Author

Topic: Pakistan - page 178. (Read 6013311 times)

full member
Activity: 462
Merit: 227
March 01, 2024, 04:18:46 PM

Yes muje 294 point mele he me apse pouchna he abe kal mene post deka he minnet aya ab minnet pe karna kiya he trading karni ha ya pher kuch aur dosri bat ye he ke abi jo $ stake kiye te wo ab withdraw kar sakte he aur ye be batao ke mere pas 294 point he kiya koi faida ho jayga kiya aur dosri bat muje be token mel sakte he aur airdop ke liye elegible honga ke nahe ab koi aur kuch karna ho blast me to ab hume batao take kuch acha profit mel jaye project to bhut acha lagta he aur name be acha he blast to shyed acha airdop de jaye.

ap ny kaha par check kiya hai apny ya points? mujhy share krna mai b check kro k mujhy kuchh mila b hai k nai. mai ny baslt ki websit par kafi task complete kiya hain jis sy meray pass around 445 bXP hain ab unka koi idea nai uski base par kuch airdrop mily ga k nai. Apny ethreum b stake kiya thy? as mai ny to koi b staking nai ki thi ethereum ki blast par.

mai apko site share kr daita ho agar ap ny waha par task nahi completa kiya ap b check kr skty hain here is the link to that website https://blastscore.io/ yaha par ap Bxp point ly skty hain bohat easy easy tasks hoty hai so ap easily kr skty hain. Acha kindly wo wali site b share kr daina jaha sy apny apny points check kiya hain. Baki Allah kary kuch na kuch mil jayee un task sy b jo mai kr raha ho. acha ak hor cheez batata chalo ap mari mention ki howie website par daily check in kr k b bXP points ly skty hain apko upar top par option dakhny ko mil jayee ga.
sr. member
Activity: 420
Merit: 325
Trade Big, Win Bigger!
March 01, 2024, 02:46:30 PM
Crypto Scams Surge Over $100M Lost in February BitForex Faces $56M Outflow Mystery



السلام علیکم
February 2024 mein crypto scams mein izafah hua jisme 20 se zyada nishandeh hamlay huay aur takreeban $105 million digital maal ki nuqsaan ho gayi. Is pareshani mein bhi kuch taraqqi ki alamat ha jaise ke churaye gaye funds mein se kuch hissa taqreeban $6.7 million, ko kamyabi se dobara hasil kiya gaya. Jabke nuqsaan January ke muq comparison mein 42% kam hua lakin crypto hackers ne 6,000 se zyada Ethereum tokens ko transfer kiya jisme se 1,471.6 ETH ko Bitcoin ke liye exchange kiya gaya info

Our BitForex aik mashhoor crypto exchange ne 26 February ko tamam withdrawal ko foran rok diya;jabke reports aayi ke uske hot wallets se $56 million ka bara nuqsaan hua. Iske ilawa BitForex ne kisi official bayan ya taruf nahi diya. Is hadsat ke darmiyan users ne apne accounts ya exchange ki website ko access karne mein mushkilat ka saamna kiyanjo ke investors mein be yaqeeni aur frustration ko mazeed barha raha tha. Analysts ke mutabiq yeh ek crypto hack ka nishan hai aur BitForex ke compliance practices ko lekar regulatory scrutiny ke tareekhi masaail ke sath yeh musibat mein aur complexity dal raha ha
full member
Activity: 462
Merit: 227
March 01, 2024, 01:57:37 PM
Whoops! Nigeria Government Demands $10B From Crypto Exchange Binance


Assalam o Alaikum My dear community!

Nigaria ki governmnet ny lagta hai sasty nashy kiya howay hai mujhy to etni bhari amount ki demand krna unreasonable lag rha hai exchnage sy. Pata nai unki government etni bhari demand q kr rhi hai. well agar exchange sy koi amount demand kni he hai to enko reasonable amount mangni chaheya ta ky exchange waly daity waqat esko reasonable counter karain.

