Author

Topic: Pakistan - page 495. (Read 6630766 times)

full member
Activity: 434
Merit: 215
Addicted to HoDLing!
June 07, 2023, 07:17:54 AM
Pakistan ke higher education sector ke liye achi khabar hai! 2023 ke QS Asia University Rankings ne 50 Pakistani universities ko unki behtari ke liye recognize kiya hai. Ye rankings Asia ke behtareen universities ko pehchanne ke liye taiyar ki jati hai.
University education zrori han but skill ki Value boht zadya han skill seelhny k lay ap DigiSkills Virtual University se attached aik semi-government idara hai jiska maqsad Pakistan mein IT aur skills ko farogh dena hai. Yahan se lakhon log skills seekh kar online field mein behtareen kaam kar rahe hain. Digital Skills ke naye batch ki registration ka aghaz hochuka hai. Yahan aapko har qisam ka course muft milega, woh bhi professional trainers ki zairy nigraani Ek hi waqt mein aap do courses kar sakte hain.
Sample unki website Digiskills par jakar account bana lein aur apply karein. Maze ki baat yeh hai ke course aap online bhi kar sakte hain aur agar aap ke paas computer ya internet nahi hai to apne hi ilaqe mein unke physical center mein jakar bhi kar sakte hain. Pratical parhane mein jagah ka intehai ahem kirdar hota hai to is ke liye sirf mehdood seats hoti hain.
Baki Kuch skill seekh lein Mulk ke liye na sahi apne liye aur apni family ke liye kuch kar jayein. Kyunki is mulk mein rehte hue apne liye rozgar ke wasail aapko khud paida karne hain.
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
June 07, 2023, 06:29:57 AM
Expanded Definition of Harassment , Rule SC
Pakistan ke Supreme Court ne ek ahem faisla sunaya hai jismein kaam ke maqam par jinsi harassments ke definition ko wasee kar diya gaya hai. Is faisle mein saaf bayan kiya gaya hai ke jinsi harassments sirf jismani milap se hi nahi hoti balki ismein gender par mushtamil tanaza bhi shaamil hai. Adalat ne is baat ka zor diya ke harassments ke qawaneen gender ki tashbeehat se bachne aur ek aisi kaam jagah banane ke liye hai jahan par kisi bhi tashbeeh ke baghair kaam kiya jaye. Faisle mein zor diya gaya hai ke jinsi harassments insaan ke insaniyat ke huqooq ka inkaar hai, jo kaam ki mahaul mein ek unfriendly aur unequal quwaton ka saboot hai. Supreme Court ne pehle ke faislon ko rad kar diya hai aur jinsi harassments ke scope ko gender par mushtamil tashbeehat tak wasee kar diya hai. Adalat ne tasleem kiya hai ke mardon par bhi kaam ki tashbeeh ho sakti hai aur harassments ke tajziye mein victim ki raay aur ek reasonable aurat ki standard ko ahmiyat di gayi hai. Yeh faisla mard aur aurat dono shikayat karne wale logon ke liye insaaf ki ek ahem seerat hai aur kaam ki tashbeehat ko hal karne ke liye qanoon ki iradaat ko pura karne mein madad karta hai.
source

Thanks alot compromise brother for your kind words, and no doubt that this is the most beautiful feeling in the world Baki khuda apko bi taraqi ata frmy or buri nazr sy bachy ap bi kafi mehnt krty ho
Thank so much brother ,
Ye sab mery Allah ke Karam nawazi hai or AP sab ke duwa or Sath hai Allah ham sab ko apny hifzo aman me rakhy

Bahi he was a merit source or he is a merit source. legendary sahab  tu kafi sare merits dayte ha yahan pe. Log khayraat karte ha aurr logo see duwa layte ha per muje lagta ha legendary sahab ko khayrat karne ki zarorrt nahe q kee merit share karne ke bad hum waise be unhe duwa daite hain hahahah.

Hahaha juniad bahi sai kaha apny k un ko koi khayrat ke zarorat nhi hahahah
(Legendary Sahab )nhi nhi bahi celebrate bolo ye Pakistan community ke celebrate hain meny kabi b kis book ko os k cover Sy judge nhi keye hamri itni bat b nhi hoi shahzad sir Sy or na kabi dekh phir b  is community me Jo role play karrahien hai is Sy judge keya jasakta hai wo Sach me bhot cool hain or  celebrate hain
jr. member
Activity: 30
Merit: 6
June 07, 2023, 03:55:39 AM
Pakistan ke higher education sector ke liye achi khabar hai! 2023 ke QS Asia University Rankings ne 50 Pakistani universities ko unki behtari ke liye recognize kiya hai. Ye rankings Asia ke behtareen universities ko pehchanne ke liye taiyar ki jati hai.
National University of Sciences And Technology (NUST) Pakistan ki sabse uchaai rank wali university hai. NUST ke bad Quaid-e-Azam University (QAU) aur Lahore University of Management Sciences (LUMS) hain. Sirf NUST aur QAU hi Asia ke top 100 universities mein jagah hasil karne mein kaamyaab rahe hain.
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
June 07, 2023, 01:20:03 AM
But asal mein hum kush kr tu sakteiy ni but dekh saktay hein k market players kia game khel rahay hien. Bagi apna extra funds binance mein na hi rakein tu bethar hy.
Exactly they are playing with the market or khel bhi sakty hen biii they have ability. Ab dekhen kal 25400 tak gaya aaj again 27000 sy above trade kar raha hai. Or ye bat bhi ap ki theak hai ky extra funds binance my rakhy hi naa jaen to hi bhtar ho ga. Kiu ky abhi kuch bhi ho sakta hai. They can play more. Or iss my phasty choty traders hi hen or jo zyada panic hoty hen hold rakhny ki himmat nai hoti wohi uqsan uthaty hen.
sr. member
Activity: 728
Merit: 300
Love Bitcoin🖤
June 06, 2023, 01:18:51 PM
he was a merit source.
Bahi he was a merit source or he is a merit source. legendary sahab  tu kafi sare merits dayte ha yahan pe. Log khayraat karte ha aurr logo see duwa layte ha per muje lagta ha legendary sahab ko khayrat karne ki zarorrt nahe q kee merit share karne ke bad hum waise be unhe duwa daite hain hahahah.

. han merit distribution thori slow zarori hoi aur waja hia jiss ne yahan se merit liye at the end koi panga kar k ban he hu
Je je legendary sahab ap ki bat tek ha per 5 finger same naahe hote ma ye nahe keh raha ke aap ki bat ghalt ha ya kuch aur bs ma ye keh raha hun ke aap baqi choto ko apni shafkat se mehroom mat karyega Grin
hum tu Allah ke bad aap logo ke sahare per yahan per khud ko stronge karne ki koshish ma lage huwe hain.

Thanks a lot brother for your kind words and insha Allah khuda apko bi full member bnay or ap bi naik kaam krny ki tofeeq ata frmy. As ap bi kafi mehnt krty ho
welcome bro , Allah apki duwa jaldarzjald qaboool kare agr aysa huwa tu bs samjo ke legendary sahab ne jes gathering ki bat ki ti pir wahan per ma aap sub ke leye ek acha sa koi song sunaunga like mere dosto mere supportors waghira waghira hahahh


haram billion dollars kamaye hain
hahahh bahi ye haram dollars kasie hote hain zara es se tu parda uta ke samja do zara .

Quote
SEC Coinbase ko aarop lagati hai ke yeh investors ko ahem hifazat.
Bahi ye kon si language hai aarop lagana acha acha yad aya ye tu hindi language ka lafz hai es ki jagah urdu ma hum ilzam use karte hain.
Agr aap india se belong karte hu tu pir teek ha nahe tu agr ap pakistan se ho tu pir bahi wo cheez chor do jes ke through ye word yahn ap ke text me add huwa ha.


hero member
Activity: 2464
Merit: 877
June 06, 2023, 09:29:35 AM
Hello Everyone,
Snip
Ye sab bull run khatam karny ky harby hen. Many are playing with crypto now. Yani whales kaa or kaam kaya hota hai. Ab jab ap ko pura yaqeen ho jaye gaa ky Bitcoin ab nichy hi jaye ga wahan sy Bitcoin dubara up move kary ga. Or mujy abhi bhi nai lagta ky bull run khatam hui hai. Ye sab harby hi hen. Bitcoin abhi or nichy jaa sakta hai. Kher ye crypto Market hai iss ko accurate predict karna qadry mushkil hai. Kher dekhty hen kaya bnta hai.

Ji bhai aik k aik buri news aa rai hy SEC ki taraf c, phelay binance aur ap coinbase. But jaisa k app ny kaha kyeh sab kuch weak hand ko flush out kernay k liey ho raha hy. Abhi CZ tweet kr day k hum safe hien aur SEC ko jawab daay dein gay, market phir c thiek ho jiey. Aur app ny dekha k itni buri news kay bawojood bitcoin ny apna higher high 25200$ break ni honay dia, jo ais baat ka saboot hy k bitcoin structure bullish still valid hy.

mai tho personally Binance ko hee support karonga aur sec ka sakht mukhtalif hoo

Bilkul sai baat hy, hum sab ko binance  hi sath dena chayee kion k SEC ka magsaad logoon ko crypto c door kerna hy. But asal mein hum kush kr tu sakteiy ni but dekh saktay hein k market players kia game khel rahay hien. Bagi apna extra funds binance mein na hi rakein tu bethar hy.
sr. member
Activity: 630
Merit: 404
June 06, 2023, 08:38:02 AM
SEC Says Coinbase Made Billions of Dollars Unlawfully

Securities and Exchange Commission (SEC) ne cryptocurrency exchange Coinbase par aik lawsuit file kiya hai sirf kuch dinon ke baad jab unho ne Binance par bhi aik aisa lawsuit darj karwaya tha. SEC daawa karti hai ke Coinbase ne kabhi SEC ke saath broker ke taur par register nahin kiya aur securities market ke liye disclosure regulations se bache rehte hain. Commission ke mutabiq Coinbase ne crypto asset securities ki khareed o farokht kar ke haram billion dollars kamaye hain. SEC ke muqable mein Coinbase exchange broker aur clearing agency ke conventional functions ko combine karti hai lekin isne kisi bhi function ko SEC ke saath register nahin kiya, jo qanoon ke mutabiq zaroori hai. SEC Coinbase ko aarop lagati hai ke yeh investors ko ahem hifazat ke faide se mehroom kar rahi hai aur apne staking as a service program ke zariye ghair qanooni securities offering mein mubtala hai. SEC ki yeh consecutive karwaiyan wazeh taur par dikha rahi hain ke SEC cryptocurrency industry ke mashhoor players ke khilaf ek ek kar ke action le rahi hai.

https://watcher.guru/news/sec-says-coinbase-made-billions-of-dollars-unlawfully
hero member
Activity: 2506
Merit: 645
Eloncoin.org - Mars, here we come!
June 06, 2023, 05:50:11 AM
Hello Everyone,

US Securities and Exchange Commission (SEC) ne Binance Holdings Ltd. aur uske CEO Changpeng Zhao ko mulzim qarar diya hai ke woh government asoolon ko tor rahi thi or karobar karne walon aur regulaqars ko gumrah karna aur securities qawaneen torne ka ilzam hai.

Ye Sec crypto k leye bahot bari rukawat hai aur kitni martaba eski waja se market crash huwee hai. XRP bee tho enhee kee waja se aj thak kamyab na hi saka aur abe thak muqabla karr raha. ab ye Binance k peeche par gia aur ws se pehle Coinbase par b kuch pabandi lagae thee. Sec aisi hai jaise k Pakistan mai idaare jo k har kisi ko apne neeche dikhna chahte hai aur thora sa un k marzi k khelaf kaam ho tho seedha jurmana

Quote

Agar ap sb crypto ko support karte Hain to humein Binance ke support Karne chahiye na KY SEC ke
Agar ham chahte hai k ye system governments aur aalmi idaari se mehfooz rahe tho per Binance k elawa aur koi chara kar nahe. mai tho personally Binance ko hee support karonga aur sec ka sakht mukhtalif hoo
full member
Activity: 434
Merit: 215
Addicted to HoDLing!
June 06, 2023, 12:41:40 AM
Lahore Pakistan m Most air populated cities ki list mai sab se aage hai jahan hawa ki taazi dar 97.4 hai. Hotan China 94.3 par hai. aur Bhiwadi aur Delhi dono mai hawa ki taazi dar 92.7 aur 92.6 hai. Ye cities logon ki aamad o raft mai zyada hone ki wajah se hawa abad hai. Is air populated ki.waaja se sehat aur maahol par bura asar ho rha han. In Cities mai hawa ki bahter aur saaf hawa ko banaye rakhne ke liye tawajjo zaruri hai.

https://twitter.com/stats_feed/status/1665927677788798977?t=8aEgQhlG3hUZ22VIl81YxQ&s=19
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
June 05, 2023, 11:46:38 PM
Hello Everyone,
Snip
Ye sab bull run khatam karny ky harby hen. Many are playing with crypto now. Yani whales kaa or kaam kaya hota hai. Ab jab ap ko pura yaqeen ho jaye gaa ky Bitcoin ab nichy hi jaye ga wahan sy Bitcoin dubara up move kary ga. Or mujy abhi bhi nai lagta ky bull run khatam hui hai. Ye sab harby hi hen. Bitcoin abhi or nichy jaa sakta hai. Kher ye crypto Market hai iss ko accurate predict karna qadry mushkil hai. Kher dekhty hen kaya bnta hai.
sr. member
Activity: 630
Merit: 404
June 05, 2023, 04:42:06 PM
Hello Everyone,

US Securities and Exchange Commission (SEC) ne Binance Holdings Ltd. aur uske CEO Changpeng Zhao ko mulzim qarar diya hai ke woh government asoolon ko tor rahi thi or karobar karne walon aur regulaqars ko gumrah karna aur securities qawaneen torne ka ilzam hai. SEC ne 136 page ke notice mein ye ilzam lagaya hai ke Binance ne amreeki mushtarkon ko khate khulne aur trading karne ke liye sahi know your customer qawaneen ko ignore kar diya. Ishtehaar mein SEC ne darkhaast ki hai ke Binance ki assets ko jamah karke receiver tayen kiya jaye. Binance ne is ilzam ke jawab mein kaha hai ke ye complaint dilchasp nahi hai aur woh apne platform ki qawi tareeqe se hifazat karne ka irada rakhte hain. SEC ne ye bhi ilzam lagaya hai ke Binance ne apne affiliated tokens ke zariye securities bechne ki sahi permission nahi li. Iske alawa Binance ko US ki regulations se bachne aur wash trading karne ka bhi ilzam hai. SEC ki karwaiyaan is baat ki dalil hain ke woh crypto space ke bare mein bade khiladiyon ko zimmedar thehrana chahte hain.
https://news.bloomberglaw.com/privacy-and-data-security/sec-sues-binance-and-ceo-zhao-for-breaking-us-securities-rules

Agar ap sb crypto ko support karte Hain to humein Binance ke support Karne chahiye na KY SEC ke
hero member
Activity: 1428
Merit: 513
Payment Gateway Allows Recurring Payments
June 05, 2023, 01:25:08 PM
Gladitorcomeback--> apky alfaz padhy dil ko bohat skoon howa mery pass alfaz nhi hain apko shukriya khny kha, Baki yeh sb to ap logo ki dua hai ky mai aj is muqam tk pohanch ska hoon, as at start, mujhy to yeh bi ilm nhi tha ky merit free of cost milty hain (haha) first time jb mila to grow krny ka bi dil kiya. And again ap ki encouragement ka bohat bohat shukriya khuda apko bi hr bala or musibat sy mehfooz rkhy or naik or narina olad ata frmy.

WatChe--> Apky alfaz or appreciation ka bi bohat bohat shukriya dea Watche and no doubt Unkown Op ki speed masha Allah kafi hai, as i was not even active in community and inhy phr bi pta chl gya, khair yeh sb ap logo ki muhabto ka natija hai and thanks again for appreciation.

ThemePen--> Bohat bohat shukriya Themepen brother, apki appreciation ka, khuda apko bi mazeed tariqa ata frmy. Baki jasy ap phly kh rhy thy ky senior lafz ab ik gali lgta hain so i am on that list too (haha). baki thanks again for encouragement, i will insha Allah try to contribute to this platform and to this community.

UmerIdrees--> Thanks a lot Umeridrees brother, beshak kamyabi a deny wali us Allah ki zat hai, baki hm to sirf apna kaam kr skty hain us my bi hm sust hain (mtlb mai) lekin phr bi Allah badha Mehrban hai hm pr. Khuda apko bi jald az jald rank up krway or apki duain pori frmain, Thanks for your encouragement and appreciation of my work, baki mai ny koi itna contribute nhi kiya is community ky liya so, again ap ki mohabto ka shukriya.

Hamza2424--> Thanks dear Hamza bro, yeh sb apki duao sy hi mumkin ho ska hai ky mai aj senior member bn ska hoon, apki encouragement and motivation ny hi mujhy mehnt krny pr majboor kiya baki khuda apko hr bala sy bachy or apko bi mazeed trqiya ata frmy as recently ap ny 700 merits ka target complete kiya hai now you are to become next legendary member of this community phr to ap bi crypto ky pawa bn jao gy, (haha).

MFahad--> Thanks alot broo, insha Allah insan to bs mehnt kr skta izzat deny wali zat to sirf Allah ki haim baki is community ko Allah mazeed izat dy or next is trha ki situations sy bachy. baki apki appreciation ka bohat bohat shukriya or khuda apkio bi jald az jalz 700 merits pory krway or legendary member bnway. as i think hamza ky badd ap hi ho gy. Nhi sorry hony to imeridress bhai chahiya. baki izzat and taraqi deny wali zaat Allah ki hai so, all we can do is put our work effort and time.

JunaidAzizi--> Thanks a lot brother for your kind words and insha Allah khuda apko bi full member bnay or ap bi naik kaam krny ki tofeeq ata frmy. As ap bi kafi mehnt krty ho.

ZAINmalik75 --> Dear zain brother, apky alfaz mery sir ankhon pr and thanks alot for your motivation, and i just came to know that, ky ap DT member bn chuky hain and for that, mai bohat kush hoo khuda isi trha apko taraqi ata frmata rhy or new achievement unlock krwata rhy. And thanks again for your kind words.

Compromise me--> Thanks alot compromise brother for your kind words, and no doubt that this is the most beautiful feeling in the world (well their are other too but this one also on the list haha). Baki khuda apko bi taraqi ata frmy or buri nazr sy bachy ap bi kafi mehnt krty ho.

Note* Sorry sb ko itna late reply deny ky liya, actually university ki trf thodha busy ho, finals wagera bi ho rhy hain to socuha thoda padh liya jay wesy ap ky bhai ki highest cgpa hai lekin teachers mujhy khty hain ky wo matter nhi krti 1 teacher ko to mujh pr yaqeen bi nhi hai ky meri highest cgpa hai(haha). khair, sorry again ky kafi late reply dy rha hoo drasl is baar tayari thodhi km thi but still making my efforts, and ap sb sy dua ka talbgar hoon. Insha Allah kuch dino tk free ho jao ga and koshish kro ga mazeed active rhny ki as is baar and last time i was not in top 10 poster so, insha Allah koshish pori rhy gi. And thanks again to all for your wishes and motivation khuda ap sb ko mazeed taraqi ata frmy or mujhy bi.
hero member
Activity: 2464
Merit: 877
June 05, 2023, 12:47:26 PM
Wese active nah hone ki waja tu koi khas nahi bus personal and office works...




Baqi Umeridrees sir k qarza muj par ha, wo reply inshaAllah jald karoga.

Gladitorcomeback sb, app ny hi bataya tha k qarza jab wapis kertay hien tu thora barda k wapsi kia jana chayee.
So umeed hay app ais p amal kerian gay  Wink
hero member
Activity: 812
Merit: 619
June 05, 2023, 09:15:38 AM
2 ache signature compaign active hai ICO PRESS k jo k dono mixer hai aur maybe long term chale jae so jis ko apply Karna ho tho apply kar de jaldi se.

[OPEN] [banned mixer] - CoinJoin Mixer | Sig Campaign | Up to 0.0036 BTC/W

https://bitcointalksearch.org/topic/moved-atalk-unijoin-coinjoin-mixer-sig-campaign-up-to-120w-5447426

[OPEN] [banned mixer] Bitcoin Mixer | Sig Campaign | Up to 0.0036 BTC/W

https://bitcointalksearch.org/topic/end-banned-mixer-premium-mixing-sig-campaign-up-to-210w-5446619

Baqi Umeridrees sir k qarza muj par ha, wo reply inshaAllah jald karoga.
copper member
Activity: 1526
Merit: 2890
June 05, 2023, 08:50:10 AM
Shahzad bhai to kafi tima sa yahan nazar nhi aya. Wo atya hn to pta chalta hy ky koe aya hy. Sub ka merit counts update kr jatya hn wo. Shahzad bhai mera khayal ma merit source nhi hn, wo bhe merits jo receive krta hn use ke bunyad py agya distribute krta hn.

Shahzad bhai merit source hein. Exactly abi ka pata ni kion k ab woh kaam hi active hotay hien ais forum p lekin he was a merit source.

Wese active nah hone ki waja tu koi khas nahi bus personal and office works... han merit distribution thori slow zarori hoi aur waja hia jiss ne yahan se merit liye at the end koi panga kar k ban he hua... yahan tak most banned users ko merit dene walon main aaj bhi naam top pe hai Cheesy

so you can understand Smiley
hero member
Activity: 2464
Merit: 877
June 05, 2023, 08:41:55 AM
Shahzad bhai to kafi tima sa yahan nazar nhi aya. Wo atya hn to pta chalta hy ky koe aya hy. Sub ka merit counts update kr jatya hn wo. Shahzad bhai mera khayal ma merit source nhi hn, wo bhe merits jo receive krta hn use ke bunyad py agya distribute krta hn.

Shahzad bhai merit source hein. Exactly abi ka pata ni kion k ab woh kaam hi active hotay hien ais forum p lekin he was a merit source.

Karobar to "do dhari" talvar hoti hy. Is ma profit aur loss dono hota hn. Start ma Funcoin karobar kafi acha gya tha kyunka Polygon boht acha ja rha tha. Pr ab Polygon ka down hona sa hmara portfolio kafi down ho gya hn. Funcoin karobar ko start krna ka main purpose ya tha ky koe activity lagi rhya yahn aur wo purpose kafi had tk achieve ho rha hy.

Yeh up down tu chalta retha hy altcoin aur bitcoin mein, Agar app log next bull run tak wait ker lein aur aus c pehlay sell na kerian tu aik acha profit ho satka hy. I think Shahzad bhai nay kaha tha k ais saal k end p sell kerain gay aur app log jo bhi profit lass hog share ker lein gay, meri recommendation hy k app December 2023 ki bajiaye, december 2024 ko target kerian.
full member
Activity: 434
Merit: 215
Addicted to HoDLing!
June 05, 2023, 08:10:38 AM
BAKRA EID QURBANI

Aj kal media wale mulhid aur nai soch rakhne wale ye asar phelane ki koshish kar rahe hai k Bari Eid mai qurbani ki jaga ye behter hai k kisi ghareeb ko uska paisa dia jae. Is k baari mai kuch short films be ban chukee hai. agar koi aam admi esko dekh le tho bahot jald marghoob ho jae ga aur zahiran ausa lagega k ye jo keh raha hai bas yahi asal deen hai aur qurbani ka maqsad tho yahi hai. Tho es leye mai chahta hoo k kuch maloomat yaha par share karo tha en nai soch walo ka jawab dia jae.

Sab se pehle ye bath hame maloom honi chaiye k ham jo ebadat karte hai wo kisi hekmat ki waja se nahe karte balke es kiye karte hai k ye Allah ka hukam hai aur Hamare Rab ko haq hai k wi jis tarah hukam de apne bando ko aur bando ko us k maane k liye apni aqal k mutabiq daleel nahe mangni. Nemaz es liye parte k ye Allah ka hukam hai, es liye nahe k ye best exercise hai. roza,zakat,haj ,mamlat aur nez har deeni kam Allah k Hukam ki waja de karte hai. hamara deen ain fitrat k mutabiq hai magar zarori nahe k har bath hamare smaj mai ae. kuch hikmate poshida hothi hai.
Apne sahi kaha bhai waqia he aajkal media mulhid aur nai soch rakhne walon ko promote kar rahi hai lekin hume hamesha yaad rakhna chahiye ke hum apni ebadat Allah ke hukam se karte hain. Qurbani ka maqsad Allah ke hukam ko pura karna hai aur isse ham apne Rab ki raza hasil karne ki koshish karte hain and sunnat Ibrahim ko taza krny ki Hamare deen mein hai ke hum Allah ke hukam ke mutabiq chalein aur apne aqal se daleel mangne ki zarurat nahi hai. Namaz, roza, zakat or baki dusre deeni kam hum Allah ke hukam ke mutabiq karte hai. Qurbani ka maqsad Ibrahimi sunnat ko ada karna hai aur isse hume bahot sawab milta hai. Ghareebon ki madad karne ke liye bhi hum aur tarikay hain. Lekin qurbani Allah ke hukam ke mutabiq karna zaruri hai aur dusre tarike se uska maqsad pura nahi hota. Hame hamesha apne deen aur uske hukam pe amal karna chahiye qkh wo hi humare liye behter hai. Allah pak sb ko amal krmy ki toufeeq dy Ameen.
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
June 05, 2023, 05:54:53 AM



I am quoting you to show the image.
Sab sy pehli baat ye ky bhai online qarz ki sab apps fraud hen iss liye in sy bachna chahye. My issi zimar my ek tehreer parh raha tha jo whatsapp ky group my mjy mili thi ap logon sy bhi share karta hun taa ky ap sab ko bhi pata lagy ky kesy ye aam logon ko phsaty hen.


‏online loan Applications
بروقت،ادھار  وغیرہ  ایپلیکیشنز ہیں جو پاکستان میں آنلائن قرض دے رہی ہیں ٹوئیٹ مکمل پڑھیںِ اور خود بھی بچیں اور اپنے پیاروں کو بھی اس دلدل سے بچائیں اور چند ہزار کیلئے اپنی اور اپنے پیاروں کی زندگیوں کو خطرے میں مت ڈالیں ۔
پچھلے سال جب پاکستان میں تھی تو ہماری میڈ نے کسی اپلیکیشن سے آنلائن ادھار لیا جو جب اس نے اپلائی کیا تو اپروول کے بعد اسکو صرف 3 ہزار ملے۔
پہلی بار یہ آپکو کم پیسے دیتے ہیں پھر اپ ساتھ واپس کر کے دوبارہ لیتے ہیں تو قرض کی رقم بڑھتی رہتی ھے۔
دوسری بات یہ اپنے اشتہارات میں رقم واپسی کا دورانیہ 90 دن بتاتے ہیں لیکن جب اپ کے اکاؤنٹ میں پیسے (بقول انکے ٹیکس کی کٹوتی کے بعد)
آ جاتے ہیں تو رقم کی واپسی کا دورانیہ چند دن یا زیادہ سے زیادہ ہفتہ بتاتے ہیں۔
تیسری بات مارک کے بارے میں بھی اشتہارات میں جھوٹ لکھا ہوتا ہے۔
آپ جب قرض کی رقم بتائے گے دورانیہ میں واپس نہیں کرتے تو آپ کا مارکاپ(سود) بڑھتا رہتا ہے اور اگر آپ دوبارہ قرض اپلائی کرتے ہیں تب بھی یہ مارک اپ بڑھا دیتے ہیں۔
لیکن اس سب میں سب سے حطرناک چیز جو ھے جسکی عام اور کم پڑھے لکھے لوگوں کو سمجھ نہیں وہ ھے قرض اپلائی کرنے کے دوران جو اپ سے اپکے موبائل فون کے متعلق مختلف چیزوں تک رسائی مانگی جاتی ھے وہ ھے۔
خیر میں لکھ رہی تھی میری میڈ نے قرض لیا کچھ واپس کیا پھر لیا اس طرح کرتے کرتے سود کیساتھ رقم اتنی بڑھ گئی کہ واپس کرنا مشکل ہو گیا اور اس نے اپنا نمبر بند کر دیا۔
پھر ایک دن اچانک مجھے کال ائی کہ آپ فلاں کو جانتی ہیں میں نے بولا کہ جی جانتی ہوں پھر کال کرنے والے صاحب نے مجھے بتایا کے اپکی گارنٹی پر قرض دیا گیا جو واپس نہیں کر رہےہیں۔
یاد رہے اشتہارات میں بغیر گارنٹی کے لکھا ہوا ھے اور قرض آپلائی کے وقت بھی کوئی گارنٹی نہیں لی جاتی۔
یہاں قابلِ ذکر امر یہ ھے کہ وہ ڈائیریکٹ کال ہمیشہ ان نمبر پر کرتے ہیں جو نمبر اپ نے باجی بھائی ابو امی تایا چاچا ماموں وغیرہ مطلب اپکے قریبی لوگوں کے نام سے سیو کیے ہوں اپنے کنٹیکٹس میں مطلب اپکے قریبی لوگوں کو ٹارگٹ کرتے ہیں۔خیر میں نے ٹھیک ٹھاک سنائی ان صاحب کو اور دوبارہ کال ناں کرنے کی تاکید کی۔
پھر میں نے اپنی میڈ سے ساری تفصیل پوچھی اس نے بتایا کہ اس نے کسی کا نمبر نہیں دیا تھا لیکن اسکے شوہر اور بھائی کو بھی کال کی گئی یہ بات میرے ذہن میں کھٹکی پھر میں نے اس بات کی تہہ تک جانے کا فیصلہ کیا اور میڈ کا جو بھی واجبل ادا قرض تھا وہ ادا کیا اور اسکی جان چھڑائی۔
پھر میں نے قرض آپلائی کرنا سٹارٹ کیا اور جیسے جیسے پراسیس اگے بڑھتا گیا میرا دماغ شل ہوتا گیا کہ کیسے کم پڑھے لکھے اور مجبور لوگوں کو ٹارگٹ کیا جاتا ھے۔
تو سین کچھ ایسے ہوا کہ قرض آپلائی کرتے وقت اپلیکیشن نے میرے کانٹیکٹ اور فوٹو گیلری تک رسائی مانگی جو میں نے نہیں دی تو میری درخواست رد کر دی گئی میں نے تین چار بار سیم پراسیس کیا اور ہر بار میری درخواست رد کر دی گئی۔
تب مجھے ایک چیز کنفرم ہوئی کہ گیلری اور کانٹیکٹس تک رسائی ملنے تک آپکو قرض نہیں دیا جائے گا۔
اب اتے ہیں اس طرف کے عام لوگ قرض کے چکر میں یہ بھول جاتے گیلری اور کانٹیکٹس  تک رسائی دے کر وہ ناں صرف اپنی بلکہ اپنے پیاروں کی زندگیاں خطرے میں ڈال چکے ہوتے ہیں اپکی فون گیلری میں اپکی تصاویر اور ویڈیوز کے علاؤہ آپکی فیملی اور پیاروں کی تصویریں ویڈیوز وغیرہ بھی ہوتی ہیں(چند لوگوں کے موبائل میں بغیرتیاں بھی ہوتی ہیں جو اجکل لیک ہو رہی ہیں) جسکو بعد میں یہ کمپنیز کہیں بھی استعمال کر سکتی ہیں تب اپکے ہاتھ کچھ بھی نہیں ہو گا اور کال پر وہ اسی چیز کی دھمکیاں دیتے ہیں۔
اسکے بعد دوسری خطرناک چیز اپ نے کنٹیکٹس تک رسائی دی تو اپکے پاس اپنی فیملی کے علاؤہ اپکے کام نوکری دفتر اس پاس  ہر جگہ کے تمام لوگوں کے نمبر سیو ہوتے ہیں جنکو یہ کمپنیز کسی بھی جگہ استعمال کر سکتی ہیں جو کے بعد میں اپکے لیے کسی بڑے مسلے کا سبب بن سکتا ھے۔
خدارا ان فراڈیوں سے بچیں اور اپنی اور اپنے پیاروں کی زندگیاں خطرے کیں مت ڈالیں چند ہزار روپوں کیلئے آپ اپنی پرائیویسی کیسے کسی کے ہاتھ میں دے سکتے ہیں ؟

Khud bhi parhen or aagy bhi bhejen taa ky kissi or kaa bhi bhala ho jaye.

Source: Whatsapp
full member
Activity: 280
Merit: 114
👉bit.ly/3QXp3oh | 🔥 Ultimate Launc
June 05, 2023, 05:20:39 AM
BAKRA EID QURBANI

Aj kal media wale mulhid aur nai soch rakhne wale ye asar phelane ki koshish kar rahe hai k Bari Eid mai qurbani ki jaga ye behter hai k kisi ghareeb ko uska paisa dia jae. Is k baari mai kuch short films be ban chukee hai. agar koi aam admi esko dekh le tho bahot jald marghoob ho jae ga aur zahiran ausa lagega k ye jo keh raha hai bas yahi asal deen hai aur qurbani ka maqsad tho yahi hai. Tho es leye mai chahta hoo k kuch maloomat yaha par share karo tha en nai soch walo ka jawab dia jae.

Sab se pehle ye bath hame maloom honi chaiye k ham jo ebadat karte hai wo kisi hekmat ki waja se nahe karte balke es kiye karte hai k ye Allah ka hukam hai aur Hamare Rab ko haq hai k wi jis tarah hukam de apne bando ko aur bando ko us k maane k liye apni aqal k mutabiq daleel nahe mangni. Nemaz es liye parte k ye Allah ka hukam hai, es liye nahe k ye best exercise hai. roza,zakat,haj ,mamlat aur nez har deeni kam Allah k Hukam ki waja de karte hai. hamara deen ain fitrat k mutabiq hai magar zarori nahe k har bath hamare smaj mai ae. kuch hikmate poshida hothi hai.

Es ki misal yoo smjea k aik malik ghulam ko kahe k 5 kilo gosht le ao aur ghulam aage se kaha k q g ap tho 3 log hai aur 5 kilo gosht q lao, pehle logic smjao tho malik usko yahe kahega k tera kaam ha hukam manna, tere logic ma aye ya na tho Wo tho Rab ul Aalameen hai, us k hukam mai choo w chura karna bahot hee ghalt hai

Qurbani ka maqsad sunnat Ibrahimi ko pora karna hai aur es mauqa par sab se ziada sawab qurbani hee ka hai q k yahi Allah ka hukam hai. baki ghareeb ki madad Smart phone sell kar k usko paise dine se bee kii ja sakte hai aur be bahot se tariqe hai. Achi nasal ka janwar ho magar muqable k leye nahe Allah ko Razi karne k leye.
full member
Activity: 434
Merit: 215
Addicted to HoDLing!
June 04, 2023, 11:59:16 PM
Olivecash and Barwaqt App Scam

Asalamalikum to my Dear brothers Mujhe ye baat bohat afsos hota hai keh pakistan ma Aasi Scam Wali App boht Teezy say phail rahai hai jasi kh abi Olivecash aur Barwaqt jaise apps ko install karne se bacha. Ye apps aap se qarz lenay ka keh kar aap ka personal data lete hain aur phir aap ke data ka ghalat istemaal karte hain. Phar blackmailing ba karty han Loogo ko iS lay Olivecash aur Barwaqt apps par information dene se mutaliq koi information nahi deni chahiye inko playStore Pr Negative Raiting dy orYe agahi apne tamam azeezon or doston tak bhi pohanchyen.
Source: NTISB

Jump to: