kindly tell me best wallet for crypto currency and best app for holding different coin.. when i transfer btc to withdraw i pay alot of fee tell me best solution.
Bhai is waqat
https://trustwallet.com/ market mai sub sai acha wallet samja ja raha hai is mai ap sub coin store ker saktai hai or is mai kuch or feature bee hai jo bohut madad kertai hai is ko use karo or enjoy karo.
Who controls the private key of the trust wallet ? Do we have access to the private key ?
I am not sure yet k yeh 100% safe hay k nahi ?
Agree.
We do not get the private key on trust wallet, how can we trust anyone? We should use wallets that provide us private keys.
haqeeqat to ye hai private key nahin to Coins / Tokens nahin
Janab mai kafi arsai sai use ker raha hu mujai to koi problem nahi hui is waqat bohut acha wallet chal raha hai aur agar problem honi ho to keys kai sath be ho jati hai bahar hal jis ko nahi use kerna wo na karai koi zabardasti nahi hai.
1. Dost mere mayine mein best wallet hai saari crypto assets to store karne ke liye hai Hardware wallet( LEDGER NANOX) hai , chahe wo ethereum based tokens ya coins ho ya tron based ya bitcoin ya stellar ya koi bhi blockchain se related usko Safest and secured way se store karne ke liye sabe best wallet Hardware wallet hi hai kyuni parivate key HArdware wallet mein hi rehti hai hamesha ke liye and one of the best Hardware Wallet is LEDGER NANOX jo ki ek dongle ki tarah hai blutooth based jise aap apne phone se bhi connect kar sakte ho bina usb aur agar Laptop ya pc se connect karna ho to usb ke through sirf ek app install karke jiska naam hai LEDGER LIVE jo ki phone mein bhi install ho jaati hai aur PC ya laptop mein bhi mein khud personally ledger Nanox device use kar raha hoon kariban 1 saal se koi pareshaani nahi hoti funds recieve karne mein aur send karne mein aur araam se phone mein kabhi bhi edger live app mein balance check kar sakte ho apni assets ka security ke saath ye ek choti si demo video banai hai maine apne test account ki phone mein Ledger live app install karke PLS WATCH-
https://vimeo.com/4117829882. Kyun LEDGER NANOX device itni secured aur safe hai..
answer yeh hai ki isme aap pincode laga sakte hain 8 digit tak ka aur saare wallet ki private key LEDGER NANOX DEVICE mein hi rehti hain, jab aap device set up karte hain ist time to aapko pincode apni marzi ka banane ka option milta hai jo aap apni marzi se bana sakte hain plus 24 DIGIT ka ek seed generate hota hai set up karte time jo aapko sambhaal ke kahi safe jagah par rakhna hota hai.
aur device ko ist time setup karne ke liye aap is video ko bhi dekh sakte hain -
https://www.youtube.com/watch?v=xUxx4EmI6hk (source - Game of Bitcoins Channe - youtube )
main to yahi kahunga ki yeh wallet mujhe sabe best laga security wise aur afe bhi hain, asaani se aap kabhi bhi assets ko dekh sakte hai kabhi bhi send ya recieve kar sakte hain etc.
TIPS-
1. DEVICE ko buy karne ke liye aap Ledger ki Official site par hi jaake ise buy kare
https://shop.ledger.com/pages/ledger-nano-xaur aap asaani se Google pe search karke iske coupon code bhi dekh sakte hai jisse aapko 20% tak discount mil jaega asaani se.
2. is hardware wallet wallet ka ek doosra option bhi hai LEDGER NANOS jo ki nanox se aadhe rate pe mil jaega par usme bluetooth ka option nahi hoga aur space bhi kam hogi crypto apps install karne ki-
https://shop.ledger.com/products/ledger-nano-s3. aap LEDGER ki website pe jaake iske affilaite bhi ban sakte hain jisse aapko fayda yeh hoga k koi bhi aapke link ke through ledger device buy karta hai to jo aapko sale ka 10% margin wo bhi BTC ke roop mein. affiliate nbanne ke liye aap is link pe jaake sign up kar sakte hain -
https://www.ledgerwallet.com/affiliates/4. aur agar by chance aapse aapki ledger nanox device ghum ho jaati hai to bhi aap nayi device LEDGER ki website se mangwa ki apni purani device ke 24 word seed ke jariye saare wallet ko recover kar sakte hain bina kisi dikkat ke aur parehani ke sirf aapko wo 24 word ka seed sambhaal ke rakhna hoga hamesha safe.
I hope aapko iss jankaari se help mili hogi.