Pakistan ko b kuch cheezain improve karnay ke zaroorat hai. Shaheen ko chachu Iftikhar ko use karna chaieya tha. Azam spin ko sahi khelta hai apparently to usay Iftikhar say upper aana chaieya tha, but ab kia ho sakta hai, hopefully, next match main kuch acha kar lain, ye na ho k whitewash ho jain wahan per. Plus, hamain mazeed experiment ni karna chaieya apni team k sath aur unheen ko chance dena chieya jin ko hum nay next world cup khilana hai.
Azam khan is not an international material. Na us say keeping sahi hotee hai aur na e khail sak raha hai pressure main.
Pakistan cricket me bhot peshy ata ja raha hai Meray khayal Sy pori team he badalny ke zarorat hai jese k apny kaha Shaheen Afridi aur Iftikhar Ahmed ko istemal karne ke sala karna ek behtareen approach ho sakta hai. Babar Azam ki captaincy mein aur batting performance mein improvement hona chahiye g hn Babar Azam Khan ke case mein pressure handling aur performance ki zarurat hai. Umeed hai ke team next match mein behtar karay aur future main world cup ke liye sahi players ko tay kare.
[ hero ha. Us ka batting kuch ajeeb sa ha. Sixes ua k bahut powerful hothe ha. Babar azam bechara khelta acha ha leken jab scores ziada need ho thab usko aakhir thak Maxwell ke tarah use nahe aatha aut ghalat short khel kar wicket kho detha ha. Team kaafi ache ha bas serf performance need ha.
G fakhar asha batsman hain inho NY Hal he match me Kafi ashi prefromance ke thi aur match ko win kar Leye tha par Pakistan PATA nhi asa kuin karty hainhero ko peshy aur zero ko agie rakhty hain .
Babar Azam Pakistan k wo wahid khalari ban chukein hain jis ne T20 mai 3500 runs banaye hain, in se phela Pakistan ka bare se bara batsmen ye runs complete na kr paya na Sarfraz na Shahid Afridi aur na hi Javed Mhiaddad.
Babar Azam iss waqt thesra number per hain jis k T20 mai sab se zada runs hain aur number 1 per Virat Kohli hai jis ne 4000 runs banaye hain aur Babar Azam ko ab bas 400 aur kuch hi runs aur chaiyein number 1 hone k liye, Virat Kohli ka debut 2008 ya 6 mai hua tha phr Babar Azam ka debut 7 saal bad 2015 mai Zimbabwe k ander hua jis m us na century mukamal ki.
Abhi Pakistan ki New Zealand se series ho rhien jis mai Babar Azam bohat acha khel raha hai aur agar yeh aisa hi khela toh boht jald number 1 pr a jaye ga, Pakistan k is saal kam az kam 29 International T20Is hain bas ab iss sab mai Babar Azam kamal krde.