Author

Topic: Pakistan - page 120. (Read 6524242 times)

hero member
Activity: 1414
Merit: 670
June 06, 2024, 12:22:34 AM
Aslamualaekum kia hal ha dosto!

Jaisa k expected tha k June ka maheena crypto k leye bullish ho sakta ha tho same waha ho raha ha. BTC ne 70k cross kia may k end ma leken ab june ma kaafi mazboot dekhai de raha ha aur lagta yahe ha k ab 80 ka safar ab jaare hoga.
WA Allaikum Salam, g bilkul jaisa Bitcoin past Mai behaves Karta ta same pattern ko Abhi bhi follow karta aaraha ha jaisa ky hum NY mentioned Kiya ta ky Bitcoin halving ka forann hammy Asr daikhty ho nazr Nahi ayai ha Balky thoora thoora Karky hamary postive green moves daikhny ko mil rahy ha aye same wohi Jo raha haa ab Bitcoin NY 70k ky opper achy prices pakr liya ha aur ab umeed haa yeh yaha ik strong support bana ly ga yaha aur bohout jald Jo hum Baar Baar 100k ky paar wala naara lagwa rahy ty jaisy modi election Mai 400 Paar ka naara lagwa rahy ty toh Modi toh Nahi kar Pai but InshALLAH Bitcoin kardynga

Quote
Ye crypto project ko pata nahe kaise pata chalta ha k sab ne apna airdrop June ko he announced kar dia. Taiko ne kal acha airdrop dia apne participants ko. ma ne b join kia tha leken late huwa par 20 token tho kam se kam dene chahea the. Zksync b aj Mainnet launch karne ja raha ha. Layerzero b june ma he listing k chances ziada ha
Yar Taiko ky Mai NY thoory bohout woh chest bhi open Kiya Ty us Sy points mily isky ilawa galaxy ky kafi saary task bhi Kiya but jab wallet connect Karky daikha toh Kaha ky ap eligible Nahi ho ab yeh Kya scene ha koi Bata skata haan yeh eligibility ka scene Kya ta Baki zksync ka scene toh ik dam mast ha umeed ha hammay acha profit of the year daikhny ko mily ga
hero member
Activity: 812
Merit: 619
June 05, 2024, 06:43:49 PM
Aslamualaekum kia hal ha dosto!

Jaisa k expected tha k June ka maheena crypto k leye bullish ho sakta ha tho same waha ho raha ha. BTC ne 70k cross kia may k end ma leken ab june ma kaafi mazboot dekhai de raha ha aur lagta yahe ha k ab 80 ka safar ab jaare hoga. Muje asal kam Ethereyse ha k bas Ethereum up rahe aur umeed ha k wo b 5k thak jald jaega..

Ye crypto project ko pata nahe kaise pata chalta ha k sab ne apna airdrop June ko he announced kar dia. Taiko ne kal acha airdrop dia apne participants ko. ma ne b join kia tha leken late huwa par 20 token tho kam se kam dene chahea the. Zksync b aj Mainnet launch karne ja raha ha. Layerzero b june ma he listing k chances ziada ha
sr. member
Activity: 854
Merit: 364
Enjoy 500% bonus + 70 FS
June 05, 2024, 06:15:09 PM
~snip~

Brother, apka Bitcoin ka analysis bht interesting ha or yeh bht itmenan ki bat ha k Bitcoin ne 2021 ka all time high(ATH) ko surpass ker lia ha or oper ka safer jari rekhy hoi ha market ki expectation yeh k June-24  mein Bitcoin ek naya ATH bnai ga, Insha Allah. Bitcoin ab bht bri bri moves nhi ker reha blky kuch time k liay el certain level pe consolidation hoti ha or us k baad breakout hota ha jis se zaher hota ha k Bitcoin market mein volatility kum ho rehi ha or stability ki trf br rehi ha. DYOR

Bohat bohat Shukriaa Sir G  Kiss

Baqi Market ke update haa ka Bitcoin naa APNi 1 Day time frame ka andar Ascending line ko break ke haa or upper ke taraf  rise kar deya haa. Current price Bitcoin ke 71k haa or abb next moving on71.9k sa  73,822 tak  AK strong resistance haa Jo price ko little bit stop kar sakta haa short time frame maa. Or Sath he Sath agar ham deep dig FA maa to  today Bitcoin ETF inflows be highest amount of surge kar Chuka kaa approximately aj $877 million dollars inflows dakha gya haa ETFs maa.

So agar in isee Tara hama positive feedback melta haa Fundamental Event's maa  to possibly price AK massive surge kar sakta anaa Wala dino ka andar.