Bull market kareeb hai or nageria ki government ko apni masti soogh rhi hai. Ya log market ko manipulte krny ki koshish kr rhy hain jis mai i garentuee k ya log nakam rhy gy. or jaha tak mujhy lag rha hai Binance kabi b nageria ko etna bhari amount nai dy ga. or exchnage ban ho jaye gi es liya enko apni titu patiyo ko side par rakh kr country ki stabiliy ki tarf focus krna chaheyaa haha...
full member
Activity: 280
Merit: 110
Eloncoin.org - Mars, here we come!
March 01, 2024, 01:18:03 PM
Yaha par kisi ko Blast k points mele ha tho un k leye khush khabre ye ha k un k points ko token ma convert kia jaega May ma. Ab Blast q bara project ha tho jin logo ne es ma deposit kia ha wo dekh sakte ha k kitne ziada ha. Blast ne bahut kam arse ma bahut se Investment walo ko attract kia ha aur ab thak 2.3 billion jo ek bare Investment ha wo le le ha. 2.3 billion PKR nahe bhai 2.3 billion usdt aur per aage hesab ap laga le. Etna paisa hamare project ma aajae tho ham bhagne ka plan karte ha. Ab agar en Investment ki bath ki jae tho Blast es hesab se 7wa bara Blockchain hoga aur layer 2 ma dosra. Pehle ma shahid Arbitrum ha. Jab ye token launch karege tho 50% wo community ko denge jo k ek bare raqam bante ha. Inshallah hamare Sayeds56 sir ko acha airdrop mel jaega.Ab b points May thak earn kia ja sakta ha , agar kisi ko blur stake karne par points melte ha thi kar le.


Yes muje 294 point mele he me apse pouchna he abe kal mene post deka he minnet aya ab minnet pe karna kiya he trading karni ha ya pher kuch aur dosri bat ye he ke abi jo $ stake kiye te wo ab withdraw kar sakte he aur ye be batao ke mere pas 294 point he kiya koi faida ho jayga kiya aur dosri bat muje be token mel sakte he aur airdop ke liye elegible honga ke nahe ab koi aur kuch karna ho blast me to ab hume batao take kuch acha profit mel jaye project to bhut acha lagta he aur name be acha he blast to shyed acha airdop de jaye.

Blast ma ap ne kia kia tha k ap ko etne tokens mele. Kia ap ne staking ki the ya es k kuch aur tasks kie the? Ye Ethereum ma staking ka bhut fee nahe lagta? log q etna ziada fee pay karte ha. Ye project agar Ethereum k bajae polygon matic ma launch hotha tho kitna fee ka bachat hotha. Solona ma bi fee kam ha leken ye kha makha ethereum par he la rahe ha tha k ham jaise log es se faida na ota sake. 10$ thak fee deposit karne ma lagte ha per 19$ fee unstake karne ma aur per 5$ apne exchange ma send karne ma tho total 40$ fee thi muft ma gia.
sr. member
Activity: 392
Merit: 306
Enjoy the beauty of nature 😊
March 01, 2024, 01:08:32 PM
Coinbase's launched New Wallet Solutions for EVM Integration

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Hi Friends jese k sabhi bothers fund rahkny k Leye koi na koi exchange use to karty hain is Leye jis exchange me hamray fund parienhun us k baray me koi update aye to ham zaror gor karty hain is he tarhan koi na koi brother Coinbase be use me lata ho ga to is Coinbase doosray wallet halat ki do naye hal kar raha hai jo ke Ethereum Virtual Machine EVM k name Sy applications ke sath mil kar kaam karna chahta hai jo ke developers ke onboarding ko asan banane ke liye hain unke layer2 blockchain Base par. Ye halat aik smart wallet ko shamil karte hain jis mein balance transfer hota hai aur doosra halat hai jis mein developers apne applications mein shamil kar sakte hain, istemal karne wale ke tajurbaat ke challenges ko kam karte hue. Ye kadam Coinbase ka Wallet as a service WaaS product line ko barhata hai, jo digital wallet integration ko beghair core technology ko scratch se develop kiye baghair faraham karta hai. Dono Coinbase aur Bitgo similar services faraham karte hain jo multi-party computation MPC technology par mushtamil hain jo ke security aur privacy ko behtar banata haiInfo
sr. member
Activity: 1456
Merit: 326
Eloncoin.org - Mars, here we come!
March 01, 2024, 12:52:29 PM
Yaha par kisi ko Blast k points mele ha tho un k leye khush khabre ye ha k un k points ko token ma convert kia jaega May ma. Ab Blast q bara project ha tho jin logo ne es ma deposit kia ha wo dekh sakte ha k kitne ziada ha. Blast ne bahut kam arse ma bahut se Investment walo ko attract kia ha aur ab thak 2.3 billion jo ek bare Investment ha wo le le ha. 2.3 billion PKR nahe bhai 2.3 billion usdt aur per aage hesab ap laga le. Etna paisa hamare project ma aajae tho ham bhagne ka plan karte ha. Ab agar en Investment ki bath ki jae tho Blast es hesab se 7wa bara Blockchain hoga aur layer 2 ma dosra. Pehle ma shahid Arbitrum ha. Jab ye token launch karege tho 50% wo community ko denge jo k ek bare raqam bante ha. Inshallah hamare Sayeds56 sir ko acha airdrop mel jaega.Ab b points May thak earn kia ja sakta ha , agar kisi ko blur stake karne par points melte ha thi kar le.


Yes muje 294 point mele he me apse pouchna he abe kal mene post deka he minnet aya ab minnet pe karna kiya he trading karni ha ya pher kuch aur dosri bat ye he ke abi jo $ stake kiye te wo ab withdraw kar sakte he aur ye be batao ke mere pas 294 point he kiya koi faida ho jayga kiya aur dosri bat muje be token mel sakte he aur airdop ke liye elegible honga ke nahe ab koi aur kuch karna ho blast me to ab hume batao take kuch acha profit mel jaye project to bhut acha lagta he aur name be acha he blast to shyed acha airdop de jaye.
sr. member
Activity: 854
Merit: 364
I ❤️Bitcoin
March 01, 2024, 12:41:31 PM
February Post Summary ~Unknown Op

Assalamu alaikum tmam bhaio KO!
WaalaikumSalam Bhai. Ap ny bohout acha kaam Kiya Jo apny itny masroof Safar Mai time nikaal ky yeh community Ki khidmat wala kaam Kiya. Start Mai mostly yeh kaam hamary community ky Hamza bhia karty ty but ab woh community Mai thoora km dikhai daity haa but ab ap kar rahy ho yeh ache baat haa umeed haa ap Issy lamby arsy ky liya Jari rahyngy. Maire taraf sy tamam top posters ko congratulations Jo still community ky behtari ky liya kaam kar rahy haa woh baat teek ha ky number of post km howy previous month ky mukably but umeed haa ky next month acha progress hoga
Mene ye short post summary Mene DdmrDdmr KY Merit Dashboard or TryNinja KY Ninjastic space tools sy banai h Or agar Kisi KO ismy koi mistake dikhay ya koi confusion ho wo ap mujy bata sakhtay h
Ap ny yeh kaam bohout achy aur saleeky ky sath Kiya haa but ap Sy kuch mistakes Howe haa ap thoora check Karky ussy teek kary. Ap ny Jo table banaya haa us Mai snowpega ko two time mentioned Kiya haa different number of posts ky sath. Toh ap daikh ly may be mistakenly Howa ho. So usy correct Karly Baki sab perfect haa. Waisy agr thoora surkhee powder bhi lagwa laity heading waghaira pa toh aur bhi acha hota (lol)
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
March 01, 2024, 12:24:31 PM
Bitcoin's Rollercoaster $700 Million Liquidation Amidst Volatility

Assalam alikum to all the community, Pichle 24 ghanton ma Bitcoin ne zor daar keemat ka inhisar kiya, jisme yeh saal ke unchaayi $64k ke upar pahuncha phir tezi se $59k ke neeche gir gaya. Cryptocurrency ka yeh rollercoaster ride ne futures market mein $700 million ke liquidation ka nateeja diya jaise ke CoinGlass ne bayaan kiya. $131 million ka ek hissa toh tehraah ghante ke andar hua lekin zyadatar liquidations pichle adhe din ke doran huenjo Bitcoin ki tez raftar ke saath milta julta hai.



Dilchaspi ki baat hai ke is waqt ke dauran long-to-short ratio barqarar raha jo dikhata hai ke Bitcoin ke qareeb pahunchte waqt kuch aggressive longing hui aur phir keechad ne in oonche khareedne waalon ko saaf kar diya. Bitcoin futures contractsbjo ke approx $270 million ka hissa thabne liquidations mein taqatwar qadam uthaya but hairat angez hai ke yeh total ka adha bhi nahi tha. Yeh is baat ka nishaan ho sakta hai ke speculation mein tabdili aayi haibaur ab log Bitcoin ke tezi se hosla afzaai hasil karne ke baad altcoins mein daakhil ho rahe hain.
Dogecoinbjo ke 34% ke izafay ke saath sab se behtar performer hai hm ne altcoins ke darmiyan liquidations mein sab se zyada hissa liyanjo ke lagbhag $51 million tha



Baqi Bitcoin ke haal ki keemat ke tez tabdiliyon ne futures market mein $700 million ki liquidation ka nateeja diya jabke altcoins bhi is mein shaamil hue. Long to short ratio barqarar raha jo Bitcoin ke upar neeche hone waale daur mein taqatwar trading strategies ko darust karta hai. Bitcoin futures ke total liquidations mein dominance kam hui hai jisse ke speculation ka tawajju altcoins ki taraf badh gaya hai jise Dogecoin ke behtareen izafay ke saath milta julta hai details
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
March 01, 2024, 12:22:53 PM
February Post Summary ~Unknown Op

Assalamu alaikum tmam bhaio KO! Umeed karta ho sab khariyat sy ho gay

AJ 1st March new year 2024 KY 2 months guzary chukay hai aur AJ Mei free tha to socha ky summary he tiyar ki jay phir next Ramadan Ka mahina shoro ho Raha h phir time milta h ya ni aur phir kaafi lamba summary Ka silsala chala jana tha chalay apni February ki post summary ki taraf chalaty h agar 2024 ky first month sy Feb ki summary

Top 10 Posters:

Waalikun assalam shukar Allah, aur umeed karta hun ap b khariyat Sy Hun gy .

Bhot Bhot shukariya Feb post summary share karnie ka , aur Bhai apny Ramzan ke bat ke to ap ko advance Ramzan shari k mahina Mubarak ho ap Allah ap ko khub nakiyan Karni ke tofik ata farmaye ,

Mujy jab b time milta hai me community me updated aur posting karta rahta haun jab Post summary ata hai wo dekh kar dill karta hai k zayada Sy zayada posting karon community me ye Kafi Mehnat Wala Kam hai summary bana aur us ko manage Karna bass ase  he Kam karty rahain aur inshallah is mouth hamra name b top pr ho ga par top one par nhi wo place hamray great sayad sir ke hai aur inshallah Hun ke he rahy gi .
hero member
Activity: 2506
Merit: 645
Eloncoin.org - Mars, here we come!
March 01, 2024, 11:48:29 AM
February Post Summary ~Unknown Op

Assalamu alaikum tmam bhaio KO! Umeed karta ho sab khariyat sy ho gay 

Shukar ha Allah Rabbul Izzat ka k ham teek taak ha aur umeed karte ha apne rab se k ap b teek honge. Aj tho bahut jaldi hee data nekal leya. Ab hamza sir tho muje dekhai nahe de rahe k wo be jalde bna lege ya uska time lagega. ap ki es mehnat ka dil se shukria ada karta hoo aur dua karta hoo k Allah pak ap k halal rizq ko barae aur haram se bachae aur pore deen par amal ki taufeeq de.

 
Quote

Top num 1 my hamesha ki taraf Sayeds56 Bhai h total 67 posts KY sath aur second NUM par h Cheema02 Bhai  total 31 posts KY sath aur third par to hamary 3 nujawan Bhai h Farhan99 Bhai, ThemePen Bhai aur Zainmalik75 Bhai hai total 29 posts KY sath

Sayeds sir tho yaha k jan ha. muje khushi ha k hamare seniors yaha par active ha jis ki waja se nojawano ko kafi seekhne ko mel raha ha. Crypto ek wasee maidan ha aur yaha par earning k opportunity ziada ha leken masla ye ha k esko explore kaise kare aur wo rehnumai seniors se melte ha. Hamara maqsad ye ha k ham yaha seekhe aur acha paisa kamae..Ha ek bath ka lehaz rakhe k wo paisa haram tareeqe se na atha ho jaise Lending, borrow, future aur gambling ko promote karna.
sr. member
Activity: 560
Merit: 365
Pakistan Local Board Request
March 01, 2024, 10:37:06 AM
February Post Summary ~Unknown Op

Assalamu alaikum tmam bhaio KO! Umeed karta ho sab khariyat sy ho gay

AJ 1st March new year 2024 KY 2 months guzary chukay hai aur AJ Mei free tha to socha ky summary he tiyar ki jay phir next Ramadan Ka mahina shoro ho Raha h phir time milta h ya ni aur phir kaafi lamba summary Ka silsala chala jana tha chalay apni February ki post summary ki taraf chalaty h agar 2024 ky first month sy Feb ki summary compare karen to kaafi difference dekhny ko milay ga dono posts or merits ki summary my jaha tak mujy yad h January ky month 650 ky qareeb posts counts hoi thi jo kaafi behtar thi tab mixers campaigns b banned ho gai thi aur kuch es bi community my bad effect para tha lekin phir b kaafi users active rahay or apna haq ada kaety rahay kuch new users b add howay h or kuch old users b active shoro kar diya h lekin Feb ky month posts count kaafi kam hoi h total 504 posts hoi h previous month sy 125 posts kam Jo kaafi ziada difference hai lekin jab Mei is summary Ka data collect Kar raha tha to top 15 members hamari he community ky thy other languages my local board KY elawa sary local thread ki aik sath posts Ka data Ata h like Bangladesh, Ukraine etc lekin top 15 sab ziada posts karny my hamari community ky 15 members thy phir mix hona start ho gay aur usky sath total 30 active users thy Feb ky Month aur January KY month I think 36 KY qareeb thy

Top num 1 my hamesha ki taraf Sayeds56 Bhai h total 67 posts KY sath aur second NUM par h Cheema02 Bhai  total 31 posts KY sath aur third par to hamary 3 nujawan Bhai h Farhan99 Bhai, ThemePen Bhai aur Zainmalik75 Bhai hai total 29 posts KY sath

Ye rahay top 3 posters Feb month Kei:

  • 🥇 Sayeds56
  • 🥈 Cheema02
  • 🥉 Zainmalik75
    ThemePen
    Farhan99

Mene ye short post summary Mene DdmrDdmr KY Merit Dashboard or TryNinja KY Ninjastic space tools sy banai h Or agar Kisi KO ismy koi mistake dikhay ya koi confusion ho wo ap mujy bata sakhtay h

Users|Posts Count|
───────────────|───────────────|
Sayeds56|
67
hero member
Activity: 2506
Merit: 645
Eloncoin.org - Mars, here we come!
March 01, 2024, 10:25:23 AM
DOP Testnet Officially Ended

haha DOP ka experince meray sath bohat bora rha hai as mai ny kafi dafa esko join krny ki koshih ki magar pata nai q mari side hamasha glitch show hota rha hai. Actually, mai jab b es par apna wallet connect krta tha mujhy notification milta tha k this account already exit jo mai b bilkul new user tha. chlo mai ny es waja sy new wallet create kiya or dobara try kiya lainkn phir same issue dakhny ko milta tha. well mai ny en chakroo mai koi 3 sy 4 wallet creat kiya laikn hamasha same issue face krny ko mila mujhy.

Phir mai ny soocha q na browser change kr k dakha jayee shayad issue solve ho jayee laikn same he issue rha mai ny new browser mai new wallet creat kiya phir b mujhy wahee notification dakhny ko milta rha k this wallet already exist phir mai ny frustration mai esko purr krwa diya well bora to lagta hai jab es tarha ki problems face krny ko milti hai. meray ak frnd ka b same issue tha laikn uska solve ho gaya tha laikn ab hum kiya he keh skty hain

Oh yar ye tho ma ne miss kar dia. Es ma Referel system tha aur muje un project ka maza nahe aatha jis ma referel chakar ho tho ma ne esko chor dia. Bad ma logo ne bahut trend bthaya aur kaha k ye ek bara project ha aur eska rewards be acha hoga. Project es time bahut ha aur new airdrop la rahe ha. Sab se best job ha wo ZKsync, Scroll , Linea ha jinka airdrop bara ho sakta ha.

Acha Sayeds56 ma ne ek bath note kii ha k Linea ma abe jo gaming project ha wo be mukhtakif task de rahe aur keh rahe k token launch par wo airdrop denge. Us ma NFT aur gaming ha, ap kia kehtee ha k en NFTs ko buy karna worthy hoga ya wo hame farm kar rahe ha?
sr. member
Activity: 392
Merit: 306
Enjoy the beauty of nature 😊
March 01, 2024, 09:44:16 AM
CME Group Set to Bolster Institutional Crypto Adoption with Euro-Denominated Futures Products


السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Hi Friends jese k 2023 me  CME Group ne   Bitcoin trading volume mein izafa dekha hai thi  jise ke  Euro denominated Bitcoin aur Ether futures products ke ikhtiyaar hai. Ejazat dar Giovanni Vicioso executive director in products se eurozone mein institutional adoption ko barhaane ka intezar hai. CME ki mukhtalif shirakat ki bunyadi buniyad  jis mein proprietary trading firms aur macro hedge funds shamil hain in aanay wale offerings mein dilchaspi dikhate hain. Is taraqqi mein euro denominated Micro Bitcoin aur Micro Ether futures shamil hain  jo 18 March ko shuru hone wale hain.
Ye products asal mein ek foreign exchange FX contract tayar karte hain  jo investors ko USD aur euro-denominated contracts ke darmiyan trade karne ki ijazat deta hai. Vicioso ne investors ke liye flexibility ko ahem darja diya hai, jise USD aur euro-based contracts mein position le sakte hain, jo ke traditional FX trading ke mutabiq hai. Aam tor par CME ki taraqqi cryptocurrency derivatives mein barhti institutional dilchaspi ko darust karti hai, khaaskar eurozone market mein.Info
full member
Activity: 462
Merit: 227
March 01, 2024, 08:26:40 AM
WA Allaikum Salam
Mujy toh koi aisa option nazr Nahi aaraha may be mera updated version Nahi ha isliya Baki agr kisi aur ko bhi yeh option Nahi dikh raha toh isky official site pa jai waha pa APNA yeh email Sy account login kary toh waha apko dikh jai ga wallet connect karny ka option profile Mai toh waha connect Karky cheezo ko teek kary agr app Mai nahi haa Baki may be in future app Mai bhi ajai koi update required Hoge.

Dear abi to es cheez ko teen sy chaar din ho chuky hai jab sy ya meta mask wallet connection ka option app mai show ho rha hai or mai ny to kafi dair sy kiya howa hai connect baki ap check krai kahee apki app old version mai to nai abi tak agar hai to usko play store sy update krain to apky b show hona shuru ho jaye ga Wallet connect apki app mai.

Baki ap jo Bondex ki website ki baat kr rhy hain waha b mai ny connect kiya howa hai or wo about 1 to 2 month pehly connect kiya tha baki sonnay mai aa rha hai bohat he jald ya log Snapshot start krny waly hain bas umeed hai koi chuss na maray as community kafi dair sy active hai es project ko lai kr i think 4 years to ho chukay hai galiban jab sy enho ny apni community ko latkaya howa hai bohat zayda intazar krwaya hai en logo ny. Wasiy banta to ab ya hai k ab ya log token ki price achi rakhai or acha airdrop dy apni community ko ta k sab logo k pata chalai k etna intazar karna worth it raha.
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
March 01, 2024, 08:12:56 AM
Bilkul sahe kh rahy Zain bhai Ajj kall scam boht aziafa hu raha hai iski main wajjah lalch ka hona jo kar he insan ka ik farthti amal hai jo kbi khtm ni hu Shakti shyed he jha koi asa hu ajsy passy ka lalach na hu warna jo 1lac kama raha wo khta or hu baqii apny jo scam ka btiya wo bi bikul target audience ko kar rahy ha Peshawar ka ads lagaia hu ga Social media pr mojy lagta ja in aresa ko target krty jha loog parhy likhy kam hoty hai or pozny scheme hoti ha jasy phly Kuch app bi nikli the jinhy sy kafi scam kiya tha phly kuch loogo ko passy dy kar apni advertisement krwty hai phr jab user zadya tadad ma investment kar dty ha to bhaag jaty hai yahi taqria wardat ha in scamera ka is lay khud ko bachu jasy zamna badl raha hai Scam karny ka taqria bi badl gya hai
Haa aisa hi haa, Abhi inho NY bhi koi app banwai haa jaha pa apki investment karwaingy aur shocking baat yeh ky apni khud Ki coin price movement bhi ho rahi haa like agr ap normal btc ko daikho toh waha pa dump hoga aur inky app Mai pump. Isky ilawa ap itny amount Mai iss time yaha trade laina haa toh yeh kafi suspicious haa, aisa Mairy khayal sy pahly bhi ik app ta Jo scam kar Gaya ab yeh bhi apko profit dikhai ga aur profit nikaal Nahi sakty starting Mai kuch Ko dyngy Mairy khayal sy phir jab woh aur logo ko attract kary ga phir scene off kardyngy. Aur social media bhi baghair investigation ky Issy fully support kar rahe ha aur ads chalwa rahy haa ab Kisi ka gaata ho ya faida inhy Kya inhy toh ads ky paisy mil rahy ha

Bondex In App Wallet Connect Option

Asslamualaikum!

Ham sab janty hen ky Bondex ky launch hony ki khabren bohat zyada gardish kar rahi hen. Or ham ye bhi janty hen kafi news share ho chuki hen pehly hi iss bary my. Or is kaa launchpool bhi aany wala hai issi month my jo 40 days chaly ga. Us ky phr Tokens milen gy or wo bhi vesting par.
Kher reward kaya hoga koi nai janta hai. Maqsad update dena hai ky ap logon ny abhi tak apna wallet connect nai kiya to jaldi sy kar len jinhon ny is ko join kiya huwa hai.

Kuch is tarah ka show hoga. Apna wallet connect kar lena hai ta ky bad my koi problem naa ho.  Smiley
WA Allaikum Salam
Mujy toh koi aisa option nazr Nahi aaraha may be mera updated version Nahi ha isliya Baki agr kisi aur ko bhi yeh option Nahi dikh raha toh isky official site pa jai waha pa APNA yeh email Sy account login kary toh waha apko dikh jai ga wallet connect karny ka option profile Mai toh waha connect Karky cheezo ko teek kary agr app Mai nahi haa Baki may be in future app Mai bhi ajai koi update required Hoge.
full member
Activity: 462
Merit: 227
March 01, 2024, 06:17:13 AM
DOP Testnet Officially Ended

haha DOP ka experince meray sath bohat bora rha hai as mai ny kafi dafa esko join krny ki koshih ki magar pata nai q mari side hamasha glitch show hota rha hai. Actually, mai jab b es par apna wallet connect krta tha mujhy notification milta tha k this account already exit jo mai b bilkul new user tha. chlo mai ny es waja sy new wallet create kiya or dobara try kiya lainkn phir same issue dakhny ko milta tha. well mai ny en chakroo mai koi 3 sy 4 wallet creat kiya laikn hamasha same issue face krny ko mila mujhy.

Phir mai ny soocha q na browser change kr k dakha jayee shayad issue solve ho jayee laikn same he issue rha mai ny new browser mai new wallet creat kiya phir b mujhy wahee notification dakhny ko milta rha k this wallet already exist phir mai ny frustration mai esko purr krwa diya well bora to lagta hai jab es tarha ki problems face krny ko milti hai. meray ak frnd ka b same issue tha laikn uska solve ho gaya tha laikn ab hum kiya he keh skty hain
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
March 01, 2024, 06:10:30 AM
Solana's Potential Price Increased and Bullish Outlook to $600 Amid Crypto Market Momentum

السلام علیکم

Technical analysis ki roshni ma Solana ka nazdeek mein maqsad $200 ha jo ke ek bullish continuation pattern, yaani ke bull pennant ke daily chart par ban raha hai. Agar SOL is pennant ke upper trendline ko paar karta ha to March mein $200 ki taraf barh sakta ha mojooda keemat se taqreeban 75% izafa ke saath.
Wahi agar pennant ke lower trendline ko todti ha to ye bullish setup cancel ho sakta ha aur SOL ki keemat pehle ki upar wale move ke mutabiq taqreeban 45% gir sakti ha yani ke kareeb $60.75. Overall Solana ke fundamentals aur technical patterns crypto market mein ek buland raaste ki taraf ishara karte h


Walaikum salam brother, Solana k network ko jub hum transaction speed k lihaz se comapre kerty han toh yeh one of the lowest transaction fee chain ha ku k eski transaction speed bht high ha. Solana ka all time high (ATH) jo k es nay 2021 mein banaya tha #300 se oper ha or ho sakta ha yeh next upcoming bull run mein break ho jai.

Ajakal airdrops ka trend ha or zayadeh ter airdrops Ethereum ki layer1 or layer2 pe aa rehen han esi liye Ethereum bht bullish ha.

Solana ka network pe new projects launch hony ka pace bht slow ha, or mujhy yeh ek negative factor lugta ha.
sr. member
Activity: 322
Merit: 260
Catalog Websites
March 01, 2024, 04:10:30 AM
DOP Testnet Officially Ended

Asslamoalikom!

DOP Testnet Jo ky bohat Acha project he. Us Ka Testnet chal Raha tha or ab wo officially end ho chuka he. Or total  taqreeban 2.67M logon ny is my participate Kiya or us my sy 545K hi eligibile huwe hen.


Or in sy twitter par kissi ny pucha ky agar kissi ny eligibility check Karni ho to wo kesy Kar Sakta he. To DOP Testnet team Ka jwab Kuch Yun tha.


Lekn jab in sy discord par pucha Gaya ky agar kissi ko Email received nai hui to Kaya wo bhi eligibile nai huwa Hala ky us ny sary task bhi pury kite huwe hen?


Yani over all bohat sy logon ko ye reward receive ho Jaye ga. Dekhty hen ab is Ka mainnet kab launch hota he or kab is ki claiming start Hoti he. Smiley
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
March 01, 2024, 02:31:11 AM
DTX Testnet Tasks

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Kaya haal hen sab KY?
DTX EK trading platform Hy Jo Blast Layer 2 par Kam Karta Hy or is ky Testnet ka early bird access Chal raha hy jis my ap ko in ka test net estemal Karna hoga. Or is ka Airdrop milny KY chances BHI hen.


To chalye is KY tasks Ki taraf Nazar karty hen.

1. Sab sy pehly to ap ko is KY Testnet Faucet Ki zrurat parry gi. Jo ap Yahan sy claim kar sakty hen.
https://testnet.dtx.trade/faucet

2. Is KY bad ap ny in KY platform par trading karni hy jis kaa link ye raha.
https://testnet.dtx.trade/trade

3. Is KY bad in Ki early access Ki EK NFT hy wo ap ny claim karni hy. Jis ka link ye hy.
https://testnet.dtx.trade/nft

4. In KY platform par vault mojud hy us ko ap ny istemal Karna Hy. Jo KY ap iss link sy kar sakty hen.
https://testnet.dtx.trade/vaults/

5. Panchwan or akhri task ye hy KY ap ny Galxe KY points or OAT claim Karny hen.
https://galxe.com/DTX/campaign/GCDHft4Zw8

Thanks brother for sharing these useful links. Blast network pe 30 se zayadeh protocols han jis mein DEFI/DEX or NFTs ki dApps shamil han. Yehan pe zarur tasks complete kerny chaye.

Ab Blast ka Layer2 ka network bi active ha,  jahan pe thora sa Ethereum deposit ker k Swap or Liquidity ki transactions ker sakty ha.

Ethereum deposit kerny k lie ap https://owlto.finance ka bridge use ker sakty han.
sr. member
Activity: 448
Merit: 354
March 01, 2024, 02:15:31 AM
DTX Testnet Tasks

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Kaya haal hen sab KY?
DTX EK trading platform Hy Jo Blast Layer 2 par Kam Karta Hy or is ky Testnet ka early bird access Chal raha hy jis my ap ko in ka test net estemal Karna hoga. Or is ka Airdrop milny KY chances BHI hen.


To chalye is KY tasks Ki taraf Nazar karty hen.

1. Sab sy pehly to ap ko is KY Testnet Faucet Ki zrurat parry gi. Jo ap Yahan sy claim kar sakty hen.
https://testnet.dtx.trade/faucet

2. Is KY bad ap ny in KY platform par trading karni hy jis kaa link ye raha.
https://testnet.dtx.trade/trade

3. Is KY bad in Ki early access Ki EK NFT hy wo ap ny claim karni hy. Jis ka link ye hy.
https://testnet.dtx.trade/nft


4. In KY platform par vault mojud hy us ko ap ny istemal Karna Hy. Jo KY ap iss link sy kar sakty hen.
https://testnet.dtx.trade/vaults/

5. Panchwan or akhri task ye hy KY ap ny Galxe KY points or OAT claim Karny hen.
https://galxe.com/DTX/campaign/GCDHft4Zw8
Jump to:
© 2020, Bitcointalksearch.org