Salam Everyone if I'm not wrong I didn't see any post related to IDA scam jo recently Pakistani awam ko chona laga k bhag chuki hia
agar ap ko bhi inn apps k elawa koi app ya products jo network marketing ko promote kar ka Pakistani awam ko bewakof bana rahi hian tu yahan add kar dein shaid kisi ka bhala ho jae.
Bilkul Right
Shahzad Sir asy ponzey schemes sy bach kr rahna chayee Bhot se logon ko MLM aur network jesi marketing schemo se paisa kamane ki umeed hoti hai lekin aksar aisa hota hai ke wo dhokhe mein phas jate hain aur apna paisa berbad kar dety hain. Iski wajah logon ki lalach hai aur aksar ye logon ko guide krty hain ke bina mehnat ke lakho rupees kama sakte hain. Lekin haqeeqat aksar alag hoti hai
IDA App me 1 pakistani Gujrawala se talluk rakhny wala ka 72 Crore ka loss howa kisi ka $10000 ka Kisi ka kitna
ye Chinese company thi Apko sabz baag dikha kar apke sth Scam kia jata ha ap udhaar le le kar paisy lagadety ho aur phr dosto ko bhe invite karty ho commission ka chakkr me aur in the end App band hojati ha aur dosti kharab paisa kharab sab kharab.
Ab Next Bhagny wali companies ka bata raha hu mainy ya companies
B-LOVE Filhal to theak han pr ye bhe Scam ha ye bhe aesahi karega.
Forsage EBL METAFORCE JAWAEYE UKADVERTISES Appye 5 kai 5 bhe scam karengy.dekhliega. Hidden reality yahi hai..!
Asal mein sara qusoor hi humara hota hai ke hum pichle bhool jate hain aur is tarah har saal hamare sath ye hota hai. Yaad rakhen is tarah ke platforms hamesha kisi ek shehr ya ilaqe ko target karte hain, jaise Stocksne ne Faisalabad ko luta tha, waise yeh Gujranwala ke bashiyon ko loot ke nikal gaya. Duniya mein aisa koi system hai hi nahi ke aap kuch bhi na karo aur company aapko paisa deti rahegi. Meri dili hamdardi IDA walon ke sath hai lekin upar se gussa bhi kaafi hai ke maine ap logon ko mana kiya tha lekin ap log mana nahin ho rahe the aur keh rahe the wo to bara acha paisa de raha hai ji, bilkul aisa hi hota hai start mein aise hi logon ko paisa dete rehte hain sirf lalach dene ke liye aur phir sara kuch harap karke bhag jate hain.
Baki aisi schemes aur products se door rahein Qkh aksar ye fraud hoti hain aur aapke nuqsan ka sabab ban sakti hain. Aap apne paise ko mehnat se kamane ki koshish karein aur aise schemes se bach ke rahein.