Assalam o alikum to all members, Ek dormant Bitcoin wallet jismein 8,000 BTC the jo ke $536 million ke barabar hai panch saal se zyada arse ke baad active ho gaya hai. Yeh wallet jo ke pehli baar December 5, 2018 ko fund hua tha ne poora amount Binance deposit address par transfer kiya bina kisi pehle test transaction ke. Arkham Intelligence ke mutabiq yeh bara move selling activity ki nishani ho sakta hai aur yeh amount uske kharidari ke price $3,750 per BTC se kafi zyada hai.
Yeh pehli dafa nahi hai ke dormant Bitcoin wallets recent weeks mein active hue hain. Pichle kuch hafton mein, dusre whales ne bhi kafi bara Bitcoin transfer kiya jismein do wallets ne milkar 1,000 BTC (jo $61 million ke barabar hain) transfer kiye aur ek dusra wallet ne 687 BTC (approximately $44 million ke barabar) transfer kiye. Iske Bawajod kafi purane Bitcoin addresses approx 1.8 million jo ke $121 billion ke barabar hai abhi bhi inactive hai aksar is wajah se ke unke access credentials kho gaye ya bhool gaye hai
Bitcoin market ne hal hi mein price drop dekha jo 7.5% gir gaya ek high $71,650 se $66,250 tak. Phir bhi market sentiment positive hai Fear & Greed Index ke score 74 ke sath jo ke ongoing investor optimism ko dikhata hai bawajood recent volatility ke. details