DYOR!
sr. member
Activity: 630
Merit: 404
June 05, 2024, 02:05:35 PM

Garmi Mein Janwaron Aur Parindon Ki madad karien Jo ham Insaniyat Ka Farz Hai

Assalamualaikum sabi bahi kese hai umeed hai theek Hun gy .
Garmi apne urooj par hai aur darja hararat din ke waqt 46 se 47 centigrade Temperature tak pohanch jata hai. Is qadar shiddat ki garmi sirf insani sehat ke liye nuqsan deh nahi balkay masoom janwar aur parinday bhi is se musalsal tarap rahe hain. Hamara insani aur insaniyat ka farz hai ke hum apne ird gird in jaanwar aur parindon ka khayal rakhein.

Aksar ye pyas se behaal aur madad ki talash mein hamare aas paas bhatak rahe hote hain. Is liye zaroori hai ke hum apne gharo ke bahar ,chaton par aur dukanon ke agay paani ka bandobast karein. Barf aur thanda paani bartanon mein rakh kar in bebaas janwaron ke liye sahulat faraham karein. Paani zindagi hai aur yeh masoom makhlooqat apni jaan bachane ke liye pani ki talash mein niklte hain. Agar hum unhein paani faraham karein to yeh ek badi insaniyat wali baat hogi. Paani rakhne se na sirf yeh janwar apni pyas bujha saken ge balkay yeh hamari taraf se ek qeemati madad bhi hogi. Jab garmi apne urooj par hoti hai to yeh janwar aksar chhaton par ya sookhi jagahoon par aake baith jaate hain paani ki talaash mein inhe kahin door tak bhatakna parta hai.
Aaye hum sab mil kar in masoom janwaron aur parindon ke liye kuch paani rakh kar unki zindagiyan bachane mein madad karain .

Waalaikum assalam

Omeed hai ke aap bei khairiyat se houn gei

Appka bouht shukrea hum Seib Kei tawajjah es tareif lanei Mei aur  Aapne bouhyt aham aur insaniyat bahrii baat kei tareif tawajju delaii hai. Garmi ka jo season chl rha hai us mei na seirf insaan balkei animal aur birda bei sakht pareshani aur garmei ka shikaar hain. Humara farz hai ke hum en masoom aur bei zubaan makhlooqat ka bei khayal rakhein.

Aaj kal garmi apne urooj par hai aur 46 se 47 centigrade tak pohanch rhi hai. Is garmi se sirf insani sehat hei nahi balki jaanwar aur parinday bei garmei mutasir huu rhei hai. Hamain chahiye ke hum apne gharo ke bhar chaton par aur dukanon ke agy paani ka intizam karein. Barf aur thanda paani bartanon mein rakh kar in bechaari makhlooqat ke liye sahulat faraham karein. Yeh ek choti si koshish bohot badi insaniyat hai.

Jis tarah paani insaan kei leiye zaruori hai waisei he yh janwaroo aur parindoo Kei leiye bei paani ke baghair nahi reh sktei. Inke leiye paani rkhna eak insani aur insaniyat ka farz hai. Yeh bebaas makhlooqat jab apni pyas bujhaengi tu yei hamari treif seu unkei leiye aek qeemati madd hougi. Garmi kei deino mei yh aksaar chhaton ya sookhi jagahoun pr paani ki talaash mei bhatk rahei hote hain.

hum sab mil kar in masoom janwaron aur parindon ke leiye paani rakh kar inki zindagiyan bachane mein madad karein. Yeh ek choti si koshish hamari taraf se bouht bara step hoga humanity ki taraf.

Mei nei aapkei abei post kou read kea Tou forun chaht peir gea Check Karnei Kei leiye Paani Ka matka bahara AJ bahrta tha ya ni aur abei Raat Ka time hai

legendary
Activity: 966
Merit: 1042
#SWGT CERTIK Audited
June 05, 2024, 01:28:09 PM
Centralized crypto exchange trading volume falls to $5.2T in May

السلام علیکم بھائیوں، امید ہے سب ٹھیک ہو گئے

Walikum salam bhai jaan g hum kahriyat see hain ap sunain kese hain..

Well, bro trading volume fall down kaa bohat sare aspects hoo sakte hain some regulatory issues joo kaa bai thee na baqi its natural jaab trader/investor short term trades maa khud koo profitable nai smjhtaa orr Bullish sentiments carry karta haa on the basis of greed taab ese hii hotaa haa sare funds liquidity see nikal kar holding maa chale jate and trading volume aik short period kaa lia crash kar ajat haa. Mostl Bill market maa esa hoota rehtaa haaa, yaa phir yun kahon to zyda behtar haa distribution zone kaa satrt maa.

Ku kaa koi banda bii apne profit koo cut off nai karna chata iss waja see trade liquidity funds deficiency hoti aha orr aik temporary esa hi scenario create hoo jata haa.
sr. member
Activity: 235
Merit: 136
Part of AOBT Gang - English Translator to Urdu
June 05, 2024, 12:55:47 PM
Centralized crypto exchange trading volume falls to $5.2T in May

السلام علیکم بھائیوں، امید ہے سب ٹھیک ہو گئے

May 2024 mein cryptocurrency market mein trading volumes mein central exchanges pe notable kami dekhi gayi jo 20.1% gir ke $5.27 trillion ho gayi. Yeh dosri lagataar mahine ki activity mein kami thi jo Bitcoin ki April halving ke baad stable price ki wajah se hui. Spot trading volumes 21.6% gir ke $1.57 trillion ho gayi jabke derivatives trading 19.4% gir ke $3.69 trillion ho gayi. Overall downturn ke bawajood, derivatives market ki dominance December 2023 se apni highest level pe pohanch gayi, jo U.S. SEC ke spot Ether ETFs ki approval se driven thi. Is approval ne Ether derivatives ke open interest mein 50.3% ka izafa kar diya jo $14.0 billion tak pohanch gaya.

source

Bybit ne apni record high spot market share 7.36% hasil ki, halanke uski trading volume 12.7% gir ke $116 billion ho gayi. Binance ne sabse bara spot exchange rehne ka maqam barqarar rakha, 34.6% market share ke sath, halanke uski volumes 19.8% gir ke $545 billion ho gayi. Derivatives trading mein Binance ki dominance 45.4% tak barh gayi $1.68 trillion volume ke sath uske baad OKX aur Bitget aaye. U.S. CME exchange ne mixed performance dekhi jahan ETH futures volumes 37.5% barh ke $20.5 billion ho gayi aur ETH options all-time high $931 million tak pohanch gayi jo ETF approval ke baad increased institutional interest ko zahir karti hain. Analysts ka maanna hai ke Ether apne November 2021 ke high $4,870 ko surpass kar sakti hai jab spot ETFs trading shuru karengi heightened demand ki wajah se.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
June 05, 2024, 12:51:33 PM
Eid al-Baqara. A story with two aspects: one side is about compulsion, and the other side is about love.

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kea haal ha mry pyary dosto Baqara Eid any wali hm do roukh ik story ka, Ik Tarf Majbori or Dosri Traf Pyar ajj baqara mandi ki ik picture nay dil khoo ka akunso rulla diya kh ik larka jas ssy bari mahnet shook say apny baqary ko bari Eid ka lay tyar kiya  ab oska bachny ko dil ni kar raha ik tarf majboori bi han or dsori tarf pyar bi han jo osy kasi or bachly ka ly tarpa raha akhir ma jheet majbooir ki hoti ha kiukh jas majboori ka tahat osy sale karna pharta ha ya mousoom bachy ki tasveer dakh ka ap ko bi ehsas ko ga apny pyaar cheez kasy ko fany par kitni takleef hoti hy

ik share ha ayy ahyal dil rakhny waly log mary dard ka koi haal talish karo jas say pyar hu osy bazar ma bacho kasy yahi haal is bachy ka jo mandi ma apna baqara sale krny ka lay to ay gya but inki nam aunkhien sy pta chal raha wo apny beechna ni chahat ha. mari sab bhaio say dhurkhwist ha is bar qurbani par agr koi bacah majboori ka tahyat apna janwar ap ko sale karta ha to oasy mawaza thora zadya du diya kary takh osy bad ma takleef na hu apna janwar bachny par

Walaikum salam brother, Apne bht dil ko choo jany wali picture share ki ha jo insan or janwaron k dermayan jo muhabbat ka rishta ha usko reflect kerti ha or Masha Allah apka shear bi kamal ka ha jo talkh sachi ko bayan ker reha ha. Jub hum kisi janwar ko platy han or fitri tor pe hamein us se piar ho jata ha or bachon ko zayadeh piar hota ha.

meri bi sub bhaion se derkhast ka agr apko bi koi acha bacha nazer aai jo majboori mein apny janwar ko sale ker reha ho toh usy thry zayadeh pasy dein dein eska ajar Allah (SWT) de ga or uska ajar bht azeem hota ha.
sr. member
Activity: 854
Merit: 364
Enjoy 500% bonus + 70 FS
June 05, 2024, 12:15:17 PM
Alhamdulillah..!
Ap log abhi baten Kar rahy hen. Or my already garmyan shuru hoty hi ye kaam Kar chuka Hun. Or khayal bhi rakhta Hun waqfy waqfy sy paani KO check karta rehta Hun.

