Author

Topic: Pakistan - page 180. (Read 6013311 times)

sr. member
Activity: 448
Merit: 354
February 29, 2024, 04:00:53 AM
Why You Are Not Eligible For SLN Airdrop

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
My ny Dekha kuch members ko gila Tha KY un ko Smartlayer ka airdrop receive nai huwa to ye post un Ky liye hy. Smart Layer walon ny EK update di hy or unhon ny Kaha hy KY Community my sy bohat sy logon ny Kaha hy KY wo q is airdrop KY liye eligible nai huwe Hala KY unhon ny bohat sy task BHI mukamal kiye thy. To ap again Portal open kar KY dekh sakty hen. Wahan eligibility criteria Diya Hy or wo kuch is tarah hy.


Ye Meri nai Hy internet sy Li hy.

Or mery khayal sy ap ko check Karna chahye or next BHI in kaa airdrop ana Hy to ap us KY liye Jo pending tasks hen wo pury kar sakty hen. Check here why you are not eligible for SLN Airdrop.
http://launchpad.smartlayer.network/sln-portal
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
February 29, 2024, 01:45:37 AM
Asalam Walikum Bahiyon. BTC to Chadd Gaya Hai 60 Thousand se upar. Kis kis ko Nuqsaan Huwa Isse Or Kis kis ko Faida. Quote Karke Batao zara

Brother, hamari community mein zayadeh ter members Bitcoin ko long term k liye hold kerny pe believe kerty han es liye an sub logon ka portfolio bht achy profit mein hee ho ga, except those jo log future mein short kia ho ga wo bht loss mein ho sakty han. BTW Margin or Future trading bht risky or mere khayal mein Islamic point of view se bi halal nhi hoti ku k us mein interest ka element invlove hota ha, es liye esko avoid kerna chaye.

mere apny portfolio mein major portion Bitcoin or Ethereum ka ha, or Alhamdulilah mera portfolio significant profit mein ha.
jr. member
Activity: 57
Merit: 1
February 28, 2024, 11:31:13 PM
Asalam Walikum Bahiyon. BTC to Chadd Gaya Hai 60 Thousand se upar. Kis kis ko Nuqsaan Huwa Isse Or Kis kis ko Faida. Quote Karke Batao zara
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
February 28, 2024, 09:11:22 PM
Three Daily Updates

Asslamualaikum!

Kaya hal hen dosto. Umeed karta hun sab kheryat sy hon gy.
Acha to title to ap logon ny parh hi liye ho ga. To Update diye deta hun. Pehli Update hai. Gomble Airdrop ky bary my jis ka Quiz # 10 aya huwa hai or is ky question ansewrs ye rahy.



Gomble Day 10 Quiz Answer

Q : Which of the following is an example of participants contributing to the ecosystem?
A : All of the above

Q : Which of the following is the go to channel when a marketing idea is devised, in which one can receive feedback from GOMBLE?
A : GOMBLE Discord marketing suggestion channel

A : GOMBLE is currently experimenting with the initial stages of a marketing DAO through which channel?
A : Discord

Q : What does DAO stand for?
A : Decentralized Autonomous Organization

Source




Iss ky bad update hai Supra Oracle ky Mission ki. Or us ky weekly mission ky answers ye rahy or in my sy ap ko ek question pucha jaye ga jin ka answer in my sy ek hoga.

Supra Mission 43 Available

https://supraoracles.com/blastoff/learn/mission/43

Answer :
Seamless integration of services with uniform security guarantees

Supra integrates all essential services and functions into one network

Harmonized stack for building dApps

Source



Or is ky bad teesri or aakhri update Over Protocol ki hai. Us ky daily quiz ka answer ye raha.

Over Protocol Claim Quiz

Answer : Rollup

Source
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
February 28, 2024, 09:04:17 PM

Bitcoin Skyrockets Above $63,000 Setting the Stage for New Records in 2024


Wa Alaikum Asalam dear Bitcoin ny kafi acha pump liya hai or kuch he faasla reh chuka hai bitcoin ka from its previous all-time high. haha waisy kuch he dair k liya mrket $64k par gye after thay hamain sudden crash dakhny ko mila. wasiy mai sooch rha tha k $64k par kuch profit book kar loon lain market palakty jhapakty neechy aa gye haha or sooch vechaar krny k mooqa he nai mila. waisy thori c profit booking ki hai aj mai ny. ap sunao ap ny kuch book kiya aj? as market mujhy lagta hai wapis neechy aye gi before or after halving event.

Or hamain waha dobara buying k acha moooqa mil skta hai mai ya confirm nai keh raha dear or na koi suggestion dy rha apko ap apni research or analysis k hessab sy hee action li jiya ga. Well abi to mujhy correction ka intazaar hai k Market ak achi c correction lo or hum sab ko ak hor acho buying ka moqaa mila ta k sab bhaiyo ki earning achi ho sakay Ameen. Well apka exit plan kiya hai dear bull run ko ly kr? apki profit booking strategy kiya hai as mai to new ho crypto space mai kiya pata apsy kuch seekhny ko he mil jayee hum noobs ko so share ki jiya ga agar ap comfortable feel karain. Bohat Shukriay.

Jazzak-Allah

Brother, kal mein ne bi Bitcoin mein thori profit booking ki ha ku k mujhy $64,000 k area mein kafi strong resistance dikhai de reha ha or esko break kerny mein kuch waqt lug sakta ha. Bitcoin ko $60K se oper dekhny k baad analysts ka kahna k new all time hgih (ATH) halving event se pehle hee bun sakta ha es saal Bitcoin ki price $200,000 tak jany ki bi prediction ki ja rehi ha. Dekhty han aany waly dino mein kia kia surprises aaty han. DYOR


https://cointelegraph.com/news/bitcoin-price-hits-64k-as-traders-anticipate-new-all-time-high-before-halving
hero member
Activity: 2506
Merit: 645
Eloncoin.org - Mars, here we come!
February 28, 2024, 08:04:18 PM
Jis gari ka sab ko intezar tha wo aakhir kar ho k raha. Jab spot BTC ETF ki news gardish kar rahe the us waqt btc price 30 k aas pas tha aur Whales opar neeche kar k btc ko at last 40k k opar le gae. 40k k opar btc acha stable raya aur jab wi news aae jis ka sab ki intezar tha tho log ye smj rahe the k ab btc 50k ko cross karega magar wo uska ult huwa. Whales ne game khela aur btc waha se down aaya. 39k thak shahid aaya tha agar ma ghalat na ho.

Gladitorcomeback sb, agar app market ko dekhoo tu kisi ko bhi btc kay 60,000$ p janay ka intezar abi ni tha, mostly people halving k baad yeh sab expect kr rahay thay aur bohat c loggon ny short position li hoi thien. Ais waqt bitcoin 64K ko touch kr k aya hay aur kitnay shorts liquidate huey hien, ais ka andaza lagna bhi mumkin ni. Aik bar phir BTC ny dookha dia hy sab traders ko.

Aur han, jo long short ka khel ni khaltay aur jin ko pata hy k future trading haram hy, bus wohi ais time mazay mein hein, spot investors.
Humara dein (Islam) kitna acha hy k hume woh kaam kernay hi ni deta, jahan p puri dunyia ka nauqsan ho raha hy, mutlab future trading.


Ha aisa he sav expect kar rahe the halving k chand mahino bad btc 60k opar jaega lelen yaha tho btc saare records torne k qareeb huwa ha. ab ek bath note kar le k altcoins ma us tarah uchal nahe dekhai de raha jis tarah hona chahea.  Sirf Ethereum aisa coin ha jo btc k sath opar neeche apne pore zor se honraha ha eski waja ye ha k saara paisa btc ma aa raha ha. Ap spot ETF check kar tho uski trading almost double huwe ha. Jaise he btc stable honjae tho ye paisa btc aur Ethereum se aram aram se migrate hona start karega baqi coins ma es leye ap ghabrae nahe agar ap ne dosre coins buy kie ha aur wo opar nahe ja rahe. .

Asal ma buyers dekh rahe ha k ye pump real ha ya just short ha aur per btc down aaega. agar ye pumysahe huwa tho btc 60k k opar stable rahega aur yaha se per alt season start hoga. Ap dekhe ge k coins 2x one hour ma honge. Bas ap ne ache coins ma Investment ki ho tho kaze karege. Es waqt entry be kaafi khatarnak ha es leye k agar 60k se btc neeche aaya tho altcoins dump larega badly.
full member
Activity: 235
Merit: 136
Part of AOBT Gang - English Translator to Urdu
February 28, 2024, 07:20:02 PM
Coinbase Outage Amid Bitcoin Surge: Users Face $0 Balances in Unprecedented Demand



السلام علیکم بھائیوں، امید ہے سب ٹھیک ہو گئے

AJ bitcoin NEI kaafe lamba jump leaya hai aur buuht teizei ei speed pkr Raha hain aur Bitcoin Kei halving Kei den bi qareeb hai koich eskaa bi aseir hai aur Aaj kouch ajeeb hei news sunnay Ku meilei Kei Kaafi users Ku Coinbase account khali nazar ay unka balance zero Hu gea aur yei kaha jaa tha hai kri aiesa pehlay bei Hu chuka hai aur tab bull market start Hu gea Tha kea ye sasch hai koe is kei bareay Mei janta hai?



Coinbase ke kuch U.S istemal karne wale users ne 28 February 2024 kuu apne account mein $0 balance dekha jb Bitcoin ne tezi se izafay ka samna keiya. Coinbase neii eis issue ka iqraar kia istemal karne waluun ku yaqeen dilate hue ke unka fund safe hai aur masla par investigate jari hain. CEO Brian Armstrong ne wazeh kia ke platform ne traffic mein das guna izafay ke liye tayyari ki thi lekwin demand tawajju ko barhane ke ba-wajood technical problems create hui. Unhone auto-scaling halat mein behtar hone ki zarurat ko highlight kia aur aisi unexpected surges ka muqablah karne par zor dena zaroori hai.



Yeh waqia Bitcoin ne $60,000 ko JB touch keaa jo ke November 2021 se pehle nahi dekha gaya tha lekin jald hi gir gaya. Coinbase par nuksan hone ke bawajood Kraken jese duusre exchanges neii keisi technical maslay ka zikar nahi kia. Yeh haadsa Coinbase ke liye dobara huone wala masla tha pehle May 2020 mein aur phir June 2019 mein jb market ki Mei up Kei wjah sei technical problems paida hui thi. Company ne izhar kia ke wu aane waele mein technical issues ko hal karne ke liye apne system ko behtar banane par tawajju dene ka irada rakhti hai. source
full member
Activity: 462
Merit: 227
February 28, 2024, 04:37:02 PM
Bitcoin Skyrockets Above $63,000 Setting the Stage for New Records in 2024



Wa Alaikum Asalam dear Bitcoin ny kafi acha pump liya hai or kuch he faasla reh chuka hai bitcoin ka from its previous all-time high. haha waisy kuch he dair k liya mrket $64k par gye after thay hamain sudden crash dakhny ko mila. wasiy mai sooch rha tha k $64k par kuch profit book kar loon lain market palakty jhapakty neechy aa gye haha or sooch vechaar krny k mooqa he nai mila. waisy thori c profit booking ki hai aj mai ny. ap sunao ap ny kuch book kiya aj? as market mujhy lagta hai wapis neechy aye gi before or after halving event.

Or hamain waha dobara buying k acha moooqa mil skta hai mai ya confirm nai keh raha dear or na koi suggestion dy rha apko ap apni research or analysis k hessab sy hee action li jiya ga. Well abi to mujhy correction ka intazaar hai k Market ak achi c correction lo or hum sab ko ak hor acho buying ka moqaa mila ta k sab bhaiyo ki earning achi ho sakay Ameen. Well apka exit plan kiya hai dear bull run ko ly kr? apki profit booking strategy kiya hai as mai to new ho crypto space mai kiya pata apsy kuch seekhny ko he mil jayee hum noobs ko so share ki jiya ga agar ap comfortable feel karain. Bohat Shukriay.

Jazzak-Allah
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
February 28, 2024, 03:31:41 PM
Bitcoin Skyrockets Above $63,000 Setting the Stage for New Records in 2024

Assalam alikum to all the community, Bitcoin nay apni shandar raftar mein izafah jari rakha aur pehli martaba November 2021 se ooper ja kar $63k ko chhoo liya. Ab iski keemat $61,031 hai jismein 7% izafah hua, thori dair ke liye $64,000 ko bhi chhoo gaya phir thora sa kam hokar reh gaya jo ke iski all-time unchi keemat $68,982 ke qareeb hai. Tezi se badalne wale keemat maamlay ne pichle 24 ghanton mein central exchanges par $178 million ke qareeb short liquidations aur taqreeban $83.5 million ke long liquidations ko janam diya. Bazar ab record ko dobara test karne par focused hai qkh ke Bitcoin ne is haftay mein taqreeban 20% izafah kiya aur yeh saal bhar mein 40% se zyada izafah kar chuka hai.



Baqi crypto exchange Nexo ke co-founder, $69,000 ke qareeb kuch rokawat ka intezar hai lekin kehta hai ke $60,000 ko paar kar lena investors ki tawajju ko khich sakta hai, khaas kar retail investors ko. ETFs ke launch ne crypto ko institutional investors ke liye zyada dastiyab banaya hai aur network ke ane wale halving event ke sath jo April mein hone wala hai investors ko naye records ka intezar hai. U.S spot Bitcoin ETFs ne February mein average $195 million har din nikala hai

Bitcoin halving event ka intezaar jo April mein hone wala hai mining rewards ko adha karke supply ko mehdood karne ka hai. Bitcoin se mutalliq equities mein behtar hone ka andaza shares ke mutabiq hai jaise ke Coinbase ke shares ne 3% se zyada izafah kiya Block ne 1% se zyada izafah kiya Bitcoin trading service dene wale Block ne 11% izafah kiya aur miner Marathon Digital ne 5% izafah kiya details
sr. member
Activity: 1456
Merit: 326
Eloncoin.org - Mars, here we come!
February 28, 2024, 01:52:02 PM
Linea 150 LXP Free Clutch Campaign

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kaya haal hen dosto.?

My ny upar discussion parhi. Or my ny Dekha hy KY community members Linea project ko LY kar kafi Serious hen. To new Campaign air hy Linea Ki jis sy ap ko 150 LXP free my mil rahy hen. Simple ap ny Social tasks mukamal Karny hen.
Or is KY ilawa khayal rahy KY ye campaign 3rd March tak Chaly gi to jald az jaldi join kar Len. Ap is Ki details Yahan parh sakty hen.


Details parhny KY bad ham bat kar lety hen KY is my tasks Kaya Kaya Karny hen? To un Ki details kuch Yun hen. Ap ny 4 tasks pury Karny hen. Jiss my 2 account follow KY hen or EK tweet Karna Hy.
Or fourth WALA tasks EK NFT collection kaa hy. Jis ny Foxy Ki NFT hold Karni ho gi to ussy 100xp mien gy.
Or ye ap free my generate kar sakty hen. Free Credits milen gy.

Walikum Asalam bhai kese ho belkul ye bat haqiqat he ke Linea ko bhut aur kafe logo ne top project list me raka he aur kaha be ja sakta he agar funding aur partnership ke bat karo aur deka jaye to sara project gaming aur nft pe he to yaha se andaza ho sakta he ke linea kafi high project hoga aur high level gaming ke sat partnership he aur abe to next be partnership karenge zarore to muje lagta he linea ko abi time ke liye top pe raka jaye ab bad me ye kiya karenge uska to kese ke pas ilam nahe bs ek andaza lagaya ja sakta he ke ye acha aur high level ka project hoga s ka weekly task he wo 4 april tak chalega.

hero member
Activity: 1414
Merit: 670
February 28, 2024, 01:27:55 PM
Thanks bhai,Ye ek Free ma acha mauqa ha 150 LXP ya un short 150$ earn karne ka. Yad rahe Proof of Humanity complete hona zaroori ha linea k kisi b task ko complete karne k leye. Jab wo end ma LXP distribution karege thab unko sirf melega jin k pas Proof of humanity already full hoo.
Well yeh toh ache baat haa ky free ky lxp yani dollar mil rahy ha, but ik Baat poochne tee ap logo ko Jo linea ky task pahly intract.io Pai ayai usky baad kuch games Mai phir layer3 pa ab phir intract pa toh koi Bata sakta ky yeh official team Ki taraf sy haa yah yeh inn games project walo Ki taraf sy haa apny project ko advertise karny ky liya. Toh iske Kya gurante Hoge ky yeh game waly linea Ki achi price hoony pa bhi haamy APNA reward dyngy as koi idea ha ya Mai wrong hu HuhHuh


Ha 150 LXP wala easy ha es leye k es ma fee kam lagte ha. Baqi jo log layer3 wale karte ha qo mushkil ha aur kaam br ziada aur sath sath har 20-30 Linea k leye 5$ thk apko fee karna parega. Ma ne Interect wala chexk kia ha ,waha tho 100k se ziada lig ho ho gae ha aur end hone thak 200k tho ho jaenge. Acha ma ne jo hesab lagaya ha lxp ka wo dekh le
Bro yeh layer3 ka fees toh kuch bhi Nahi haa aur isky task bhi easy haa agr ap ny linea start sy after testnet join Kiya ho toh apko pata lag Chuka hoga ky kitne difficult task tee aur fees bhi itna high ky na pooche, believe me personally Mera APNA fees around 150+ Laga aur woh bhi kuch bonus task ko choor ky q ky waha 1000$ tak ky ik trade ya swap waghaira karny ty. Toh start kafi difficult ta haa but lxp zyada ta ab ky muqably abb fees bhi itna Nahi laghta filhaal baad ka maloom Nahi. So I believe minimum 1xp = 3$
hero member
Activity: 2422
Merit: 875
February 28, 2024, 01:08:50 PM
Jis gari ka sab ko intezar tha wo aakhir kar ho k raha. Jab spot BTC ETF ki news gardish kar rahe the us waqt btc price 30 k aas pas tha aur Whales opar neeche kar k btc ko at last 40k k opar le gae. 40k k opar btc acha stable raya aur jab wi news aae jis ka sab ki intezar tha tho log ye smj rahe the k ab btc 50k ko cross karega magar wo uska ult huwa. Whales ne game khela aur btc waha se down aaya. 39k thak shahid aaya tha agar ma ghalat na ho.

Gladitorcomeback sb, agar app market ko dekhoo tu kisi ko bhi btc kay 60,000$ p janay ka intezar abi ni tha, mostly people halving k baad yeh sab expect kr rahay thay aur bohat c loggon ny short position li hoi thien. Ais waqt bitcoin 64K ko touch kr k aya hay aur kitnay shorts liquidate huey hien, ais ka andaza lagna bhi mumkin ni. Aik bar phir BTC ny dookha dia hy sab traders ko.

Aur han, jo long short ka khel ni khaltay aur jin ko pata hy k future trading haram hy, bus wohi ais time mazay mein hein, spot investors.
Humara dein (Islam) kitna acha hy k hume woh kaam kernay hi ni deta, jahan p puri dunyia ka nauqsan ho raha hy, mutlab future trading.


Etna tho sab ko pata tha k btc es bar 65k k opar ja k rahega aur apne ATH jo break karega leken masla ye tha k ye kab hoga es ka kisi ko andaza nahe ho raha tha. Feb ma 55k ki prediction the aur per june ma ATH breaking ki lekn aj jis tarah BTC opar gia us se lagta ha k es week he btc 65k ko cross karega. Apki kia rae ha aur koi btc ya dosre tokens hold kar raha?

Sb log phelay walay bull runs c ais bull market ko compare kernay ki kosish kr rahay hien jo k gult hy. Investors sirf Bitcoin aur aus ky baad Eth mein interested hien aur tabhi app dekhoo k altcoins undhar k udhar hi hien. abhi btc 3-4 hazar neecay ayee to yeh phor 10-20% neechay aa jein gay.
Ais liey i always say k humee BTC mein paisa rakhna chayee kion k Bitcoin King hy.
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
February 28, 2024, 11:24:29 AM
Telegram to Share 50% of Ad's Revenue with Channel Owners, Founder Says

Assalam-o-Alaikum do my dear/beloved Community!

Umeed krta hoon ap sab log theek thak feet faat hongy. Acha ya bohat achi news hai in two way jis ka positive impact hoga do cheezo par Ton Blockchain par jo k Telegram ki apni Blockchain hai I think. Es ki waja sy Network ny 18% up boost kiya hai. or jab hum dossri taraf dakhain Jitny b telegram par channels hain jo logo ny banye howay hain for some purposes like news sharing, or any services sharing jo jitni b ads unky channel mai telegram ki taraf sy jitni b ati hain Telegram unko 50% revenue share kry ga.
Walking Salam bhai kafi achi khabar ha kh telegram bi ab earning waly. Platforms ma sham hu gya hai mojy ya qadam telegram ki traffic ma boots ka basis banta nazar ay raha ha agr ya waqia 50% half earning creators ko dy ga to is say telegram ka network to grow kary ga he is ka sth sath users or creators ka ik tuffon ay ga Umeed ha ya telegram ka acha qadm hai march ma agr implemention start hu jaye to bri achi bat hu ge or telegram ki traffic 2 trillion ka ass pass chli jaye ge ot ton ki price to sath increase hu ge umeed hai
hero member
Activity: 812
Merit: 619
February 28, 2024, 11:16:55 AM
BTC HITS 60K

Jis gari ka sab ko intezar tha wo aakhir kar ho k raha. Jab spot BTC ETF ki news gardish kar rahe the us waqt btc price 30 k aas pas tha aur Whales opar neeche kar k btc ko at last 40k k opar le gae. 40k k opar btc acha stable raya aur jab wi news aae jis ka sab ki intezar tha tho log ye smj rahe the k ab btc 50k ko cross karega magar wo uska ult huwa. Whales ne game khela aur btc waha se down aaya. 39k thak shahid aaya tha agar ma ghalat na ho.

Etna tho sab ko pata tha k btc es bar 65k k opar ja k rahega aur apne ATH jo break karega leken masla ye tha k ye kab hoga es ka kisi ko andaza nahe ho raha tha. Feb ma 55k ki prediction the aur per june ma ATH breaking ki lekn aj jis tarah BTC opar gia us se lagta ha k es week he btc 65k ko cross karega. Apki kia rae ha aur koi btc ya dosre tokens hold kar raha?
hero member
Activity: 2422
Merit: 875
February 28, 2024, 10:23:41 AM
PSL Update
Jaisa k agar ap ne kal ka PSL wala match dekha hai toh us mai ap ne acha se dekha hoga k Babar Azam ne 111 runs banyein hain aur us na e gamme whan se jetai hai jhan se Peshawar Zalmi ki team har gyi thi. Aur dusri taraf back to back wickets kiriewn jarhein thien.. Saim Ayub out hua us k baad Muhammad Haris out hus phr HaseebUllah Khan, pr Poxwell (the greatest power hitter) wo bhi out hogya, aur is waqt tak sab ki umeedein kho behtein their but they forget that here is Babar Azam toh us ne century mar di aur kamal krdiya jis ne inko match jeetane mai bohat madad di thi. JIs ko dekh kr Peshawar Zalmi ki team ka owner Javed Afridi ne Babar Azam k liye is cetury aik gift tyar kia hai jo k hai aik adar garin with the name of MG. Ye jo Javed Afridi hai e Haier k sath sath MG Mototrs ka bhi malik hai isliye is ne Babar Azam ko apni car gift ki hai.
G Bhai PSL ka ya match boht interesting tha Peshawar zalmi jasy match jeeta ha wo waqia na qabil yazkn lamhyat hai agr back to back wickets na ghirti to Peshawar zalmi kabi match jeet na skata tha jab kah Babar azam sy is match ma top class batting ki the or century score bi kiya tha but ik bat ki khushi ha humry captan ki team jheet ge or lagtat jheet rahi ha baqii apny ajj ka match dakha multan Sultans ny ajj phr 200 plus total on board pr set kar diya tha or Lahore Qalandars jo kh sab ki favorite the wo apny 6 match lagtar har ge hai jo kh mayoos khabr hai mojy to is dfa trophy multan sultan ki lagti nazr ay rahi hai

Abhi jo PSL ho raha hai is k har aik match mai sponsors hotein hain as usual aur ye jo sponsers hain ye Gaza mai pasai bhi donate krtein hain jaissa k a aik is idhr hai Brighto Paint, ye aik Pakistan ki mashoor paint wali companies mai se aik hai aur is ka Pakistan ki 2018 wali jersey kl under top wala sponsor laga hua tha.

Kahir back to the topic krtein hain toh every 50 pr jo Psl mai hoty hai us pr ye Brighto Paint Gaza k under 50,000 rupees donate kr wata hai. ab har match k under 50 at least 2 dafa toh hopti hai toh ap ye smj lein k din ka 100,000 rupee Brighto Paint se Gaza k under donate horhein hain. Ye aik bohat achi baat hai because sath sath apna kaama bhi hota rhe ga aur whan pr Donation bhi hoti rhe gi. Aur ye sirf aaur sirf puri team ki 50 ka hai aisa ni hai k ab kisi bande ne apni 50 banai hai toh ye donate ni hoga but agar wohi 50 puri team ne banai ho toh wo donation mai jaye goi.
full member
Activity: 462
Merit: 227
February 28, 2024, 08:31:54 AM
Telegram to Share 50% of Ad's Revenue with Channel Owners, Founder Says

Assalam-o-Alaikum do my dear/beloved Community!

Umeed krta hoon ap sab log theek thak feet faat hongy. Acha ya bohat achi news hai in two way jis ka positive impact hoga do cheezo par Ton Blockchain par jo k Telegram ki apni Blockchain hai I think. Es ki waja sy Network ny 18% up boost kiya hai. or jab hum dossri taraf dakhain Jitny b telegram par channels hain jo logo ny banye howay hain for some purposes like news sharing, or any services sharing jo jitni b ads unky channel mai telegram ki taraf sy jitni b ati hain Telegram unko 50% revenue share kry ga.

Tab Log Ton blockchain ka use kr k withdrawal ly skty hain. ABi agar hum dakhain Telegram har month 1 Trillion traffic generate kr rha hai or only 10% of the ad revenue is monetized. Ton ny Kafi price gain ki hai ab $2.6 par trade ho raha hai jab sy ya news viral howie hai. Ab ya b ak earning platform ban jayee ga.

acha i think March sy ya implementations start ho jayee gi. Ap logo ko kiya lagta hai k yaa step faida dy ga logo go. In my honest opinion kafi acha initial ya Telegram ki taraf sy.

sr. member
Activity: 462
Merit: 328
February 28, 2024, 07:36:31 AM
Good news  New High of Bitcoin and  Competing Against Fiat Currencies and Expectations Post-Halving
Assalamualaikum sabi bahiyon ko ,
Umeed karta hun ap sab khariyat Sy Hun gy ,

Is rally NY sab ko exciting di hai 51k Sy 59k ab wo waqat dornhi jab Bitcoin apni previous resistance ko abor kar dy ga , meny ye kabi nhi analysis keya tha k Bitcoin halving Sy phely he apni previous resistance ko abor kar ly ga to bahiyon Bitcoin k baray me Jo b analysis ke gi thi k Bitcoin 100k tak jy ga aur ab Bitcoin ke rally dekh k Laga raha hai k Bitcoin 100 k Sy b oper jy ga .

 Bitcoin nayi is  do saala aala ko chhua jo k sirf ek mizr-e $68789 ke apne zaati aala ke 13% door hai,  Is ne kayi fiat currencies ke khilaaf naye tamam waqt ke aalaiyat qaim kiye bhi jo teen currencies ki qeemat kam hone ki alamat hain baawati intehai moassar hone ki wajah se. Tajziya kar Bitcoin ke musbat raftaar ko 57000 ka ahem mazaq karne aur qeemat ki talash mode mein dakhil hone par mansoob karte hain. Jabke halving waqay ke sirf 49 din door hone ke saath tareekhi data aur mazeed barhne ki ahmiyat ki mashwara deta hai, jabke Bitcoin aam tor par halving ke baad kam az kam 270% ki izafi taraqqi ka muzahira karta hai. Insti tushnal khiladi haal hi market ko chala rahe hain, jis ki taqatwar insti tushnal mutalbaati mein madakhilat se wazeh hoti hai, jabke mehdood supply ke darmiyan din bhar ki badi rasoomati baraimaat ki bina par Bitcoin ETFs ko insti tushnal mutalbaati ki mazboot dawa ki alamat hai jo halving ke baad Bitcoin ki qeemat ko mazeed pesh qadmi karne ki tawaqo karta hai. details
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
February 28, 2024, 05:56:54 AM

Abhi to viral hona shuru huwa hai. I think ky or bhi quests aen gy. Lekn ye Linea ky liye bhi nuqsan ho sakta hai agar mazeed quests aaen gy to. Ye LXP jitny barhaty jaen gy reward utna hi kam hota jaye ga. Baqi mujy lagta hai ho sakta hai ky ye quests aakhri hi hon. Or ab inhon ny apna token launch karna hai. Or agar dekha jaye to yehi season hai airdrops ka. Kiu ky market is waqt bohat zyada acha move dy rahi hai. Or inhi dino my launch hona chahye.

Kher 1LXP=1Linea Token ho to phr to bohat acha hoga. Or sath my agar value achi nikal aati hai to ye or bhi good ho jaye ga.

Brothers, agr 1LXP=1LINEA toh acha airdrop ho ga mgr abi es sawal ka bi jawab talash keren k LINEA ki total supply kitni ho gi or initially kitny tokens market mein circulation mein aain ga. Mere khayal mein Linea ki supply bi Starknet ki trh 10 Billion ho gi mgr initially shayed 1 Billion tokens hee market mein lai jain gay or listing price 2-3 dollar toh kum se kum gi, Insha Allah.

Conclusion: Agr ap 2000 LXP hold ker rehen han to umeed ha k apko $5000 tak ka benefit ho ga. Insha Allah.
sr. member
Activity: 322
Merit: 260
Catalog Websites
February 28, 2024, 04:11:34 AM
Linea Layer3 Next Week Now Open

Asslamoalikom!

Discussion Dekh Raha tha to Dekha ky Linea ky Barry my kafi bat go rahi thi. To ussinky Barry my ap ko btana tha ky new quest open ho chuka he. Linea Park Layer3 quest ky new tasks a chunky hen. First wala my Kar Raha Hun us my to Alien swap sy ap ko ek NFT mint Karni he or ap ko 25 Lxp mil Jaen gy. Next abhi my ny karny hen. To abhi sort update deni thinly new quest open ho Gaya he to ap log jaldi sy us ky tasks pury Kar len.
Or rahi bat is project ky Barry my to sab ko lazmi join Karna chahye. Is ki ek bat achi ye lagi ky ye pehly hi XP dy rahy hen. Yani Kuch had tak inhon ny surprise ko open Kar Diya he. Ab at the end Kaya Hoga is Barry my Kuch Kaha nai jaa Sakta hen.



Ye Raha official link.
https://layer3.xyz/linea-park

sr. member
Activity: 434
Merit: 360
February 28, 2024, 03:57:08 AM
Crypto Surge Stablecoins Hit $140B Market Cap in Bullish Rally

Assalam alikum to all community, Cryptocurrency ke liye ye maah bohot ahem raha, jab Bitcoin aur Ethereum ne khaas maqamat hasil kiye jo ke crypto winter ke baad pehli bar nazar aaye. Is taraqqi ne crypto industry ke overall market cap mein izafah paida kiya. Interesting ki baat hai ke stablecoins bhi is bullish trend mein shamil ho gaye hai aur unka market capitalization December 2022 ke baad pehli bar $140 billion tak pohanch gaya hai. Ye izafah crypto assets mein dobara bharosa hasil hone aur industry ke ahem tajawezat ki taraf ishara karta hai.


Baqi Stablecoins jese ke Tether USDT aur Circle’s USDC, ne market ke dobara ubhar mein ahem kirdar ada kiya hai. Tether jis waqt market cap mein sirf aik maah mein $2 billion izafah hua aur sal bhar mein $28 billion se ziada ab market ke teesre number par hai. Isi tarh USDC ne Binance par dobara listing hone aur international market mein izafah hone ke baad impressive tor par izafah dikhaya hai, ek saal ke darmane ke baad.



Jab Bitcoin ka qeemat $57,000 par pohanchi to total crypto market cap ne $2 trillion ko chhua jo ke April 2022 mein pichli dafa hua tha. Altcoin market jo Bitcoin ke ilawa tamam cryptocurrencies ko shamil karta hai ne pichle 30 dino mein 29.35% izafah kiya hai jiski market capitalization $255 billion hai. Ye izafah ye dikhata hai ke cryptocurrencies mein am chunauti mein izafah ho raha hai, jo January mein shuru hui ETFs ki bheer aur dosre factors ki wajah se details

Jump to: