekhne k liye arbi zaban mai maahir hona zarori hai k apko arbi k osool ka pata ho, nhe tho masail akhaz karne mai kaafi mushkil pesh ae ge balke bahot se jaga ghalt masail nekaloge. mai small se misal dith ho quran mai aatha hai k
Quote
نِسَآؤُكُمْ حَرْثٌ لَّكُمْ۪-فَاْتُوْا حَرْثَـكُمْ اَنّٰى شِئْتُمْ٘-وَ قَدِّمُوْا لِاَنْفُسِكُمْؕ-وَ اتَّقُوا اللّٰهَ وَ اعْلَمُوْۤا اَنَّكُمْ مُّلٰقُوْهُؕ-وَ بَشِّرِ الْمُؤْمِنِیْنَ(223)
تمہاری بیویاں تمہاری کھیتیاں ہیں اپنی کھیتیوں میں جس طرح چاہو  آؤ اور اپنے لئے  ( نیک اعمال )  آگے بھیجو اور اللہ تعالٰی سے ڈرتے رہا کرو اور جان رکھو کہ تم اس سے ملنے والے ہو اور ایمان والوں کو خوشخبری سُنا دیجئے ۔
ab yaha par anna ka lafz hai ayat mai jis k 2 meaning hai. ek hai kefiat k lehaz aur ek ha jaga ka maana tho ab agar kefiat ka maana lia jae tho matlab hai k jimaa karna hai tho jis kefiat se b karo magar jaga ek hee honi chaiye aur agar dosra maana lia jar tho maana ho ga k jis jaga (aage ya peecha) jimma karo jaiz hai. ab agr dosre ahadees par aur ayat par oboor na ho tho ghaliib guman hai k banda dosra maana le le magar arbi zaban aur pore hadees aur ayat par jis ko oboor ho tho wo Sahi masla nekale ga. yaha par ek tho arbi zaban par oboor ka zikar mai ne kia aur dosra ye k sirf ek hadees ya ayat dekh kar masla nahe nekala jatha balke kuch ayat mai bad se koi qaid b aa sakti hai aur kuch kami aur beshi b. filhal ye topic nahe magar ye bthana zror hai ap ne likha ha k hamare pas knowledge hai tho bhai apka knowledge filhal es Field mai zero ha

Mufti ka meaning hai fatwa dena wala aur es fatwe dine k liye following stage se guzarna hotha hai . mai sirf finance ka zikar karna munasib smjo ga.
Darja oola: arbi seekhna (Sarf aur nahw)
Darja Sania: Qudoori( ye fiqha ki kitab hai jis mai tijaraj k osool aur forooh bian huwe hai)
darja salisa: kanz (es mai b thore thafseel se muamlat tijarat ka zikar hai)
darja Rabia: Sharh wiqaya( mukammal tijarat k mutaliq)
darja mauqofon alaih: Hidaya jild 3 ( mukammal finance par)+ Mishkar shareef
last darja: full sehae sitta


Ye 8 sala darse nezame hai. ye banda sahi pare tho mukammal qazi ban sakta hai aur har qisam k masail k osool zikar hai chahe jaisa b masla ho. abe zohoor aa chuka ya na aur yad rahe ye osool 1300 saal pehle waza huwe aur aj thak muslim ummat esi par apne tijarti muamlat karte aur finance ka jaisa b masla ho esnhe osool k tehat hotha hai aur ab hamare hamza bhai kehta h k unko kuch aata pata nahe.

aalim banne k bad 2 saal mufti ka course kehte hai jis ko English mai hm specialist kehte hai jis mai fatwa dene k saare osool wagira zikar kie jaathe hai. per course karne k bad 4 saal kisi experienced mufti k sath waqt guzara jaatha hai aur fatwa dithe waqt wo ghaltiyo ki islah karta hai. ab etne stage guzarne k bad un becharo ko kuch aata pata nahe aur internet se hadees dekh kar masla dine walo k sath full knowledge hai.

ab aathe hai mozoo ki taraf. finance se agr sirf finance murad ho tho wo 1400 saal se muslman bechare baghair knowledge k waqt guzar rahe the aur agr online finance murad hai tho ye tho ho nahe sakta k baghair tehqeeq k Mufti apko keh de k ye haram hai. agr kisi ko pata nahe hotha tho wo bare idaaro se rabte mai rehte hai. aisa koi bara masla aatha hai tho un par arab aur ajam k Ullam meeting karte hai, thab koi Hal nekaate hai aur ijmaae umaat kabe ghalt kaam par nahe hothe.

ye jo kaha jaatha hai k kuch masail pehle hukam aur tha per ab badal gia tho uski ghalti b ullama ki nahe balke ghalt tehqeeq ki hai. misal k taur par loud speaker par nemaz k mutaliq scientist ka ye khial tha k ye dosri awaz hai tho nemaz k najaez k masla tha magar jab mukamal tehqeeq se sabit huwe k voice real hai bas ye eko tez karta hi tho hukam jaiz ka huwa. perfume ka masla b alcohol k % ka tha. jab mukamal tehqeeq se pata chala k es mai % km hai tho jaiz ha magar per b aala darja ye hai k alcohol pak ho. aur ye b yad rakhe k jab thak masla ibtedai stage pe ho tho aur kisi cheez ka faida km ho aur na karne ma faida ho tho hm na karne ka hee fatwa dethe hai magar jab logo mai aam ho jae tho un k liye kuch heele nekale jathe hai tha k poori umaat gunah mai mubtila na ho aur ye un ahkam ma hotha hai jaha kuch na kuch gunjaish ho. aur b kai masle hai magar sirf smjana maqsood hai jo ek se b smj ma aa jaega.

online ki bath kare tho tho ap ki research km hai es baare mai. ap ache madrase mai ja k Mufti se ja k pooch le , umeed hai answer mil jaega. aur mai 70% yaqeen se kehta ho k apko ab thak haram ki definition thak nahe aathe hoge aur agar ap internet as dekh b le thab b ab kaafi waqt lagae usko smjne mai per us k bad riba ki definition aur aqsam wagira. ap ne jo liquidity ko land farming se tashbeehh de hai totally wrong aur qiyas ka zero % knowledge ki waja se dee. tashbeeh dithe waqt 4 cheezo ko dikha jatha hai wo shahid apko pata nahe aur ye b btha do k land farming k b 4 qisme hai aur un mai se baaz jaiz aur baz najaiz hai aur land forming ko jaiz smjna b fiqh ki madad se hai aur Muftiane karam k fatwe ki waja se pata chala hai. umeed hai apko kuch na kuch smj aa gae hoge k finance ka ilm hai k nahe. agar zrorat pare tho mai apko apni kitabo k masael kuch share jar donga jis se apko andaza hojaega k finance par hamara kitna oboor hasil hai
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
July 08, 2023, 06:00:33 AM
Han hn bhai agreed hum mufttii nai hain but firr bii as we have some Islamic knowledge as well domain hamare maximum jo molvi hazraat ha onko Islamic finance ka kuch ata pata hi nai ha onke pass jawo ge to kuch nai mille ga. Siwaee apko Haram ka fatwee ka haha. Like really apko kisi ese badne se baat karni chaiye jo apki field + Islamic view dono ko behtar janta hoo and ye combo boat mushkil se milta haa. Khair stable coins pa mera koi view nai ha haan fix APY halal bi ho sakta ha Haram bi depends on the working as i did explain in my Last post.

Mujhya yaad hy jb ma chota tha to ya beha hua krti the ka Photography halal hy ya haram, Masjid perfum laga ka jana haram hy kyunka us ma alcohol hota hy. Phr dor badla aur Facebook, Youtube aya to aj Mashallah sub logon ka apna Channels hn jin py million followers hn. Aj "Baroon" ka apna perfumes ka brand hn. So ya dono behs to apni maut ap mr gya.
Rhi baat crypto ke. To kuch arsa wait kr lyn. Ya behs bhe apni maut ap mr jya ge jaisa ka pahli do behs apni maut ap mr gai.
Allah khair kry or logo konhamesha sahi or galat ka faisla krny ki toufeeq ata frmy ku ky apki baat bilkul thik hai ku ky is door sy hm bi guzrybhain. For example, yeh perfume wali baat or bi kai batain hain lekin mai unka zikr nhibkrna chahta.

Baki yeh crypto wali baat to is or mai ny 1 baar dekha tha ky kb koi currency halal ya haram hoti hai us ky 3 ya 4 factors hoty hain mujhy agr yaad a jain. In my sy 1 tha Mass adoption, 2--Stable ho 3--physical form my ho 4--yaad nhi arha.

Khair stability jo hai wo to crypto my door door tk nazar nhi ati baki rhi baat physical form and mass adoption ki wo to exist krti hai. Ab ap log pouchain ky crypto ki physical form kaha hai? Khair uska mery pass phasysics based answer hai jo mai smjta hoon thik hai a meri 1 mualm sy baat bi howi thi.

Musa bhai ap jis cheez ki baat kr rhy hain wo yaha pr fixed apy ki hai. Jis my ap bakhoobi janty ho ky kya hota hai. Jo meri mazar my haram hai chahy wo ap crypto my kr rhy ho ya phr fiat my dono surto my haram hai. Baki mai bi koi bohat knowledge wala bnda nhi hoon but ilm hasil krny ky liya dil my jo hai wo to btana hi padht ahai.
Bhaio mufti ham my sy koi bhi nai hai. Lekn bat pata hai kaya hai?
Aaj kal Raita bohat phela huwa hai. (Agar kissi ko bura lagy to advance my mazrat). Raita kesy phela hai. My ek simple si misal sy smjata hun or ye meri ankho dekha waqiya bhi hai to bhaio waqya kuch yun hai.

Ek shaks ny apni bivi ko gussy my aa kar talaq dy di. Ab huwa kaya khawand ko bad my pachtawa huwa. Ab iss ka wahid hall halala hi hai. Yani ek Alim ky pas gaye us ny kaha Talaq ho gai hai. Dusry ky pas gaye us ny bhi kaha talaq waqiya ho gai. Teesry ny bhi kaha keh ji talaq ho gai hai. Ab ek mufti esa mila jiss ny kaha ky talaq gussy my di iss liye waqiya nai hui. Nikah qaim hai. Ab wo shaks baqaida fatwa bhi likh ky deny ko tayar hai. Yani Pehly 3 galat ho gaye.
Ab conclusion ki tarafa aaty hen. To bhai wo ab bivi ky sath rehna chahta tha to uss ny un 3 ko chor kar us 1 ki py sui atka li or bivi ko ghar ly aya.

Kehny ka matlab yeh hai bhai fatwa har qisam kaa yahan mil jaye ga. Fatwy bhi aksar peson par milty hen yahan. Or ham ny bhi Tabiyat ko shariyat bnaya huwa hai. Yani jahan sy behtar fatwa mily wo ly lo bass.

Bhai sab sy barra Mufti ap ky andar hai. Jo ky ap ka zameer hai. Ham sab kam az kam itny smjdaar hen. Ky sahi galat janty hen. Wo jo andar mufti betha hai naa wo ap kaa zameer hai. Jahan ap galat karen gy wo ap ko zarur kahy ga ky bhai tum galat ho.

Iss liye Hadees kaa Mafhoom hai.
Gunah wo hai jo tumhary dill my khatky. Tirmizi:2389

Asal my ye bat karny kaa maqsad ye hai ky ap ko agar har jaga sy koi bhi fatwa mil sakta hai to phr kesy ap judge karen gy kissi cheez ko. To iss liye jo dill my khatky wohi gunah hai. Or agar kahin koi masla puchny chaly jao to har mufti alag alag bayan karta hai. To puchny wala hi puzzle ho jata hai.
 
Bhai my wrong ho sakta hun. Lekn ab koi masla kissi sy puchny sy hi darr lagta hai. Jesy Musa bhai ny kaha jo Perfume par fatwa dety thy unhi ky brand chal rahy hen. Jo Television par fatwa dety thy wohi aaj Television oar nazar aaty hen. Yani waqt ky sath fatwa bhi change ho jata hai. Iss liye ab to kissi sy bhi puchny sy bhi darr lagta hai
Jump to: