Ye taawun se force karna ap ne kis tafseer se leya ha bhai? Ye tho Quran ki tafseer se taluq rakhta ha. Tafseer k leye ya tho apko khud mufassir hona parega jo k ap nahe ha balke arbi zaban se b nawaqif aur quran ka ilm tho door ke bath. agar ap mufassir nahe tho per kisi mufassir ka tafseer dekha hoga jis ne ye tarjuma kia ho tho kindly uska hawala dejea. tawun se advertising Murad lena har maktaba fikar ne leya ha. ab ap ye na Kaho k mera point of view ha q k Quran ma apne rae se baghair ilm k tafseer karna jurm ha .
Bhai ap Ki to mujy Samaj nai aati ap Ko apny Ilam par itna ghurur Kis Cheez ka Hy or mery Ilam par ap ungli q utha rahy hen kher. Or rahi bat ye maktba fikar Ki to ye sab advertising ko Tawun kesy keh sakty hen? Tawun Bhai ye hy KY ap Kissi ko convince Karen KY Bhai ye signature join kar lo or is par gambling BHI karo. Is ko ap tawun kahen.
Point se hatne ke zarorat nahe. ap arbi k maahir ho k nahe? agr arbi k mahir ho tho Quran se tafseer kar sakte ho k nahe? so sample es se aage jane ke zarorat nahe. mje tho oboor nahe aur nahe kar sakta .
Taawun arbi lafz ha aur qurab ma use huwa ha, ap ne jo meaning leya ha kindly wo Quran ki kisi tafseer na dekha de ya kisi figha ki masle ma dekha de. Thanks
Bhai EK bat mujy btaen. EK shaks Agar Gunah ka Irada Karta hy to Kaya us ko us gunah par saza Hogi yaa us ka gunah Likha Jaye Ga? Nai bal KY gunah tab Likha Jaye Ga jab wo gunah kary Ga. Abhi Kissi shaks ny Mery link ko open nai Kiya or naa jaa kar gambling Ki.
Ap ne mere ek bath ma jawab nahe dia. hamre bath uski nahe ho rahe k aage koi gunah karta ha k nahe. ap ka ye dawat dena hee gunah ka kam ha. baqi koi aage amal kare k tho wo double gunah. Shaitan b tho sirf waswasa dalta ha kisi ko force nahe karta aur us par usko saza hoge. agar poore dunya ma koi gunah ka kam na kare tho shaitan ko uski saza melege k nahe? ap ka advertising karna he gunaha ha Bhai. dosra gambling kare ye tho sone par suhaga ha .
G ha gunah ka irada karne ae gunah melta ha magar advertising sirf irada nahe balke amalan ek agreement k sath usko numaya karna ha ap k baqol. Islam keh raha gambling se bach jai aur hamara muslaman usko numaya kar raha aur us k paise le raha
https://youtu.be/vV0Zwf_Qo8M?feature=sharedAb Yahan tak to wo ho Gaya Saaf lekn aagy jab us ny gunah Kiya to gunah us KY apny sar huwa. Ab Mera Irada BHI nai hy. Naa my chahta hun KY ESA ho. To my gunahgar kesy ho Gaya. My to gunah Karun gaa to gunah ho Ga... Ap to pehly marhly par hi fatwa Laga kar out kar rahy hen. Gambling Ki Jaye gi to gunah hoga. Ab Samaj AA jani chahy Shayad. Ab koi dekhy Mera link. Yahan wo gunahgar nai hy. PHR us ny link open Kiya. Wo BHI gunahgar nai hy. Ab wo website par Chala Gaya. PHR b wo gunah gar nai hy. Han jab wo gambling Shuru kar dy gaa tab jaa kar wo gunahgar hoga. Or sirf wo gunah gaar ho Ga. Ap ny to sab ko hi ragra lgaya huwa hy.
ap dosre shakhs ki gunahgari ke bath na kare, advertising karna, haram chez ki dawat dena kaisa ha? ap ye nahe chahte k koi link ko open kare tho yaha 2 aur kharbia ha. ek tho keekar khud he oga rahe aur iraada ye h k saib aa jae. dosra ye k ap compaign walo k sath khayant kar rahe k wo tho apko es leye pay kar rahe k ap un k leye visitors lae aur esi par ap agree b ha aur dosre taraf ap chahte k koi visitors na ae.
Are Bhai wohi bat again naa. Yahan Kon kahy Ga KY new casino Aya hy chal a gambling karty hen pehly to ap is ko smjen Bhai. Wo kahy Ga Jo already gambling Karta hy. Or Zara ye BHI samjen KY ap ik shaks KY pas Gaye or ap ny Kaha KY Aja ye dekh nai gambling site AI Hy Aja iss ko khelty hen. Yaa tum Khel lo. Ap ny gambling signature ko ye Samaj Liya KY ap aen or Mera link open Karen. Nai Bhai Kissi ko nai Kaha KY ajao Bhai free bet Hy ajao. Ab Agar ap is ko dawat keh hi rahy hen to sath my Hadees BHI yad Karen Jo ap ny bayan Ki.
Lekn USS sy pehly ye BHI Jaan Len ap ny Jo misal di wo 2 gamblers Ki bat hui jinhon ny apas my bat Ki. Or wo الحمدللہ my nai hun.
kia oot patang ja rahe, mere swal ka jawab de de, q edher udhar jaane ko koshish kar rahe. pehle swal ja jawab deya kare per apna sawal kare tha k discussion ka faida ho.