Asal my Bhaio apny amaal to itny achy hen nai lekn Kaya pata iss kaam ky sadqy sy hi Allah Pak hamen bakhsh Dy. Yani Der bhi nai lagti ye kaam Karen or daily bss din 3 sy 4 dafa paani badly rahen.
Yeh ap ny bohout acha kaam Kiya haa Jis ko Mai zaati tor par bohout sarahta hu q ky yeh baZuban janwar apni zaroorat ka Kisi ko Bata Nahi sakty bs sirf ALLAH hi Sy faryaad karty ha. So mujy umeed ha apky is kaam Sy kafi bandy motivate hooky yeh kaam start kardyngy Jo ky ik tarah sy sadqa jariya ka kaam karyngy. But yaha ik kaam aur kary ky is pani ko thoora saai wali jagaa pa raky taaky pani bhi tanda ho aur parandy bhi kuch dair ky liya waha baith jaaty. Aur ap ny teek Kaha hamary amaal aisy Nahi KY bakshy jai q ky gunaah Har jagaa Bary aur yeh hamary maghfirat ka sabab ban sakta ha jistarah Mai NY pahly post Mai ik waqia mentioned kardiya ky kis tarah ik baZubaan Ki madad karny pa ik aurat ko baksha Gaya.
Baki EID aany wali haa koshih kary ky is Eid Mai un ghareebo ko na booly Jo ghareeb toh ho but doosro ky Samny haath Nahi pailaty.
full member
Activity: 434
Merit: 215
Addicted to HoDLing!
June 05, 2024, 06:26:10 AM
Eid al-Baqara. A story with two aspects: one side is about compulsion, and the other side is about love.

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kea haal ha mry pyary dosto Baqara Eid any wali hm do roukh ik story ka, Ik Tarf Majbori or Dosri Traf Pyar ajj baqara mandi ki ik picture nay dil khoo ka akunso rulla diya kh ik larka jas ssy bari mahnet shook say apny baqary ko bari Eid ka lay tyar kiya  ab oska bachny ko dil ni kar raha ik tarf majboori bi han or dsori tarf pyar bi han jo osy kasi or bachly ka ly tarpa raha akhir ma jheet majbooir ki hoti ha kiukh jas majboori ka tahat osy sale karna pharta ha ya mousoom bachy ki tasveer dakh ka ap ko bi ehsas ko ga apny pyaar cheez kasy ko fany par kitni takleef hoti hy

ik share ha ayy ahyal dil rakhny waly log mary dard ka koi haal talish karo jas say pyar hu osy bazar ma bacho kasy yahi haal is bachy ka jo mandi ma apna baqara sale krny ka lay to ay gya but inki nam aunkhien sy pta chal raha wo apny beechna ni chahat ha. mari sab bhaio say dhurkhwist ha is bar qurbani par agr koi bacah majboori ka tahyat apna janwar ap ko sale karta ha to oasy mawaza thora zadya du diya kary takh osy bad ma takleef na hu apna janwar bachny par

sr. member
Activity: 392
Merit: 306
Enjoy the beauty of nature 😊
June 05, 2024, 05:43:00 AM
Garmi Mein Janwaron Aur Parindon Ki madad karien Jo ham Insaniyat Ka Farz Hai.

Is Zemadari se hamien aga karnie k Leye shukariya, insan to insan k kam a he jata hai aur in  bybas ke help karna to bhot ashi kam hai. Ham is kam ko follow karien gy. Hamare society mein in ki khidmat ko aksar nazarandaz kiya jata hai .

lekin ye hamara hakok me  hai ke hum unka khayal rakhein. Ye bybas bhi hmare aspaas ke mahol ka aik aham hissa hain aur inki hifazat humari zimmedari hai . Jab hum in bybas ki madad karte hain to ye hamare andar ke  reham dili ko barhawa deta hai. In bybas  ki madad karke ye kis insan ke is se hum unka aitbar aur mohabbat hasil kar sakte hain. Is ashy  kaam ko apnana hamari naram dilon ko aur mazboot banady ga. Waqie me asa  jazba apnana chahiye aur is kaam ko apni zindagi ka hissa banana chahiye.
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
June 05, 2024, 05:31:42 AM
Alhamdulillah..!
Ap log abhi baten Kar rahy hen. Or my already garmyan shuru hoty hi ye kaam Kar chuka Hun. Or khayal bhi rakhta Hun waqfy waqfy sy paani KO check karta rehta Hun.

Asal my Bhaio apny amaal to itny achy hen nai lekn Kaya pata iss kaam ky sadqy sy hi Allah Pak hamen bakhsh Dy. Yani Der bhi nai lagti ye kaam Karen or daily bss din 3 sy 4 dafa paani badly rahen. Or jesy jesy prindy paani peety Jaen gy dua karty Jaen gy or hmari bakshish kaa Saman hota Jaye ga. My to sab Bhaio KO mashwra dun gaa ky SAB ky SAB iss Naik Kam my pehal Karen. Q ky be zuban janwar ki dua bohat jald qubul Hoti he so ap SAB bhi apni apni chatt par esy bowl Ka ehtimam Karen or thandy paani sy us KO bharty rahen. Smiley
Wah g bhai bari bat ha is naiki ki Allah pak sb ko toufeeq day ya amal is garmi ma waqia he pariondy ka kay boht acha hai wo khaty hai jinnat ma sarf abadat ghuazr he ni jaye kuch ka fasila amal par bi hu ga or jo ap amal kar rahy ya sadqa ja rahi ha or har ik ghont par naiki milti hai ma khud apny ghar ki chat par choty boul par rakha hai Inshallah ab ya compgain social media par run kary takh sab loog is anal sy inspired hu kar parindsory or mousam janwaro ka lay thanda pani ka bandobast kary jas ki inki zindagi mufooz rahi ge Allah pak sab loogo ko is naiki ka kaam ma bhar char kar hissa lany ki toufeeq dy Ameen or Sab ko is garmi ka mousam ma dosry ka ehsas karny ki roufeeq dy zindagi naam he dosary ka kam annay ka hai is lay Koshish kary dosy ka kam ayy or is bharty hovy temperature ko control krmy ka lay zadya sy zadya tree lagy
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
June 05, 2024, 04:40:55 AM
Alhamdulillah..!
Ap log abhi baten Kar rahy hen. Or my already garmyan shuru hoty hi ye kaam Kar chuka Hun. Or khayal bhi rakhta Hun waqfy waqfy sy paani KO check karta rehta Hun.

Asal my Bhaio apny amaal to itny achy hen nai lekn Kaya pata iss kaam ky sadqy sy hi Allah Pak hamen bakhsh Dy. Yani Der bhi nai lagti ye kaam Karen or daily bss din 3 sy 4 dafa paani badly rahen. Or jesy jesy prindy paani peety Jaen gy dua karty Jaen gy or hmari bakshish kaa Saman hota Jaye ga. My to sab Bhaio KO mashwra dun gaa ky SAB ky SAB iss Naik Kam my pehal Karen. Q ky be zuban janwar ki dua bohat jald qubul Hoti he so ap SAB bhi apni apni chatt par esy bowl Ka ehtimam Karen or thandy paani sy us KO bharty rahen. Smiley
Ye to bohat acha wala kaam ho gaya. Yani mjy to bohat acha laga ye. Allah ap ko is kaa sila ata kary. Waqy hi my ye ek bohat barri naiki hai. Or iss ki jaza sirf Allah ky pas hai. Bss ap lagy rahen. Wesy bhi garmi bohat hai. Hamen bhi pyas lagti hai to in ko bui lagti hi hogi. Or wo pyasa kawwa wali kahani to parhi hi hogi. To khayal rakhi gai paani low naa ho yani ye naa ho parindy paani pi hi naa saken. Or jab bhi koi parinda paani piye ga to wo ap ky liye dua zrur kary gaa. Or Allah ap ko iss kaa sila zrur dy ga. Or ye ap ki bakhshish kaa wasila bhi ban jaye gaa.
sr. member
Activity: 462
Merit: 354
Trade Big, Win Bigger!
June 05, 2024, 03:41:11 AM
Bitcoin ETFs See Second-Biggest Inflow Day with $887M

السلام علیکم
United States mein spot Bitcoin ETFs ne apna doosra sabse bara net inflow din dekha jisme $886.6 million jama hue. Fidelity Wise Origin Bitcoin Fund ne sabse zyada $378.7 million ka inflow dekha uske baad BlackRock’s iShares Bitcoin Trust ne $274.4 million aur ARK 21Shares Bitcoin ETF ne $138.7 million ka inflow dekha. Ye inflow March 12 ke baad sabse bara hy jab ETFs ne $1.04 billion dekha tha aur agle din Bitcoin ne $73,679 ka all-time high maara tha. Grayscale Bitcoin Trust ne bhi rare inflow $28.2 million ka dekha halan ke uske high management fee aur narrowed discount ki wajah se bohot zyada outflows hue hy source

ETF Store ke president ne Bitcoin critics ko jawab diya aur kaha ke strong demand ke bawajood pehle logon ne kaha tha ke sab retail investors jo khareedna chahte the, wo pehle hi khareed chuke ha. Bloomberg ETF analyst Eric ne significant inflows ko highlight kiya Hashdex ke ETF ke ilawa jo investment attract karne mein struggle kar raha tha. Ye inflows Bitcoin ke 2.9% price rise ke sath aye ha jo ab $71,000 par pohnch gaya hai pichle 24 ghanton ma CoinGecko ke mutabiq. Bitcoin ETFs ke mazboot performance se investors ka interest aur confidence barhta dikhai deta ha
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
June 05, 2024, 03:23:34 AM
Bitcoin Coiling up for a huge move as it hovers around $71K

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Ye convergence jo 4 June ko detect hui thi low volatility indicate karti hai aur aam tor par significant price movements se pehle hoti hai halan ke yeh potential retracement bhi signal kar sakti hai. Bitcoin abhi in averages ke ooper trade kar raha hai jo traders ke liye ek favorable sign mana jata hai jo suggest karta hai ke moving averages nai support levels ban sakte hain agar price girta hai.
AUR tradingView ka Moving Average Indicator Bitcoin ko strong buy" rate karta hai, jo ke Simple Moving Average aur Exponential Moving Average dono ko account mein leta hai. 4 June koBitcoin ne mukhtasir tor par $71k hit kiya tha phir retrace huajo ke ek ahem price level highlight karta hai jo traders monitor kar rahe hain. Pichle mahine ke doran Bitcoin ne $60k se ooper support maintain rakha lekin $72k cross nahi kar saka, aur 21 May ko $71946 pe peak kiya. Traders ek breakout ki umeed rakhtay hain jabke Bitcoin apne all time high $73,679 ke qareeb pohanch raha hai Info

Walaikum salam brother, thanks for sharing this valued analysis of Bitcoin which is suggesting massive upside moment in coming days. Apky sary points indicate kerty han k Bitcoin jaldi hee apny recent all time high (ATH) $73,679 ko break ker ker k naya ATH bnany ki trf ka journey shoro ker reha ha. En sub positive developm,ent k bawajoud market conditions or news pe nazer rekhna zaruri ha ku k crypto market mein un-antcipeted change bht rapidly aa jati han. DYOR

sr. member
Activity: 392
Merit: 306
Enjoy the beauty of nature 😊
June 04, 2024, 10:23:48 PM
Bitcoin Coiling up for a huge move as it hovers around $71K

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Bitcoin ne halk sa pump lagya Hai Jo ke price 70k se 71k K around about Hai AUR ASA lagta Hai  k Bitcoin ki price jaldi hi ek bara harkaatein kar sakti hai. Jamie Coutts jo ke Real Vision ke chief crypto analyst hain keh rahe hain ke mukhtalif time periods ke average prices (5 din 30 din aur 50 din) abhi ek dosray ke qareeb hain bas 5% ke range mein. Yeh $65k aur $68k ke darmiyan hain. Jab average prices itne qareeb hotay hainto yeh aksar is baat ka ishara hota hai ke qeemat jaldi hi ek bara harkaatein karegi jo ke breakout kehlata hai. Iska matlab ye hai ke price ya to bohat ziada barh sakti hai ya phir bohat ziada gir sakti hai.

Ye convergence jo 4 June ko detect hui thi low volatility indicate karti hai aur aam tor par significant price movements se pehle hoti hai halan ke yeh potential retracement bhi signal kar sakti hai. Bitcoin abhi in averages ke ooper trade kar raha hai jo traders ke liye ek favorable sign mana jata hai jo suggest karta hai ke moving averages nai support levels ban sakte hain agar price girta hai.
AUR tradingView ka Moving Average Indicator Bitcoin ko strong buy" rate karta hai, jo ke Simple Moving Average aur Exponential Moving Average dono ko account mein leta hai. 4 June koBitcoin ne mukhtasir tor par $71k hit kiya tha phir retrace huajo ke ek ahem price level highlight karta hai jo traders monitor kar rahe hain. Pichle mahine ke doran Bitcoin ne $60k se ooper support maintain rakha lekin $72k cross nahi kar saka, aur 21 May ko $71946 pe peak kiya. Traders ek breakout ki umeed rakhtay hain jabke Bitcoin apne all time high $73,679 ke qareeb pohanch raha hai Info
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
June 04, 2024, 09:14:58 PM

Han Sir bilkul Allah sa umeed ha kaa inshAllah bohat jald he Market APNi sentiment change kar danga or APNi new all time high banaya gaa Jo AK around 150k saa 200k taa ka level batyaa jata haa expert ka mutabik. Ab yahi umeed Laga ka Bata haa ka kab Bitcoin APNi rally strat kar gaa taka APNi profit organized kar sakta APNA investment saa.

But anyway market ke new update yaa ha ka Bitcoin na APNA 2021 ka All time high par support confirm kar kaa ka strong strength zahir ke haa  or price ko boost kar de $71,063 tak. Ab price filhal little bit hazy haa Jo sahid Kuch dino ka leya AK chopes side wise move kar sakta haa q k $68,032 support zone haa or $72,000 AK resistance haa or Dona APNA ka between price stuck haa to possibly few days hama consolidation phase ka andar dakhna ko mil saktaa but agar ko FA ke good news ayee to possibly break out kar sakta haa.

DYOR!

Brother, apka Bitcoin ka analysis bht interesting ha or yeh bht itmenan ki bat ha k Bitcoin ne 2021 ka all time high(ATH) ko surpass ker lia ha or oper ka safer jari rekhy hoi ha market ki expectation yeh k June-24  mein Bitcoin ek naya ATH bnai ga, Insha Allah. Bitcoin ab bht bri bri moves nhi ker reha blky kuch time k liay el certain level pe consolidation hoti ha or us k baad breakout hota ha jis se zaher hota ha k Bitcoin market mein volatility kum ho rehi ha or stability ki trf br rehi ha. DYOR

sr. member
Activity: 350
Merit: 265
Catalog Websites
June 04, 2024, 08:42:55 PM
parindoy ki to waiqa he is garmi ma wo thabdi jagha talish kary hai jo kah sarf is surat mil skati ha agr ham apny gahro ka bhair ma tree laggy

, G Mai teek tak ALLAH ka shukr ha.
Yeh ap ny bohout ache aur informative post ki haa yeh hum SAB ko zimidari haa

Buhat acha topic lay kar aye Hain ap yahn per es se ek awearness paida hoge yahn ke members ma aur wo koshiish karenge ke Pani waghira ka bandubast kar le

G bahiyon ham sab ka farz aur ye bhot he bara  sadqa jariya hai . Hum sab ko chahiye ke hum is nek kaam ki niyat se is paigham ko share karein aur doosron ko bhi is nek kaam mein shaamil karein.
Be zuban Allah ki Anmol makhluqat hain hamari mamooli si tawajju se apni zindagi behtar bana sakte hain. Ye ek aisa amal hai jisse na sirf humein sawab milega balkay hamare dilon ko bhi sukoon milega. Sadqa jariya woh amal hai jiska ajar humein marte dam tak milta rehta hai aur parindon ke liye pani ka bandobast karna aik azeem sadqa jariya hai. Ye chhota sa amal na sirf hamari zindagiyon mein barkat laayega balkay hamari aakhrat ke liye bhi behtareen zakheera hoga.
Lihaza is nek niyat ke saath is paigham ko zyada se zyada logon tak pohanchayein aur in masoom parindon ke liye pani ka intezam karein. Is nek kaam mein shaamil ho kar hum na sirf apne liye balkay poori insaniyat ke liye khair ka baais ban sakte hain.

Alhamdulillah..!
Ap log abhi baten Kar rahy hen. Or my already garmyan shuru hoty hi ye kaam Kar chuka Hun. Or khayal bhi rakhta Hun waqfy waqfy sy paani KO check karta rehta Hun.

Asal my Bhaio apny amaal to itny achy hen nai lekn Kaya pata iss kaam ky sadqy sy hi Allah Pak hamen bakhsh Dy. Yani Der bhi nai lagti ye kaam Karen or daily bss din 3 sy 4 dafa paani badly rahen. Or jesy jesy prindy paani peety Jaen gy dua karty Jaen gy or hmari bakshish kaa Saman hota Jaye ga. My to sab Bhaio KO mashwra dun gaa ky SAB ky SAB iss Naik Kam my pehal Karen. Q ky be zuban janwar ki dua bohat jald qubul Hoti he so ap SAB bhi apni apni chatt par esy bowl Ka ehtimam Karen or thandy paani sy us KO bharty rahen. Smiley
sr. member
Activity: 448
Merit: 354
June 04, 2024, 07:50:24 PM
Garmi Mein Janwaron Aur Parindon Ki madad karien Jo ham Insaniyat Ka Farz Hai.
Walaiqumassalm bahi kaise Hain app. Buhat acha topic lay kar aye Hain ap yahn per es se ek awearness paida hoge yahn ke members ma aur wo koshiish karenge ke Pani waghira ka bandubast kar le. Ma ne ye khud experience kar leya ha sardeuyon ma even garmi ma be jab zyada garmi na ho tu ye parende apke pas se be nahe guzarte shaid es dar se ke kahen pakar na le per en months ma jab garmi buhat zyada Hoti ha tu ye bilkul apke pas akar baity jate Hain es omeed pe ke kahen na kahen ap es ko Thora Khana ya Pani dai do. hamre caliph ke time pe wo pharo per Khana dalte te ke parindo ko assani ho ye be Allah ki mahlooq ha aur Allah ke makhkoq se jetni muhabat karoge Allah apse os se zyada karega . Pas ap log Koshish keia kare ke bartan ko chat per rak Len aur os ma Rozna ke hesab se Pani change karte Rahe aur time to time Raza Pani dal deia kare qke chat per direct dhoop ki waja se Pani ka temperature zyada ho jata jes ke waja se wo pani nahe pe sakenge.
Bilkul Bhai ye to bohat zruri hy. Hamen to kahin naa kahin sy paani mil hi Jata Hy or peety BHI Thanda hen. Or ye BHI hmari tarah rooh rakhny waly janwar hen Jin ko book payas lagti hy.
Or asal bat ye hy KY ye duty thori sakht hy. Yani ap ny Agar paani rakhta Hy to is kaa MATLAB ye nai Hy KY bss rakh Diya to chor Diya... Naii... Bal KY Jo paani rakhta Hy us ko lazmi jaa kar baar baar dekhen yani Har 2 3 ghanty my KY kahin paani zyada garam to nai ho Gaya or Agar paani zyada garam paaen to USS ko thandy paani sy tabdeel Karen. Or sab sy achi bat to ye hy KY chat par Jahan paani rakhen waha chaaon kaa intzam zrur ho. Lekn PHR BHi paani ko check karty rehna bohat zruri hy. Iss kaa ajar bohat zyada Hy. Jo sirf Mera Rab hi janta hy.
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
June 04, 2024, 07:35:14 PM
parindoy ki to waiqa he is garmi ma wo thabdi jagha talish kary hai jo kah sarf is surat mil skati ha agr ham apny gahro ka bhair ma tree laggy

, G Mai teek tak ALLAH ka shukr ha.
Yeh ap ny bohout ache aur informative post ki haa yeh hum SAB ko zimidari haa

Buhat acha topic lay kar aye Hain ap yahn per es se ek awearness paida hoge yahn ke members ma aur wo koshiish karenge ke Pani waghira ka bandubast kar le

G bahiyon ham sab ka farz aur ye bhot he bara  sadqa jariya hai . Hum sab ko chahiye ke hum is nek kaam ki niyat se is paigham ko share karein aur doosron ko bhi is nek kaam mein shaamil karein.
Be zuban Allah ki Anmol makhluqat hain hamari mamooli si tawajju se apni zindagi behtar bana sakte hain. Ye ek aisa amal hai jisse na sirf humein sawab milega balkay hamare dilon ko bhi sukoon milega. Sadqa jariya woh amal hai jiska ajar humein marte dam tak milta rehta hai aur parindon ke liye pani ka bandobast karna aik azeem sadqa jariya hai. Ye chhota sa amal na sirf hamari zindagiyon mein barkat laayega balkay hamari aakhrat ke liye bhi behtareen zakheera hoga.
Lihaza is nek niyat ke saath is paigham ko zyada se zyada logon tak pohanchayein aur in masoom parindon ke liye pani ka intezam karein. Is nek kaam mein shaamil ho kar hum na sirf apne liye balkay poori insaniyat ke liye khair ka baais ban sakte hain.
sr. member
Activity: 854
Merit: 364
Enjoy 500% bonus + 70 FS
June 04, 2024, 06:16:34 PM
~~~

G brother, Allah bkare k aisa ho jai k Bitcoin price ek naya ATH bnai or pori cryptocurrencies market mein zaberdast rally aa jai or phit paisa hee pisa ho jasa k k ap or hum yehi dua kerty han k hum sub crypto space meion achi earning ker k apny financial future ko transform ker sakein or Insha Allah aisa ho ga ku k ab lugta ha k aany waly dino mein ek sustained rally dikhai de rehi ha.

Bitcoin market ki update yeh ha k es waqt Bitcoin $69,214 pe trade ho reha ha, or gusehta 24 hrs mein eski price mein 1% izafa hoa ha.
Overall market is in good health, coinmarket cap 2.56 Trillion dollars, Bitcoin dominance index 53.1% or Fear and Greed Index 62% ha.

Jump to: