السلام علیکم
WazirX jo ke India ka sabse bara crypto exchange ha ko abhi haal hi mein ek bara security breach ka samna karna pada jis me $230 million se zyada ke crypto assets jismein SHIB, ETH, PEPE aur MATIC shamil ha chori ho gaye. Yeh hamla exchange ke Ethereum multisig wallet par hua tha jismein transactions ke liye multiple signatories zaroori thi. Hackers ne wallet ke interface par dikhai jane wali data aur asal transaction details ke darmiyan ek discrepancy ka faida uthaya aur wallet par qabza kar liya. Iske jawab me WazirX ne withdrawals ko rok diya police complaint file ki aur incident ko India ke FIU aur CERT-In ko report kiya. Exchange 500 se zyada exchanges aur forensic experts ke sath mil kar chori hue funds recover karne ki koshish kar rahi ha. Tornado Cash ka use karke hackers ne funds ka origin aur destination hide ki koshish ki ha lekin WazirX community support aur doosre exchanges ke cooperation ke wajah se hopeful ha
Recovery process mein kafi challenges ha khaskar Tornado Cash ke use aur sophisticated North Korean hacker group Lazarus ke mumkin shamil hone ki wajah se. Key factors jo investors ke paise wapas milne par asar dalenge unme forensic investigations ki kamiyabi community support legal actions aur WazirX ke potential compensation plans shamil ha. Founder Nischal ne ye assurance diya hai ke yeh inside job nahi hai aur exchange breach ko address karne ke liye extensive measures le rahi ha. In measures mein bounty program shamil hai taake chori hue assets ko freeze ya recover kiya ja sake aur fund movements ko trace karne wali teams ke sath discussions chal rahi hain. Shetty ne Web3 community se mil kar is crisis ko overcome karne aur ecosystem ki integrity banaye rakhne par zor diya.